Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Sher of the Day....... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76126)

rajveeer 12th October 2014 12:43 PM

Daur-e-aashqui kush yu.n guzar gyaa,
Ham jiske ho gye wo hamara na huaa...(Raj)

sunita thakur 13th October 2014 01:33 AM

"Khuda hamko aisi khudaii na de, ki apne siwa kuch dikhai na de,
hasso aaj etna ki es shor meiN, sadda siskiyoN ki sunai na de"


"खुदा हमको ऐसी खुदाई ना दे, कि अपने सिवा कुछ दिखाई ना दे,
हंसो आज इतना कि इस शोर मे, सदा सिसकियो की सुनाई ना दे"
-बशीर बद्र

rajveeer 13th October 2014 06:26 AM

Har subha ki laali hamko ye batlaati hai,
Zindagi chalti hi rehti hai chalti hi jaati hai...(Raj)

sameer'shaad' 13th October 2014 12:37 PM

har chand nazar ne jhele hain, har baar sunahre ghaao bhii,
ham aaj bhi dhokhaa khaa lenge, tum bhes badal kar aao bhii....

-Qateel Shifaai

rajveeer 14th October 2014 06:18 AM

Ajeeb hunar hai shamil apni adda mei.n,
Haal-e-dil chehre se byaa.n nahi hota...

Ek wo hi nahi hote aii khudayaa mere,
Warna hone ko is jaha.n me kyaa nahi hota..

Yu.n to keh leta hu.n har baat unse dil ki,
Saamne aankh uthaane ka hosla nahi hota...

Jisne pee ho aii 'Raj' nazar se us kii
Phir Usko botal se bhee nasha nahi hota..(Raj)

sameer'shaad' 14th October 2014 12:14 PM

kaise bhoologe zamaana wo suhaanaa dilbar,
jab teraa haatH mere haath me so jaataa thaa....

Shaad....

sunita thakur 15th October 2014 01:00 AM

Good Morning Dosto :)

aaj ka sher:

Chala gayaaaa Chaand, dekho so gaye saare sitare bhi,
ab to ajao ae neend adhoore hai kuch khuwab hamare bhi :rolleyes:
--NM

sameer'shaad' 15th October 2014 11:07 AM

Baat baat pe muskurate ho kyun baar baar,
Jaan lene ke tareekey to aur bhi hain..

nm

Ashwani Tyagi 16th October 2014 04:00 PM

re
 
Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 470113)
Baat baat pe muskurate ho kyun baar baar,
Jaan lene ke tareekey to aur bhi hain..

nm

bahut he khoob sher saad bhai wahhh

Neendon Ki Bagawat Se Ye Nuqsan Hua,,
Ek Shakhs Ke Khwabon Ko Tarasti Rahi Aankhen..

sunita thakur 16th October 2014 05:20 PM

"Raat ki tanhaii meiN to har koi yaad kar leta hai,
subha uth.te hi jo yaad aaye mohabat usko kehte hai"
-nm

rajveeer 17th October 2014 02:25 AM

Usne ye soch kar na pukara ki wo mera hai kahan jayega,
Mai.n ye soch kar na rukka ki mai uska hoon wo bulayega...(Raj)

sunita thakur 17th October 2014 10:02 AM

Good Morning Dosto...aaj ka sher Maa ke naam



Rab ne maa ko ye azamt kamal di.
Uski dua per musibat bhi tal di.
Upar wale ne maa ke pyar ki kuch is tarah missal di.
Ki Jannat utha ke Maa ke kadmo me daal di.
--nm

rajveeer 19th October 2014 03:55 AM

Meri deewangi to dekho kisi ajnabii ko dhundhta hoo.n apno mei.n,
haqikat se bekhabar apni dunia bassa lii hai maine sapno mei.n...(Raj)

sunita thakur 21st October 2014 10:16 AM

Shayed Khushii Ka Doour Bii AA Jay Ay 'Nadeeem'
Gham Bii Tou Mill Gaye Hai Tammana Kiiye Bagair.

sameer'shaad' 21st October 2014 11:26 AM

Na Poocho Aah o zaarii ki haqeeqat,
AzeezaaN aashiqui ka muqtazaa haai.....

NM

Hassan 21st October 2014 03:37 PM

dushman hii sahii, naam to lay ga mera tu bhi!
youn maiN teri awaaz meiN shaamil to rahooN ga...

-Mohsin Naqvi

rajveeer 22nd October 2014 10:40 AM

Aaiine ki fitrat hai ki wo jooth bolta hii nahi,
Kabhi meri tasveer aaiine ke ru-b-ru to rakhna...(Raj)

sameer'shaad' 22nd October 2014 10:59 AM

Miloon kisi se bhii wo darmiyan rahta hai,
Woh jo mila nahi, usi ka dhyaan rahta hai..

NM

sunita thakur 23rd October 2014 01:07 AM

जो गरीबी में एक दिया भी न जला सका ,,,
अमीर का एक पटाखा उसका घर जला गया...!!

jo gareebi meiN aik diya bhi na jala saka,
ameer ka aik pataka uska ghar jala gaya.
-nm

zainy 24th October 2014 02:33 AM

Quote:

Originally Posted by rajveeer (Post 470528)
Aaiine ki fitrat hai ki wo jooth bolta hii nahi,
Kabhi meri tasveer aaiine ke ru-b-ru to rakhna...(Raj)


WAH bohat khoob raj ji


Hum bhi dariya haiN humeiN apna hunar maloom hai,
Jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega

-Basher badr

tabaah 24th October 2014 09:31 AM

Quote:

Originally Posted by rajveeer (Post 470528)
Aaiine ki fitrat hai ki wo jooth bolta hii nahi,
Kabhi meri tasveer aaiine ke ru-b-ru to rakhna...(Raj)

waaahhhhhhhhhh... bahut khoob Rajveer Sahab..

Khinch lati hai mujhko teri mohhabat warna,

aakhri baar to tujhse se kai bar mila hu..
nm

sameer'shaad' 24th October 2014 09:54 AM

Apni baaton pe woh qaayem nahin rehta Tabish,
Uss ke inkaar ko inkaar na samjhaa jaye..


NM

Taish 24th October 2014 11:21 PM

dil mera aaina hua unka,
gusse mein baar baar todte rahe...

sameer'shaad' 25th October 2014 06:08 PM

Shukriyaa Naaz...

And nice sharing by you as well... :)

palulovable 26th October 2014 03:44 PM

Aee khuda baksh dena mere bacho ko is pyar se....
Kyunki is dil ki maar bahut buri hoti hai.....(pallavi)

rajveeer 27th October 2014 09:49 AM

Thak jaati hai.n nigahai.n dil lagta hai doobne,
Ke mout se hai.n bhari wo lamhe intezaar ke....(Raj)
.

sunita thakur 27th October 2014 11:10 AM

nazare.n niichii kiye sharmaaye huye aayegaa
kaakule.n chehare pe bikharaaye huye aayegaa
shab ke jaage huye taaro.n ko bhii nii.nd aane lagii
aap ke aane kii ik aas thii ab jaane lagii

[kaakule.n=curls of hair]


--nm

zainy 27th October 2014 08:12 PM

Quote:

Originally Posted by rajveeer (Post 470689)
Thak jaati hai.n nigahai.n dil lagta hai doobne,
Ke mout se hai.n bhari wo lamhe intezaar ke....(Raj)
.

wah raj ji...bohat khoob

Mushkil*raahon*Mein*Bhi*aasaan yeh safarLagta*Hai
yeh mere maa,baap ki duwaon ka asar*Lagta*Hai.
Nm

zainy 27th October 2014 08:14 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 470690)
nazare.n niichii kiye sharmaaye huye aayegaa
kaakule.n chehare pe bikharaaye huye aayegaa
shab ke jaage huye taaro.n ko bhii nii.nd aane lagii
aap ke aane kii ik aas thii ab jaane lagii

[kaakule.n=curls of hair]


--nm

please follow the rules di...is thread per sirf ek sher yaani 2 liner post kar sakte hain. ..4 liners not allowed. ...:)

sunita thakur 28th October 2014 09:46 AM

कभी हम भी जिस के क़रीब थे, दिलो-जाँ से बढ़कर अज़ीज़ थे
मगर आज ऐसे मिला है वो, कभी पहले जैसे मिला न हो !!!
--बशीर बद्र

kabhi ham bhi jiske kareeb thy, dil-o-jaan se bad kar ajeez thy,
magar aaj aise mila hai wo, kabhi pehle jaise milla na ho.......!
--Bashir Badr

Pankaj Mishra 30th October 2014 09:30 PM

Kal tak jo mila karte the wo rishte ka naam mohobbat tha !
Ab paaoN nahi aage badhte tehzeeb-e-shaher aabaad rahe !!

lekhraj 31st October 2014 12:31 PM

Mohabbat naam hai jiska, vo aisee qaid hai yaaro'n...
K umre'n beet jaati hai, saza puri nahi hoti...

sameer'shaad' 31st October 2014 01:10 PM

kya baat hai lekhraj saahab..... bahot hi aala sher pesh kiya hai aapne.....

bahot khoob

tabaah 31st October 2014 11:04 PM

Jab kabhi toot kar bikhro to batana mujh ko,

Main tumhein ret k zarron se bhi chun launga...

nm

rajveeer 1st November 2014 04:18 AM

Ek pal mei.n wo mujh se begana ho gyaa,
mujhe aazmaane mei.n jisko basrso.n beet gye...(Raj)

rajveeer 2nd November 2014 04:30 PM

Naaz ji bhut pyara ashaar hai daag sahib...share karne ke liye shukria..Raj..

rajveeer 2nd November 2014 04:44 PM

Rishte nibhaane mei.n ham bhut ustaad hai.n yaaro,
Dosto ko dosti pe dushmano ko dushmani pe naaz hota hai...(Raj)

Qasid 2nd November 2014 10:58 PM

Quote:

Originally Posted by rajveeer (Post 471030)
Rishte nibhaane mei.n ham bhut ustaad hai.n yaaro,
Dosto ko dosti pe dushmano ko dushmani pe naaz hota hai...(Raj)

Wah behad khoob bhai purasar khayaalat

aapka apnaa

Qasid 2nd November 2014 11:01 PM

Quote:

Originally Posted by Pankaj Mishra (Post 470855)
Kal tak jo mila karte the wo rishte ka naam mohobbat tha !
Ab paaoN nahi aage badhte tehzeeb-e-shaher aabaad rahe !!

Pankaj bhai

Behad umdaa...yunhi is bazm mein jaan daalte rahiYeGaa..

aapka apnaa

Qasid 2nd November 2014 11:02 PM

Quote:

Originally Posted by lekhraj (Post 470879)
Mohabbat naam hai jiska, vo aisee qaid hai yaaro'n...
K umre'n beet jaati hai, saza puri nahi hoti...

Behad umdaa khayaalat, is sher ko mera salaam qubool farmaayein

aapka apnaa


All times are GMT +5.5. The time now is 05:44 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.