Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Ishq (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=2)
-   -   gajal (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=13061)

meena chheda 30th June 2003 11:37 AM

gajal
 
Subah ki pahli dhoop ho,
Ya shaam ki khushbu hawa maie lahrati ho
Raat ki khamoshi ho...
Ya chandni ka aalam ho.....
Jab kabhi bhi meri nazar
Aashmaan par thharti hai..
Lagta hai wahi gajal muskuraai hai
Chaman maie jab kaliya muskurati ho
Ya phool apni khushbu bikhaer rahe ho
Patzhad ka pilapan ho ya basant ki hariyali
Jab kabhi meri nazar
Chaman par thharti hai...
Lagta hai wahi gajal muskuraai hai
Jab kabhi bhi sawan ki rut maie
Zula julti hu.... aur tab..
Aankho ke saamne tera chera chha jata hai
Aur ban jaata hai hamara rishta bhi
Ek suhani gajal.

Afshan 2nd July 2003 03:31 PM

Shayad har pyaar bhara rishta ek kaamil ghazal hi hota hai.. kaii jazbaat, utaar, chaRaav hote hain.. lekin phir bhi ye ghazal adhoori nahi hoti, kyonki isme pyaar hota hai.. bohat hi pyaara kalaam hai meena.. behad pasand aaya..:)

meena chheda 2nd July 2003 03:37 PM

ji
 
afshan dost,
tahe dil se tumhari aabhari hu. pyaar ka roop hota hai ek gajal

musharrafhusain 4th July 2003 01:17 PM

meena ji
bohat khoobsurat nazm hai yeh.
khoobsoorat ehsasaat aur jazbe ki sachchaaee aur mehboobiat aur chahat ki khuahish.
is duniyan mein hassaas aur purkhuloos mohabbat bhara dil rakhne walon ki tarjumani ker di aap ne meena ji. aur yaqeen manen is kaa haq bhi ada ker diya.
magar dost yeh kam hi hota hai magar ham jaise loag isi ek umeed per wisle mehboob ki khuashism mein umr guzaar dete hain.
anyway again meena ji you won the show.
isi tarah likhti rahen ham sarahte rahen ge.
musharrafhusain

meena chheda 4th July 2003 04:55 PM

thanx
 
mushi dost,
aapki tahe dil se aabharai hu k aapne meri nazam ko wakt diya aur oose is tarah saraha bhi....
jab bhi dost koi reply dete hai to yunh lagta hai jaise kisi sukhae ho rahe paudhhae ko pani ya khaat milae...

punnu 5th July 2003 01:43 AM

very good meena bahut pyari gazal likhi hai apne
bye
punnu

meena chheda 5th July 2003 12:25 PM

thanx
 
punnuji,
tarif ke liyae shukriaa.

punnu 7th July 2003 06:36 AM

first it's ok par plzz ap mijhse badi hain to punnuji mat kahiye acha nahin lagta. kya main apko didi bula sakti hoon
bye
luv
punnu

tarun dewana 19th January 2008 01:27 PM

i am tarun from indore m.p

can u friend ship with me

Muhabatoon mein her ek lamha wisaal ho ga ye tay hua tha,
Bicher ke bhi ek doosre ka khayal ho ga ye tay hua tha,

Ye kya ke sansein ukher gayi hain, saffer kay aaghaz sey hi yaro,
Koi bhi thuk ker na raastey mein nidhaal ho ga ye tay hua tha,

Wohi hua na badaltay mausam mein tum ne hum ko bhula dia na
Koi bhi rot ho, na chahatoon ko zawal ho ga ye tay hua tha,

Juda huey hain tu kia hua ke yahi to dastoor-e-zindagi hai
Judaiyon mein na qorbatoon ka malal ho ga ye tay hua tha,

chalo ke ab sari kashtiyon ko jala dein gumnam sahailoon per,
ke ab yahan say na wapsi ka sawal ho ga ye tay hua tha

tarun dewana 19th January 2008 01:30 PM

aaj ki is duniya me dost kaha milte hai hume ek acha dost chaiye aap hai hai dosti ki raaj to reply sam....


Tum Ko Aana Ho Ga



Ab Aansuoon Ko Aankhon Main Sajaana Hoga
Chiraagh Bhuj Gai Khud Ko Jalaana Hoga

Na Samjhna K Tumse Bicharh K Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga

Phir Shaam Dhal Gai Tum Aaiee Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedoon Se Behlaana Hoga

Waada Khilaafi Kar K Muskurate Ho Aap
Dekhna Aik Din Sanam Aapko Pashtaana Hoga

Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaounga
Thaam K Haath Main Phool Tumko Aana Hoga

Abhi Se Na Kejiyai Takaaz-E-Masroofiat K Aap
Abhi Utthna Hai Janaza Kaandha To Daina Hoga

Muddaton Kiya Hai Tera Intizaar Aye Sanam
Umar Kat Chuki Ab To Jaana Hoga

tarun dewana 19th January 2008 01:31 PM

Zakham Khaana To Apni Aadat Hai



Zakham Khaana To Apni Aadat Hai
Muskurana To Apni Aadat Hai

Roshni Ho Ke Ghup Andeihra Ho
Dil Jalaana To Apni Aadat Hai

Aap Kab Tak Sanbhaliye Ga Humein
Larrkharrana To Apni Aadat Hai

Hein Sitamgar Khafa To Honey Do
Sar Utaana To Apni Aadat Hai

Raah Chalti Hui Museebat Ko
Ghar Bulaana To Apni Aadat Hai

Uss Ki Aankhon Say Kya Gila Raahi!!
Doob Jaana To Apni Aadat Hai !

sunita thakur 22nd April 2010 11:11 PM

Quote:

Originally Posted by meena chheda (Post 31939)
Subah ki pahli dhoop ho,
Ya shaam ki khushbu hawa maie lahrati ho
Raat ki khamoshi ho...
Ya chandni ka aalam ho.....
Jab kabhi bhi meri nazar
Aashmaan par thharti hai..
Lagta hai wahi gajal muskuraai hai
Chaman maie jab kaliya muskurati ho
Ya phool apni khushbu bikhaer rahe ho
Patzhad ka pilapan ho ya basant ki hariyali
Jab kabhi meri nazar
Chaman par thharti hai...
Lagta hai wahi gajal muskuraai hai
Jab kabhi bhi sawan ki rut maie
Zula julti hu.... aur tab..
Aankho ke saamne tera chera chha jata hai
Aur ban jaata hai hamara rishta bhi
Ek suhani gajal.



Namaskaar diii
aaj arse baad aapko pada hai, ahsaas bahut acche lage, aapne jis bholepan se pyar ka vistaar se varnan kiya hai, hume behad accha laga.....diii aapki kami mahsoos hoti hai bazm meiN, waqt nikaal kar aaya kijiye....plssssssssssssss

regards
aapki :)




All times are GMT +5.5. The time now is 01:59 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.