Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Sher of the Day....... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76126)

Qasid 30th June 2016 09:18 AM

siine me.n ik khaTak sii hai aur bas
ham nahii.n jaante ki kyaa hai dil

Aish Dehlvi

Mujahid Ali 30th June 2016 10:34 AM

Chand tasveer-e-butaan chand haseeno ke khutoot
Baad marne ke merey ghar se ye saamaan nikla

Mirza ghalib

Madhu 14 30th June 2016 02:42 PM

Quote:

Originally Posted by fakhri (Post 493524)
Ek insaan kitna badal jata hai:

jub tuk maa ki gaud me tha, mujhe dunya ki pervah na thi
ab dunya ki gaud mei.N hu.N aur maa ki mujhe pervah nahi.N

Fakhri

Waaah!! Bahut khoob kaha fakhri sahab....

Khushi huyi aapko yahaan dekhkar...

Aate rahiyega .

Madhu 14 30th June 2016 02:43 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 493530)
siine me.n ik khaTak sii hai aur bas
ham nahii.n jaante ki kyaa hai dil

Aish Dehlvi

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 493532)
Chand tasveer-e-butaan chand haseeno ke khutoot
Baad marne ke merey ghar se ye saamaan nikla

Mirza ghalib

Waaah!! Behad umda sher share kiye hain aap dono ne......

sabaa kiyani 30th June 2016 02:47 PM


kee mohammad saww se waaa to ham terey hain
yeh jahan cheeze hey kia louh o qalm terey hain

Allama iqbal RA

Mujahid Ali 1st July 2016 11:47 AM

Mita dey apni hasti ko agar kuch martaba chahey
Ke daana khaak mai mil kar gul-e-gulzaar hota hai

Allama iqbal

sameer'shaad' 2nd July 2016 02:25 AM

haae us mard kii qismat jo huaa dil ka shareeq,
haae us dil kaa muqaddar jo banaa dil meraa..

kuchh khaTaktaa to hai pahloo me mire rah rah kar,
ab Khudaa jaane teree yaad hai yaa dil meraa....!!!

-Jigar

Mujahid Ali 2nd July 2016 11:03 AM

Rahiye chal ke ab aisi jagah jahaaN koi na ho
Hum-sukhan koi na ho hum-zubaaN koi na ho

Mirza Ghalib

Madhu 14 3rd July 2016 09:23 AM

waah ahbaab..umda sharing.....

bahut khoob...aate rahein...

madhu..

Mujahid Ali 3rd July 2016 10:22 AM

TaskeeN ko hum na roye jo zauq-e-nazar miley
Hooraan-e-khuld se teri surat magar miley

Hooraan-e-khuld= jannat ki hoorey

Mirza ghalib

Mujahid Ali 4th July 2016 10:10 AM

Tujh se toh kuch kalaam nahi lekin aye nadeem
Mera salaam kahiyo agar nama-bar miley

Mirza ghalib

Mujahid Ali 5th July 2016 10:58 AM

Dono jahaaN teri mohabbat mai haar ke
Koi jaa raha hai shab-e-gham guzaar ke

Faiz ahmed faiz

Madhu 14 5th July 2016 03:41 PM

waah mujahid sahab tamaam ashaar khoob rahe...yun hee umda khayalon se hame ru bru karate rahein..

aate rahein..

Mujahid Ali 6th July 2016 12:58 PM

Gulo mai rang bharey baad-e-nau-bahaar chaley
Chaley bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chaley

Faiz ahmed faiz

sameer'shaad' 6th July 2016 05:47 PM

Chand dekha hai to yaad ayi hai teri suurat,
Haath uthte hain magar harf-e-duaa yaad nahin.

not mine

Madhu 14 7th July 2016 11:00 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 493629)
Chand dekha hai to yaad ayi hai teri suurat,
Haath uthte hain magar harf-e-duaa yaad nahin.

not mine

waah behad khoobsoorat.................

Mujahid Ali 8th July 2016 10:35 AM

Jigar se phir vohi teer paar kar
Tamannao ko seeno mai be-daar kar

Be-daar= awake/paida/jagana

Allama iqbal

Mujahid Ali 9th July 2016 07:36 AM

Kar raha tha gham-e-jahaaN ka hisaab
Aaj tum yaad be-hisaab aaye

Faiz Ahmed Faiz

Madhu 14 9th July 2016 02:16 PM

Waah.............bahut khoob....

Qasid 10th July 2016 01:07 PM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 493652)
Kar raha tha gham-e-jahaaN ka hisaab
Aaj tum yaad be-hisaab aaye

Faiz Ahmed Faiz

Bahut khoob janaab.....................

Mujahid Ali 10th July 2016 01:46 PM

Umr-e-daraaz maang kar laaye thai chaar din
Dou aarzuu mai kat gaye dou intezaar mai

Bahadur shah zafar

Madhu 14 10th July 2016 02:12 PM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 493658)
Umr-e-daraaz maang kar laaye thai chaar din
Dou aarzuu mai kat gaye dou intezaar mai

Bahadur shah zafar

Umda sharing....................

Mujahid Ali 11th July 2016 11:19 AM

Jiss ko falak ne loot kar veeraaN kar diya
Hum rehne waale hai uss ujhre dayaar ke

Meer taqi meer

Mujahid Ali 11th July 2016 11:26 AM

Jiss ko falak ne loot kar veeraaN kar diya
Hum rehne waale hai uss ujhre dayaar ke

Meer taqi meer

sunita thakur 11th July 2016 11:47 AM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 493665)
Jiss ko falak ne loot kar veeraaN kar diya
Hum rehne waale hai uss ujhre dayaar ke

Meer taqi meer

wahhh....................bahut khoob :)

sunita thakur 11th July 2016 11:51 AM

kabhii ko_ii dekhe ko_ii pa.Dhe to sahii
dil aa_iinaa hai to cheharaa kitaab jaisaa hai

-Ahmad Faraz

Mujahid Ali 12th July 2016 07:21 AM

Tha saraapa rooh tu bazm- e -sukhan paikar tera
Zaib-e-mehfil bhi raha mehfil se pinhaaN bhi raha

Saraapa= from head to foot
Paikar= body form
Zaib-e-mehfil= decoration of assembly
PinhaaN= hidden

Allama Iqbal

sameer'shaad' 12th July 2016 07:50 AM

main us ke vaade kaa ab bhii yaqiin kartaa hoon
hazaar baar jise aazmaa liyaa maine

Makhmoor Saeedi

tabaah 12th July 2016 03:14 PM

Yeh vaar kar gaya hai pehlu se kaun mujh par........?
tha meiN he daeiN baeiN aur meiN he darmiyaN tha

Jaun elia

sunita thakur 12th July 2016 04:13 PM

Woh Roz Dekhta Hai Doobtay Hue Suraj Ko Faraz !!
Kaash Main Bhi Kisi Shaam Ka Manzar Hota
-Ahmad Faraz

fakhri 13th July 2016 01:44 AM

Mushkil jo.....
 
Mushkil jo aa padi hai tou himmat se kaam lei
Ghabrata kyo.N hai nada.N Allah ka naam lei
Dunya ke Rehgozer pe jo ThokaD lage mujhe
Ik ho aesa hamsafar jo mera haath thaam lei

Fakhri

sameer'shaad' 13th July 2016 08:50 AM

Quote:

Originally Posted by tabaah (Post 493683)
Yeh vaar kar gaya hai pehlu se kaun mujh par........?
tha meiN he daeiN baeiN aur meiN he darmiyaN tha

Jaun elia

waahh kyaa baat hai...... bahut hii khoob sher share kiyaa hai aapne..

sameer'shaad' 13th July 2016 08:51 AM

umr kaise kaTegii 'saif' yahaaN,
raat kaT'tii nazar nahii aatii

Saifuddin Saif

Mujahid Ali 13th July 2016 11:00 AM

Jo mai sar ba-sajda hua kabhi toh zameeN se aaney lagi sada
Tera dil toh hai sanam-aashna tujhe kya milega namaaz mai

Allama iqbal

sunita thakur 13th July 2016 12:09 PM

"tu jo bichda to maine jaana,
ki log mar ke bhi jiya karte haiN"
-nm

Madhu 14 13th July 2016 05:32 PM

kya baat hai tamaam ashaar dil me utar jane wale ahin...bahut khoo doston..

share karte raahein

aate rahein.....

Madhu 14 13th July 2016 05:40 PM

vo roshni ka khwaab tha magar vahi sarab tha
uruuj me chupi huyi thi ibtida zaval ki

iqbal ashar

sameer'shaad' 14th July 2016 08:15 AM

ek muddat se tirī yaad bhī aa.ī na hameñ
aur ham bhuul ga.e hoñ tujhe aisā bhī nahīñ

Firaq Gorakhpuri

Mujahid Ali 14th July 2016 09:29 AM

Sab kaha kuch laala- o -gul mai numayaaN hogayi
Khaak mai kya suratey hongey ke pinhaaN hogayi

Mirza ghalib

Mujahid Ali 16th July 2016 11:12 AM

Tu shaheeN hai parvaaz hai kaam tera
Terey saamney aasmaaN aur bhi hai

ShaheeN=falcon

Allama iqbal


All times are GMT +5.5. The time now is 05:09 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.