Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Mashahoor Shayar (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=13)
-   -   zamaana-e-nau...by Akbar Allahabadi (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=60728)

muKhlis 8th May 2008 05:04 AM

zamaana-e-nau...by Akbar Allahabadi
 
Hi friends,

aaj maiN janaab-e-Akbar "Allahabadi" kaa ek kalaam pesh kar raha huN aur ummeed hai ki aap unkii pesheen_goiiyoN se ittefaaq kareNge aur apna sar dhuneNge. Akbar Allahabadi go k ek mazaaHiya shaa'or haiN magar unkii sanjeeda GhazleN bhii usii paaye kii haiN. N-joy!



ZAMAANA-E-NAU
(nayaa zamaana]


yeh maujooda tareeqe reh-e-mulk-e-'adam hoNge
naii tai'hzeeb hogii, aur naye saamaaN ba_ham hoNge

reh-e-mulk-e-adam = passage to the other world
ba-ham = available


naye 'unwaan say zeenat dikhaayegii HasiiN apnii
na aisaa pech zulfoN meN, na gesoo meN yeh Kham hoNge

unwaan = topic
zeenat = adorations/decorations
HasiiN = beauties
pech = curls
Kham = curls [as well] ise aksar saath saath bhi shaa'ir use karte haiN, ya'ni pech-o-Kham
gesuu = hair


na KhaatoonoN meN rai'h jaayegii parde ki yeh paabandii
na ghooNghaT iss taraH say Haajib-e-roo-e-sanam hoNge


KhaatoonoN = ladies
Haajib-e-roo-r-sanam = maHboob le chehre ko DhaaNpne-waalaa


badal jaayegaa andaaz-e-tabaa'-e-daur-e-gardooN say
naii surat ki KhushiyaaN aur naye asbaab-e-Gham hoNge

andaaz-e-tabaa-e-daur-e-gardooN = aafatoN aur balaaoN ke aane ke andaaz
asbaab = dabab ka plural-reasons


na paidaa hoNgii Khat-e-nasKh say shaan-e-adab_aageeN
na nastaleeq Harf is taur say zeb-e-raqam hoNge

hat-e-nasKh = urdu font kii likhaavaT
shaan-e-adab-aagiiN = pride of colorful literature
nastaaleeq = an urdu font
zeb-e-raqam = adoration of inscriptions


Khabar detii hai tahreek-e-havaa tabdeel-e-mausam kii
khileNge aur hi gul, zamzame bulbul ke kam hoNge

tahreek-e-havaa = movement of wind
tabdeel-e-mausam = changing of weather
zamzame = lamentations


'aqaayid par qayamat aayegii tarmeem-e-millat say
naya Ka'aba banegaa, maGhribii putle sanam hoNge


'aqaaid = aqeeda ka plural = faith
tarmeem-e-millat = change in format of the brotherhood


bahut hoNge muGhannii naGhma taqleed-e-europe kay
magar be_joR hoNge, iss liye be_taal-o-sam hoNge


muGhanni = gavaiya/singer
taqleed-e-europe = follower of Europe
sam = sur taal


humaari istalaahoN say zabaaN naa_aashna hogii
loGhaat-e-maGhribii, bazaar ki bhaasha meN zam hoNge

istalaaH = phrase/idioms/kahaavateN
naa-aashna = unfamiliar
loGhaat-e-maGhribi = western dictionary
zam = immersed


badal jaayegaa me'yaar-e-sharaafat chashm-e-duniya meN
ziyaada thay jo apne zo'am meN, vo sab kam hoNge

me'yaar-e-sharaafat = sharafat ka standard
chashm-e-dunyaa = dunya kii nazar
zo'm = pride in power


guzishta 'azmatoN ke tazkire bhii rai'h na jaayeNge
kitaaboN hii meN dafn afsaana-e-jaah-o-hasham hoNge


guzishta = past/previous
'azmatoN = splendour
jaah-o-hasham = pomp and show


kisii ko is taGhaaiyur kii na Hiss hogii na Gham hoga
huye jis saaz se paida, usii ke zer-o-bam hoNge

taGhaiyur = shamefulness
Hiss = feelings
zer-o-bam = oopar neeche


tumheN is inqilaab-e-dai'hr kaa kia Gham hai? ai "Akbar!"
bahot nazdeek haiN vo din...na tum hoge, na hum hoNge!!!!!

inqilaab-e-dahr = world's revolutions

zishan107 8th May 2008 05:22 PM


badal jaayegaa andaaz-e-tabaa'-e-daur-e-gardooN say
naii surat ki KhushiyaaN aur naye asbaab-e-Gham hoNge


Janab ... kiya ghazal hai .


muKhlis 8th May 2008 07:19 PM

Quote:

Originally Posted by zishan107 (Post 286435)

badal jaayegaa andaaz-e-tabaa'-e-daur-e-gardooN say
naii surat ki KhushiyaaN aur naye asbaab-e-Gham hoNge


Janab ... kiya ghazal hai .


ji janaab...shukria. yeh sher mujhe bhi bahot pasand aayaa thaa jiskii nishaan-dehii apane farmaayii hai. shukria


All times are GMT +5.5. The time now is 12:56 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.