Kyun...
Ae Dil to sitamgar pe kare Aitbaar kyun
Ek baar to sahi hai magar Baar baar kyun... Jo teer-e-ishq de chuka hai zakhm Kai baar Phir se guzar gaya hai wahi aar paar kyun... Wo saamne khada hai liye sang haath Mein Tu le gulab Kar raha hai pyar pyar kyun... Wo bewafa hai bewafaai uska farz hai Us bewafaai ka hai tujhe intezar kyun... Dilbar agar aata to udni thi khusbuein Dekh koun aa raha hai ye, udta gubaar kyun... |
Quote:
Faqat ek hi lafz adaa ho sakaa hai Zabaan se.... subhaan Allah nayaab tohfe se kam nahi hai ye ghazal is bazm ke liye... bahot bahot mubaarakbaad aapko meri jaanib se... likhte rahiye Jo teer-e-ishq de chuka hai zakhm Kai baar Phir se guzar gaya hai wahi aar paar kyun... ye sher bahot asar rakhe hue hai...... purasar laajawaab shaandaar mukhlis Shaad.... |
Quote:
Waah waaaaaaah..... Bahot khoob |
Quote:
Kya baat hai...dheero daad Aapka apna Bhushan |
Quote:
Aapki ye nazam behad acchi hai. :) Likhte rahiye. |
All times are GMT +5.5. The time now is 12:54 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.