Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri Ki Paathshaala (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=50)
-   -   Fusoon-e-alfaaz ..... the magic of words (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=77403)

zarraa 13th July 2014 02:22 PM

[QUOTE=zidd;461796]

--------------------------------
Ho gaye hum ek pal me khaak-bos
Aakpi nazroN ne kya bosa diya [ ! or ? ]

------------------------------------
Zidd sahab ke is sher se seekhne ka ek aur nukta milta hai .... yahaaN jumla "khaak-bos" ka istemaal kiya gaya hai, which means "one that is kissing the dust". aise aur bhi jumle haiN jahaaN "bos" ko lafz ke aakhir meiN (as suffix) rakh kar jumla bana hai. examples are "pa-bos" which means "one that is kissing the feet" ya "aasmaaN-bos" ya "one that is kissing the feet". Members se request haiN ki jo "bos" as suffix par aur roshni daal sakte haiN, wo apni raay se nawaazeiN.

is sher meiN misra-e-oola meiN "bos" aur misra-e-saanee meiN "bosa" ka istemaal kar ke Zidd sahab ne waaqayee "fusoon-e-alfaaz" paida kiya hai :)

zidd 13th July 2014 02:37 PM

[QUOTE=zarraa;461828]
Quote:

Originally Posted by zidd (Post 461796)

mai deh raha tha kab ispar nigah jaati hai saahibaano ki...pahle bold kiya tha , phir hata diya...socha dehte hai kaun point out karta hai.:D

zarraa 13th July 2014 02:49 PM

[QUOTE=zidd;461832]
Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 461828)

mai deh raha tha kab ispar nigah jaati hai saahibaano ki...pahle bold kiya tha , phir hata diya...socha dehte hai kaun point out karta hai.:D

ji pehli dafa hi ye meri nigaah meiN aa gayee thee, lekin itnee baatoN meiN ye baat kehnee reh gayee. phir jab yaad aaya ki ye baat miss ho gayee hai to alag se us ka zikr kar diya. :)

zarraa 13th July 2014 07:27 PM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 461851)
Nam ankhon par wo tere bose ka lams
Khudaya aaj bhi roney se roktiin hain

Waaahhh !!!! Kya bheege huwe ehsaas haiN is sher meiN !!

"nam ankhon par bose ka lams" ... simply outstanding !!

Dheron daad aur bahaut si mubarakbaad is sher par aap ko N@zneen ji !

zarraa 13th July 2014 10:07 PM

ek aur sher arz hai lafz "bose" par ...

is tarah yaad teri dil meiN hai mere pinhaaN
narm aariz pe jo bose ka ho halka sa nishaaN

- zarraa

(pinhaaN = concealed, aariz = cheek)

zainy 14th July 2014 12:30 AM

Quote:

Originally Posted by ufaq (Post 461816)
Ek SHE'R

Bose Ke waqt dono ki palke'n jhuki rahii,
Tark-e-hayaa huyi to thii lekin hayaa Ke saath

Written by ....pankaj sijwali ufaq.

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 461851)
Nam ankhon par wo tere bose ka lams
Khudaya aaj bhi roney se roktiin hain

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 461881)
ek aur sher arz hai lafz "bose" par ...

is tarah yaad teri dil meiN hai mere pinhaaN
narm aariz pe jo bose ka ho halka sa nishaaN

- zarraa

(pinhaaN = concealed, aariz = cheek)

bohat khoob....................................:)

Hassan 14th July 2014 01:02 AM

koi nahi jo bosa de!
maa! jab se gayi chhood ke.... :(

aadeil 14th July 2014 01:54 PM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 461705)
bosa shabnam ka phool ke rukh par
sub'he dam yaad aa gaya koyee

- zarraa

Zarraji,
bahot hi khubsurat sher pesh kiya hai :) ..
jazbaat ko baDii sundarta se baandhaa hai...

Quote:

Originally Posted by zainy (Post 461766)
Lijiye mera sher!

HaseeN hai yeh manzar haseeN hai nazaara
Ufaq per zameeN aasmaaN ka yeH bosa

Zainyji,
khubsurat sher pesh kiya hai.... daad..... waah... umda...... :)

Quote:

Originally Posted by Praneeta (Post 461775)
tere fusoon-e-bosa ki kya tareef karun 'ananthpak'
ke ek bosa ne umr bhar ka itminaan de diya

Quote:

Originally Posted by ananthpak (Post 461777)
muntazir hun iltija par meri kab tu dil-o-jaan se razi hogi

k tera ik bosa hi iss aashiq par zara-nawazi hogi

bahot hi khub, Anantji aur Praneetaji.... daad pesh hai :)

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 461796)
kuch sher mere taraf se bhi

Lagta garma garm hi accha
Ab ho bosa ya ho samosa

---------------------------------

SaikhDo laana.te hai bose par
Apni to kat gayi samose par

--------------------------------
Ho gaye hum ek pal me khaak-bos
Aakpi nazroN ne kya bosa diya [ ! or ? ]

------------------------------------

Ik khwaab ka tawaaf tha darparda kwaab ke
Kya le liya tha bosa hi but ke naqaab ka ?

check kijiye sirji...al raaat post karne wala tha magar baat karte karte bhool gaya

Ziddsaab,
baarish me.n samose toh bante hi hai LOLzzz..... :p
bahot hi khubsurat bayaanaat huii hai.. uss per daad...

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 461803)
chaliye meri taraf se bhii isi par ek sher arz hai...... zidd saahab khaaskar ke aapki nazr..

bivi ki ye zidd thii ke milegaa tabhii BOSAA,
baahar ka khilaao mujhe DOSA ya SAMOSAA...

Shaad....

Shoaibbhai,
Lagta hai subah subah baarish me.n biwi ne samose lene bhej diya wo bhii Sunday ko, aapko LOLzzzz.... :D :p

Quote:

Originally Posted by ufaq (Post 461816)
Ek SHE'R

Bose Ke waqt dono ki palke'n jhuki rahii,
Tark-e-hayaa huyi to thii lekin hayaa Ke saath

Written by ....pankaj sijwali ufaq.

Ufaq saab,
jawaab nahi, kya khubsurat tareh se aapne bose lafz ka istemaal kiya hai... jaanibse daad....

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 461851)
Nam ankhon par wo tere bose ka lams
Khudaya aaj bhi roney se roktiin hain

Nazneen,
chhupa rustom kaun hai? ;) :p
kya sher banaayaa hai... behad khubsurat.... :)

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 461889)
koi nahi jo bosa de!
maa! jab se gayi chhood ke.... :(

Hassanbhai,
bahot khub...

aadeil 14th July 2014 02:20 PM

hamaarii ek koshish :)

paa-bosii* hai milii jo unse (kissing feet)
bosa-zanii* kuchh ab aur bhii toh ho (kissing)
bosiida-fazaa* kii kya fikar hai (delicate/fragile moment)
ki bosa-e-lab* bhii kabhii toh ho (kissing of lips)

Adil 'Safeer'

-----------------------------

zainy 14th July 2014 02:52 PM

Quote:

hamaarii ek koshish

paa-bosii* hai milii jo unse (kissing feet)
bosa-zanii* kuchh ab aur bhii toh ho (kissing)
bosiida-fazaa* kii kya fikar hai (delicate/fragile moment)
ki bosa-e-lab* bhii kabhii toh ho (kissing of lips)

Adil 'Safeer'

SUPERB WORD PLAY!

http://www.sherv.net/cm/emoticons/ha...y-emoticon.gif

aadeil 14th July 2014 03:08 PM

aur ek.. :)
bos-o-kanaar* me.n uljhe yu.n, wo bhii shab-e-firaaq me.n
namii na dekhii aa.nkho.n kii, subah thii unkii taak me.n

*bos-o-kanaar = embrassing/kissing & hugging

aadeil 14th July 2014 03:10 PM

Quote:

Originally Posted by zainy (Post 461947)

Thank you.. Zainyji.......... :)

Hassan 14th July 2014 08:18 PM

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 461942)
hamaarii ek koshish :)

paa-bosii* hai milii jo unse (kissing feet)
bosa-zanii* kuchh ab aur bhii toh ho (kissing)
bosiida-fazaa* kii kya fikar hai (delicate/fragile moment)
ki bosa-e-lab* bhii kabhii toh ho (kissing of lips)

Adil 'Safeer'

-----------------------------

Hahaha.. Aadil bhai..

Boht hi dilkashi se biyaan kiya hy maajra..
Boht maza aaya pha'd kar.. :D

DuaaoN ke saath,,

sameer'shaad' 14th July 2014 08:46 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 461889)
koi nahi jo bosa de!
maa! jab se gayi chhood ke.... :(

hasssan saahaab... in do missron ne wo kamaal kar ddiyaa ke main bayaan nahi kar saktaa.... kyaaa baat hai bhai...... bahot hi umdaa sher kah diyaa aapne... meri janaib se laakhon daad..

zarraa 14th July 2014 09:09 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 461889)
koi nahi jo bosa de!
maa! jab se gayi chhood ke.... :(

aankhein nam kar dene waala sher kaha aap ne Hassan bhai. qaabil e daad sher hai par aap ko daad naheeN dheroN duaein de raha hooN.

zarraa 14th July 2014 09:21 PM

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 461942)
hamaarii ek koshish :)

paa-bosii* hai milii jo unse (kissing feet)
bosa-zanii* kuchh ab aur bhii toh ho (kissing)
bosiida-fazaa* kii kya fikar hai (delicate/fragile moment)
ki bosa-e-lab* bhii kabhii toh ho (kissing of lips)

Adil 'Safeer'

-----------------------------

wwwwwwwaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhh !!!!!!! ye sher hai ke ek kaarnaamaa !!

maiN ne is lafz ka ta'arruf karne waalee post meiN arz kiya tha ki "ab lafz-e-bosa ke bose lete haiN" ..... aap ke is sher ne waisa hi kiya hai :):):) ye sher to bose ki encyclopedia jaisa hai :):):)

but seriously, amazing word play Aadeil bhai !! aur khayaal bhi khoob !! saath hi aap ka ye bahaut barha contribution hai ki lafz "bosa" se nikle itne saare alfaaz ka ilm karaaya ahl-e-mehil ko karwa diya !!! waaaah !!!

to Aadeil bhai, dher saaree daad aur khoob saara shukriya !!!

Praneeta 14th July 2014 09:24 PM

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 461942)
hamaarii ek koshish :)

paa-bosii* hai milii jo unse (kissing feet)
bosa-zanii* kuchh ab aur bhii toh ho (kissing)
bosiida-fazaa* kii kya fikar hai (delicate/fragile moment)
ki bosa-e-lab* bhii kabhii toh ho (kissing of lips)

Adil 'Safeer'

-----------------------------

chakkara hi gayi thi padh kar these heavy words. but after reading the meanings enjoyed it.
beautiful.....aadeil sahab :)

zarraa 14th July 2014 09:27 PM

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 461948)
aur ek.. :)
bos-o-kanaar* me.n uljhe yu.n, wo bhii shab-e-firaaq me.n
namii na dekhii aa.nkho.n kii, subah thii unkii taak me.n

*bos-o-kanaar = embrassing/kissing & hugging

Waahh !!! khoob sher farmaaya Aadeil bhai !!!

Praneeta 14th July 2014 09:28 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 461889)
koi nahi jo bosa de!
maa! jab se gayi chhood ke.... :(

very touching Hassan...can relate to it

zarraa 14th July 2014 10:43 PM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 461705)
ek taaza sher bas abhi abhi kaha hai, so us par bina ghaur kiye ya bina taraashe, yahaaN par waisa ka waisa pesh raha hooN ... delivered fresh :)

bosa shabnam ka phool ke rukh par
sub'he dam yaad aa gaya koyee

- zarraa

doston, kyunki ye seekhne ki mehfil hai, aur kyunki yahaan sab apne hi hain, is liye zehmat de raha hoon. oopar waale sher ka ek alternative version kaha hai ......

bose booNdoN ke barg-e-gul par nam
yaad saawan meiN aa gaya koyee

aap ki raay mil jaaye is par, in absolute terms aur pichhle version ke comparison mein, to mujhe kuchh seekhne ko milega. shukriya.

Hassan 14th July 2014 11:03 PM

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 461940)
Hassanbhai,
bahot khub...

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 462008)
hasssan saahaab... in do missron ne wo kamaal kar ddiyaa ke main bayaan nahi kar saktaa.... kyaaa baat hai bhai...... bahot hi umdaa sher kah diyaa aapne... meri janaib se laakhon daad..

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 462014)
aankhein nam kar dene waala sher kaha aap ne Hassan bhai. qaabil e daad sher hai par aap ko daad naheeN dheroN duaein de raha hooN.

Quote:

Originally Posted by Praneeta (Post 462020)
very touching Hassan...can relate to it

Aadil Bhai.. Shaad Bhai.. Zarraa saheb aur Parii dear..

yahan main Danny Boss ka Shair arz karna chahooN ga:-

jeene ke liye mujhe ek sapnaa dedo
haqeekat meri jaaN liye jaa rahi hai

DuaooN k saath,,

zainy 15th July 2014 02:47 AM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 461889)
koi nahi jo bosa de!
maa! jab se gayi chhood ke.... :(

speechless. ..................................:(

zainy 15th July 2014 02:49 AM

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 461948)
aur ek.. :)
bos-o-kanaar* me.n uljhe yu.n, wo bhii shab-e-firaaq me.n
namii na dekhii aa.nkho.n kii, subah thii unkii taak me.n

*bos-o-kanaar = embrassing/kissing & hugging

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 462041)
doston, kyunki ye seekhne ki mehfil hai, aur kyunki yahaan sab apne hi hain, is liye zehmat de raha hoon. oopar waale sher ka ek alternative version kaha hai ......

bose booNdoN ke barg-e-gul par nam
yaad saawan meiN aa gaya koyee

aap ki raay mil jaaye is par, in absolute terms aur pichhle version ke comparison mein, to mujhe kuchh seekhne ko milega. shukriya.

Bohat khoob. .................................
.......

ufaq 15th July 2014 01:14 PM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 462041)
doston, kyunki ye seekhne ki mehfil hai, aur kyunki yahaan sab apne hi hain, is liye zehmat de raha hoon. oopar waale sher ka ek alternative version kaha hai ......

bose booNdoN ke barg-e-gul par nam
yaad saawan meiN Aa gayaa koi.

aap ki raay mil jaaye is par, in absolute terms aur pichhle version ke comparison mein, to mujhe kuchh seekhne ko milega. shukriya.

Zarra sahib..aapke dono ashsaar takriiban ek hi mijaaz Ke hai....jaisa ki aapne khud tasliim kiya hai.......shabnam - subah aur boo'nde- saawan Ka munaasibat qaayam karne ki koshish ki hai aapne.........khair ab baari- baari dono ashaar par ghaur karte hai.

1st sher

Aapke pahle SHE'R me aap oola ko do tarah se le sakte hai.....waise main niji taur par doosra misra rakhne ki sifaarish karunga

1) Bose'n shabnam Ke phool Ke rukh par
2) bosa shabnan Ka gul Ke aariz par

Aapke misre me'n aur in do misro me'n kyaa farq hai...mai'n nahi bataaunga,,,thodhi zehani kasrat kariye........aap samajh jaaye'nge....

Ab baat karte hai saani ki

Aapne saani me'n sub'h-e-dam ...likha hai...subh'a aur dam Dono ism ( noun) hai ...jab do ism ko izaafat se joda jaata hai...to iske do usuul hai..
1) dam -e -subah yaani ..in the time of morning
2) ya phir sub'h dam bhi likh sakte hai lekin ab izaafat maqloobi ( disappear) ho jaayegi.....izaafat e maqloobi ki bahut Achchi missal hai ...jahaa'npanaah.......yaani In the panaah of jahaa'n

aap yu'n samajh le ki aap sub'h-e-dam ..na le balqi ....sub'h dam likh le

Aapke SHE'R me'n ye ek aib thaa so zikr kar diya...

2nd sher

Aur ab doosre sher ki baat karte hai....

Oola me > be< ki takaraar baarhaa ho rahii hai jisse tajnis Ka lutf paida ho raha hai..lekin misre Ke aakhir me'n > nam< saraasar bharti lag raha hai...is simt thoda tawajjo De...

Sher aap yu'n kah sakte hai

Bose par Bose gul pe De boo'nde
Yaad saawan me'n aa gayaa koi.

Bose par Bose ...istemaal karna bahut khaas hai kyu'nki saawan me'n jab baarish hoti hai to boo'nde boso'n ki bauchhar lagaa deti hai........

Koi shubah rah gaya ho to bejhijhak took De....

Hassan 15th July 2014 01:33 PM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 461851)
Nam ankhon par wo tere bose ka lams
Khudaya aaj bhi roney se roktiin hain

Wahhh Naaz... boht khoob... lajawaab...

zarraa 15th July 2014 03:40 PM

Quote:

Originally Posted by ufaq (Post 462109)
Zarra sahib..aapke dono ashsaar takriiban ek hi mijaaz Ke hai....jaisa ki aapne khud tasliim kiya hai.......shabnam - subah aur boo'nde- saawan Ka munaasibat qaayam karne ki koshish ki hai aapne.........khair ab baari- baari dono ashaar par ghaur karte hai.

1st sher

Aapke pahle SHE'R me aap oola ko do tarah se le sakte hai.....waise main niji taur par doosra misra rakhne ki sifaarish karunga

1) Bose'n shabnam Ke phool Ke rukh par
2) bosa shabnan Ka gul Ke aariz par

Aapke misre me'n aur in do misro me'n kyaa farq hai...mai'n nahi bataaunga,,,thodhi zehani kasrat kariye........aap samajh jaaye'nge....

Ab baat karte hai saani ki

Aapne saani me'n sub'h-e-dam ...likha hai...subh'a aur dam Dono ism ( noun) hai ...jab do ism ko izaafat se joda jaata hai...to iske do usuul hai..
1) dam -e -subah yaani ..in the time of morning
2) ya phir sub'h dam bhi likh sakte hai lekin ab izaafat maqloobi ( disappear) ho jaayegi.....izaafat e maqloobi ki bahut Achchi missal hai ...jahaa'npanaah.......yaani In the panaah of jahaa'n

aap yu'n samajh le ki aap sub'h-e-dam ..na le balqi ....sub'h dam likh le

Aapke SHE'R me'n ye ek aib thaa so zikr kar diya...

2nd sher

Aur ab doosre sher ki baat karte hai....

Oola me > be< ki takaraar baarhaa ho rahii hai jisse tajnis Ka lutf paida ho raha hai..lekin misre Ke aakhir me'n > nam< saraasar bharti lag raha hai...is simt thoda tawajjo De...

Sher aap yu'n kah sakte hai

Bose par Bose gul pe De boo'nde
Yaad saawan me'n aa gayaa koi.

Bose par Bose ...istemaal karna bahut khaas hai kyu'nki saawan me'n jab baarish hoti hai to boo'nde boso'n ki bauchhar lagaa deti hai........

Koi shubah rah gaya ho to bejhijhak took De....

Ufaq sahab ... bahaut bahaut shukriya janaab tashreef laane ka aur mere sawaal ko waqt dene ka. Aur waah kis khoobsurti se aapne nukton ki wazaahat kari hai. Khoob !! Aap ke khayaalaat aur mashwaron se na sirf seekhne ko hi mila mujhe par saath saath guftagoo ka lutf bhi haasil hua. Ek baar phir se aap ka shukriya.

Aap ki saaree bataein mujhe ekdum sahi lag rahi hain aur kisi baat par koyee shubah naheen. Mujhe sochne ka bahaut saamaan mila hai, jo na sirf is sher ko mukammal karne mein balki aage bhi kaam aayega.

Bas 1-2 choti si baatein clarify karna chaahoonga ...

mera iraada "sub'he dam" mein "subh-e-dam" kehne ka naheen tha jo ki galat hai jaisa ki aap ne bhi farmaaya, balki lafz "subh" ke "h" ko "he" ka accent dene ka tha. maqsad wazan clear karne ka tha, by demarking "sub" as one unit with wazan of 2 and "he" as a separate unit as wazan of 1. "he" ki jagah "ha" ka bhi accent de sakta tha par maine "he" ko use kiya for no particular reason, just liked it more than "ha" I guess :) par aap ki baat samajh kar mujhe lag raha hai ki "ha" hi use karne chaahiye kyunki "he" se ye lagna natural hai "subh-e-dam" kaha ja raha hai.

ek ye bhi arz karna chaahoonga ki lafz "nam" ko "bose" ki "quality" ko describe karne ke ki koshish mein istemaal kiya tha. mujhe laga ki "nam bose" ki analogy zyada appropriate lag rahegi baarish ke context mein "normal bose" ke muqaable :) is se boondon ke phool par lams ko bose ka darja dena zyada justified lagega, aur analogy ka lutf paida hoga. magar aap ki is baat se main 100% ittefaaq rakhta hoon ki misre ke aakhir mein aane se "nam" ka lafz zabaradasti daala hua lag raha hai. in current form, na maanee khul raha hai na lutf paida ho raha hai, balki confusion hi create ho raha hai.

waise aap ka "bose par bose" ka khayaal kamaal ka laga. daad aap ko us par !

to ek baat phir aap ka dher saara shukriya Ufaq sahab ! thanks for all the help :) !

Duaon ke saath
Zarraa

zarraa 15th July 2014 03:45 PM

doston ... lafz "bosa" par guftagoo aaj raat midnight tak chalegi, kal se naya lafz.

zarraa 15th July 2014 09:19 PM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 461896)
Shukriya Zarraji, ek chotisi koshish thi is mehfil ka hissa banne keliye, bahot khushi hui apko ye koshish pasand ayi :)

Aapne bahot hi behtareen thread banai hai iske liye dheron daad, hum jaise seekhne walon ko jinhe urdu ki zada samajh nahin bahot maddat milegi ek bar phirse shukriya itni achchi koshish keliye.

bahaut bahaut shukriya N@zneen ji is activity ki koshish ko appreciate karne ka .... well, the pleasure is all mine :)

zarraa 15th July 2014 10:48 PM

lafz "bosa" par members ke kahe huwe apne qalaam .....

bosa shabnam ka phool ke rukh par
sub'he dam yaad aa gaya koyee
-zarraa

HaseeN hai yeh manzar haseeN hai nazaara
Ufaq per zameeN aasmaaN ka yeH bosa
-zainy

tere fusoon-e-bosa ki kya tareef karun 'ananthpak'
ke ek bosa ne umr bhar ka itminaan de diya
-praneeta

muntazir hun iltija par meri kab tu dil-o-jaan se razi hogi
k tera ik bosa hi iss aashiq par zara-nawazi hogi
-ananthpak

Lagta garma garm hi acchha
Ab ho bosa ya ho samosa
-zidd

SaikhDo laana.te hai bose par
Apni to kat gayi samose par
-zidd

Ho gaye hum ek pal me khaak-bos
Aakpi nazroN ne kya bosa diya [ ! or ? ]
-zidd

Ik khwaab ka tawaaf tha darparda kwaab ke
Kya le liya tha bosa hi but ke naqaab ka ?
-zidd

bivi ki ye zidd thii ke milegaa tabhii BOSAA,
baahar ka khilaao mujhe DOSA ya SAMOSAA
-shaad

Bose Ke waqt dono ki palke'n jhuki rahii,
Tark-e-hayaa huyi to thii lekin hayaa Ke saath
-ufaq

baarish meiN n baahar ke hai khaane ka bharosa
phir dosa samosa naheeN chooran ka hi bosa
-zarraa

Nam ankhon par wo tere bose ka lams
Khudaya aaj bhi roney se roktiin hain
-n@zneen

is tarah yaad teri dil meiN hai mere pinhaaN
narm aariz pe jo bose ka ho halka sa nishaaN
-zarraa

koi nahi jo bosa de!
maa! jab se gayi chhood ke
-hassan

paa-bosii hai milii jo unse
bosa-zanii kuchh ab aur bhii toh ho
bosiida-fazaa kii kya fikar hai
ki bosa-e-lab bhii kabhii toh ho
-aadeil

bos-o-kanaar me.n uljhe yu.n, wo bhii shab-e-firaaq me.n
namii na dekhii aa.nkho.n kii, subah thii unkii taak me.n
-aadeil

zarraa 16th July 2014 12:15 AM

Naya lafz
 
dostoN ... is baar ka lafz hai .... KHALWAT .....

"khalwat" means solitude / privacy / the state of being alone .... akele meiN hone ki haalat

lafz "khalwat" meiN "T" ka pronunciation is as in TiTlee (butterfly), Tees (30), raaT (night) ... aap samajh gaye hoNge.

to is baar hum lafz "khalwat" par ghaur kareNge, koyee sher, qit'ta, nazm, rubaayee ya aur kuchh jise shayari kaha ja sake, keh kar. aap "khalwateiN", "khalwatoN" wagairah ka bhi qalaam meiN istemaal kar sakte haiN.

shayari ke saath saath SDC style guftagoo bhi jaaree rakhiyega. maqsad sirf ek doosre se kuchh seekhne ka hoga. members se darkhwaast hai ki is lafz par apne khayaalaat aur ilm bhi baaNtte raheiN aur is ki nuances par roshni daaleiN, jis se hum sab saath saath seekh sakeiN.

"khalwat" ki taqti, mere opinion meiN, hai 22. any other opinion is welcome.

"khalwat"par ghaur karne ka silsila hum chalaaenge agle 4 din tak, yaani 19th July midnight India time ya 6:30 PM GMT.

ab lafz "khalwat" par kuchh ustaad shora ke aashaar ka lutf uthaate haiN ...

mere hone meiN hai kya ruswaayee
ai wo majlis naheeN khalwat hi sahi
-ghalib

agar khalwat meiN tu ne sar uthaaya bhi to kya haasil
bhari mehfil meiN aa kar sar jhuka leti to achchha tha
-majaaz

abhi zinda hooN lekin sochta rehta hooN khalwat meiN
ki ab tak kis tamanna ke sahaare ji liya maiN ne
-saahir

kuchh mohtasiboN ki khalwat meiN kuchh waaiz ke ghar jaatee hai
hum baada-kashoN ke hisse ki ab jaam meiN kam-tar jaatee hai
-faiz

kaheeN khalwateiN dukaaneiN
kaheeN jism beeyopaaree
n kisi sanam ko shikwa
n dukhee koyee pujaaree
-faraaz ki nazm se

khudi ki khalwatoN meiN gum raha maiN
Khuda ke saamne goya n tha maiN
-iqbaal

to chaliye, shuru ho jaate haiN ! is lafz-e-khalwat ki khalwat meiN khalal daalte haiN aur ise le kar aate haiN apne aashaar ki anjuman meiN ... :):)

duaoN ke saath
zarraa

Hassan 16th July 2014 12:43 AM

khalwat meiN kiye jurm ki saza!
aaj nahi to kal zaroor milay gii..

tanhai mein huay hamaray gunaahoN ki saza is jahan meiN nahi
to us jahaN zaroor mile gii..

aadeil 16th July 2014 10:16 AM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 462194)
khalwat meiN kiye jurm ki saza!
aaj nahi to kal zaroor milay gii..

tanhai mein huay hamaray gunaahoN ki saza is jahan meiN nahi
to us jahaN zaroor mile gii..

Hassanji,

achchhi aur sachchii baat kahi hai... :)

bahot khub...

aadeil 16th July 2014 10:19 AM

ek koshish...... :)

Khalvat-o-jalvat* kii apnii surate.n -----[privacy/loneliness & company]
gham me.n ek pyaara to duuja shaadii* me.n -----[happiness]

Hassan 16th July 2014 11:09 AM

Naaz.. this is for you:-

hai yaQeeN k khatam hooN gay ayaam-e-khalwat..
phir hum bhi khoob lootieN gay maza-e-ulfat... :)

Hassan 16th July 2014 11:16 AM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 462224)
Awesome....and thnx for this beautiful sher :)

abhi aamad hui jab aap ne koi aur verse post karne ko kaha .. :)

Hassan 16th July 2014 11:21 AM

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 462210)
ek koshish...... :)

Khalvat-o-jalvat* kii apnii surate.n -----[privacy/loneliness & company]
gham me.n ek pyaara to duuja shaadii* me.n -----[happiness]

wahhh...

boht khoob Aadil saheb.. :)

aadeil 16th July 2014 12:40 PM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 462214)
Bahot khoob doston hosake to aur ek sher post karna :)

lijiye, aur ek :)

ek adnaa si koshish..

Khalvat-nashii.n* hoo.n haath me.n khaalii hai baadiyaa*
hai intezaar ki aake pilaaye labo.n se wo

khalvat-nashii.n = sitting in isolation/seclusion ; baadiyaa = goblet

aadeil 16th July 2014 12:42 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 462222)
Naaz.. this is for you:-

hai yaQeeN k khatam hooN gay ayaam-e-khalwat..
phir hum bhi khoob lootieN gay maza-e-ulfat... :)

nice one, Hassanji :).. change of mood achchha laga :)

zarraa 16th July 2014 05:37 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 462194)
khalwat meiN kiye jurm ki saza!
aaj nahi to kal zaroor milay gii..

tanhai mein huay hamaray gunaahoN ki saza is jahan meiN nahi
to us jahaN zaroor mile gii..

Gehri sachchi sahi aur saaf baat !! Bahaut bahaut khoob Hassan sahab !!

zarraa 16th July 2014 05:41 PM

Quote:

Originally Posted by aadeil (Post 462210)
ek koshish...... :)

Khalvat-o-jalvat* kii apnii surate.n -----[privacy/loneliness & company]
gham me.n ek pyaara to duuja shaadii* me.n -----[happiness]

Waah !! Ek buniyaadi haqeeqat ko kis saafgoyee se bayaan kiya hai .. Waah !! Aur "khalwat-o-jalwat" ke jumle ka bhi kya khoob istemaal kiya ... Waah !! Bahaut si daad Aadeil bhai !!!

All times are GMT +5.5. The time now is 02:57 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.