Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Ishq (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=2)
-   -   gul-e-nak.hat (fragrant flower) (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78091)

aadeil 28th October 2014 05:24 PM

gul-e-nak.hat (fragrant flower)
 
gul-e-nak.hat jahaaN gulaab rahaa
gesuuoN meN vo hii savaab rahaa

un kaa chehraa rahaa koii jaise
aks-dar-aks waa.n shabaab rahaa

chhuu gayii zulf aa.nkh ko kau.nde
saayaa jaise meraa hijaab rahaa

shab-e-hasrat* visaal-e-yaar kii thii
wo na aayii ki aaftaab rahaa

(*night of desire)

jo muhabbat nahiN rahii un ko
kya buraa hai agar azaab rahaa

hai KHalaa bhii nadiim-e-yak-do-jaam*
gar sharaabii binaa sharaab rahaa

(*companion of one or two pegs)

chashm-e-saaqii safiir kya piinaa
un ke chehre pe gar naqaab rahaa

--------------- X ---------------

गुल-ए-नक्हत जहां गुलाब रहा
गेसुओं में वो ही सवाब रहा

उन का चेहरा रहा कोई जैसे
अक्स-दर-अक्स वां शबाब रहा

छू गई ज़ुल्फ़ आँख को कौंदे
साया जैसे मेरा हिजाब रहा

शब-ए-हसरत विसाल-ए-यार की थी
वो न आयी की आफ़ताब रहा

जो मुहब्बत नहीं रही उन को
क्या बुरा है अगर अज़ाब रहा

है ख़ला भी नदीम-ए-यक-दो-जाम
गर शराबी बिना शराब रहा

चश्म-ए-साक़ी सफ़ीर क्या पीना
उन के चेहरे पे गर नक़ाब रहा

Madhu 14 28th October 2014 10:51 PM

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 470745)
gul-e-nak.hat jahaaN gulaab rahaa
gesuuoN meN vo hii savaab rahaa

un kaa chehraa rahaa koii jaise
aks-dar-aks waa.n shabaab rahaa

chhuu gayii zulf aa.nkh ko kau.nde
saayaa jaise meraa hijaab rahaa

shab-e-hasrat* visaal-e-yaar kii thii
wo na aayii ki aaftaab rahaa

(*night of desire)

jo muhabbat nahiN rahii un ko
kya buraa hai agar azaab rahaa

hai KHalaa bhii nadiim-e-yak-do-jaam*
gar sharaabii binaa sharaab rahaa

(*companion of one or two pegs)

chashm-e-saaqii safiir kya piinaa
un ke chehre pe gar naqaab rahaa

--------------- X ---------------

गुल-ए-नक्हत जहां गुलाब रहा
गेसुओं में वो ही सवाब रहा

उन का चेहरा रहा कोई जैसे
अक्स-दर-अक्स वां शबाब रहा

छू गई ज़ुल्फ़ आँख को कौंदे
साया जैसे मेरा हिजाब रहा

शब-ए-हसरत विसाल-ए-यार की थी
वो न आयी की आफ़ताब रहा

जो मुहब्बत नहीं रही उन को
क्या बुरा है अगर अज़ाब रहा

है ख़ला भी नदीम-ए-यक-दो-जाम
गर शराबी बिना शराब रहा

चश्म-ए-साक़ी सफ़ीर क्या पीना
उन के चेहरे पे गर नक़ाब रहा

........Waah....bahut khoob...adeil ji...

sunita thakur 28th October 2014 11:59 PM

aadeil Baha'i.....aapka jawaab Nahi, Kya khoob ghazal kahi hai aap ne, Zarra sahib ne Aik lafz diya aur aap ne ghazal bana di.... Maan gye Baha'i aapko :)

sameer'shaad' 29th October 2014 09:03 AM

waaahhh bahot khoob............... kya ghazal huii hai mazaa aa gaya

likhte rahiye

Shaad...

aadeil 29th October 2014 10:04 AM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 470747)
........Waah....bahut khoob...adeil ji...

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 470749)
aadeil Baha'i.....aapka jawaab Nahi, Kya khoob ghazal kahi hai aap ne, Zarra sahib ne Aik lafz diya aur aap ne ghazal bana di.... Maan gye Baha'i aapko :)

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 470760)
waaahhh bahot khoob............... kya ghazal huii hai mazaa aa gaya

likhte rahiye

Shaad...

Madhuji, Sunita dii, Shoaibbhai..
aap sabhi ka teh-e-dil shukr guzaar huuN....
duaaGo


All times are GMT +5.5. The time now is 12:44 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.