Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Sher of the Day....... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76126)

Hassan 15th August 2014 12:12 PM

na hoN gay haazir bazm meiN magar
meri awaaz meri sadaa goonjay gi..


-N@zneen

sameer'shaad' 16th August 2014 09:32 AM

jo chalaaa jaaega mahfil se tumhaarii uth ke,
karoge yaad kyaa usko bhii kabhii bhool ke tum......!!

Shaad...

aru 16th August 2014 09:51 AM

Doori kabhi na lagti hume doori sanam,
Gar ek awaaz pe tum meri daude chale aate...

sameer'shaad' 16th August 2014 10:05 AM

Quote:

Originally Posted by aru (Post 465495)
Doori kabhi na lagti hume doori sanam,
Gar ek awaaz pe tum meri daude chale aate...

waaahhhh aru bhai......... kya baat hai.... bahot khoob

aru 16th August 2014 10:13 AM

thanx shoiab bhai...................................

Madhu 14 16th August 2014 11:53 AM

Saleeka hi nahi shayad use mahsoos karne ka
Jo kahta hai khuda hai to nazar aana zaroori hai.

Nm

Hassan 16th August 2014 01:14 PM

utheN haath jab dua meiN 'hSn'
Khuda se tujhe bas maanga karieN

Mujeeb 16th August 2014 07:12 PM

kis qadar qeht e wafaa hay meree dunyaa meN nadeem
jo zaraa hans key mily us ko maseeHaa samjhooN

nm

sameer'shaad' 17th August 2014 08:20 PM

waaahh ek se ek sher kahe hain aap sab ne......

Madhu sahiba, mujeeb bhai aur hassan bhai....... kamaal ke sher pesh kiye hain aap sab ne... bahot khoob.....

Shaad.....

Madhu 14 17th August 2014 09:45 PM

Kitne dino ke pyase honge Yaron socho to,
Shabnam ka katra bhi jinko dariya lagta hai....

Nm

tabaah 17th August 2014 11:00 PM

maine har daur mein sirf insaan hi marte dekhe hai,

ihsq kambakhat tujhe mout kyo nahi aati..
nm

tabaah 17th August 2014 11:02 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 465577)
Kitne dino ke pyase honge Yaron socho to,
Shabnam ka katra bhi jinko dariya lagta hai....

Nm

pyaas kehti hai ab rait (sand) nichori jaaye,

apne hisse mein samundar nahi aane wala..
nm

tabaah 17th August 2014 11:05 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 460655)
Aaaj kaa sher....

Mujhe shauq tha ke miloon tujhe,
Mujhe khauf bhi tha kahoonga kya,

nm

mujhe shauq tha ke miloon tujhe,
mujhe khaif bhi tha kahoonga kya?

tere saamne se gujar gaya,
bada sehma sehma, dara dara..
nm

Hassan 17th August 2014 11:53 PM

admiyat ke aagay khud ko neelaam kar dalaa!
dheere dheere be-hijaab honay laga hooN!

sameer'shaad' 18th August 2014 10:22 AM

hamne samjhaa thaa jise zamaane se aalaa,
usi ke shahar ke log use chaalbaaz bolte hain....

ananthpak 18th August 2014 10:53 AM

Dil E naadaaN tujhe huaa kya hai
Aakhir iss dard kii davaa kya hai

Ghalib

tabaah 18th August 2014 09:01 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 465586)
admiyat ke aagay khud ko neelaam kar dalaa!
dheere dheere be-hijaab honay laga hooN!


wahh............. . . ......!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Hassan 18th August 2014 09:47 PM

Quote:

Originally Posted by tabaah (Post 465644)
wahh............. . . ......!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

shukriyaaH tabaaH saheb!

maiN mar bhi jaoN to koi ghum nahi 'Wasi'
maiN to badnam hooN tu mere liye ansu na baha

-Wasi Shah

Madhu 14 18th August 2014 11:28 PM

Dil ke lootne ka sabab poocho na sabke saamne..
Naam aayega tumhara ..yeh kahaani phir sahi.

Hassan 18th August 2014 11:59 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 465657)
Dil ke lootne ka sabab poocho na sabke saamne..
Naam aayega tumhara ..yeh kahaani phir sahi.

wahhh Madhu saheba.. bohat khoob...

dil lutt janay ki dastaaN kis ko sunayeN?
aap ke siwa kisi ko raazdaar kesay kareN?

Madhu 14 19th August 2014 10:08 PM

Yakeen nahi hai magar aaj bhi ye lagta hai..
Meri talash me shayad bahaar aaj bhi hai.

Nm

Madhu 14 20th August 2014 12:29 PM

Ajab mushkil hai vo na kahte to ye jaan nikal jati...
Ajab halaat hai ab jo haan ki hai to bhi mar jane ka dil hota.

Madhu

tabaah 20th August 2014 12:47 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 465657)
Dil ke lootne ka sabab poocho na sabke saamne..
Naam aayega tumhara ..yeh kahaani phir sahi.

Koi majburiyan hon gi jo wafa kar na paya,
mere mehboob ko na shamil karo be-wafao’n me..
nm

zainy 20th August 2014 01:00 PM

Quote:

Originally Posted by tabaah (Post 465780)
Koi majburiyan hon gi jo wafa kar na paya,
mere mehboob ko na shamil karo be-wafao’n me..
nm

Wah......................................

tabaah 20th August 2014 01:03 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 465647)
shukriyaaH tabaaH saheb!

maiN mar bhi jaoN to koi ghum nahi 'Wasi'
maiN to badnam hooN tu mere liye ansu na baha

-Wasi Shah

wah wah janaab kyaa baat hai..


Shayed yeh zamana unhe poojney lage,
Kuch log to is liye pathar hi ho gaye..
nm

Hassan 21st August 2014 01:25 AM

Quote:

Originally Posted by tabaah (Post 465788)
wah wah janaab kyaa baat hai..


Shayed yeh zamana unhe poojney lage,
Kuch log to is liye pathar hi ho gaye..
nm

wahhhh.. tabaaH saheb bohat khoob..

aap hi batayeN aap ka aitebaar kese kareN?
rutaiN badal kar hum, bahaar kese kareN?

Mujeeb 21st August 2014 01:44 AM

mere haathoN ki lakeeroN meN yeh aib chupaa hai moHsin
maiN jis shakhs ko choo looN woh meraa naheeN rehta

MN

MN = moHsin Naqvi

Praneeta 21st August 2014 02:40 AM

Zindagi Se Kuch Nahi Manga Ek Tere Siwa
Zindagi Ne Sab Kuch Diya Ek Tere Siwa

NM

Hassan 21st August 2014 02:50 AM

Quote:

Originally Posted by Praneeta (Post 465856)
Zindagi Se Kuch Nahi Manga Ek Tere Siwa
Zindagi Ne Sab Kuch Diya Ek Tere Siwa

NM

mayus mat ho Pari, aik din chamkay ga Qismat ka sitaara!
KhushiyoN se bhar jaye gi zindagi, Ananthpak hai tumahra.. :)

Praneeta 21st August 2014 03:43 AM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 465858)
mayus mat ho Pari, aik din chamkay ga Qismat ka sitaara!
KhushiyoN se bhar jaye gi zindagi, Ananthpak hai tumahra.. :)

meri rooh tak betaab hai teri chah meiN "ananthpak"!
ae farishta dil! maiN teri pujaran hui!... :)

Hassan 21st August 2014 03:53 AM

Quote:

Originally Posted by Praneeta (Post 465860)
meri rooh tak betaab hai teri chah meiN "ananthpak"!
ae farishta dil! maiN teri pujaran hui!... :)

cut paste acha kiya hai Pari :p

Very sweet couple. May Allah bless both of you! :)

With lots of love,

ananthpak 21st August 2014 04:31 AM

Quote:

Originally Posted by Praneeta (Post 465860)
meri rooh tak betaab hai teri chah meiN "ananthpak"!
ae farishta dil! maiN teri pujaran hui!... :)

ishq tum hi se hai ‘pari ‘,tum hi se mera jahan hai

tum hi se hai meri zindagi ,tum hi se meri pehchaan hai

Mujeeb 21st August 2014 06:53 AM

sookhy hoonTooN pe hootee haiN pyaar kee baatieeN
pyaas jab bujh jaaey to lehjy badal jaaty haiN

NM

Praneeta 21st August 2014 07:49 AM

dariyan wafaaon ka kabhi rukta nahi
pyar mein premi kabhi jhukta nahi

nm

zainy 21st August 2014 09:24 AM

Zakham Kya Kya Na Zindagi Se Milay
Khwaab Palkon Se Be-Rukhi Se Milay

--Fakhira Batool

ananthpak 21st August 2014 09:39 AM

Ishq wo pyaas hai jo kabhi bujhti nahi
Maukaparast hote hain wo jo badal jaate hain

Hassan 21st August 2014 11:45 AM

us ki ankhoN meiN nazar aata hai saara jahaN mujh ko
afsoos ke un ankhoN meiN kabhi khud ko nahi dekha.


-nm

Madhu 14 21st August 2014 12:03 PM

waaah
 
Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 465880)
us ki ankhoN meiN nazar aata hai saara jahaN mujh ko
afsoos ke un ankhoN meiN kabhi khud ko nahi dekha.


-nm

Waah....hassan ji...

Kiske daaman me chupa ke muh ro le ham
ki har daman bheega hai yanha pani se

Kisase kahein dard e dil apna
Har dil jakhmi hai apni hi kahani se..

tabaah 21st August 2014 01:46 PM

Quote:

Originally Posted by zainy (Post 465786)
Wah......................................

aapka behad sukriya zainy ji.................................

tabaah 21st August 2014 01:51 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 465880)
us ki ankhoN meiN nazar aata hai saara jahaN mujh ko
afsoos ke un ankhoN meiN kabhi khud ko nahi dekha.


-nm

bahut khuub Hasaan ji bahut khub.. wahhh.....


Jo kabhi be’panaah chahta tha,
Ab mujh se panaah chahta hai..
nm


All times are GMT +5.5. The time now is 06:13 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.