Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   kahiin Mar na jaaen.............. (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=79875)

sameer'shaad' 11th May 2016 09:16 PM

kahiin Mar na jaaen..............
 
ye vaade na keeje sanam jaate jaate,
kahiN marr naa jaaen tere aate aate.

sunegaa na koii gareebon ki aaheN,
kahin ruk gayee hai duaa jaate jaate

wafaaoN ki jab bhii chale baat koii,
ham ab bhi hain aksar teraa naam laate,

kisii se kiyaa na kabhii zikr teraa,
magar haal e dil hain ghazal me sunaate.

zaher hi sahii maikashii kijiye "Shaad",
bhulaa denge us ko bhi peete pilaate.

Shaad...........

Qasid 12th May 2016 09:19 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 492766)

Bahut khoob Bahut khoob mere bhai....mujhe to yeh itni pasand aayi ki ise compose karke aapko sunaa bhi diya...mazaa aa gaya

Dua hai khuda se ki aapka yeh hunar aur nikhartaa jaaye aur aapka likha har nagmaa humari zubaan par ho

sameer'shaad' 12th May 2016 01:50 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 492779)
Bahut khoob Bahut khoob mere bhai....mujhe to yeh itni pasand aayi ki ise compose karke aapko sunaa bhi diya...mazaa aa gaya

Dua hai khuda se ki aapka yeh hunar aur nikhartaa jaaye aur aapka likha har nagmaa humari zubaan par ho

bahut bahut shukriyaa aapka mast saahab..... aapne jo izzat bakshi hai uske liye main aapka tahe dil se shukr guzaar hoon..... ate rahiyegaa.. khush rahiye

Shaad...

Madhu 14 12th May 2016 02:47 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 492766)
ye vaade na keeje sanam jaate jaate,
kahiN marr naa jaaen tere aate aate.

sunegaa na koii gareebon ki aaheN,
kahin ruk gayee hai duaa jaate jaate

wafaaoN ki jab bhii chale baat koii,
ham ab bhi hain aksar teraa naam laate,

kisii se kiyaa na kabhii zikr teraa,
magar haal e dil hain ghazal me sunaate.

zaher hi sahii maikashii kijiye "Shaad",
bhulaa denge us ko bhi peete pilaate.

Shaad...........

waaah waaaah.....kya rawan ghazal hai shaad sahab..aur ehsaas dil ko chhoo lene wale..
sabhi ashaar lajwaab magar matla khaas pasand aaya..bahut khoob !!

dher sari daad aur mubarakbaad..

likhte rahein..
khush rahein...

Mujahid Ali 12th May 2016 04:14 PM

Masha allah

Shaad ji kamaal ki ghazal hui hai

Na-cheez ki Daad qubool karey

bhushan 12th May 2016 08:27 PM

Shaad bhai namaste,

Behad pasand aai ye gazal.....bohot hi lay me likhte hain aap....wakai lajawab....yoon hi hameen apni khoobsurat gazalon se nawazte rahen....dheroon daad

Aapka apna
Bhushan

akshara 13th May 2016 02:56 PM

"Zeher hi sahi maikashi kijiye 'shaad'
Bhula denge usko bhi pite pilaate"
Behad Khubsurat aur puri gazal ka sabse nayaab sher!

Phoenix 14th May 2016 01:49 AM

Kya baat hai shaad sahab.....

Chah to ye thi ke doob ke marr jaaun gham ki samandar me
Magar ye kya, aaj bhi tair raha hun uspe kisi laash ki tarah...

sabaa kiyani 25th May 2016 01:00 AM

vaah vaah buhet achee aor khoub ghazal hey shaad saheb

Purvi 25th May 2016 05:17 PM

Shaad sahab....

aap ki ghazal hameiN bahot pasand aayi hai... dil o daad pesh hai ..

ek sher meri taraf se

Ruk se gaye the labz ... jubaa' pe aate aate
Bin kahe fir dil ka aalam hum kis ko sunaate

sameer'shaad' 26th May 2016 09:13 AM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 492782)
waaah waaaah.....kya rawan ghazal hai shaad sahab..aur ehsaas dil ko chhoo lene wale..
sabhi ashaar lajwaab magar matla khaas pasand aaya..bahut khoob !!

dher sari daad aur mubarakbaad..

likhte rahein..
khush rahein...

aapki is darjaa muhabbat aur kholoos se main behad mashkoor hoon Madhu saaahiba..... aapne nacheez ko jo izzat se nawaaza hai main us qaabil nahi thaa.... apni duaaon me yaad rakhiyega...

apna khyaal rakhen.. shukriyaa

Shaad....

sameer'shaad' 26th May 2016 09:14 AM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 492788)
Masha allah

Shaad ji kamaal ki ghazal hui hai

Na-cheez ki Daad qubool karey

behad shukrguzaar hoon aapka mujahid bhai.... tashreef laate rahiyegaa...

duaa goh

Shaad....

sameer'shaad' 26th May 2016 09:15 AM

Quote:

Originally Posted by bhushan (Post 492792)
Shaad bhai namaste,

Behad pasand aai ye gazal.....bohot hi lay me likhte hain aap....wakai lajawab....yoon hi hameen apni khoobsurat gazalon se nawazte rahen....dheroon daad

Aapka apna
Bhushan

aapki inaayat hai janaab.... bahut bahut shukriyaa jo aapko mera likha pasand aa saka..

aate rahiyegaa..

Shaad.....

sameer'shaad' 26th May 2016 09:15 AM

Quote:

Originally Posted by akshara (Post 492801)
"Zeher hi sahi maikashi kijiye 'shaad'
Bhula denge usko bhi pite pilaate"
Behad Khubsurat aur puri gazal ka sabse nayaab sher!

is ek sher par nazre inaayat farmaane ke liye mamnoon hoon aapka...

aati rahiyegaa... apna khayaal rakhiye

Shaad......

sameer'shaad' 26th May 2016 09:16 AM

Quote:

Originally Posted by Phoenix (Post 492802)
Kya baat hai shaad sahab.....

Chah to ye thi ke doob ke marr jaaun gham ki samandar me
Magar ye kya, aaj bhi tair raha hun uspe kisi laash ki tarah...

kya baat hai janab...... khoobsurat jawaab se aapne meri izzat ko badhaaya hai.....

shukran......

Shaad......

maikasH 4th June 2016 05:12 AM

aadaab shaad miyaaN,

picchle koi 10-15 saaloN meiN jab bhi tabiyat ko dard ki "dose" shiddat se mehsoos hui hai to sabse pehle Majaaz ke qalaam paDhta hooN, phir chacha Ghalib, Meer aur Shakeel Badayuni ki jaanib tavvazo jaati rahi hai, aapka sukhan usi may'aar par mujh gareeb ki zaroorat par har baar khara utar raha hai

Ghazal par khaadim ki mubaarikbaad tasleem farmaiiyega aur ba-ra'ye "meherbaani" mashq jaari rakhiyega, mujh jaise TooTe hue afraad ko in nagiinoN ki sakh zaroorat hai!

rab raakha
maikash

sameer'shaad' 21st June 2016 12:51 AM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 493176)
aadaab shaad miyaaN,

picchle koi 10-15 saaloN meiN jab bhi tabiyat ko dard ki "dose" shiddat se mehsoos hui hai to sabse pehle Majaaz ke qalaam paDhta hooN, phir chacha Ghalib, Meer aur Shakeel Badayuni ki jaanib tavvazo jaati rahi hai, aapka sukhan usi may'aar par mujh gareeb ki zaroorat par har baar khara utar raha hai

Ghazal par khaadim ki mubaarikbaad tasleem farmaiiyega aur ba-ra'ye "meherbaani" mashq jaari rakhiyega, mujh jaise TooTe hue afraad ko in nagiinoN ki sakh zaroorat hai!

rab raakha
maikash

chacha Ghalib ka naam aapne kyaa liyaa ke aapkii aamad par ye sher yaad aa gayaa bade bhai.....

woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apne ghar ko dekhte haiN

aur aap ne mujh gareeb ko jo izzat bakshii hai main yaqeenan uskaa rattee bhar bhii nahii hoon, magar aapki muhabbat hai jo aapne aisaa kahaa aur maana.... aise chahne waale naseebwaalon ko milte hain.... aur ham sau baar sadqe jaate hain aapki inaayaton par.....

aapke mashware ko ham sar maathe par lagaate hain aur koshish banae rakhenge k aap jaise sukhanwar ko agar ek lamhe ko bhi mutmaeen kar sake to hamaari khushnaseebi hogii....

duaaon ka talabgaar

Shaad...........

masti 27th June 2016 06:51 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 492766)
ye vaade na keeje sanam jaate jaate,
kahiN marr naa jaaen tere aate aate.

sunegaa na koii gareebon ki aaheN,
kahin ruk gayee hai duaa jaate jaate

wafaaoN ki jab bhii chale baat koii,
ham ab bhi hain aksar teraa naam laate,

kisii se kiyaa na kabhii zikr teraa,
magar haal e dil hain ghazal me sunaate.

zaher hi sahii maikashii kijiye "Shaad",
bhulaa denge us ko bhi peete pilaate.

Shaad...........

waah shaad ji

ek ajeeb se kashish thi iss kalaam mein................ek ajeeb sa dard.............bohut khubsoorat ghazal hui hai.........har baar ki tarah.

bohu bohut mubarak.

ISHK EK IBADAT 29th June 2016 11:31 PM

bahut khoob shaad bhai har ashar lajwaab.....................

maikasH 1st July 2016 11:51 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 493380)
chacha Ghalib ka naam aapne kyaa liyaa ke aapkii aamad par ye sher yaad aa gayaa bade bhai.....

woh aaye ghar meiN hamaare KHuda ki kudrat hai
kabhee ham unko, kabhee apne ghar ko dekhte haiN

aur aap ne mujh gareeb ko jo izzat bakshii hai main yaqeenan uskaa rattee bhar bhii nahii hoon, magar aapki muhabbat hai jo aapne aisaa kahaa aur maana.... aise chahne waale naseebwaalon ko milte hain.... aur ham sau baar sadqe jaate hain aapki inaayaton par.....

aapke mashware ko ham sar maathe par lagaate hain aur koshish banae rakhenge k aap jaise sukhanwar ko agar ek lamhe ko bhi mutmaeen kar sake to hamaari khushnaseebi hogii....

duaaon ka talabgaar

Shaad...........

kaahe TaaNg kheech riye ho miyaaN!

yaqeen jaano, taQalluf nai kar riya hooN , na to aadat hai aur na hi fitrat hai hai aisi harqatoN ki :)

badaa mann hai, ya khwaab keh lijiye ke "ek shaam" aisi ho ke maiN, aap, Anu aur do-ek sho'ra idhar se, mil baiTheN to ziNdagii kuch maqaam paa jaye :)

jeete raho mere bhai, Allah aapko aur aapke parivaar ko taNdrus'tii aur dheroN khushiyoN se nawaaze!

rab raakha

sameer'shaad' 2nd July 2016 03:55 AM

Quote:

Originally Posted by masti (Post 493487)
waah shaad ji

ek ajeeb se kashish thi iss kalaam mein................ek ajeeb sa dard.............bohut khubsoorat ghazal hui hai.........har baar ki tarah.

bohu bohut mubarak.

bahut bahut shukriyaa aapka Sarikaa jee...... bahut khushi huii aapko bazm me maujood dekh kar,.....

sameer'shaad' 2nd July 2016 03:55 AM

Quote:

Originally Posted by ISHK EK IBADAT (Post 493521)
bahut khoob shaad bhai har ashar lajwaab.....................

aapki inaayaton ke liye tahe dil se shukrguzaar hoon Rajinder ji.....

aate rahiyegaa

shaad...

sameer'shaad' 2nd July 2016 03:57 AM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 493558)
kaahe TaaNg kheech riye ho miyaaN!

yaqeen jaano, taQalluf nai kar riya hooN , na to aadat hai aur na hi fitrat hai hai aisi harqatoN ki :)

badaa mann hai, ya khwaab keh lijiye ke "ek shaam" aisi ho ke maiN, aap, Anu aur do-ek sho'ra idhar se, mil baiTheN to ziNdagii kuch maqaam paa jaye :)

jeete raho mere bhai, Allah aapko aur aapke parivaar ko taNdrus'tii aur dheroN khushiyoN se nawaaze!

rab raakha

janaab Ahlan.....

aapki duaaon par mere thartharaate hue labb faqat itnaa hi kah sakte hain..... Aameen. :) :)

duaaon ki darkhaast...

Mukhlis...

All times are GMT +5.5. The time now is 11:52 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.