Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Ishq (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=2)
-   -   "Mahfil-e-Ishq" sabke liye khuli bazam (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=61775)

sunita thakur 25th July 2008 10:25 AM

"Mahfil-e-Ishq" sabke liye khuli bazam
 
Dosto ajj hum ek naya silsila shuru karne ja rahe hai.N

jisme app sab ka tahe dil se suwagat hai....:) Title se hi appko andaza ho gaya hoga ki kerna kiya hai phir bhi meiN thoda sa explain kerna chahoNgi...

Kerna sirf itna hai , ki app ne apne chahat bhare ahsaso.N ko ash'aar ke sahare bayan kerna hai, chahat se bharpoor, umda khayalooN ko app apne ash'aar meiN bhi bayan ker sakte haiN aur kisi aur shayar ke ash’aar se bhi, mager ager apna sher na to "NM" ya " Not Mine" ya phir shayar ka naam ager maloom ho to zaroor likhna hai, hum ek saath do sher post nahi kareNge....ek member ke sher ke baad doosra member sher post karega...................... Umeed hai app sab ka bharpoor saath milega :)

sabse phela sher main "Meer Taqi Meer" saheb ka likh rahi hoon.

"ibtidaa-e-ishq hai rotaa hai kyaa
aage aage dekhiye hotaa hai kyaa"

-Meer Taqi Meer

prashant vasl 25th July 2008 10:39 AM

KISI KE ISHK MEIN HUM NE AJEEB KAAM KIYA
KI KHUD HI KHUD KO MITAANE KA INTZAAM KIYA.

PRASHANT VASL in KASH AISA KABHI HUA HOTA(published'1976)

sunita thakur 25th July 2008 10:53 AM

Quote:

Originally Posted by prashant vasl (Post 298046)
KISI KE ISHK MEIN HUM NE AJEEB KAAM KIYA
KI KHUD HI KHUD KO MITAANE KA INTZAAM KIYA.

PRASHANT VASL in KASH AISA KABHI HUA HOTA(published'1976)



welcome prashnat ji.....:)

"Ibadat rab ki aur soorat yaar ki ho,
sajda rab ka aur rasam pyar ki ho,
ashiqo ke mahzab ka kaya kahna,
zikar rab ka aur baat yaar ki ho"

-NM

mausam 25th July 2008 11:59 AM

Chaliye hum bhi aa gayeN.......:)


Jis simt bhi dekhoun, Nazar aata hain kay tum ho
Ae Jaan-e-jahan,yeh koi tumsa hain kay tum ho

sunita thakur 25th July 2008 12:25 PM

Quote:

Originally Posted by mausam (Post 298051)
Chaliye hum bhi aa gayeN.......:)


Jis simt bhi dekhoun, Nazar aata hain kay tum ho
Ae Jaan-e-jahan,yeh koi tumsa hain kay tum ho


welcome dear....:)


teri bahho mai aakar sakoon milta hai mujhe,
kaya meri tarah yoon hi bekarar ho tum......

-sunita virender

zamir 25th July 2008 12:56 PM

teri nigahon se aisi sharaab pi main ne
ki phir na hosh ka dawa kiya kabhie main ne
woh aur honge jinhe maut aagyi hogi
nigahe yaar se paayi hai zindagi main ne

NM

zamir 25th July 2008 12:58 PM

mehfil kahe jise hum
teri yaadon ki anjuman hai
hai gul se rishta mera
meri zindagi chaman hai

zamir 25th July 2008 01:01 PM

ruswaiyon se kaise jeete rahe hum ab tak
tanhaiyon mein jo hai teri yaad ka sahara

zamir 25th July 2008 01:05 PM

saahil bhi pareshaan lehron ki dillagi se
tera intezaar humko jeena naya sikhaye

zamir 25th July 2008 01:08 PM

marte the hum bhi jaana
jeene ki khaatir ab tak
tera ishq yeh sikhaye
marne mein kya maza hai

Dhaval 25th July 2008 01:09 PM

ishq hai pyaare khel nahii.n hai
ishq hai kaar-e-shiishaa-o-aahan

[kaar-e-shiishaa-o-aahan=(to) work with stone and glass]

~ jigar moradabadi

mausam 25th July 2008 01:37 PM

Ishq Pagal Kar Gya To Kia Karo Gay Soch lo
Saniha Aisa Hua To Kia Karo Gay Soch Lo

sunita thakur 25th July 2008 03:09 PM

Quote:

Originally Posted by mausam (Post 298070)
Ishq Pagal Kar Gya To Kia Karo Gay Soch lo
Saniha Aisa Hua To Kia Karo Gay Soch Lo



"dil-e-naadaa.N tujhe huaa kyaa hai
aaKhir is dard kii davaa kyaa hai "

~Ghalib ~

pooja_d 25th July 2008 04:27 PM

Ishq ne Ghalib nikammaa kiya
Warna hum bhi aadmi kaam ke thhe

by Gaalib jii

sunita thakur 25th July 2008 05:02 PM

"Dhadka hai dil-e-yaar tere zikar se phele,
jab bhi kisi mahfil meiN teri baat chali"

-NM

prasad.kulkarni 26th July 2008 02:04 AM

Koii do mast aanKho.N me.N ham bhi Khogaye the
Woh kyaa zamaana thaa ki aashiq ham bhi hogaye the
Guruur-e-husn unko bhi thaa, shaq-e-sitam woh bhi raKhte the
Hame.N Khushio.N se hochuki thi nafrat, unke gham bhaagaye the

Hello friends! I am new here and those are the line I wrote just for this thread. My Urdu is not very good since I never studied it formally. I listen to Ghazals and try learning Urdu through them. Do let me know if I make mistakes and help me improve my Urdu.

-Prasad
:)

sunita thakur 26th July 2008 09:22 AM

Quote:

Originally Posted by prasad.kulkarni (Post 298131)
Koii do mast aanKho.N me.N ham bhi Khogaye the
Woh kyaa zamaana thaa ki aashiq ham bhi hogaye the
Guruur-e-husn unko bhi thaa, shaq-e-sitam woh bhi raKhte the
Hame.N Khushio.N se hochuki thi nafrat, unke gham bhaagaye the

Hello friends! I am new here and those are the line I wrote just for this thread. My Urdu is not very good since I never studied it formally. I listen to Ghazals and try learning Urdu through them. Do let me know if I make mistakes and help me improve my Urdu.

-Prasad
:)


welcome kulkarni ji.....aapne bahut accha sher likha hai....hume pasand aaya :)


"yoon to rahti hai tasavur mein unki surat,
magar mil jayeN to taskeen si ho jati hai"

_NM

Dhaval 26th July 2008 10:45 AM

kuchh to havaa bhii sard thii kuchh thaa teraa Khayaal bhii
dil ko Khushii ke saath saath hotaa rahaa malaal bhii

[sard=cold; malaal=sorrow]

- Parveen Shakir

sunita thakur 26th July 2008 11:01 AM

"jab tera tasavur chupke se mujhe chu jaye,
mujhe apni har saans se teri hi kushboo aaye"

-NM

mausam 26th July 2008 11:22 AM

berabt ehsaasaath ko tu afsana na bana
apni hikmat se kisi ko deewana na bana


NM

sunita thakur 26th July 2008 11:46 AM

"Hum dil to kaya rooh mein uttar jayeNge,
aap chahoge agar chahne walo.n ki tarah"

-NM

zamir 26th July 2008 02:54 PM

ji bhar ke kar le pyaar aur zindagi luta
woh bewafa sahi tu to wafa nibha
apni kahani **** khabar yaar to rakh
dard -e -zabaani **** zara dil se sada laga

zamir 26th July 2008 02:56 PM

ji bhar ke kar le pyaar aur zindagi luta
woh bewafa sahi tu to wafa nibha
apni kahani ch-od khabar yaar to rakh
dard -e -zabaani bhool zara dil se sada laga

prasad.kulkarni 26th July 2008 02:56 PM

Quote:

welcome kulkarni ji.....aapne bahut accha sher likha hai....hume pasand aaya :)


"yoon to rahti hai tasavur mein unki surat,
magar mil jayeN to taskeen si ho jati hai"

_NM




Sunita Virender Singh
Shukriyaa Sunitaji.

sunita thakur 26th July 2008 02:59 PM

"gali ke mod par yeh kisne dard bhari lai mein mahiya gaya,
muje kisi se mohabat to nahi magar dil-e-betaab bhar aaya"

-NM

prasad.kulkarni 26th July 2008 03:00 PM

Quote:

Originally Posted by tishna (Post 298156)
ji bhar ke kar le pyaar aur zindagi luta
woh bewafa sahi tu to wafa nibha
apni kahani ch-od khabar yaar to rakh
dard -e -zabaani bhool zara dil se sada laga


Bahut achchaa sher hai. Lekin hame.N 'dil se sada laga' ne kaa matlab samajh me.N nahin aayaa. Mai.N Urdu abhi abhi siiKh rahaa huu.N. To aap please mujhe bataa_iye uskaa matlab kyaa hotaa hai.

zamir 26th July 2008 03:27 PM

prasad ji thanks a lot
dard-e-zabaani bhool zara dil se sada laga

sada yaani awaaz
ab yahan dil se sada laga ka matlab hai
jab hum kisi ko pyaar karte hain izhaar karne mein jhijhakte hain darte hain
ki kahin sab khatam na ho jaaye
but agar us ke dil mein bhi kuch ho to hamaari baat ko samjh sakti hai yaa sakta hai

bade bade shayar likhte hain ki agar do log raazi hain but izhaar na hua hai to shuruwaat mein un ke dil ek doosre se izhaar kar lete hain
aur yeh shayad sahi bhi hai jab hamaara dil yaa dimaag kisi cheez ko samajhta hai usi ke baad zabaan se iqraar karta hai ki koi cheez acchi hai kharaab hai

bas yehi express karna chaha hai ki pehle dil se dil ko samjha baad mein zabaan se kehna

hope aap ko ab koi doubts nahi honge

aur haan aap ek baat note kijiye main apni gazal mein (dard) word baar baar use karta hoon but dard ka matlab takleef har baar nahi zyaada tar mere dard ka matlab hota hai ehsaas kyunki dard aur khushi dono ehsaas hi to hain
jaise apni indians maan mein hota hai khushi ke aansu

aap ko ek sher bhi pesh karta hoon ismein bhi doubts hon to pooch len plz

MILA HAI SABR AUR TANHAAIYON KE DAUR
JAHAN KHUSHI KA HAI JASHN WAHAN HAI GAM KITNA

main bhi koi khaas urdu nahi jaanta bas koshish karta hoon
aap bhi kijiye aur ho sake to aap meer taqi meer ke kalaam refer kijiye
is se aap ko tehreer banane mein bahot hi khaas tareeke milenge

zyaada typical urdu aana zaroori nahi hai zaroori hai
lafzon ki dhun ko samajhna aur un ko un ki sahi jagah pe naqsh karna

app aur kuch bhi poochna chahte hain to bila jhijhak pooch sakte hain
aap ka yeh adna dost waqt bewaqt aap ke kuch kaam aa jaaye

prasad.kulkarni 26th July 2008 03:58 PM

Quote:

Originally Posted by tishna (Post 298163)
prasad ji thanks a lot
dard-e-zabaani bhool zara dil se sada laga

sada yaani awaaz
ab yahan dil se sada laga ka matlab hai
jab hum kisi ko pyaar karte hain izhaar karne mein jhijhakte hain darte hain
ki kahin sab khatam na ho jaaye
but agar us ke dil mein bhi kuch ho to hamaari baat ko samjh sakti hai yaa sakta hai

bade bade shayar likhte hain ki agar do log raazi hain but izhaar na hua hai to shuruwaat mein un ke dil ek doosre se izhaar kar lete hain
aur yeh shayad sahi bhi hai jab hamaara dil yaa dimaag kisi cheez ko samajhta hai usi ke baad zabaan se iqraar karta hai ki koi cheez acchi hai kharaab hai

bas yehi express karna chaha hai ki pehle dil se dil ko samjha baad mein zabaan se kehna

hope aap ko ab koi doubts nahi honge

aur haan aap ek baat note kijiye main apni gazal mein (dard) word baar baar use karta hoon but dard ka matlab takleef har baar nahi zyaada tar mere dard ka matlab hota hai ehsaas kyunki dard aur khushi dono ehsaas hi to hain
jaise apni indians maan mein hota hai khushi ke aansu

aap ko ek sher bhi pesh karta hoon ismein bhi doubts hon to pooch len plz

MILA HAI SABR AUR TANHAAIYON KE DAUR
JAHAN KHUSHI KA HAI JASHN WAHAN HAI GAM KITNA

main bhi koi khaas urdu nahi jaanta bas koshish karta hoon
aap bhi kijiye aur ho sake to aap meer taqi meer ke kalaam refer kijiye
is se aap ko tehreer banane mein bahot hi khaas tareeke milenge

zyaada typical urdu aana zaroori nahi hai zaroori hai
lafzon ki dhun ko samajhna aur un ko un ki sahi jagah pe naqsh karna

app aur kuch bhi poochna chahte hain to bila jhijhak pooch sakte hain
aap ka yeh adna dost waqt bewaqt aap ke kuch kaam aa jaaye


Aapkaa bahut bahut shukriyaa, dost! Mere ek sawaal ke jawaab keliye aapane waqt nikaalaa aur itani achchi-achchi baate.N bhi ki to mujhe behad Khushii hu_ii. Aapkaa samkhaane kaa tariiqaa bhi mujhe pasand aayaa.

Abhi abhi mai.N ne apani ek Ghazal ko pesh ki "Aapki Shayri" forum me.N. Mujhe aur bhi bahut Khushi hogi agar aap uske baare me.N kuchh liKh de.Nge to. Mujhe taariif kaa shauq zyaadaa nahi.N hai to aapko meri uss naa-qaabil-e-taariif Ghazal ki ko_ii taariif karne ki zaruurat nahi.N hogi. Aap bas meri apani Ghalatiyo.N ko samajh ne me.N meri madat kare.N taaqi mai.N achchaa liKh sakuu.N.

Aapke waqt keliye shukriyaa.

sunita thakur 26th July 2008 05:08 PM

"Barso.n baad ek shakhas dekha mahboob sa,
ab zehan mein to nahi par naam tha bhala sa"


-NM

zamir 26th July 2008 06:36 PM

dil mein jo dard hai
usko bhulaana behtar
gum mein rona kaisa
uski yaadon jaana behtar

Mujeeb 26th July 2008 06:43 PM

Na jhilmila teri ankhieN keh mer na jaaoN
Nigah-e-Qatil ka waar sehan ker na paaoN
Tere Jaado-e-husn ne behkaya hai iskader
darrta hoN keh badnaam tujhe ker na jaaoN
:)


Mujeeb

zamir 27th July 2008 07:01 PM

hum ne dekhi hai in aakhon ki mehakti khushboo
haath se chu ke in rishton ko ilzaam na do
ek ehsaas hai yeh rooh se ise mehsoos karo
pyaar ko pyaar hi rehne do koi naam na do

(NM)

zainy 27th July 2008 07:19 PM

TUM PER HI KHATAM YE SAARI CHAHAT HOGI,

PHIR NA KISI AUR PER YE INAYAT HOGI,

KUCH IS TARAH SE KARENGE YAAD TUMHE,

NA ZAMANE KO SHIKWA NA TUMHE SHIKAYAT HOGI,...


(nm)

insaf_khan 27th July 2008 07:38 PM

Dear
Appne bhut ache shayri ke ha hamen bhut ache lage plz ase he likhte rahe
our ham parte rahe........

Insaf Khan

insaf_khan 27th July 2008 07:45 PM

Na tha wo apna jise apna bana bathe
Muqadar ka likha tha zakham kaha bathe.


plz Reply

zishan107 28th July 2008 08:12 AM

Hum hai mushtaaq aur woh bezaar
Ya Illahi yeh kyaa maajra hai !

zishan107 28th July 2008 08:15 AM

Darte darte afsaana-e-dil
Aaj unse hamne keh to diya
Yeh yaad nahin ghabraahat mein
Kya yaad raha, kya bhool gaye

NFAK

sunita thakur 28th July 2008 10:47 AM

"tum tanhai mein jab mere dil par dastak dety ho,
soye hue armaano.n ko aake jagga detey ho,
yeh alag baat hai ki mera wajood hai tumse juda,
magar khayaalo.n mein aakar ek kasak si jaga dety ho"

-NM

Mujeeb 29th July 2008 03:43 PM

Yeh jado hai behki umar ka piya're
Sambhal ker zara tu Jiyaa jaa're

Tujhko pyar hai kitna us se Mujeeb
Pehle us se , tu khud ko azmaa're

gajanand_05 29th July 2008 05:15 PM

Nice
 
bheed ka sath dene ki chahat
har kissi ko nahi hoti hai



pyaar ke liye zinda hai jo

unko yeh hasrat nahi hoti hai



kissi ek ke liye hi manzil ban jawo

rab se har pal ibadat yahi hoti hai



sab ko manane ki arzoo rehti nahi

na hi feer aur kissi ki jaroorat hoti hai!!!!
@@@DIL SE@@@@

sunita thakur 29th July 2008 05:17 PM

Quote:

Originally Posted by Mujeeb (Post 298516)
Yeh jado hai behki umar ka piya're
Sambhal ker zara tu Jiyaa jaa're

Tujhko pyar hai kitna us se Mujeeb
Pehle us se , tu khud ko azmaa're


bahut khoob bhai jaaN :)

"madhosh raat ka aalam na poochiye,
kyuN na so paye hum sarri raat,
ab humse aise sawaalat na poochiye"

-sunita virender

gajanand_05 29th July 2008 05:19 PM

Pyaar na Maango
 
yar kabhi kisi katil se pyar na maango, aur
apne hi gale ke liye talwar na maango.

husn walon me mohabbat ki kami hoti hai
aur chahne walon ki takhdeer buri hoti hai.
un hi ke marey to hai hum zindagini me.
hain 4 lafz mohabbat ki is kahani me.

gajanand_05 29th July 2008 05:22 PM

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi......

sunita thakur 29th July 2008 05:25 PM

Welcome Gajanand ji


"tere pyar ne hume har mushkil meiN sambhalna seekha diya,
aankho.n mein aansu hote hue bhi muskurana seekha diya"

-sunita virender :)

gajanand_05 29th July 2008 05:30 PM

Hi Sunita
 
"rone De Tu Aaj Humko, Tu Aankhein Sujane De

Baahon Mein Le Le Aur Khud Ko Bheeg Jane De

Hai Jo Seene Mein Quaid Dariya Wo ***** Jayega

Hai Itna Dard Ki Tera Daman Bheeg Jayega. "

sunita thakur 29th July 2008 05:35 PM

Quote:

Originally Posted by gajanand_05 (Post 298546)
"rone De Tu Aaj Humko, Tu Aankhein Sujane De

Baahon Mein Le Le Aur Khud Ko Bheeg Jane De

Hai Jo Seene Mein Quaid Dariya Wo ***** Jayega

Hai Itna Dard Ki Tera Daman Bheeg Jayega. "



"pyar ka mausam hai rone ki na baat karo,
pal 2 pal ka jiwan hai koi kushi ki baat karo"

-sunita virender

mausam 29th July 2008 05:37 PM

Phoolon se ashiqui ka hunar seekh le
TitliyaN khud rukegi sadayeN na de..

bashir badr...

sunita thakur 29th July 2008 05:41 PM

Quote:

Originally Posted by mausam (Post 298553)
Phoolon se ashiqui ka hunar seekh le
TitliyaN khud rukegi sadayeN na de..

bashir badr...

bahut khoob meri mausam-e-bahaar :)


"na samet apne zulfe.n enko khulla rahne de,
bahar garami bahut hai ghata ka ahsaas rahne de"

-sunita virender

gajanand_05 29th July 2008 05:52 PM

Hi Friends..............

jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai

uth jati hai kalam likhne ko
wo pyar deewana hota hai

kar deti hai haal-e-dil bayaan
wo kalaam shayraana hota hai

jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
duniya mein kitna gam hai
apna gam phir bhi kam hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

gajanand_05 29th July 2008 05:54 PM

Zindagi ek raat he,

Jisme na jaane kitne khwaab he,

Jo toot gaya woh sapna he,

Jo mil gaya wahi apna he......

gajanand_05 29th July 2008 06:00 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 298552)
"pyar ka mausam hai rone ki baat na karo,
pal 2 pal ja jiwan hai koi kushi ki baat karo"

-sunita virender


Pyaar ka mausam he magar,

Pyaar karnewal hi saath no ho agar,

toh koi kya kare,

prashant vasl 29th July 2008 06:22 PM

ZARA SI BAAT HAI LEKIN ZAMAANE TU NAHI SAMJHA
MUHABBAT JISM KA RISHTA NAHI ROOHON KA RISHTA HAI.

PRASHANT VASL(from GHUTAN:majmua/1984)

Mujeeb 29th July 2008 08:10 PM

Mudat guzar Gai ibaadat meiN Teri sanam
ajj chahata hai dil tujhse muhabbat kerey


Mujeeb

zainy 29th July 2008 09:25 PM

Haseen Palo.n Ko Abaad Kar Rahe The,

Chand Se Aapki Baat Kar Rahe The,

Bada Sukoon Mila Ya Jankar,

Aap Bhi Hamein Yaad Kar Rahe The,...



(NM)

Mujeeb 29th July 2008 10:42 PM

Sapno mein roz mulqaat kerte haiN
Be-Qaabo mere jazbaat kerte haiN .


Woh noor sa chehra keh , chaand bhi
mangna chaandi her raat kerte haiN


Mujeeb

prashant vasl 30th July 2008 12:27 AM

TU KISI KHWAB KI MAANIND HASEEN HAI LEKIN
KHWAB TO KHWAB HAI DUM BHAR MEIN BIKHAR JAAYEGA
MUJH KO HAR LAMHA SATAAYEGI RAFAAQAT* TERI
ISHK TAA-UMRA MERE DIL PE SITAM DHAAYEGA
HAR GHADI PHIR BHI TUJHE PAANE KI VAHSHAT* KYON HAI
.....SOCHTA HOON KI MUJHE TUJH SE MUHABBAT KYON HAI.

*Rafaqat-Dosti **Vahshat-Unmaad,pagalpan

from a PRASHANT VASL nazm in GHUTAN(published in 1984)

sunita thakur 30th July 2008 10:18 AM

Quote:

Originally Posted by prashant vasl (Post 298585)
TU KISI KHWAB KI MAANIND HASEEN HAI LEKIN
KHWAB TO KHWAB HAI DUM BHAR MEIN BIKHAR JAAYEGA
MUJH KO HAR LAMHA SATAAYEGI RAFAAQAT* TERI
ISHK TAA-UMRA MERE DIL PE SITAM DHAAYEGA
HAR GHADI PHIR BHI TUJHE PAANE KI VAHSHAT* KYON HAI
.....SOCHTA HOON KI MUJHE TUJH SE MUHABBAT KYON HAI.

*Rafaqat-Dosti **Vahshat-Unmaad,pagalpan

from a PRASHANT VASL nazm in GHUTAN(published in 1984)

"Khaab to khaab hi hote hain, aur hote hain palko.n par sajane ke liye,
aur tum khaabo.n meiN haqiqat ka chehra doondte ho, nadaaN hi to ho"

-sunita virender

Diya_Jale 30th July 2008 10:56 PM

Phoolo Ki Aarzu Mein Bade Zakhm Khaaye Hai
Lekin Chaman Ke Khaar Bhi Ab Tak Paraaye Hai

Diya_Jale 30th July 2008 10:58 PM

Mohabbat Farz Jaisi Hai
Nibhaana Seekh Jaoge

Dilo Pe Qarz Jaisi Hai
Chukaana Seekh Jaoge

Labo Pe Phool Jaisi Hai
Khilaana Seekh Jaoge

Nazar Mein Aag Jaisi Hai
Lagaana Seekh Jaoge

Tum Tak Faasla Jo Hai
Mitaana Seekh Jaoge

Kabhi Jo Dil Mein Aa Beithe
Zamaana Bhool Jaoge


NM

sunita thakur 31st July 2008 10:18 AM

Quote:

Originally Posted by Diya_Jale (Post 298701)
Phoolo Ki Aarzu Mein Bade Zakhm Khaaye Hai
Lekin Chaman Ke Khaar Bhi Ab Tak Paraaye Hai


"tera chehra hai phool jaisa, tera jisam hai chandni jaisa,
pariya.n tujse roop udhaar maange,tera aana hai bahaar jaisa"

Dhaval 31st July 2008 11:00 AM

mahak rahii hai zamii.n chaa.Ndanii ke phuulo.n se
Khudaa kisii kii muhabbat pe muskuraayaa hai


. bashir badr

prashant vasl 31st July 2008 11:09 AM

AASHIKI AANSUON KI DAGAR HO TO HO
AB KATHIN ZINDGI KA SAFAR HO TO HO.
UTH GAYE JAB RAHE-ISHK MEIN YE QADAM
PYAR MURDA UMEEDON KA GHAR HO TO HO.

by PRASHANT VASL...

sunita thakur 31st July 2008 11:29 AM

"safar-e-ishq par chale ho, bahut umango.n ke saath,
raah meiN dushbariya.n bhi aayeNgi, himmat na haarna"


-sunita virender

Diya_Jale 31st July 2008 06:28 PM

E_eshq Hi aisa hai Zalim
jo rulata hai uskeliye
Dil Rota hai...........

Diya_Jale 31st July 2008 06:30 PM

sukriya sunita ji ..............

**** Us marz ko marz-e-ishq kaha karte hain
Na dawa hoti hai jis ki na dua hoti hai *****NM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 298759)
"safar-e-ishq par chale ho, bahut umango.n ke saath,
raah meiN dushbariya.n bhi aayeNgi, himmat na haarna"


-sunita virender


Mujeeb 31st July 2008 06:47 PM

Justajo-e-nafas* ko behkaawe* meiN samajhne lage Pyar
Ik dost ne ki jaan nisaar*, kaha ke surkhro* hum huwe





Justajo-e-nafas = Dil ki Khuwahish
Behkaawe = theek raaste se hath jaana , khumaari meiN hona ,
Nisaar = Fida kerna , qurbaan kerna (devote )
Surkhro = kaamyab hona (accomplishment)

Diya_Jale 31st July 2008 07:50 PM

hello Mujeeb ji kaise ho aap
 
Ae Jaan Meri Yaado Ko Tu Dil Mein Basaa Lena..
Badnaam Na Ho Aansu Daman Mein Chupaa Lena..

Mein Yaad Agar Aau Toh Bharna Na Kabhi Aahe..

Tu Meri Nishaani Ko Seena Se Lagaa Lena..

sunita thakur 1st August 2008 12:48 PM

"pyar kiya hai pyar kareNge,
tere bin ek pal na raheNge,
na kar sakega juda khuda bhi,
usko bhi dil ki yeh baat kaheNge"

-sunita virender

mausam 1st August 2008 01:16 PM

Deewangi meri kuch is kadar badhne lagi haiN
Jis simt bhi dekhu nazar aaye tu hi tu haiN:p

..mausam

Diya_Jale 1st August 2008 01:39 PM

Tujhe bin dekhe rehe nehin pati hun
Dil ki baat tujhse kehe nehin pati hun
jab tu samne gujarta hai meri
main khamosh rehe kar nazar jhuka leti hun
yeh woh gunah jo main bar bar karti hun

Diya_Jale 1st August 2008 01:41 PM

Tere ishq main jiti hun tere ishq main marti hun
tere liye zalim main kya kya karti hun .........

Diya_Jale 1st August 2008 01:42 PM

ishq ne hume itna majboor kar diya hai
har taraf tu hi tu nazar aata hai
Log kehete the pagli hai Diya
ab kehete hain sayad kiska Deewani hai

sunita thakur 1st August 2008 02:13 PM

wah diya ji ....bahut khoob kaha aapne :)

"ishq ka jazba ensaaN ko kis kadar diwana bana deta hai,
bin baat ke bhari mahfil mein muskurana seekha deta hai"

-sunita virender

prashant vasl 1st August 2008 02:31 PM

TERI MUSKURAAHAT SE JO JHAANKTI HAI
MAIN HAR LAMHA WO IK NAMI DEKHTA HOON
BAHUT KHUSH HAIN HUM TUM JUDA HO KE LEKIN
MASARRAT* MEIN MAIN KUCHH KAMI DEKHTA HOON.

*masarrat-khushi

prashant vasl

sunita thakur 1st August 2008 02:34 PM

Quote:

Originally Posted by prashant vasl (Post 298887)
TERI MUSKURAAHAT SE JO JHAANKTI HAI
MAIN HAR LAMHA WO IK NAMI DEKHTA HOON
BAHUT KHUSH HAIN HUM TUM JUDA HO KE LEKIN
MASARRAT* MEIN MAIN KUCHH KAMI DEKHTA HOON.

*masarrat-khushi

prashant vasl

"ab jo mileNge to juda na hoNge kabhi,
aisa rishta tere saath bana leNge hum"

-sunita virender


All times are GMT +5.5. The time now is 11:45 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.