Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Hindi Kavitayen (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=37)
-   -   aao kuch naya kare......... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=48441)

ranju bhatia 20th April 2006 07:16 AM

aao kuch naya kare.........
 
Kabhi-kabhi lagta hai............
yun hi bewajah si beet rahi hai zindagi...........
jaise ek hi dhuri, ek hi samye ke pahiye par bina raftar si beh rahi hai zindagi.......

Har mahine ki pehli tarikh aate hi tum kehte ho.........
jo samaan lana hai usko list bana do.......
kaun si "daal" kitne "chawal" aur kitna "aata" lana hai yeh bata do.......
kis ki is mahine kya jarurt hai yeh bhi batla do.........

bas isi tarah mahine dar mahine beet rahi hai zindagi............
in sab se yeh gher toh bhara bhara lagta hai.......
par na jane kyu koi "man ka kona" reeta sa lagta hai.........

Aao,......is baar kuch nayi si list banaye........
is nayi list ke saaman se apni uljhati si zindagi ko kuch sulajaye.....

is nayi list ke saaman mein sabse pehle.......
ek tukda aasman ka lana......
jis mein ham fir se dur dur tak pyar ki ek nayi udaan bhar sake......

lana ek dhup ka tukda........
jiski garmi se ham dono apni thandi hoti "bhawanao" ko garma sake.......

ek tukda tazzi hawa ka bhi lana.........
jis se ham apni pradusheet hoti saanso ko fir se mehka sake.........

aur suno, ho sake toh thode se rang indra-dhanush ke le aana......
jis se ham apni badrang hoti zindagi ko naye rang de sake.......

Janti hun....."tum kahoge ki in sab cheego se ghar nahi chalta......."
Aasman ka tukda .........Tan nahi dhakata......
Dhup ki garmi se.........pat nahi bharta.......
Aur tazi hawa......woh kaha ab milti hai..........?
Indra-dhanush ke rang bhi ab dikhate hai kam.........

Par dekho koshish karke ek baar toh yeh sab jarur lana.....
Taki bewajah ubati . ek hi dhuri par ghumati is zindagi ko.......
fir se ek naya rang, ek madhur sangeet ki laye de sake.............

ninja shahu 20th April 2006 01:32 PM

bahot khub
 
hi ranju,
sahi likha he jindgi ki ek si raftar se insan ub jata he,agar kuchh nayapan usme lana he ,jindgi ko boj banake nahi dhana he to ,har vakt insan ko apni jindgi me naye rang bharne chahiye.
good

with love
Ninja

gumshuda_shayar 20th April 2006 07:45 PM

the poem is very very good its simply outstanding but i want to say one thing madam the poem does not belong to u bcoz i have already read on some other site quite long time and even in a book ..............keep sharing like this madam

ranju bhatia 20th April 2006 08:17 PM

hi Rohnit ji........aapne kaha ki aapne yeh poem padi hui hai ho sakta hai.....ki baar kinhi do likhane walo ke vicharo mein samata ho sakti hai....... uske bahavo mein samatna ho sakti hai.yadi aisa hua hai toh mein isko galat nahi kaha ja sakta.....yeh vichar mere hi hai.....meri poems kai dusri sites mein bhi aayi hain.....ho sakta hai ki aapne meri isi poem ko pada do.......yadi fir bhi aapko lagat hai toh mein bahut hi vinaramata se isko keep sharing likh deti hun................jis book main aapne isko pada hai ......plz usko mere saath share kare.........mujhe bahut parsanta hogi.......us ko pad kar..........

ranju

masoomshayer 20th April 2006 08:21 PM

bahut khoob
 
bahut sundar bahut khoob wah achha laga khas taour par ye

Janti hun....."tum kahoge ki in sab cheego se ghar nahi chalta......."
Aasman ka tukda .........Tan nahi dhakata......
Dhup ki garmi se.........pat nahi bharta.......
Aur tazi hawa......woh kaha ab milti hai..........?
Indra-dhanush ke rang bhi ab dikhate hai kam.....

kabhee kabhee kamal likhtee ho tum
Anil

Diggaj_Dave 20th April 2006 10:53 PM

Hello
 
Mr. Gumsuda kisi ko kuch kehne se pehle 10 bar soch liya karo..Ranju ji koi bachhi ya chhoti nahi tum log jaisi jo copy paste kare.Samanta hoti agar yakin na aaye to dard mein mera kalaam padh lena."kahi uske aalam-e-shabab na dekha" usme hi manoj bhai ne link diye hai unki post k unk aur mere kalaam mein bohat samanta hai.Iska matlab ye maini chori ki hai..Samanta ho sakti hai par chori nahi..Ok

masoomshayer 21st April 2006 06:50 AM

diggaj
 
diggaj gumshuda ne home work kiya hee nahee kuch socha hee nahee aur us shayara par ilzam lagane chale aye jo su ke janm se bhee pahale se likh rahee hain. baat samnata kee hai hee nahee kisee aur kavita se. gumshuda ne jahan bhee parhee hai ye kavita ranjana ke nam se hee parhee hai gumshuda ko andaza bhee nahee hoga aise ilzam se kitna dhakka lagata hai. kal raat ranjana se chaat ho rahee thee aur woh kah rahee thee ab woh kavita post nahee karegee kabhee. khud ko shayree ka badshah kahane wale ne shayree ka hee khoon kar diya maine report section main bhee dala is remark ke bare main maikash se bhee kaha ki uchit karyawahee kee jaye abhee tak kaheen se koyee jawab nahee aya waise main mera home work yahan de raha hoon gumshuda ke ref ke liye ek link isee kavita ka jis main ranjana g ka hee nam hai

http://www.shayeri.net/images/poet/ranju/5.html

anil

gumshuda_shayar 21st April 2006 10:16 AM

hey hey guys tell me 1 thing if i posted a poem on another site and read in on of friends diary who is well known poet called shahbad akhtar wat will u think and yes might have he had copied bcoz i saw on another site its ranju madam who have wrote it i'm guilty for it and i apologise but mistakes are done by human being not by animals friends i'm not against ranju madam and 1 more thing i know she is elder might be elder than my mom too but i have not anything bad to her , i told her madam and it was sincere reply i have not use any harsh words ...............

i'm sorry madam, diggajji and massomji..........plz forgive me as ur kid bro .....................

masoomshayer 21st April 2006 10:25 AM

tum ne kya galtee kee?
 
haan animal galtee nahee karte insan hee galtee karte hain. par koyee shak agar dimag main aya tha to madam se poochte pahale pm main duniya ke samne unhe chor nahee kahate madam kee ye poem ek site par nahe ekayee sites par hain aur har jagah jagah mota mota ranju likha huya hai. tumheree is insani galtee ak nateeza ye hai ki madam ab tayar nahee ho pa raheen is site pe dobara kavita dalane ke liye un se poochana un par tumahree is insani galtee se kya guzree ?

shayer ke liye galee hotee hai us kee shayree ko kisee aur kee batana. khair tum ne jo kaha soch samjh ke kaha hoga sab kcuh ek sath to anhee seekhoge waqt ke sath hee bare hoge par achha nahee kiya tum ne
Anil

vikram8373 21st April 2006 04:50 PM

very good ranju ji
old is gold

ranju bhatia 21st April 2006 06:29 PM

Dear Rohnit......mujhe tum se koyee shikayat nahee hai
aur bade waise bhee bachhon kee galtee unhe samjha ke maaf dete hain pahale sare kadam tumhe samjhane ke they
ye lafz mafee ke hain kabhee dobara aisa kuch dil main aaye to janch partal kar lena uske baad hi sakht baat kahana..........
main sab bhool gayee tum bhee bhool ke achee achee see shayree karo achee achee see shayree pado.........

bakee bhi sab logon se kahana hai har baat theek kinare tak pahuch gayee hai ab laharon ko ya toofan ko aur barhawa na den
ham yahan dushman hone nahee dost bananne aaye hain bache seekhte seekhte hi kai bate seekhte hain..............
and he is feeling sorry ......plz aap sab log sab kuch bhul jaye aur sab mil kar ek nayi shruaat karte hain....................

ranju

Vipinbox 22nd April 2006 10:08 PM

Re: aao kuch naya kare.........
 
Quote:

Originally posted by ranju bhatia
Kabhi-kabhi lagta hai............
yun hi bewajah si beet rahi hai zindagi...........
jaise ek hi dhuri, ek hi samye ke pahiye par bina raftar si beh rahi hai zindagi.......

Har mahine ki pehli tarikh aate hi tum kehte ho.........
jo samaan lana hai usko list bana do.......
kaun si "daal" kitne "chawal" aur kitna "aata" lana hai yeh bata do.......
kis ki is mahine kya jarurt hai yeh bhi batla do.........

bas isi tarah mahine dar mahine beet rahi hai zindagi............
in sab se yeh gher toh bhara bhara lagta hai.......
par na jane kyu koi "man ka kona" reeta sa lagta hai.........

Aao,......is baar kuch nayi si list banaye........
is nayi list ke saaman se apni uljhati si zindagi ko kuch sulajaye.....

is nayi list ke saaman mein sabse pehle.......
ek tukda aasman ka lana......
jis mein ham fir se dur dur tak pyar ki ek nayi udaan bhar sake......

lana ek dhup ka tukda........
jiski garmi se ham dono apni thandi hoti "bhawanao" ko garma sake.......

ek tukda tazzi hawa ka bhi lana.........
jis se ham apni pradusheet hoti saanso ko fir se mehka sake.........

aur suno, ho sake toh thode se rang indra-dhanush ke le aana......
jis se ham apni badrang hoti zindagi ko naye rang de sake.......

Janti hun....."tum kahoge ki in sab cheego se ghar nahi chalta......."
Aasman ka tukda .........Tan nahi dhakata......
Dhup ki garmi se.........pat nahi bharta.......
Aur tazi hawa......woh kaha ab milti hai..........?
Indra-dhanush ke rang bhi ab dikhate hai kam.........

Par dekho koshish karke ek baar toh yeh sab jarur lana.....
Taki bewajah ubati . ek hi dhuri par ghumati is zindagi ko.......
fir se ek naya rang, ek madhur sangeet ki laye de sake.............

Namaskaar Ranju Ji
Aapki is rachna ki tulnaa kisi se nahin ho sakti. Yeh swayam hee ek jeeti jaagti rachna hai. Bahaut kuch sametaa hai aapne in panktiyon mein. Sach kahun tow is rachna ke aage main natmastak hoon.

"ek tukda tazzi hawa ka bhi lana.........
jis se ham apni pradusheet hoti saanso ko fir se mehka sake........."

Isi tarah likhtey rahiyega.

vipin
aapka shubchintak

SANJAY SANJU 4th May 2006 10:56 PM

shaandaar
 
Har mahine ki pehli tarikh aate hi tum kehte ho.........
jo samaan lana hai usko list bana do.......
kaun si "daal" kitne "chawal" aur kitna "aata" lana hai yeh bata do.......
kis ki is mahine kya jarurt hai yeh bhi batla do........

roz-marra ki zindagi se eitne khoobsurat khayalo ko lena phir pirona....phir sahejna....phir bariki se pesh kar dena....ye hunar yakinan sanju ki ranju ke alaawa koi doosra nahi kar sakta....


.................................................. ......................................
.Janti hun....."tum kahoge ki in sab cheego se ghar nahi chalta......."
Aasman ka tukda .........Tan nahi dhakata......
Dhup ki garmi se.........pat nahi bharta.......
Aur tazi hawa......woh kaha ab milti hai..........?
Indra-dhanush ke rang bhi ab dikhate hai kam.........

Par dekho koshish karke ek baar toh yeh sab jarur lana.....
Taki bewajah ubati . ek hi dhuri par ghumati is zindagi ko.......
fir se ek naya rang, ek madhur sangeet ki laye de sake.............

mere paas ab shabd nahi hain,aur aapse kya kahu,kam-se-kam eis rachna ke bare me mail hi kar diya hota................................
u r so nice.......aapki ye rachna sanjay ke dil ko chu gayi....sachhi agar kisi ne mujhse ye sab maanga hota....to jee-jan laga deta oose ye sab dene ke liye..............

ranju bhatia 5th May 2006 03:49 PM

hi sanju beta itni tareef .......bhai dil khol kar tareef kar di aapne......dil se padte ho kavitaa accha lgata hai .......wasie jee jaan se koshish karni padagi kyuki asi list ab banti nahi .......aur bane toh yah sab ab kahan milta hai........hai na sach kaha na bache.....

take care

god bless u

with love

ranju


All times are GMT +5.5. The time now is 07:54 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.