Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Sher of the Day....... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76126)

fakhri 2nd September 2016 03:33 AM

Wah Shaad saheb kya baat hei. Umda sher hua hei.

Aur ik mai.N hu.N ke her haal mei.N khush rehta hu.N
Meri amma ki dua.oN ka asar hei shayed

Fakhri

Madhu 14 2nd September 2016 07:32 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 494253)
maine dekhaa hai bahaaron ka chaman se jaanaa,
mujh se naa pooch judaaii ka mazaa kaisaa hai....


Shaad....

Waaahhh......lajwaab sher hai shaad sahab...

Madhu 14 2nd September 2016 07:34 AM

Quote:

Originally Posted by fakhri (Post 494254)
Wah Shaad saheb kya baat hei. Umda sher hua hei.

Aur ik mai.N hu.N ke her haal mei.N khush rehta hu.N
Meri amma ki dua.oN ka asar hei shayed

Fakhri


Kya kahne fakhri ji..badi sadgi se aapne umda sher kaha hai....

Waahh!!

Mujahid Ali 2nd September 2016 09:47 AM

Ye khaak ka bana hua insaaN bhi hai ajab
Rehta zameeN pe arsh ki ye baat karta hai

Mujahid

Madhu 14 4th September 2016 12:40 AM

Har baab par bayaa.n hai qissa e dil shikasta
Ye zeest ranj o gham ki koi kitaab hai bas...

Madhu...

sameer'shaad' 4th September 2016 01:07 AM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 494268)
Har baab par bayaa.n hai qissa e dil shikasta
Ye zeest ranj o gham ki koi kitaab hai bas...

Madhu...

bahut hi laajawaab sher kahaa hai aapne is baar waahhh hi waahhhh
daad qubool kijiye

shaad.....

Madhu 14 5th September 2016 04:06 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 494269)
bahut hi laajawaab sher kahaa hai aapne is baar waahhh hi waahhhh
daad qubool kijiye

shaad.....

Behad shukriya shaad ji....

Salamat rahein..

Ayan_khan 5th September 2016 11:20 PM

गजल की बज्म जैसा है... तुम्हारा चाँद सा चेहरा..
निगाहें शेर पढ़ती हैं तो लब इरशाद करते हैं...✍��

sameer'shaad' 5th September 2016 11:27 PM

Quote:

Originally Posted by Ayan_khan (Post 494282)
गजल की बज्म जैसा है... तुम्हारा चाँद सा चेहरा..
निगाहें शेर पढ़ती हैं तो लब इरशाद करते हैं...✍��

ma sha Allah...... khoobsurat sher se nawaaza hai aapne aaj raat bazm ko.....

subhaan Allah....... aate rahen, qayaamat barpaate rahen

Shaad...

fakhri 5th September 2016 11:31 PM

Shukria Madhuji himmat afzaii ka, aap ko sher pasand aaya.

fakhri 6th September 2016 12:19 AM

Toofa.N se bhala kya Darna, himmat jo agar hai
Gabhra na tou aey raahi, Tedhi jo dagar hai
Buzdil na samajh khud ko, kaisi bhi museebat aaey
Udna hai agar tujh ko, himmat tera woh par hai

Fakhri

sameer'shaad' 6th September 2016 01:29 AM

Quote:

Originally Posted by fakhri (Post 494286)
Toofa.N se bhala kya Darna, himmat jo agar hai
Gabhra na tou aey raahi, Tedhi jo dagar hai
Buzdil na samajh khud ko, kaisi bhi museebat aaey
Udna hai agar tujh ko, himmat tera woh par hai

Fakhri

nice one fakhri ji................................................ ........

Qasid 6th September 2016 08:21 AM

le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuu.n dekhe.n zindagii ko kisii kii nazar se ham

Sahir Ludhianvi Sahab

Madhu 14 6th September 2016 03:32 PM

Quote:

Originally Posted by Ayan_khan (Post 494282)
गजल की बज्म जैसा है... तुम्हारा चाँद सा चेहरा..
निगाहें शेर पढ़ती हैं तो लब इरशाद करते हैं...✍��

Waaah waah behad khoobsoorat sher kaha hai aapne..

Bahot khoob...aate rahiyega..

Madhu 14 6th September 2016 03:33 PM

Quote:

Originally Posted by fakhri (Post 494286)
Toofa.N se bhala kya Darna, himmat jo agar hai
Gabhra na tou aey raahi, Tedhi jo dagar hai
Buzdil na samajh khud ko, kaisi bhi museebat aaey
Udna hai agar tujh ko, himmat tera woh par hai

Fakhri

Waaaahhhhh...........

..
.........

Madhu 14 6th September 2016 03:34 PM

Quote:

Originally Posted by Qasid (Post 494290)
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuu.n dekhe.n zindagii ko kisii kii nazar se ham

Sahir Ludhianvi Sahab

Waahhhh!!!
Behad umda aur mera pasandeeda sher share kiya hai apne ..
Shukriya.........

Qasid 6th September 2016 11:43 PM

zaroorat thi bhala ab kya nighaahein chaar karne ki
Jo 'Qasid' ne sunaayi hai kahaani khoobsurat hai

sunita thakur 8th September 2016 03:55 PM

kyaa yaad dilaaye.nge mujhe mere sitam_gar
har naqsh-e-sitam Khud mere siine pe likhaa hai
-nm

fakhri 9th September 2016 03:59 AM

Shukria himmat afzaii ka Shaadji aur Madhu Saheba.

Dhaval 9th September 2016 08:53 AM

Quote:

Originally Posted by Qasid (Post 494304)
zaroorat thi bhala ab kya nighaahein chaar karne ki
Jo 'Qasid' ne sunaayi hai kahaani khoobsurat hai

Waaah.... Khoob !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

sameer'shaad' 9th September 2016 11:32 AM

Quote:

Originally Posted by Qasid (Post 494304)
zaroorat thi bhala ab kya nighaahein chaar karne ki
Jo 'Qasid' ne sunaayi hai kahaani khoobsurat hai

nice one qasid saahab........................

sameer'shaad' 9th September 2016 11:32 AM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 494327)
kyaa yaad dilaaye.nge mujhe mere sitam_gar
har naqsh-e-sitam Khud mere siine pe likhaa hai
-nm

nayaab sher kaha hai shaayar ne.... thanks for sharing dee

Madhu 14 9th September 2016 05:05 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 494327)
kyaa yaad dilaaye.nge mujhe mere sitam_gar
har naqsh-e-sitam Khud mere siine pe likhaa hai
-nm

waah di bahot khoob sharing................

Madhu 14 9th September 2016 05:07 PM

Ek tarz E taGhaaful hai so wo un ko mubaarak
Ek arz E tamanna hai so hum karte raheNge

faiz ahmed faiz.....

sunita thakur 9th September 2016 05:27 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 494351)
Ek tarz E taGhaaful hai so wo un ko mubaarak
Ek arz E tamanna hai so hum karte raheNge

faiz ahmed faiz.....

wahhhh bahut khoob.................................

Qasid 9th September 2016 08:50 PM

Quote:

Originally Posted by Dhaval (Post 494338)
Waaah.... Khoob !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Shukriyaa Dhaval bhai...............:)

Qasid 9th September 2016 08:51 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 494341)
nice one qasid saahab........................

Shukriyaa Shaad bhai....................:)

Qasid 9th September 2016 08:51 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 494351)
Ek tarz E taGhaaful hai so wo un ko mubaarak
Ek arz E tamanna hai so hum karte raheNge

faiz ahmed faiz.....

Umdaa share Madhu Faiz sahab ka aandaaz-e-bayaan niraala hai

Mujahid Ali 9th September 2016 09:08 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 494351)
Ek tarz E taGhaaful hai so wo un ko mubaarak
Ek arz E tamanna hai so hum karte raheNge

faiz ahmed faiz.....

What lovely sharing madhu sahiba

Keep sharing Faiz sahab madhu sahiba

Madhu 14 10th September 2016 02:04 PM

Quote:

Originally Posted by Qasid (Post 494362)
Umdaa share Madhu Faiz sahab ka aandaaz-e-bayaan niraala hai

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 494364)
What lovely sharing madhu sahiba

Keep sharing Faiz sahab madhu sahiba

shukriya aap dono ka...............

ishq dil me.n rahe to rusavaa ho
lab pe aaye to raaz ho jaaye

Faiz Ahmed Faiz

Qasid 10th September 2016 11:20 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 494376)
shukriya aap dono ka...............

ishq dil me.n rahe to rusavaa ho
lab pe aaye to raaz ho jaaye

Faiz Ahmed Faiz

Bahut khoob kya baat hai.........

Qasid 10th September 2016 11:21 PM

Haasil bhi kya hua hai ab chah kar unhein
'Qasid' se humne khaak hi marasim bana liye

tabaah 11th September 2016 08:09 AM




Aur Toh kiya tha bechnay k lein
Apni Ankho k Khawab bechy hai...

Jaun Elia Saheb

Madhu 14 11th September 2016 01:38 PM

Quote:

Originally Posted by Qasid (Post 494390)
Haasil bhi kya hua hai ab chah kar unhein
'Qasid' se humne khaak hi marasim bana liye

waahhh!!!! bahot khoob...............

Madhu 14 11th September 2016 01:39 PM

Quote:

Originally Posted by tabaah (Post 494397)



Aur Toh kiya tha bechnay k lein
Apni Ankho k Khawab bechy hai...

Jaun Elia Saheb

umda sharing.................... wahhh!!!!

Madhu 14 11th September 2016 02:11 PM

dil muddaii ke harf-e-malaamat se shaad hai
ae jaan-e-jaa.N ye harf teraa naam hii to hai

[harf-e-malaamat=word of criticism]

Faiz Ahmed Faiz


Qasid 11th September 2016 08:51 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 494402)
waahhh!!!! bahot khoob...............

Shukriya Madhu.....khaak alfaaz aapko pasand aaye mamnoon hoon

sunita thakur 12th September 2016 02:46 PM

vo jise bhooli hai meri oor aati har gali
Ham usi ke vaste sooni dagar dekha kiye
-Madhu

sunita thakur 13th September 2016 04:12 PM

जुनून, हौसला, और पागलपन आज भी वही है
मैंने जीने का तरीका बदला है तेवर नहीं..!!

"janoon, housla aur pagalpan aaj bhi vahi hai,
maine jeene ka tareeka badka hai tevar nahi"
-nm

Madhu 14 13th September 2016 05:49 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 494428)
vo jise bhooli hai meri oor aati har gali
Ham usi ke vaste sooni dagar dekha kiye
-Madhu

Nawazish di..............

Salamat rahein......


All times are GMT +5.5. The time now is 03:33 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.