Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Hindi Kavitayen (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=37)
-   -   Paise walon ko ...salaam (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=79078)

Hamdam 17th June 2015 08:28 PM

Paise walon ko ...salaam
 
Paise wale ka her jagah bol bala,
aur khali jeb wale ka moonh kala.

Paisa hi hai ab sab ka allah tala ,
Bin paise koi bat na pooche sala.

Paisa sab ko pyara gora ho ya kala,
Khali jeb wale ko kisi ne na sambhala.

Paise ne sab ka jeewan badal dala,
bin paise na khule band dimag ka tala.

paise walon ke pass heere motioN ki mala,
bin paise walon ke ghar hoti ansuoN ki mala.

paise waleaj ke bas meiN bhagwan,
bin paise ke koi na karta hai samman.

paise wala chand taroN ka safar kare ,
bin psise wala do roti ke lige marta fire.

paise walon ke her waqt raushan chirag haiN,
bin paise wale ko diya bujhne ka intezar hai.

paisa wale ko rishte banane ki aadat,
bin paise wale ko rishte nibhane ki aafat.

paise wale ki hamesha jai jai kar hai,
bin paise ke tau jeena bhi dhikaar hai.

paise wale koi apni her shay pe gumman hai,
bin paise wala zindagi katne ko pareshan hai.

paise walon ki tau zindagi enaam hai,
bine paise walom ki zindagi haram hai.

Madhu 14 17th June 2015 10:25 PM

Quote:

Originally Posted by Hamdam (Post 479818)
Paise wale ka her jagah bol bala,
aur khali jeb wale ka moonh kala.

Paisa hi hai ab sab ka allah tala ,
Bin paise koi bat na pooche sala.

Paisa sab ko pyara gora ho ya kala,
Khali jeb wale ko kisi ne na sambhala.

Paise ne sab ka jeewan badal dala,
bin paise na khule band dimag ka tala.

paise walon ke pass heere motioN ki mala,
bin paise walon ke ghar hoti ansuoN ki mala.

paise waleaj ke bas meiN bhagwan,
bin paise ke koi na karta hai samman.

paise wala chand taroN ka safar kare ,
bin psise wala do roti ke lige marta fire.

paise walon ke her waqt raushan chirag haiN,
bin paise wale ko diya bujhne ka intezar hai.

paisa wale ko rishte banane ki aadat,
bin paise wale ko rishte nibhane ki aafat.

paise wale ki hamesha jai jai kar hai,
bin paise ke tau jeena bhi dhikaar hai.

paise wale koi apni her shay pe gumman hai,
bin paise wala zindagi katne ko pareshan hai.

paise walon ki tau zindagi enaam hai,
bine paise walom ki zindagi haram hai.


Bahut achchi kavita sanjay ji...

vo gana yaad aa gaya..

Na baap bada na bhaiya..
sabse bada rupaiya....:)


All times are GMT +5.5. The time now is 06:06 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.