Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Mashahoor Shayar (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=13)
-   -   shayar of the month..........mirza ghalib (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=75247)

ufaq 15th December 2012 10:23 AM

shayar of the month..........mirza ghalib
 
1 Attachment(s)
dosto ham aaj se aik nayaa silsilaa shuru karne jaa rahe hai........har mahine ham kisi bhi aik ustaad shaayar ko chunege aur uske kalaamo ko yahaan post karenge
sabhi dosto se iltazaa hai ki wo hamaare saath is safar men shirqat kare taaki ye safar yaadgaar banaaya ja sake...................to dosto is baar shayar of the month hai ......the greatest urdu poet of all time mirza ghalib

biography of mirza ghalib

mirza ghalib ka poora naam mirza asadullah khan ghalib tha.inka janm 27 december 1797 ko agara men huya tha .inke pita mirza abdullah beg khan aur maa lazzat -ut- nisa begam thee.mirza ghalib jab 5 saal ke the to inke pita aik ladaai men maare gaye the.pita ki maut ke baad ghalib ki parwarish ki zimmedari inke chacha mirza nasrullah beg khan ne le li.isee waqt ghaib ka rujhaan shaayri ki taraf huya.kahaa jaata hai ghalib ki is waqt ki likhi shaayri ko padkar meer taqi meer ne kahaa tha ki agar is ladke ko koi qaabil ustaad mil gaya to aik din ye bahut badaa shayar banega nahi to anaap-shanaap bakne lagega...ghalib ki zindagi sukh se guzar rahi thee tabhi inke chachaa bhi chal base.chacha ki maut ke baad ye apni maa ke saath delhi chale aaye..13 saal ki umar men ghalib ki shaadi umrao begam se huyi jo loharu ke nawaab illahi baksh ki beti thee...dukho ne ghalib ka saath kabhi nahi chhoda..7 bachchhe huyi likin sabhi kam umr men hi allah ko pyaare ho gaye..apne saale ke bete aarif ko god liya , wo bhi chal basaa....mirza ghalib ko kisi cheez se parhez na thaa..na sharaab se , na zuya se , na sundar cheharo se. wo khule dil se kharch karte the jabki kamaai ka koi jariya bhi nahi tha........natija...ghar men gharibi ne pair pasaar liye ....ghar ki cheeze tak bikne ki naubat aa gayi..aise men ghalib ke aik dost kaale khan, jo ki mughal baadshaah zafar ke qareebi the, ne ghalib ki madad ki .kale khan ne ghalib ki sifaarish baadshaah se ki baadshaah ne ghalib ko mughaliya itihaas likhne ke likhne ke liye mukarar kar liya...lagaa ki ab bure din khatm ho gaye hai lekin ghalib ki qismat men aaram kahaan.ghalib sahib ki baadshaah zafar ke ustaad zauq se kabhi nahi banee...natijaa ye aaya ki ghalib sahab ki naukri chali gayi....idhar ghalib ko zuya khalne ke ilzaam men jail bhi jaana padaa....jail se chhootkar aaye tab tak zauq sahib ka intaqaal ho chuka tha...ghalib sahab ko zauq ki jagah zafar sahab ka ustaad banaaya gaya...zafar ne ghalib ko dabir ul mulk,najm ud daula,mirza nausha jaise naam bhi diye..........2-3 saal aaram se guzare ki 1857 ka gadar ho gaya......mughaliya saltanat khatam ho gayi aur zafar ko nirwaasit karke rangon bhej diya gayaa.....isee tarah zindagi bhar ghalib haalato se ladte rahe...haarte rahe ... phir bhi ladte rahe....aur isee tarah ladte-2 urdu ka ye azeem shaayar 15 fabuary 1869 ko hamaare beech se chalaa gaya.........wo to chale gaye lekin apne peechhe apna sukhan chhod gaye jo unhe hamesha-2 ke liye amar banaa gaya.

dosto ab ham agle aik mahine tak ghalib sahib ki ghazalaat yahaan post karenge....na sirf ghazale post ki jaayengi balqi unke ashaar par bhi baat ki jaayegi........ghalib sahab na sirf urdu ke sabse bade shaayar hai balqi sabse mushqil shaayar bhi hai........isliye jis kisi ko bhi koi sher samajhne men dikkat ho wo bejhijhak poochh sakta hai.........

ufaq 15th December 2012 10:34 AM

naqsh fariyaadi hai kiski

naqsh fariyaadii hai kis kii shoKhii-e-tahariir kaa
kaaGazii hai pairahan har paikar-e-tasviir kaa

kaave-kaave saKht_jaanii haaye tanhaaii na puuchh
subah karanaa shaam kaa laanaa hai juu-e-shiir kaa

jazbaa-e-be_iKhtiyaar-e-shauq dekhaa chaahiye
siinaa-e-shamshiir se baahar hai dam shamshiir kaa

aagahii daam-e-shuniidan jis qadar chaahe bichhaaye
muddaa anqaa hai apane aalam-e-taqariir kaa

bas ke huu.N 'Ghalib' asiirii me.n bhii aatish zar-e-pa
muu-e-aatish_diidaa hai halqaa merii za.njiir kaa

[naqsh=copy/print, fariyaad=complaint, tahariir=handwriting]
[kaaGazii=delicate, pairahan=dress, paikar=appearance]
[kaave-kaave=hard vork, saKht_jaanii=tough life, juu=canal/stream, shiir=milk]
[juu-e-shiir=to create a canal of milk, here means to perform an impossible task]
[iKhtiyaar=authority/pover, shamshiir=sword ]
[aagahii=knowledge/intution, daam=net/trap, shuniid=conversation]
[anqaa=rare, aalam=vorld/universe, taqriir=speech/discourse ]
[asiirii=imprisonme.nt/captivity, zar-e-pa=under the feet, muu=hair]
[aatish_diidaa=roasted on fire, halqaa=ring/circle ]

ufaq 15th December 2012 01:40 PM

dil mera soz-e-nihaa.n se

dil meraa soz-e-nihaa.N se bemuhaabaa jal gayaa
aatish-e-Khaamosh ke maanind goyaa jal gayaa

dil me.n zauq-e-vasl-o-yaad-e-yaar tak baaqii nahii.n
aag is ghar me.n lagii aisii ki jo thaa jal gayaa

mai.n adam se bhii pare huu.N varnaa Gaafil! baarahaa
merii aah-e-aatashii.n se baal-e-anqaa jal gayaa

arz kiije jauhar-e-andeshaa kii garmii kahaa.N
kuchh Khayaal aayaa thaa vahashat kaa ki seharaa jal gayaa

dil nahii.n, tujh ko dikhaataa varnaa daaGo.n kii bahaar
is charaaGaa.N kaa, karuu.N kyaa, kaarafarmaa jal gayaa

mai.n huu.N aur afsurdagii kii aarazuu "Ghalib"! ke dil
dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahl-e-duniyaa jal gayaa

[soz=pain; nihaa.N=hidden from view/inside; bemuhaabaa=without hesitation;]
[aatish=spark/fire; Khaamosh=silent (here it means a low flame); maanind=like/similar to]
[zauq-e-vasl=joy of meeting; yaad-e-yaar=memory of lover]
[adam=afterlife (here it means hell); Gaafil=careless;]
[baarahaa=everytime; aah=sigh/painful cry of the heart; aatashii.n=fire/sparks]
[baal-e-anqaa=the wings of the anqaa (the anqaa is a mythological bird)]
[arz=to say; jauhar=skill; andeshaa=hint/imply]
[vahashat=fear; seharaa=desert]
[charaaGaa.N=lights; kaarafarmaa=arranger]
[afsurdagii=disappointment; tarz-e-tapaak=manner of greeting;]
[ahl-e-duniyaa=people of the world]

Taish 15th December 2012 02:25 PM

uffaq sahab bade dinN baad lagta hai ghalib sahab ki kuch shayriyaan for se padhne ko mileNgi, bahut umda choice hai saahab.... keep going....!!

Taish 15th December 2012 02:30 PM

Sharing one of my favorites sahab....!!

Na tha kuch to KHuda tha, kuch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?

huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
na hota gar juda tan se to zaanooN par dhaRa hota

[ behis = shocked/stunned, zaanooN = knee ]

huee muddat ke 'GHalib' mar gaya par yaad aata hai
wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota to kya hota ?

[ muddat = duration/period ]

@ahna@ 15th December 2012 03:16 PM

thnx taish for the Pm or else i would have missed this thread... and thanx Uff ak saheb for sharing such beautiful poetries of Galib saheb..

nuktaacheeN hai GHam-e-dil usko sunaaye na bane
kya bane baat jahaaN baat banaaye na bane
[ nuktaacheeN = critic/sweetheart ]

maiN bulaata to hooN usko magar 'ei jazba-e-dil
uspe ban jaaye kuchch 'eisee ki bin aaye na bane

khel samjha hai kaheeN choD na de, bhool na jaay
kaash ! yooN bhee ho ki bin mere sataaye na bane

GHair firta hai liye yooN tere KHat ko ki agar
koee pooche ki yeh kya hai ? to chipaaye na bane

is nazaakat ka bura ho, woh bhale haiN to kya
haaNth aaye to unhaiN haaNth lagaaye na bane
[ nazaakat = elegance ]

keh sake kaun ki yeh jalwaa_garee kiskee hai
parda choDa hai woh usne ki uTHaaye na bane
[ jalwaa_garee = manifestation ]

maut kee raah na dekhooN ki bin aaye na rahe
tumko chaahooN ki na aao, to bulaaye na bane

bojh woh sar pe gira hai ki uTHaaye na uTHe
kaam woh aan paDa hai, ki banaaye na bane

ishq par zor naheeN, hai ye woh aatish 'GHalib'
ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane
[ aatish = fire ]

sameer'shaad' 15th December 2012 03:24 PM

waaahhh bhai uffaq.. kya Aagahaaz kiyaa hai aapne... shaayri ke maai baap ghalib ko hi pakad liye... bahot ummddah.. mere khayaal se inse aala aur koi shaayar hoga hi nahi , jisse ye silsilaa shuru kiyaa jaae... bahot accha lagaa ye thread dekh kar, aur ummeed karta hoon, Ghalib ke aala kalaamon se rubaroo hoen ke mauqe hame milte rahenge....

take care...

Shaad...

zainy 15th December 2012 03:41 PM

Bohat khoob Uff ak sahib..

HaiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche
kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur...

My favourite ghazal is

Aah ko chaye ik umar asar hone tak

Kaun jeeta hai teri zulf ke sar hone tak

Daam har mauj men hai, halqa-e-sadd kaam neheng

Dekhen, kya guzre hai qatre pe geher hone tak

Ashiqi sabar talab aur tamanna betaab

Dil ka kya rang karoon, khoon-e-jigar hone tak

Hum ne mana ke taghaful na karoge lekin

Khak hojayenge hum tujh ko khabar hone tak

Par too khoor se hai shabnam ko fana ki taleem

Men bhi hoon ek inayat ki nazar hone tak

Yak nazar besh nahi, fursat-e-hasti ghaafil

Garmi bazm hai ik raqs-e-sharrar hone tak

Ghum-e-hasti ka asad kise ko juz marg-e-ilaj

Shamma har rang men jalti hai seher hone tak

Ghalib sahib ko aur bhi khareeb se janna ya samajhna ho tou yeh movie bhi zarur dekhiye..

http://www.youtube.com/watch?v=JJ9xMZnE9l8

Ahmad Hyderabadi 15th December 2012 04:50 PM

Aadaab Ufaq bhaee! Hats off! on you choice! Thanx a million bhaee...InshaAllah aapkee is inaayat kee badaulat ham jaysay nauseekhiyaon ko buhat kuch seeknay ko milega! My heartfelt thanx to you for this activity! InshaAllah it will benefit one and all!

sunita thakur 15th December 2012 05:07 PM

hazaaro.n Khvaahishe.n aisii ki har Khvaaish pe dam nikale
 
Uff Ak jii, aapne bahut badiya shuruyaat ki hai "Mirza Ghalib" ji se

ham bhi apni pasand ki aik gazal yahan aap sabse share karna chahte hai, umeed hai aap sabko bhi yeh gazal pasand aayegi...!

hazaaro.n Khvaahishe.n aisii ki har Khvaaish pe dam nikale
bahut nikale mere armaa.N lekin phir bhii kam nikale

Dare kyuu.N meraa qaatil kyaa rahegaa usakii gardan par
vo Khuu.N jo chashm-e-tar se umr bhar yuu.N dam-ba-dam nikale

nikalanaa Khuld se aadam kaa sunate aaye hai.n lekin
bahut be-aabaruu hokar tere kuuche se ham nikale

bharam khul jaaye zaalim tere qaamat kii daraazii kaa
agar is turraa-e-purapech-o-Kham kaa pech-o-Kham nikale

magar likhavaaye koii usako Khat to hamase likhavaaye
huii subah aur ghar se kaan par rakkhar qalam nikale

huii is daur me.n ma.nsuub mujhase baadaa-ashaamii
phir aayaa vo zamaanaa jo jahaa.N se jaam-e-jam nikale

huii jinase tavaqqo Khastagii kii daad paane kii
vo hamase bhii ziyaadaa Khastaa-e-teG-e-sitam nikale

muhabbat me.n nahii.n hai farq jiine aur marane kaa
usii ko dekh kar jiite hai.n jis kaafir pe dam nikale

zara kar jor siine par ki tiir-e-pursitam nikale
jo vo nikle to dil nikale jo dil nikale to dam nikale

Khudaa ke vaaste pardaa na kaabe se uThaa zaalim
Kahii.n aisaa na ho yaa.N bhii vahii kaafir sanam nikale

Kahaa.N maiKhaane ka daravaazaa 'Ghalib' aur kahaa.N vaaiz
par itanaa jaanate hai.n kal vo jaataa thaa ke ham nikale

@ahna@ 15th December 2012 05:15 PM

Quote:

Originally Posted by zainy (Post 443016)
Bohat khoob Uff ak sahib..

HaiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche
kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur...

My favourite ghazal is

Aah ko chaye ik umar asar hone tak

Kaun jeeta hai teri zulf ke sar hone tak

Daam har mauj men hai, halqa-e-sadd kaam neheng

Dekhen, kya guzre hai qatre pe geher hone tak

Ashiqi sabar talab aur tamanna betaab

Dil ka kya rang karoon, khoon-e-jigar hone tak

Hum ne mana ke taghaful na karoge lekin

Khak hojayenge hum tujh ko khabar hone tak

Par too khoor se hai shabnam ko fana ki taleem

Men bhi hoon ek inayat ki nazar hone tak

Yak nazar besh nahi, fursat-e-hasti ghaafil

Garmi bazm hai ik raqs-e-sharrar hone tak

Ghum-e-hasti ka asad kise ko juz marg-e-ilaj

Shamma har rang men jalti hai seher hone tak

Ghalib sahib ko aur bhi khareeb se janna ya samajhna ho tou yeh movie bhi zarur dekhiye..

http://www.youtube.com/watch?v=JJ9xMZnE9l8

Zainy ji ossum gazal... thnx for sharing

@ahna@ 15th December 2012 05:17 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 443033)
Uff Ak jii, aapne bahut badiya shuruyaat ki hai "Mirza Ghalib" ji se

ham bhi apni pasand ki aik gazal yahan aap sabse share karna chahte hai, umeed hai aap sabko bhi yeh gazal pasand aayegi...!

hazaaro.n Khvaahishe.n aisii ki har Khvaaish pe dam nikale
bahut nikale mere armaa.N lekin phir bhii kam nikale

Dare kyuu.N meraa qaatil kyaa rahegaa usakii gardan par
vo Khuu.N jo chashm-e-tar se umr bhar yuu.N dam-ba-dam nikale

nikalanaa Khuld se aadam kaa sunate aaye hai.n lekin
bahut be-aabaruu hokar tere kuuche se ham nikale

bharam khul jaaye zaalim tere qaamat kii daraazii kaa
agar is turraa-e-purapech-o-Kham kaa pech-o-Kham nikale

magar likhavaaye koii usako Khat to hamase likhavaaye
huii subah aur ghar se kaan par rakkhar qalam nikale

huii is daur me.n ma.nsuub mujhase baadaa-ashaamii
phir aayaa vo zamaanaa jo jahaa.N se jaam-e-jam nikale

huii jinase tavaqqo Khastagii kii daad paane kii
vo hamase bhii ziyaadaa Khastaa-e-teG-e-sitam nikale

muhabbat me.n nahii.n hai farq jiine aur marane kaa
usii ko dekh kar jiite hai.n jis kaafir pe dam nikale

zara kar jor siine par ki tiir-e-pursitam nikale
jo vo nikle to dil nikale jo dil nikale to dam nikale

Khudaa ke vaaste pardaa na kaabe se uThaa zaalim
Kahii.n aisaa na ho yaa.N bhii vahii kaafir sanam nikale

Kahaa.N maiKhaane ka daravaazaa 'Ghalib' aur kahaa.N vaaiz
par itanaa jaanate hai.n kal vo jaataa thaa ke ham nikale

1 of my favs too... thanx sunita ji ... bahot waqt baad padhi hai ye

Taish 15th December 2012 06:13 PM

here is another one.....

ghar jab banaa liyaa hai tere dar par kahe baGair
jaanegaa ab bhii tuu na meraa ghar kahe baGair

kahate hai.n, jab rahii na mujhe taaqat-e-suKhan
jaanuu.N kisii ke dil ki mai.n kyuu.Nkar kahe baGair

[taaqat-e-suKhan=strength to speak]

kaam us se aa pa.Daa hai ki jisakaa jahaan me.n
leve naa koii naam sitamagar kahe baGair

jii me.n hii kuchh nahii.n hai hamaare vagarnaa ham
sar jaaye yaa rahe na rahe.n par kahe baGair

chho.Duu.Ngaa mai.n na us but-e-kaafir kaa puujanaa
chho.De na Khalq go mujhe kaafir kahe baGair

[but=idol, Khalq=world ]

maqsad hai naaz-o-Gamzaa vale guftaguu me.n kaam
chalataa nahii.n hai, dashnaa-o-Kha.njar kahe baGair

[Gamzaa=amorous glance; dashnaa=dagger ]

har chand ho mushaahidaa-e-haq kii guftaguu
banatii nahii.n hai baadaa-o-saaGar kahe baGair

[mushaahid-e-haq=inspection of truth;]

baharaa huu.N mai.n to chaahiye duunaa ho iltafaat
sunataa nahii.n huu.N baat muqarrar kahe baGair

[iltafaat=mercy; muqarrar=again]

"Ghalib" na kar huzuur me.n tuu baar-baar arz
zaahir hai teraa haal sab un par kahe baGair

Taish 15th December 2012 06:14 PM

Quote:

Originally Posted by @ahna@ (Post 443007)
thnx taish for the Pm or else i would have missed this thread... and thanx Uff ak saheb for sharing such beautiful poetries of Galib saheb..

Shukriya mohtarma, jaan kar khushi hui ki kisi ko to un PM's se faayedaa, pahuNchaa, umeed karta hun ki aapko ab aur bhi jyadaah mazaa aayegaa....

ufaq 15th December 2012 06:49 PM

taish ji, @ahana@ ji , shaad sahab , ahmad sahab , zainy jee aur sunita jee main aap sab ka tah dil se shukrguzaar hu ki aap logo ne apna qeemti waqt is thraed ko diya.........ummeed karta hu ki aap log yu hi saath banaaye rakhnge...................

ufaq 15th December 2012 06:52 PM

kahate ho dil na denge

kahate ho na de.nge ham dil agar pa.Daa paayaa
dil kahaa.N ki gum kiije hamane mudda_aa paayaa

ishq se tabii_at ne ziist kaa mazaa paayaa
dard kii davaa paa_ii dard-e-bedavaa paayaa

dostadaar-e-dushman hai etimaad-e-dil maaluum
aah be_asar dekhii naalaa naarasaa paayaa

saadagi-o-pur_kaarii beKhudii-o-hoshiyaarii
husn ko taGaaful me.n jura_at aazamaa paayaa

Gunchaa phir lagaa khilane aaj ham ne apanaa dil
Khuu.N kiyaa hu_aa dekhaa gum kiyaa hu_aa paayaa

haal-e-dil nahii.n maaluum lekin is qadar yaanii
ham ne baarahaa Dhu.NDhaa tum ne baarahaa paayaa

shor-e-pand-e-naaseh ne zaKhm par namak chhi.Dakaa
aap se ko_ii puchhe tum ne kyaa mazaa paayaa

Rashmi sharma 15th December 2012 10:01 PM

wah kya kehne uffak ji ,aapki shuruaat sach mein bahut zabardast hai sdc ka koi visitor aisa nahi hoga jo' mirza ghalib ' ka fan nahi hoga bahut khoob abhi tak ki jitni bhi gazals share ki gai hain is thread mein sabhi meri manpasand hain or inmein se ek ye bhi hai jo mujhe vehad pasand hai

Dil Hee To Hai Na Sang-o-khisht Dard Se Bhar Na Aaye Kyon ?
Royenge Ham Hazaar Baar, Koee Hamein Sataaye Kyon ?

Dair Naheen, Haram Naheen, Dar Naheen, Aastaan Naheen
Baithe Hain Rehguzar Pe Ham, Ghair Hamein Uthaaye Kyon ?

Haan Wo Naheen Khuda_parast, Jaao Wo Be_wafa Sahee
Jisko Ho Deen-o-dil 'azeez, Uskee Galee Mein Jaaye Kyon ?

'ghalib'-e-khasta Ke Baghair Kaun Se Kaam Band Hain ?
Roiye Zaar-zaar Kya, Keejiye Haay-haay Kyon ?

janumanu 15th December 2012 10:05 PM

Kya koe ghalib k kalaam pe bhi baat karega ya .... Ghazlen hi post karega:)

janumanu 15th December 2012 10:28 PM

Ufaq lets talk abt ..
Naqs fariyadi hai

Taish 15th December 2012 10:48 PM

sabse pehle to bhaiya iski beh'r bataao, kayi words ki takhti seekhne ko milegi isse...

ufaq 16th December 2012 07:32 AM

Quote:

Originally Posted by janumanu (Post 443099)
Kya koe ghalib k kalaam pe bhi baat karega ya .... Ghazlen hi post karega:)

banda haazir hai janaab..............main to chaahata hu ki ghalib sahab ke kalaam par baat ki jaaye...............lets start now

ufaq 16th December 2012 07:58 AM

Quote:

Originally Posted by janumanu (Post 443103)
Ufaq lets talk abt ..
Naqs fariyadi hai

bhai.................bahut -2 mushkil sher chuna hai aapne explaination ke liye......:mad:

chaliye koshish karte hai

bhai iraan desh men aik riwaaz huya karta tha ki fariyaadi insaaf ke liye baadshaah ke saamne kaagaz ke pairhan pahankar jaata tha......yahaan ghalib sahab ne kahaan hai ki wo kaun (almighty, god) hai jiski tahreer ( painting) ki shokhi ( yahaan shokhi se matlab instability se hai) ke naqsh ham log yaani bashar hai..........wo almighty jab chaahey sukh deta hai jab cjaahe dukh deta hai ........jis tarah baadshah ke saamne log kaagaz ke pairhan pahankar insaaf ke liye jaate hai waise hi ham bhi to uski banaayi huyi tasveer hi hai aur hamne bhi kaagaz ke pairhan pahan rakhe hai.....ab ham bhi uske paas fariyaad ke liye chalte hai ki wo kyun hamaare saath is tarah ka behave kyun karta hai

hope this will help.............................:)

ufaq 16th December 2012 08:06 AM

Quote:

Originally Posted by Taish (Post 443116)
sabse pehle to bhaiya iski beh'r bataao, kayi words ki takhti seekhne ko milegi isse...

naqsh fariyaadi hai kiski.................is ghazal ki takhti hai.......

2122 2122 2122 212

ufaq 16th December 2012 09:39 AM

shaq har rang

takhti hai.......2122 / 1122 / 1122 / 22

shauq har rang raqiib-e-sar-o-saamaa.N nikalaa
qais tasaviir ke parde me.n bhii uriyaa.N nikalaa

zaKhm ne daad na dii ta.ngii-e-dil kii yaarab
tiir bhii siinaa-e-bismil se par_afshaa.N nikalaa

buu-e-gul naalaa-e-dil duud-e-charaaG-e-mahafil
jo terii bazm se nikalaa so parishaa.N nikalaa

dil-e-hasarat_zadaa thaa maaiidaa-e-lazzat-e-dard
kaam yaaro.n kaa baqadr-e-lab-o-da.ndaa.N nikalaa

thii nau_aamoz-e-fanaa himmat-e-dushvaar_pasa.nd
saKht mushkil hai ki ye kaam bhii aasaa.N nikalaa

dil me.n phir giriyaa ne ik shor uThaayaa 'Ghalib'
aah jo qataraa na nikalaa thaa so tuufaa.N nikalaa

raqiib=opponent, sar-o-saamaa.N=with belongings, qais='majanuu.N', uriyaa.N=nude
daad=justice, siinaa-e-bismil=wounded heart, par=wings, afshaa.N=rattle
buu=fragrance, gul=flower, naalaa=cry, duud=smoke, esp. from a lamp that's been extinguished ,maaiidaa=tablecloth (dastarkhaan); da.ndaa.N=teeth ,nau_aamoz=beginner, dushvaar=difficult , giriyaa=weeping

sameer'shaad' 16th December 2012 01:56 PM

Lijiye hazraat Ghalib ki ek behad haseen aur aasaan ghazal aap sab ki khidmat me pesh hai....

Kisi ko de ke dil koi nawaa-sanj-e-fughaaN kyuN ho?? ??
Na ho jab dil hi sine mein to phir muNh main zubaan kyun ho

Wafaa kaisi? kahan ka ishq? jab sar phoRna Thehra
To phir ae sangdil tera hi sang-e-aastaaN kyuN ho?

Yehi hai aazmaanaa to satana kis ko kehte haiN?
Adu ke ho lye jab tum to mera imtihaaN kyuN ho?

Ye keh sakte ho “Hum dil main nahin hain?” par ye batlao!
K jab dil mein tum hi tum ho to aankhon se nihaaN kyuN ho?

Qafas mein mujh se roodad-e-chaman kehte na dar humdum
Giri hai jis pe kal bijli woh mera aashiyaaN kyuN ho?

Nikala chahta hai kaam kya taa’noN se tu Ghalib?
Tere be-mehar kehne se wo tujh par mehrbaaN kyuN ho?

Shaad

ufaq 16th December 2012 09:14 PM

bas ki dushwaar hai

bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaa.N honaaa
aadamii ko bhii mayassar nahii.n insaa.N honaa

giriyaa chaahe hai Kharaabii mere kaashaane kii
dar-o-diivaar se Tapake hai bayaabaa.N honaa

waa-e-diiwaangii-e-shauq ke har dam mujh ko
aap jaanaa udhar aur aap hii hairaa.N honaa

jalvaa az_bas ke taqaaza-e-nigah karataa hai
jauhar-e-aaiina bhii chaahe hai mizaGaa.N honaa

ishrat-e-qatl_gah-e-ahal-e-tamannaa mat puuchh
iid-e-nazzaaraa hai shamashiir kaa uriyaa.N honaa

le gaye Khaak me.n ham daaG-e-tamannaa-e-nishaat
tuu ho aur aap ba_sad_rang-e-gulistaa. N honaa

ishrat-e-paaraa-e-dil, zaKhm-e-tamannaa_Khaanaa
lazzat-e-riish-e-jigar Garq-e-namakdaa.N honaa

kii mere qatl ke baad us ne jafaa se taubaa
haaye us zod_pashemaa.N kaa pashemaa.N honaa

haif us chaar girah kapa.De kii qismat 'Ghalib'
jis kii qismat me.n ho aashiq kaa garebaa.N honaa

dushwaar=difficult; mayassar=possible , giriyaa=wiiping; kaashaanaa=small house; bayaabaa.N=wilderness , giriyaa=wiiping; kaashaanaa=small house; bayaabaa.N=wilderness ,ishrat=joy/delight, shamashiir=sword, uriyaa.N=naked/bare
nishaat (or nashaat)=enthusiasm/happiness, sad_rang=hundred colours ishrat=joy/delight; paaraa=fragment/piecek lazzat=taste
riish=wound; Garq=drown/sink; namakdaa.N=container to keep salt ,zod=quickly; pashemaa.N=ashamed/embarrassed]haif=alas!; girah=one sixteenth of a yard; garebaa.N=collar

Taish 16th December 2012 10:46 PM

Quote:

Originally Posted by uff ak (Post 443208)
naqsh fariyaadi hai kiski.................is ghazal ki takhti hai.......

2122 2122 2122 212

bhai.................bahut -2 mushkil sher chuna hai aapne explaination ke liye......

chaliye koshish karte hai

bhai iraan desh men aik riwaaz huya karta tha ki fariyaadi insaaf ke liye baadshaah ke saamne kaagaz ke pairhan pahankar jaata tha......yahaan ghalib sahab ne kahaan hai ki wo kaun (almighty, god) hai jiski tahreer ( painting) ki shokhi ( yahaan shokhi se matlab instability se hai) ke naqsh ham log yaani bashar hai..........wo almighty jab chaahey sukh deta hai jab cjaahe dukh deta hai ........jis tarah baadshah ke saamne log kaagaz ke pairhan pahankar insaaf ke liye jaate hai waise hi ham bhi to uski banaayi huyi tasveer hi hai aur hamne bhi kaagaz ke pairhan pahan rakhe hai.....ab ham bhi uske paas fariyaad ke liye chalte hai ki wo kyun hamaare saath is tarah ka behave kyun karta hai

hope this will help.............................

ye bhi bahut ahcha tha, chaahunga ki aisi behas aur ho, isse logoN ko ghalib ki shayri ke soch ki baareeqiyaaN seekhne ko mileNgi.... keeo rocking mate... aur haan us behr ke liye shukriya, waise mere khayaal se ye aur bhi jyada behtar hoga agar har ghazal ko uski beh'r aur explanations ke saath post kiya jaaye, kasam se mazaa aa jaayega....

Dhaval 16th December 2012 10:55 PM

ghar jab banaa liyaa hai tere dar par kahe baGair
jaanegaa ab bhii tuu na meraa ghar kahe baGair

kahate hai.n, jab rahii na mujhe taaqat-e-suKhan
jaanuu.N kisii ke dil ki mai.n kyuu.Nkar kahe baGair
[taaqat-e-suKhan=strength to speak]

kaam us se aa pa.Daa hai ki jisakaa jahaan me.n
leve naa koii naam sitamagar kahe baGair

jii me.n hii kuchh nahii.n hai hamaare vagarnaa ham
sar jaaye yaa rahe na rahe.n par kahe baGair

chho.Duu.Ngaa mai.n na us but-e-kaafir kaa puujanaa
chho.De na Khalq go mujhe kaafir kahe baGair
[but=idol, Khalq=world ]

maqsad hai naaz-o-Gamzaa vale guftaguu me.n kaam
chalataa nahii.n hai, dashnaa-o-Kha.njar kahe baGair
[Gamzaa=amorous glance; dashnaa=dagger ]

har chand ho mushaahidaa-e-haq kii guftaguu
banatii nahii.n hai baadaa-o-saaGar kahe baGair
[mushaahid-e-haq=inspection of truth;]

baharaa huu.N mai.n to chaahiye duunaa ho iltafaat
sunataa nahii.n huu.N baat muqarrar kahe baGair
[iltafaat=mercy; muqarrar=again]

"Ghalib" na kar huzuur me.n tuu baar-baar arz
zaahir hai teraa haal sab un par kahe baGair

zainy 16th December 2012 11:05 PM

[QUOTE]waise mere khayaal se ye aur bhi jyada behtar hoga agar har ghazal ko uski beh'r aur explanations ke saath post kiya jaaye, kasam se mazaa aa jaayega....[QUOTE]

Arre!.....bache ki jaan logay kya....?...ek tou uff ak sahab,bina koi partner kaam kar rahe hai...usper ahmed sahab ne interview ka bhaar daal diya....ab aap ghalib sahab ki ghazalon ki explanation maang rahe ho.....rehm karo taish maharaaj...itna zulm na karo.....:)...:p

ufaq 16th December 2012 11:14 PM

Quote:

Originally Posted by Taish (Post 443375)
bhai.................bahut -2 mushkil sher chuna hai aapne explaination ke liye......

chaliye koshish karte hai

bhai iraan desh men aik riwaaz huya karta tha ki fariyaadi insaaf ke liye baadshaah ke saamne kaagaz ke pairhan pahankar jaata tha......yahaan ghalib sahab ne kahaan hai ki wo kaun (almighty, god) hai jiski tahreer ( painting) ki shokhi ( yahaan shokhi se matlab instability se hai) ke naqsh ham log yaani bashar hai..........wo almighty jab chaahey sukh deta hai jab cjaahe dukh deta hai ........jis tarah baadshah ke saamne log kaagaz ke pairhan pahankar insaaf ke liye jaate hai waise hi ham bhi to uski banaayi huyi tasveer hi hai aur hamne bhi kaagaz ke pairhan pahan rakhe hai.....ab ham bhi uske paas fariyaad ke liye chalte hai ki wo kyun hamaare saath is tarah ka behave kyun karta hai

hope this will help.............................

ye bhi bahut ahcha tha, chaahunga ki aisi behas aur ho, isse logoN ko ghalib ki shayri ke soch ki baareeqiyaaN seekhne ko mileNgi.... keeo rocking mate... aur haan us behr ke liye shukriya, waise mere khayaal se ye aur bhi jyada behtar hoga agar har ghazal ko uski beh'r aur explanations ke saath post kiya jaaye, kasam se mazaa aa jaayega....

bhai achcha sujhaav hai ab har ghazal ke saath uski takhti bhi post ki jaayegi................sabhi ashaar ki explaination thoda impractical hai lekin main waada karta hu ki sabhi mushkil aur ghahare ashaar ki explaination jaroor ki jaayegi............iske alaawa aap chaahe kisi bhi sher ki explaination poohh sakte hai..................:):):) achchha lagaa dekhkar ki yahaan par koi hai jo ghalib sahab ki shaayri ko samajhna chaahataa hai............saath banaaye rakhiye..................:)

ufaq 16th December 2012 11:26 PM

[QUOTE=zainy;443386][QUOTE]waise mere khayaal se ye aur bhi jyada behtar hoga agar har ghazal ko uski beh'r aur explanations ke saath post kiya jaaye, kasam se mazaa aa jaayega....
Quote:

Arre!.....bache ki jaan logay kya....?...ek tou uff ak sahab,bina koi partner kaam kar rahe hai...usper ahmed sahab ne interview ka bhaar daal diya....ab aap ghalib sahab ki ghazalon ki explanation maang rahe ho.....rehm karo taish maharaaj...itna zulm na karo.....:)...:p
zainy jee kaam ka bojh to sach men thoda badh jaayega lekin mujhe khushi hai ki yahaan shaayri par baat ho rahi hai...........mujhe thoda aur jiyaada waqt to dena padega par koi baat nahi...... sdc members ghalib sahab ko pade , unhe samjhe........isse badkar mere liye kuch nahi hai...............:)

ufaq 17th December 2012 07:53 AM

dost gham khvarrii men meri

meter.............2122 2122 2122 212

dost Gam_Khvaarii (1) me.n merii sa_ii (2)farmaaye.nge kyaa
zaKhm ke bharane talak naaKhun na ba.Dh jaaye.nge kyaa

beniyaazii(3) had se guzarii bandaa paravar kab talak
ham kahe.nge haal-e-dil aur aap farmaaye.nge kyaa

hazarat-e-naaseh (4)gar aaye.n diidaa-o-dil farsh-e-raah
ko_ii mujh ko ye to samajhaa do ki samajhaaye.nge kyaa

aaj vaa.N teG-o-kafan baa.Ndhe hue jaataa huu.N mai.n
uzr meraa qatl karane me.n vo ab laaye.nge kyaa

gar kiyaa naaseh ne ham ko qaid achchhaa yo.n sahii
ye junuun-e-ishq ke andaaz chhuT jaaye.nge kyaa

Khaanaa zaad-e-zulf (5)hai.n zanjiir se bhaage.nge kyaa
hai.n giraftaar-e-vafaa zindaa.N (6)se ghabaraaye.nge kyaa

hai ab is maamuure(7) me.n qahat-e-Gam-e-ulfat (8)asad
ham ne ye maanaa ki dillii me.n rahe khaaye.nge kyaa

1....sympathy 2.....attempt 3......indifference 4.......advisor 5.......curl of hair 6.......jail 7......town 8............dearth of grief of love

dosto ghazal ka matle ki explaination kar rahaa hu

mujhme aik bahut buri aadat hai ki main apne zakhm apne naakhun se kuredta rahataa hu jis wajah se mere zakhm theek nahi ho paate...agar mere dost sympathy men mere naakhun kaat bhi de to bhi kuch haasil nahi hoga kyunki zakhm ke theek hone se pahle-2 tak mere naakhun phir se badh jaayenge aur main phir se apne zakhm kuredunga

Taish 17th December 2012 09:06 AM

Quote:

Originally Posted by uff ak (Post 443388)
bhai achcha sujhaav hai ab har ghazal ke saath uski takhti bhi post ki jaayegi................sabhi ashaar ki explaination thoda impractical hai lekin main waada karta hu ki sabhi mushkil aur ghahare ashaar ki explaination jaroor ki jaayegi............iske alaawa aap chaahe kisi bhi sher ki explaination poohh sakte hai..................:):):) achchha lagaa dekhkar ki yahaan par koi hai jo ghalib sahab ki shaayri ko samajhna chaahataa hai............saath banaaye rakhiye..................:)

wah jiyo uffaq saahab, aapki iski dariya dili ne hume aapka kaayal kar diya, aur kisi ka to nahin keh sakta but you will surely be having my presence here for the whole month...!!

janumanu 17th December 2012 11:01 AM

Quote:

Originally Posted by uff ak (Post 443408)
dost gham khvarrii men meri

meter.............2122 2122 2122 212

dost Gam_Khvaarii (1) me.n merii sa_ii (2)farmaaye.nge kyaa
zaKhm ke bharane talak naaKhun na ba.Dh jaaye.nge kyaa

beniyaazii(3) had se guzarii bandaa paravar kab talak
ham kahe.nge haal-e-dil aur aap farmaaye.nge kyaa

hazarat-e-naaseh (4)gar aaye.n diidaa-o-dil farsh-e-raah
ko_ii mujh ko ye to samajhaa do ki samajhaaye.nge kyaa

aaj vaa.N teG-o-kafan baa.Ndhe hue jaataa huu.N mai.n
uzr meraa qatl karane me.n vo ab laaye.nge kyaa

gar kiyaa naaseh ne ham ko qaid achchhaa yo.n sahii
ye junuun-e-ishq ke andaaz chhuT jaaye.nge kyaa

Khaanaa zaad-e-zulf (5)hai.n zanjiir se bhaage.nge kyaa
hai.n giraftaar-e-vafaa zindaa.N (6)se ghabaraaye.nge kyaa

hai ab is maamuure(7) me.n qahat-e-Gam-e-ulfat (8)asad
ham ne ye maanaa ki dillii me.n rahe khaaye.nge kyaa

1....sympathy 2.....attempt 3......indifference 4.......advisor 5.......curl of hair 6.......jail 7......town 8............dearth of grief of love

dosto ghazal ka matle ki explaination kar rahaa hu

mujhme aik bahut buri aadat hai ki main apne zakhm apne naakhun se kuredta rahataa hu jis wajah se mere zakhm theek nahi ho paate...agar mere dost sympathy men mere naakhun kaat bhi de to bhi kuch haasil nahi hoga kyunki zakhm ke theek hone se pahle-2 tak mere naakhun phir se badh jaayenge aur main phir se apne zakhm kuredunga

bhayee ye sirf saani ke liye kaha hai..

khaas baat oolaa main hai........ khojbeen kareN ..

the word .. "saee" ye khaas hai .......

ufaq 17th December 2012 11:37 AM

Quote:

Originally Posted by janumanu (Post 443452)
bhayee ye sirf saani ke liye kaha hai..

khaas baat oolaa main hai........ khojbeen kareN ..

the word .. "saee" ye khaas hai .......

bhai ye lafz saee ke maayne hai ........koshish kanaa..............oola hai dost ghamkhwaari men meri saee farmaayenge kya aur is sher men jo bhi baat khulti hai wo saani men khulti hai........saani se oola ka matlab samajh men aata hai..................mere dost mere zakhmo pe taras khaaka kya koshish kar lenge.....jiyada se jiyada mere naakhoon kaat denge...........ghaurtalab hai oola men naakhoon kaatna kahi saaf taur par likha nahi gaya hai sirf saani ko padhne-samajhne ke baad zaahir hota hai ki dosto ki 'saee' yani koshish kya hai......ye poora sher hi saani men jaakar khultaa hai isliye aapko lag rahaa hai ki explaination kewal saani ki huyi hai lekin aisaa hai nahi...........ummeed hai aap mujhse agree honge.......agar main ghalat hu to bejhijhak tok de........................:)

janumanu 17th December 2012 12:00 PM

Quote:

Originally Posted by uff ak (Post 443456)

source ..?

plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz

janumanu 17th December 2012 12:04 PM

yaar time ni mil raha hai................ barna maza aa jata kasam se....................

ufaq 17th December 2012 12:06 PM

Quote:

Originally Posted by janumanu (Post 443464)
yaar time ni mil raha hai................ Barna maza aa jata kasam se....................

same here.............................................: )

ufaq 17th December 2012 12:20 PM

Quote:

Originally Posted by janumanu (Post 443462)
source ..?

plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz

desert of roses ..ghazal of mirza ghalib

..................................:)

janumanu 17th December 2012 12:33 PM

[QUOTE=uff ak;443470]desert of roses ..ghazal of mirza ghalib

..................................:)[/QUOTE

hmmm.... yaar saee... lafz huj ke douraan kuch hota hia usme us ekiya jata hai

ask someone

All times are GMT +5.5. The time now is 07:33 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.