Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Ghazal Section (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=14)
-   -   TPT November Poll Thread (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=79608)

Qasid 26th November 2015 12:07 PM

TPT November Poll Thread
 
Namaskaar doston...

aap sab ke intzaar ki ghadiyaan khatm huyiin...ab tak jo bhi entreis aayiin unhe main post kar raha hoon....is ummeed se ki jis tarah se aapne abhi tak mera sath diya hai..voting me bhi wahi josh dekhne ko milega...tasweer par bahut hee pyare ehsason se bhari rachnayein aayi hain is baar bhi..bahut shukriya aap sab ka..aur sabhi ko meri taraf se shubhkamnayein....

Voting ki aakhri date hai... 1st December 2015.

ek member kisii ek kavitaa ko hi vote kar sakega....

unauthorized votings ko neutralized kar diyaa jaaega....

members jinke post counts 50 se kam hain unke votes count nahi kiye jaayenge....

Qasid 26th November 2015 12:08 PM

Muhabbat ko meri nazar lag gayi hai
 
Muhabbat ko meri nazar lag gayi hai
meri diary bhi yahi keh rahi hai

wo ulfat ka mausam kahi.n ho gaya gum
meri sookhi nazrein wahi.n reh gayi hain

ye parchaaiyan hain jo beete dino.n ki
chudaaun to daaman pakad si rahi hain

gale mein padi hai nishaani jo uski
ye sone ki maala bhi ab das rahi hai

Koi to bata de unhe bhi ye jaakar
ye dil hai humaara jo bas mein nahi hai

likhu.n kaise haalat mere dil ki ab main
kalam bhi nigodi nahi chal rahi hai
Masti Ji

Qasid 26th November 2015 12:09 PM

tere pyar ka asar mujh per itna phakat hua
 
tere pyar ka asar mujh per itna phakat hua,
waqt tanhayee meiN ba-mushkil guzer hua.

reh reh ker teri yaad mujhko satati rahee ,
haal mera hamdam ye kaisa ajab hua.

na raat meiN neeNd hai na din meiN karar hai,
tujh se bicherne ke baad hai ye sab hua.

her ghari tassavur meiN ho sirf tum sanam,
tere pyar ka ye karishma kaisa gazab hua.

judaee meiN milne ki chahat berkarar hai,
dooriya jab bareeiN mera ye haal tab hua.

dil tumhe de ke ab tau sukh chaiN lut gaya
ikraare muhabbat ke baad sajan ye sab hua.

man mandir ke aaine meiN tera hi aqs hai,
her saans meiN sirf tera hi naam talab hua.
Hamdam Ji

Qasid 26th November 2015 12:10 PM

NiishaniyaN haiN ye kisi naye khumar ki
 
NiishaniyaN haiN ye kisi naye khumar ki
NishaniyaN kisi se pahle pahle pyaar ki.

Ki baithe baithe yuN hee hoNth muskarate haiN
ShararateiN jo yaad aa gayi haiN yaar ki.

Suhane khwaab saj rahe haiN meri aaNkhoN me
Ye rukh pe dhoop chhayi ya chamak nikhar ki.

Kitab leke hath me bunu kahaniyaN
MileNge ham kabhi to hogi rut bahaar ki.

UNhi ki chahteiN hain, dil kirahtein vahi
UNhi se har vajah judi mere Qaraar ki.

Bita diye kai pahar iNhi khayaloN me
Na jane kab dhalegi shaam iNtzaar ki...
Madhu Ji

Qasid 26th November 2015 12:10 PM

lii kitaab haath me.n maine
 
lii kitaab haath me.n maine jab to puraanaa usme payaam tha
hua yu.n jo lafz the saamne vo harek me.n tera naam tha

jo palat rahe hai.n harek pal mere saamne ye kitaab me.n
meri zindagii ke vo biitte pal koi karvaa.n sar-e-shaam tha

jo ha.nsii mere iin labo.n pe hai vo merii nazar se judaa to hai
ki jo ab ruke nahi.n rukte hai.n unhi ashq ka vo maqaam tha

merii chilmano.n se yu.n taakte ii.n havaao.n se ye gumaa.n huaa
ki tu aa rahaa hai mere liye vo khayaal mera naa kaam tha

vo Gazal tune jo sunaaii thii jo tune likhii thii mere liye
jo rulaa diyaa mujhe yaad ne vo hamaare dil ka kalaam tha
Aadeil Ji

masti 26th November 2015 12:14 PM

Bohut khoob entries hain, aur iss baar ek khaas baat hai ki har kisi ne iss tasweer ko apne tareeke se interpret kiya hai jo ki ek dusre se ek dum juda hain to iss wajah se iss baar sabko padne mein aur bhi lutf aaya.

All the best to all the participants.

Madhu 14 26th November 2015 12:25 PM

Shukriya mast sahab...doston aap sab ko meri shubhkamnayein...sabhi tahreer ek se badh kar ek aur bilkul juda......bahut achcha laga sabko padhna....:)

Madhu 14 27th November 2015 09:57 AM

please vote friends. .......... ..

sunita thakur 27th November 2015 10:08 AM

bahut khoobsurat khayaal padne ka mokka mila...sabhi ne bahut accha likha hai, maine apni pasand ko vote kar diya hai...baaki sabhi ko meri shub-kaamnaye :)

Qasid 27th November 2015 04:12 PM

Doston,

Jaldi kijiye is baar voting ke liye jyaada samay nahi hai.....aapke votes ka humhe intezaar rahegaa

Madhu 14 28th November 2015 11:19 PM

Aap sab se guzarish hai doston..thoda sa vaqt nikal kar vote zaroor dein..aur sabhi likhne walon ka hausla badhayein.....

Shukriya..

sameer'shaad' 29th November 2015 08:21 PM

friends i have given my vote... pls aap sab bhi apne apne votes cast kijiye jaldi....

prasaxena 30th November 2015 11:35 AM

Bohat achchi kaavisheN. Maine vote kar diya hai.

Madhu 14 30th November 2015 10:25 PM

vote karne wale sabhi doston ka shukriya...aur jin members ke vote kisi vajah se nahi aa paye hain.. unse Request hai ki pls vote zaroor karein...aapke sath ki ummeed me...

Madhu..

Qasid 2nd December 2015 12:22 AM

Doston,

Technical issues ke karan poll aaj sham close ho gaya tha, maine polling wapas khol di hai aur poll ab kal 12:00 PM tak open rakha jaayega, aap sab se guzaarish hai ki kal dopehar tak apna vote zaroor daal dein.

Qasid 2nd December 2015 09:47 PM

Doston,

Is baar bhi aapke diye gaye votes se yeh silsilaa kamyaab raha aur ek baar phir chahungaa ki aap sab apni peeth thapthapaaye...sabhi pratiyogon ka bhi shukrguzaar hoon jihone itni aachi rachnaayein bheji...

Is baar ki vijeyta jo marginal votes se is baar pratyogita jeeti hai vo hai 'Masti Ji'

Madhu 14 2nd December 2015 10:20 PM

shukriya mast sahab...
bahut bahut mubarak ho sarika dear.....:)..aapki ghazal wakai bahut achchi rahi aur tasweer pe alag khayaal liye huye hai.....likhti rahiyega..aur aise hee bazm ki shaan badhati rahiye......

Sabhi participants ko ek baar fir daad aur mubarakbaad..ummeed haivyun hee aapka sath hame milta rahega....aage bhi...

Ek baar fir aap sab ka shukriya....

Apki dost
Madhu.

masti 2nd December 2015 10:32 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 489317)
Doston,

Is baar bhi aapke diye gaye votes se yeh silsilaa kamyaab raha aur ek baar phir chahungaa ki aap sab apni peeth thapthapaaye...sabhi pratiyogon ka bhi shukrguzaar hoon jihone itni aachi rachnaayein bheji...

Is baar ki vijeyta jo marginal votes se is baar pratyogita jeeti hai vo hai 'Masti Ji'

Sabse pehle to aap sabka shukriya jo meri likhi kacchi sighazal ko itna pyar diya, ismen abhi kaafi kaam baaki tha aur samay mere paas kam tha iss liye aise hi post kar di. Khushi hui ye dekh kar ki mere ehsaas pasand aaye.

Aapne sahi kaha ki bohut hi marginal difference hai jise nazarandaaz kiya Jana chahiye kyunki ek do log bhi aur vote karte to baat badal jaati. Issliye mere hisaab se dono hi ghazalein winner hain.

Hamdam ji aur aadeil ji Ki ghazlein bhi mujhe bohut pasand aayi jinke liye mujh nacheez Ki daad kabool kijiye.

Ummeed hai agli baar aur bhi log badchad kar hissa lenge aur mods Ki mehnat ko safal banaayenge.

masti 2nd December 2015 10:38 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 489318)
shukriya mast sahab...
bahut bahut mubarak ho sarika dear.....:)..aapki ghazal wakai bahut achchi rahi aur tasweer pe alag khayaal liye huye hai.....likhti rahiyega..aur aise hee bazm ki shaan badhati rahiye......

Sabhi participants ko ek baar fir daad aur mubarakbaad..ummeed haivyun hee aapka sath hame milta rahega....aage bhi...

Ek baar fir aap sab ka shukriya....

Apki dost
Madhu.

Shukriya Madhu.

Waise Mubarakbaad Ki haqdaar aap bhi hain. Aapki Ghazal mujhe bohut pasand aayi. Pehle pyar Ki khushbu thi usmein. Aur sach poochiye to main hairaan thi Ki ek hi tasweer ko kitna alag tareeke se interpret kiya ja sakta hai.

masti 2nd December 2015 10:56 PM

sunita thakur 3rd December 2015 09:20 AM

areee waahhhhh Sarika....yeh gazal tumhari thi :) bahut khoobsurat likha aapne, tasveer ke saath aik aik lafz mil rha tha. yu hi aage bhi likhti rho dil se mubarakbaad.

baaki logoN ne bhi bahut accha likha tha...par winner to aik ko hi hona hota hai so meri taraf se un sabko bhi mubarakbaad :)

masti 3rd December 2015 11:52 AM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 489326)
areee waahhhhh Sarika....yeh gazal tumhari thi :) bahut khoobsurat likha aapne, tasveer ke saath aik aik lafz mil rha tha. yu hi aage bhi likhti rho dil se mubarakbaad.

baaki logoN ne bhi bahut accha likha tha...par winner to aik ko hi hona hota hai so meri taraf se un sabko bhi mubarakbaad :)

Shukriya Sunita didi.

Khushi hui Ki aapko mera likha pasand aaya. Apna pyar aur saath yu hi banaaye rakhiyega.

sameer'shaad' 3rd December 2015 05:28 PM

Sarika ji behad mubaarak ho aapko TPT ki winner hone ke liye..... main tahe dil se aapko daad aur shubh kaamnaaen denaa chahunga....

Malik kare ke aage bhi aap aise hi kaamyaabi ke paaydaan me chadhtii rahen.... shukriyaaa.........

Shaad...

Madhu 14 3rd December 2015 10:26 PM

Quote:

Originally Posted by masti (Post 489321)
Shukriya Madhu.

Waise Mubarakbaad Ki haqdaar aap bhi hain. Aapki Ghazal mujhe bohut pasand aayi. Pehle pyar Ki khushbu thi usmein. Aur sach poochiye to main hairaan thi Ki ek hi tasweer ko kitna alag tareeke se interpret kiya ja sakta hai.

..............................:)

masti 3rd December 2015 11:36 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 489352)
Sarika ji behad mubaarak ho aapko TPT ki winner hone ke liye..... main tahe dil se aapko daad aur shubh kaamnaaen denaa chahunga....

Malik kare ke aage bhi aap aise hi kaamyaabi ke paaydaan me chadhtii rahen.... shukriyaaa.........

Shaad...

Thank you shad bhai.

Bohut acha lagaa aap yaha aaye aur meri houslaafzaayi Ki.

Yunhi apna pyaar aur saath banaaye rakhiye.

aadeil 4th December 2015 12:20 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 489317)
Doston,

Is baar bhi aapke diye gaye votes se yeh silsilaa kamyaab raha aur ek baar phir chahungaa ki aap sab apni peeth thapthapaaye...sabhi pratiyogon ka bhi shukrguzaar hoon jihone itni aachi rachnaayein bheji...

Is baar ki vijeyta jo marginal votes se is baar pratyogita jeeti hai vo hai 'Masti Ji'

Sharikaji,

aapko bahot bahot mubarak baad.... :)
behad hi khubsurat gazal thi aapki..... :)

masti 4th December 2015 04:47 PM

[QUOTE=aadeil;489371]Sharikaji,

aapko bahot bahot mubarak baad.... :)
behad hi khubsurat gazal thi aapki..... :)[/QUOTE

Bohut shukriya adeil

Aap hain kahan aajkal? Sach poochiye to dil se Khushi hui prtiyogiyon Mein aapka naam dekh kar.

Aate raha kariye........

Yaha sab apki miss karte hain actually kabhi 2014 Ki raunak miss karti hun yahan....

Aap aayenge to bohut Khushi hogi.

aadeil 8th December 2015 10:28 AM

[QUOTE=masti;489375]
Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 489371)
Sharikaji,

aapko bahot bahot mubarak baad.... :)
behad hi khubsurat gazal thi aapki..... :)[/QUOTE

Bohut shukriya adeil

Aap hain kahan aajkal? Sach poochiye to dil se Khushi hui prtiyogiyon Mein aapka naam dekh kar.

Aate raha kariye........

Yaha sab apki miss karte hain actually kabhi 2014 Ki raunak miss karti hun yahan....

Aap aayenge to bohut Khushi hogi.

Sarikaji,
aaj kal zyaadaa mashruuf huu. vaqt nikaalke aaya karunga... :)

All times are GMT +5.5. The time now is 01:35 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.