Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Sher of the Day....... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76126)

Madhu 14 4th June 2015 03:37 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 478985)
Khoob sher share kiya madhu ji....

Apne dil ke kuch ehsaas aaj is tarah hai

Main bhi wahin hoon voh bhi wahiN haiN
paaon tale mitti badal si gayi haiN

..MaST

Waaah! Waaah! kya khoob ehsaas hain mast ji.....bahut shaandar.

Madhu 14 4th June 2015 03:38 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 478990)
Yun Labon Ko Phir Se Chu Lo, Ke ban Jaaye Raag Malhaar
Mehakne Lage Har Patta-2, Ban Jaaye Patjhad Bahaar
-Masti

Waaah di....kya khoob roomani sher share kiya hai aapne sarika ka likha hua..bahut khoob.

sunita thakur 5th June 2015 11:33 AM

"suna hai tumhari aik nazar se qtal hote hai log,
aik nazar hame bhi dekh lo, ki zindgi acchi nahi lagti"
-nm

sameer'shaad' 5th June 2015 12:56 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 479028)
"suna hai tumhari aik nazar se qtal hote hai log,
aik nazar hame bhi dekh lo, ki zindgi acchi nahi lagti"
-nm

waah waha waaahhhh kyaakhoob qatl kiyaa hai is sher ne mazaaaa aa gayaa...... waahh subhaan allah.......:)

Madhu 14 5th June 2015 01:03 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 479028)
"suna hai tumhari aik nazar se qtal hote hai log,
aik nazar hame bhi dekh lo, ki zindgi acchi nahi lagti"
-nm

Waaaaaaah..dii wakai qatl ho gaye ham bhi sher padh kar.....:)

tabaah 5th June 2015 01:12 PM

aapka behad sukriya Shaad bhai or Sunita ji..

tabaah 5th June 2015 01:13 PM

waaaahhh bahut khub ek se bhad kar ek sher kahe aap sabhi ne.. padh ke dil kush ho gaya bahut..

aaj ka sher..


आईने के सामने खड़े होकर खुद से माफ़ी मांग ली मैंने,
सबसे ज़्यादा खुद का ही दिल दुखाया है औरों को खुश करने में..
nm

sunita thakur 6th June 2015 10:10 AM

Aslam wo keh rha hai apne dard mujhko de
Dar bhi raha hu.n aur diye jar aha hun mein
-noor_noor(Aslam ji)

Madhu 14 6th June 2015 10:39 AM

Waaaaaahhh! Tabaah jii aur sunita dii bahut khoob sher share kiye aap dono ne....

Madhu 14 6th June 2015 11:30 AM

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi..
jaisi ab hai teri mahfil kabhi aisi to na thi..

(Bahadur shah zafar..)

Madhu 14 8th June 2015 12:41 PM

Tum aaye ho tumhe bhi aazma ke dekh leta hoon.
tumhare sath bhi kuch door jake dekh leta hoon.

NM

sameer'shaad' 9th June 2015 09:26 AM

muddat huii ke dil meraa dha.Dkaa bhii nahi hai,
shaayad ise bhii teriii zaruurat nahii rahee......!!

Shaad...

Qasid 9th June 2015 09:51 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 479231)
muddat huii ke dil meraa dha.Dkaa bhii nahi hai,
shaayad ise bhii teriii zaruurat nahii rahee......!!

Shaad...

Wah Wah Shaad bhai

Behad khoob sher hua hai janaab. kamaal bas kamaal

Madhu 14 9th June 2015 10:16 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 479231)
muddat huii ke dil meraa dha.Dkaa bhii nahi hai,
shaayad ise bhii teriii zaruurat nahii rahee......!!

Shaad...

Kya baat shaad ji....kya khoob sher kaha hai..waaahhhh...

sunita thakur 9th June 2015 11:11 AM

"tumne to rula kar hi rakh diya eh zindgi,
ja kar pooch meri Maa se kitne laadley thy ham"
-nm

tabaah 9th June 2015 08:49 PM

waah SuNita ji, Shaad bhai, or Madhu ji bahut ache sher pesh kiye apne..
har ek sher apne aap m kimti hai

aaj ka sher..

Talash sirf sukunn ki hoti hai,
naam rishtey ka chahe kuch bhi ho..

तलाश सिर्फ सुकून की होती हैं,
नाम रिश्ते का चाहें कुछ भी हो..
nm

bhushan 9th June 2015 10:12 PM

Dil waloN ki mehfil me hai kisko sukooN hasil,
K dil aur sukooN ki humne kabhi bante nahi dekhi

Bhushan joshi

Qasid 10th June 2015 07:52 AM

Quote:

Originally Posted by bhushan (Post 479267)
Dil waloN ki mehfil me hai kisko sukooN hasil,
K dil aur sukooN ki humne kabhi bante nahi dekhi

Bhushan joshi

Wah Bhushan bhai kya umdaa sher likh diya hai aapne,ispar to mashaallah poori nazm/ghazal honi chahiye

Qasid 10th June 2015 07:56 AM

Aaj ka sher
 
Doston,

Aaj ka sher.....

इन हौंसले को संभालो यह बिगड़ जाएंगे
यह इश्क़ है इससे हम बाज़ कहा आएंगे

Madhu 14 10th June 2015 08:20 AM

Waaaaaaaahhhhh....kya khoob sher kahe bhushan ji aur mast ji.....bahut khoob!!

sameer'shaad' 10th June 2015 09:40 AM

bahut bahut shukrguzaar hoon aap sabkaa jo aapne mere sher ko pasand kiyaa.......

aur aage badhte hi jaise nazar gayee Bhushan ji aur mast bhai ke sher pe to yaqaayaq hi waahhhh nikal gaya...... bahut khoob sher hue hain.. likhte arhiyee


Shaad....

sameer'shaad' 10th June 2015 09:43 AM

ek mausam zindagee kaa aapke sang kyaa huaa,
baaad uske saare mausam aapkii yaadon ke they...

Shaad....

bhushan 10th June 2015 09:54 AM

Mast bhai, Sameer bhai aur Madhu ji....aap sab ki housala afazai ka tahe sil se shukriya....

Mast ji bohot hi joshila sher likha aapne....aur Sameer bhai mausam jaroor badlega

akshat verma 10th June 2015 05:03 PM

Gum-e-ulfat mein zindagi bitaye tw kaise ,
Teri chahat mein zindagi bitaye tw kaise,
Tum khti ho k bhool jao mujhe,
Tum hi btao teri yaad ko seene se mitaye tw kaise....

Madhu 14 12th June 2015 12:18 PM

Ham bhi qayel haiN wafa-e-ustawari ke magar
Koi pooche kon kis ko um'r bhar acha laga

Ahmed 'faraz'

sameer'shaad' 12th June 2015 04:07 PM

Aaj kaa sher.....

gar tumko taras aa rahaa hai haal par mere,
shamsheer pe de marenge sar apnaa khud hi ham....




Shaad.....

Madhu 14 12th June 2015 04:25 PM

[QUOTE=sameer'shaad';479491]Aaj kaa sher.....

[B][I]gar tumko taras aa rahaa hai haal par mere,
shamsheer pe de marenge sar apnaa khud hi ham....


Waaaaaahhhh!
Shaad ji....sher me jo josh aur andaaz hain ki bas...bolta huye alfaz ho jaise bahut asardaar......bahut sari daad is behtareen sher par....

Likhte rahein...

bhushan 12th June 2015 05:04 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 479491)
Aaj kaa sher.....

gar tumko taras aa rahaa hai haal par mere,
shamsheer pe de marr apnaa khud hi ham....




Shaad.....

Waaaah...bohot khoob Shaad bhai....

sameer'shaad' 13th June 2015 10:35 AM

Madhu ji aur Bhushan saahab...... tahe dil se mashkoor hoon aapkaa jo aapko ye kalaam pasand aayaa......

Shaad.....

Madhu 14 15th June 2015 09:26 AM

Younhi mosam ki ada dekh ke yaad aya hai
Kis kadar jald badal jaate hein insaan janaan..

(Ahmed faraz)

Qasid 15th June 2015 09:29 AM

karuu.N na yaad magar kis tarah bhulaa_uu.N use
Gazal bahaanaa karuu.N aur gun_gunaa_uu.N use

Ahmed Faraz

Madhu 14 15th June 2015 09:31 AM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 479592)
karuu.N na yaad magar kis tarah bhulaa_uu.N use
Gazal bahaanaa karuu.N aur gun_gunaa_uu.N use

Ahmed Faraz

Faraz sahab ka ye sher mere dil ke bhi bahut kareeb hai....bahut shukriya fir se share karne ke liye.......:)

Hassan 15th June 2015 10:37 AM

ishQ ki misaal meiN bus itna hi kaheN ge!
be-misaal saza hai yeh be-gunahoN ke liye...


(not mine)

Madhu 14 15th June 2015 11:16 AM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 479597)
ishQ ki misaal meiN bus itna hi kaheN ge!
be-misaal saza hai yeh be-gunahoN ke liye...


(not mine)

Waaaaaah.....kya khoob sharing...
shukriya hassan ji...

sunita thakur 16th June 2015 04:48 PM

"mohabat ke baad mohabat mumkin hai "Faraz"
magar toot kar chahna sirf aik baar hota hai"

-Ahmad Faraz

zahinrizvi 16th June 2015 09:18 PM

paani ki rawani dekh kar mujhe wo yaad aa jata hai,
chehra hi mukar diya mera pani ki lahron ki tarah....

zahinrizvi 16th June 2015 09:20 PM

aap sab users mujhe bata sakte hain ke aap sab online kab milte hain....

tabaah 16th June 2015 10:22 PM


समझदार मैं एक हूँ बाक़ी सब नादान,
इसी भरम में आजकल घूम रहा इंसान..

nm

Madhu 14 16th June 2015 10:42 PM

Quote:

Originally Posted by zahinrizvi (Post 479738)
aap sab users mujhe bata sakte hain ke aap sab online kab milte hain....

Zahin ji...aap bataiye agar aapko kuch kahna hai..feedback forum me daal sakte hain ya kisi se khaas kuch kahna ho to use pm bhi kar sakte hain.....:)

sunita thakur 17th June 2015 09:46 AM

"khusboo ki tarah aaya wo tez hawaoN meiN,
maanga tha jise hamne din-raat duaoN meiN"
-Bashir Badr


All times are GMT +5.5. The time now is 09:10 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.