Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Sher of the Day....... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76126)

Mujahid Ali 9th April 2016 11:31 AM

حیا اُس صورتِ زیبا کی تاثیر اب بن گیا
کہ وہ فردِ تخیّل لختِ تقدیر اب بن گیا

Haya uss surat- e -zaiba ki taaseer ab ban gaya
Ke voh fard-e-takhayyul lakht-e-taqdeer ab ban gaya

Surat-e-zaiba=beautiful face
Taaseer=impression
Fard-e-takhayyul= imaginary person
Lakht-e-taqdeer= part of the destiny

Mujahid

sabaa kiyani 9th April 2016 01:31 PM

mujahid saheb mushkil alfaz ko samjhney ki koshih kartey hain
buhet acha likhtey hain aa,p
Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 492245)
حیا اُس صورتِ زیبا کی تاثیر اب بن گیا
کہ وہ فردِ تخیّل لختِ تقدیر اب بن گیا

Haya uss surat- e -zaiba ki taaseer ab ban gaya
Ke voh fard-e-takhayyul lakht-e-taqdeer ab ban gaya

Surat-e-zaiba=beautiful face
Taaseer=impression
Fard-e-takhayyul= imaginary person
Lakht-e-taqdeer= part of the destiny

Mujahid


Mujahid Ali 9th April 2016 02:46 PM

Shukriya aapka saba sahiba

Itni pazeerayi karne ko

sabaa kiyani 9th April 2016 07:39 PM

wajha poochney ka to mouqa hi nahin milaa
woh lahja badaltey gaye aur ham ajnabi hotey gaye
nm

Madhu 14 10th April 2016 02:56 PM

LaRkiyoN ke dukh ajab hote haiN sukh us se ajeeb
Hans rahi haiN aur kaajal bheegta hai saath saath

.......parveen shakir

sabaa kiyani 10th April 2016 04:22 PM


abhi umeed baaqi hey k woh bichda hua ek shakhs
kisi bhi mod p aa ker mujhey heran kar dey gaa
nm

Azaz AHMAD 10th April 2016 07:58 PM

जिसे मांगता रहा उम्र भर तु दुआओं मैं "एझाझ"

उसने तेरे होने की कभी ख्वाहिश तक नही की ।


.. Azaz AHMAD..

Krishnasharma 10th April 2016 09:06 PM

Madeena me muddat rehne ke baad bhi kaafir ban baithe
Dekho, manzil milne ke baad bhi ham musaffir ban baithe

Qasid 11th April 2016 08:26 AM

Quote:

Originally Posted by Azaz AHMAD (Post 492284)
जिसे मांगता रहा उम्र भर तु दुआओं मैं "एझाझ"

उसने तेरे होने की कभी ख्वाहिश तक नही की ।


.. Azaz AHMAD..

Bahut umdaa sher sahab daad qubool farmaiyeGaa

Mujahid Ali 11th April 2016 08:58 AM

Zabt-e-fughaan bhi kab talak dil-e-muztar yu karega
Kab tak khuda bando ke gham ko dar-guzar yu karega

ضبطِ فغاں بھی کب تلک دلِ مضطر یوں کریں گا
کب تک خدا بندوں کے غم کو درگزر یوں کریں گا

Mujahid

Madhu 14 11th April 2016 09:53 AM

kis qadar hosh ruba hai nigah e mast teri
usko dekha na sambhalte jise dekha tune...

nm

sabaa kiyani 11th April 2016 02:45 PM

buhet acha likha,a hey aa,p sab ney

Bepanah mohabbat ka ek hi usool hai,
Mile ya na mile, tu har haal main qabool hai.
nm

Madhu 14 11th April 2016 03:53 PM

Quote:

Originally Posted by sabaa kiyani (Post 492303)
buhet acha likha,a hey aa,p sab ney

Bepanah mohabbat ka ek hi usool hai,
Mile ya na mile, tu har haal main qabool hai.
nm

Waaaaaaaahhhh......bahut khoob ...

Azaz AHMAD 11th April 2016 11:25 PM


Ijazat maag rahi hai mujhse do pal thahar ne ki..

Bhot thak si gayi hai barso chalti saansein meri..


..Azaz AHMAD..

Qasid 12th April 2016 07:40 AM

Quote:

Originally Posted by Azaz AHMAD (Post 492317)

Ijazat maag rahi hai mujhse do pal thahar ne ki..

Bhot thak si gayi hai barso chalti saansein meri..


..Azaz AHMAD..

Khoob khayaal Azaz bhai, yunhi aate rahiye

Qasid 12th April 2016 08:13 AM

Aaj ka sher....

ham ne kaa.nTo.n ko bhii narmii se chhu.aa hai aksar
log bedard hai.n phuulo.n ko masal dete hai.n

Bismil Saeedi

Madhu 14 12th April 2016 09:39 AM

Quote:

Originally Posted by Azaz AHMAD (Post 492317)

Ijazat maag rahi hai mujhse do pal thahar ne ki..

Bhot thak si gayi hai barso chalti saansein meri..


..Azaz AHMAD..

Khoob sher kaha azaz ji..............

Madhu 14 12th April 2016 09:39 AM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 492328)
Aaj ka sher....

ham ne kaa.nTo.n ko bhii narmii se chhu.aa hai aksar
log bedard hai.n phuulo.n ko masal dete hai.n

Bismil Saeedi

Waaahhhhh.......umda sharing...............

Qasid 12th April 2016 10:05 AM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 492335)
Waaahhhhh.......umda sharing...............

Shukriyaa aapki daad ka, behad aacha laga

sabaa kiyani 12th April 2016 05:40 PM

Manzilon se gumrah bhi kar dete hain kuch log
Her kisi se rasta puchna achcha nahi hota.
nm

fakhri 12th April 2016 09:24 PM

Haatho.N ki lakeero.N ko badalni hogi
Mar mar ke you.N jeena hai to jeena kaisa

Fakhri

Mujahid Ali 13th April 2016 09:50 AM

نا لگا تُو میرے دامن میں تہمتِ بے وفائی؛
تُونے حاصل کی خُلد مجھ کو قبر بھی مل نہ پائ؛

Na laga tu merey daman mai tohmat-e-be-wafaayi
Tune haasil ki khuld mujh ko qabr bhi mil na paayi

Mujahid

Madhu 14 13th April 2016 03:00 PM

Waah khoob khayaal pesh kiye...fakhri ji..sabaji..aur mujahid ji...

Likhte rahein....

Mujahid Ali 14th April 2016 10:06 AM

Faqat kaatey hi moujood merey bagh-e-tasavoor mai
Gar phool hotey yahaa toh gulistaan kuch aur hota

Mujahid

sameer'shaad' 14th April 2016 04:59 PM

ek se badh kar ek sher pesh iye hain aap sab ne......................
aate rahiye

Shaad....

Azaz AHMAD 15th April 2016 12:11 AM

Bazm-e-Tanhai Me Bhi Mein Tanha Nahi Hota..

Aisi Koi Jagah Nahi Hai Jaha Khuda Nahi Hota..


.. Azaz AHMAD..

sameer'shaad' 15th April 2016 07:12 AM

Quote:

Originally Posted by Azaz AHMAD (Post 492389)
Bazm-e-Tanhai Me Bhi Mein Tanha Nahi Hota..

Aisi Koi Jagah Nahi Hai Jaha Khuda Nahi Hota..


.. Azaz AHMAD..

kya baat kahi janaab waaaahhhhhhh ......,............

sameer'shaad' 16th April 2016 09:13 AM


aaj dekhaa hai tujh ko der ke baad,
aaj kaa din guzar na jaae kabhii.....!!

-Nasir Kaazmi

sabaa kiyani 16th April 2016 03:25 PM

bhool jayega ek din mujhe toot ke chahne wala..
mijhe khabar na thi, unme ye hunar bhi hai
nm

Mujahid Ali 17th April 2016 09:33 AM

Marg-o-hayaat ka koi ikhtiyaar nahi hai insaan ko
Ye faisla zara karney dou khaliq- e-dou-jahaan ko

Marg-o-hayaat= life & death
Ikhtiyaar= control
Khaliq-e-dou-jahaan= creator of the world i.e god

Mujahid

sameer'shaad' 17th April 2016 09:51 AM

Quote:

Originally Posted by sabaa kiyani (Post 492406)
bhool jayega ek din mujhe toot ke chahne wala..
mijhe khabar na thi, unme ye hunar bhi hai
nm

waaaaahhhhhhhhhhh bahut khoob....................

sameer'shaad' 17th April 2016 09:52 AM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 492416)
Marg-o-hayaat ka koi ikhtiyaar nahi hai insaan ko
Ye faisla zara karney dou khaliq- e-dou-jahaan ko

Marg-o-hayaat= life & death
Ikhtiyaar= control
Khaliq-e-dou-jahaan= creator of the world i.e god

Mujahid

bahut khoob........................ waaaahhhhhhhhhh

Azaz AHMAD 17th April 2016 12:16 PM

Dastarkhan-e-Khuld Pe Sabse Behtreen Chize Padi Hogi..

Magar Wo Roti Nahi Hogi Jo Maa Ke Hatho Se Bani Hogi..!!


.. Azaz AHMAD

Qasid 18th April 2016 09:33 AM

Quote:

Originally Posted by Azaz AHMAD (Post 492431)
Dastarkhan-e-Khuld Pe Sabse Behtreen Chize Padi Hogi..

Magar Wo Roti Nahi Hogi Jo Maa Ke Hatho Se Bani Hogi..!!


.. Azaz AHMAD

Bahut Umdaa bahut gehraa janaab, musalsal aise sheron ki talab rehti hai behad shukriyaa ki aap mehfil mein is qadr shirkat karke is bazm ko roshan rakhte hai....

Mujahid Ali 18th April 2016 10:14 AM

Har shab terey tasavoor mai ek tasveer banata hu
Qismat mai jo nahi haatho mai voh lakeer banata hu

Mujahid

sameer'shaad' 18th April 2016 01:37 PM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 492444)
Har shab terey tasavoor mai ek tasveer banata hu
Qismat mai jo nahi haatho mai voh lakeer banata hu

Mujahid

waaaahhhhhhhhhhhhhhhhhhhh......................... ...................

Qasid 18th April 2016 10:32 PM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 492444)
Har shab terey tasavoor mai ek tasveer banata hu
Qismat mai jo nahi haatho mai voh lakeer banata hu

Mujahid

Bahut umdaa sher janaab daad qubool farmaiyegaa

tabaah 19th April 2016 07:58 AM

bade dino baad SDC ka rukh kiya.. ek se bhad kar ek sher dekhe inke liye sabhi ko shukriya or mubarakbad..
aaj ka sher..
tamaam jazbon se moatbar* hai,
udaas aankhon se muskuraanaa...

nm
(moatbar = respected)

sameer'shaad' 19th April 2016 09:04 AM

Quote:

Originally Posted by tabaah (Post 492451)
bade dino baad SDC ka rukh kiya.. ek se bhad kar ek sher dekhe inke liye sabhi ko shukriya or mubarakbad..
aaj ka sher..
tamaam jazbon se moatbar* hai,
udaas aankhon se muskuraanaa...

nm
(moatbar = respected)

bahot haseen sher kaha janaab........................................

Mujahid Ali 19th April 2016 12:23 PM

پا کے تری پناہ یہ دل اب محفوظ بھی ہوگیا؛
تیری وفاؤں سے مرا دل مقروض بھی ہوگیا؛

Paa ke teri panaah ye dil ab mehfooz bhi hogaya
Teri wafaao se mera dil maqrooz bhi hogaya

Maqrooz= debted

Mujahid


All times are GMT +5.5. The time now is 08:57 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.