Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Sher of the Day....... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76126)

sameer'shaad' 30th September 2013 01:17 PM

Sher of the day....

Shaayad GUzar gayaa meri chaahat ka wo mausam,
Yaa phir ke mujhe teri Zarurat nahi rahii............ !!

Shaad...

sameer'shaad' 1st October 2013 05:18 PM

Aaj ka sher...

Humne haNs kar kahaa ke jaaN le lo,
Aapne intehaaN hi kar daali....!!

~Shaad~

Dhaval 1st October 2013 07:51 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 454628)
Aaj ka sher...

Humne haNs kar kahaa ke jaaN le lo,
Aapne intehaaN hi kar daali....!!

~Shaad~

waah bhai waah.............................

sameer'shaad' 2nd October 2013 09:14 AM

Quote:

Originally Posted by Dhaval (Post 454632)
waah bhai waah.............................

bahot bahot shukriyaa Dhaval bhai................................ :)

sameer'shaad' 2nd October 2013 09:16 AM

Aaj ka sher....

Muhabbat zindagee hotii hai kuch logoN ki aye yaaroN,
ki ye jaati hai to bas jaan se jaana hi hotaa hai....!!

~Shaad~

zarraa 2nd October 2013 01:10 PM

khooN hai dil khaak meiN ahwaal-e-butaaN par yaanee
un ke naakhooN huwe mohtaaj-e-hinaa mere baad

- GHALIB

Dhaval 2nd October 2013 08:17 PM

mere saath juganuu hai ham_safar magar is sharar kii bisaat kyaa
ye charaaG ko_ii charaaG hai na jalaa huaa na bujhaa huaa

[sharar = spark/ember; bisaat = capacity/worthiness]

by Bashir badr

sameer'shaad' 3rd October 2013 08:18 PM

Aaj ka sher..

Is qadar jalaaya tuune khoon-e-jigar ko,
ik Taj mahel dil ka mere kaala paD gayaa...

Shaad...

Dhaval 4th October 2013 11:52 AM

maanaa ki is zamii.N ko na gulazaar kar sake
kuchh Khaar kam kar gae guzare jidhar se ham

~ sahir ludhianvi

zarraa 4th October 2013 11:28 PM

tez rakhna sar-e-har khaar ko ai dasht-e-junooN
shaayad aa jaaye koyee aabla-paa mere baad

-MEER

zarraa 6th October 2013 03:50 PM

gham se marta hooN ke itna naheeN duniya meiN koyee
ke kare taaziyat-mehr-o-wafaa mere baad

- GHALIB

SULTAAN RAAJ 9th October 2013 02:23 PM

meraaaa aaj ka sher..
 
parinda hu ek rain ka., ek rain ka isk tha..
is bewaqt ke pyar ne kya-kya dalile di thi..


~@ :SULTAAN RAAJ

sameer'shaad' 9th October 2013 02:47 PM

tameel karta hoon khud toD bhi detaa hoon,
Zindagee taash ke pattoN ka ghar ho jaise.....!!


Shaad...

Mujeeb 9th October 2013 05:29 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 454628)
Aaj ka sher...

Humne haNs kar kahaa ke jaaN le lo,
Aapne intehaaN hi kar daali....!!

~Shaad~

apke is sher ne mujhy parveen saHiba k ek sher ki yaad dilaa dii a'rZ hai

mumkina'h faisloN meiN ek , Hijr ka faisla bhi tha
humne to ek baat ki , usne kamaal ker diyaa

parveen shakir

sameer'shaad' 9th October 2013 05:44 PM

Quote:

Originally Posted by Mujeeb (Post 454697)
apke is sher ne mujhy parveen saHiba k ek sher ki yaad dilaa dii a'rZ hai

mumkina'h faisloN meiN ek , Hijr ka faisla bhi tha
humne to ek baat ki , usne kamaal ker diyaa

parveen shakir

Behad inaayat hai huzoor..... Zarra nawaazi jo is adnaa se sher ko aap is aala tareen darje ke sher ke saamne rakh rahe hain..... mashkoor hoon main aapka...

Shaad...

ISHK EK IBADAT 12th October 2013 12:43 PM

उकेरती रही उंगलियाँ कागज़ पे उम्र भर
ना जाने कैसा है तू तस्वीर बनती ही नहीं
….इश्क


zarraa 12th October 2013 01:57 PM

hairat ghuroor-e-husn se shokhee se izteraab
dil ne bhi tere seekh liye haiN chalan tamaam

- hasrat mohani

Dhaval 13th October 2013 07:09 PM

jitane mausam hai.n sab jaise kahii.n mil jaaye.n
in dino.n kaise bataauu.N jo fazaa hai mujh me.n


Krishan Bihari Noor

sameer'shaad' 13th October 2013 08:06 PM

Mat maaang duaaye’n jab,
Mohabbat tera mera masla hai..!!

nm

aadeil 16th October 2013 05:28 PM

Atee hai "Safeer" teri ranj-deeda se nakahat-e-gul
khushk bhale hi gulshan par shaguftaa kabhi kabhi


--Aadeil "Safeer"

sameer'shaad' 17th October 2013 09:23 AM

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 454805)
Atee hai "Safeer" teri ranj-deeda se nakahat-e-gul
khushk bhale hi gulshan par shaguftaa kabhi kabhi


--Aadeil "Safeer"

khoob........... bahot khoob..........................

Shaad...

aadeil 17th October 2013 10:39 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 454808)
khoob........... bahot khoob..........................

Shaad...

Jannab, hum to aapke shAgi'rd hai, bas kaushish kar rahey hai daastaan-e-dil bayaan karne ki

aadeil 17th October 2013 11:04 AM

Zinda huu'n iss liye ki "Safeer" huu'n tera
Aisa nahii'n ki Ilaahii se arz-e-masarrat kii


Aadeil "Safeer" - Messenger

aadeil 17th October 2013 11:07 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 454761)
Mat maaang duaaye’n jab,
Mohabbat tera mera masla hai..!!

nm

Bahot khu'b janaab. Umdaa sheyr hai

ISHK EK IBADAT 17th October 2013 11:52 AM

आये थे तेरी चौखट पर सजदा करने
पर हम तो अपना वजूद ही खो चले
.……इश्क

SULTAAN RAAJ 18th October 2013 07:21 AM

Meraaaaa aj ka sher..
 
socha tha "SULTAAN" tu poonam ka raat h..
phir kyu bhingo diya ankho ko marHm ke naam par..



~@ :SULTAAN RAAJ

aadeil 18th October 2013 09:46 AM

Today's sheyr
 
Sharmaa Ke MuNh Na Pher Nazar Ke Savaal Par
Laatii Hai Aise MoD Par Qismat Kabhii-Kabhii


-- SAHIr LUdhiAnvI (from movie "Aankhen [1968])

aadeil 18th October 2013 01:32 PM

Kal ke liye advance me sher
 
hasarat karnewalo’n ka “Safeer” banA baiTHA hoo’n
magar kori lughat aur hikAyat me kucH bhi nahi’n


~Aadeil -- Safeer (Messenger)

lughat = vocabulary
Meaning: Log mujhse hasarat (desire) rakhte hain ki main kuch kahoo'n, magar meri vocabulary (lughat) korI (khalI) ho gayee hai aur mere paas kehne ko koee bhi daastaa'n (hikAyat) ab nahi'n rahi

aadeil 18th October 2013 03:14 PM

Sunday ke liye advance me -
 
From one of my favourite ghazals....

Maana ke doston ko nahin dosti ka paas (respect/regard)
Lekin yeh kya ke gair ka ehsaan lijiye

-- Shahriyaar (from the film Umraao Jaan [1968] & beautifully sung by Asha Bhosle)

sameer'shaad' 18th October 2013 03:16 PM

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 454845)
hasarat karnewalo’n ka “Safeer” banA baiTHA hoo’n
magar kori lughat aur hikAyat me kucH bhi nahi’n


~Aadeil -- Safeer (Messenger)

lughat = vocabulary
Meaning: Log mujhse hasarat (desire) rakhte hain ki main kuch kahoo'n, magar meri vocabulary (lughat) korI (khalI) ho gayee hai aur mere paas kehne ko koee bhi daastaa'n (hikAyat) ab nahi'n rahi

waaahhhh kyaa baat hai.............. bahot khoob

Shaad

zarraa 18th October 2013 08:56 PM

rawaaN aisa ke afsurdaa rahe zindaan-e-tan meiN ye
lahoo ko mere nazzaaraa-e-khanjar achchha lagta hai

-zarraa

aadeil 19th October 2013 08:16 AM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 454859)
rawaaN aisa ke afsurdaa rahe zindaan-e-tan meiN ye
lahoo ko mere nazzaaraa-e-khanjar achchha lagta hai

-zarraa

Waah waah. Bahut hi Laajawaab qalaam hai.

Chaliye iisee ko zehn me rakhke ek sher pesh kartaa hoo

Asiiro'n se keh do ki kaif-e-nijaat be-taasir hai
Unki quaid-e-nazar ke hum to puraane qaayal hai

zarraa 19th October 2013 01:59 PM

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 454864)
Waah waah. Bahut hi Laajawaab qalaam hai.

Chaliye iisee ko zehn me rakhke ek sher pesh kartaa hoo

Asiiro'n se keh do ki kaif-e-nijaat be-taasir hai
Unki quaid-e-nazar ke hum to puraane qaayal hai


shukriya aadeil ji ... aur waah kya khoob sher pesh kiya aapne...

chaliye to phir ek aur sahi .... janaab Ghalib sahib ka ye sher ....


khaanaa-zaad-e-zulf haiN zanjeer se bhaageNge kyooN
haiN giriftaar-e-wafaa zindaaN se ghabraaweNge kya

- GHALIB

SULTAAN RAAJ 21st October 2013 12:46 PM

meraaaaa aj ka sher......
 
bachapan ki khawahi.S thi is bachpana ko mar du..
akhir hame itni hosiyari kyu di mere maula..



~@ :SULTAAN RAAJ

aadeil 21st October 2013 01:03 PM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 454873)
shukriya aadeil ji ... aur waah kya khoob sher pesh kiya aapne...

chaliye to phir ek aur sahi .... janaab Ghalib sahib ka ye sher ....


khaanaa-zaad-e-zulf haiN zanjeer se bhaageNge kyooN
haiN giriftaar-e-wafaa zindaaN se ghabraaweNge kya

- GHALIB

bahot khub. To ussi silsilay ko jaari rakhte huve, Ghalib saab kaa hi aur ek sheyr :)

Qaid-e-hayaat-o-band-e-gham asl mein donon ek hain
Maut se pehle aadmi gham se nijaat paaye kyon
~ Ghalib

aadeil 22nd October 2013 09:04 AM

butey se butaa takraye to patte kyun giir padey
terii bewafaaii aur kyun mera dil jaley


~ "Safeer" Aadeil

sameer'shaad' 22nd October 2013 10:07 AM

waahh Aadeil saahab kyaa baat hai

Aaj ka sher..

kali roothi hai gulshan se , shiguufon me hai bechainee,
wo insaaN thaa , Maseehaa tha, ke jiske bin hai veeraanee..

Shaad...

ISHK EK IBADAT 22nd October 2013 12:09 PM

Pathra gayee aankhe soone raste ko takte takte
mere ishk ki intaha thi tune to aana hi na tha
...ishk

sameer'shaad' 22nd October 2013 02:59 PM

Quote:

Originally Posted by ISHK EK IBADAT (Post 454907)
Pathra gayee aankhe soone raste ko takte takte
mere ishk ki intaha thi tune to aana hi na tha
...ishk

bahot acchaa sher kahahai aapne rajinder ji... likhte rahiye

Shaad...

SULTAAN RAAJ 22nd October 2013 04:37 PM

Meraaa aj ka sher....
 
Tujhe dekh ke aaj bhi sab kuch bhul jata hu..

Ki kabhi khai thi kasme tujhe bhula dene ki..



~@ :SULTAAN RAAJ


All times are GMT +5.5. The time now is 05:03 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.