Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Sharaab (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=3)
-   -   uske aansuo par taras kha ke pee gaya (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=49956)

sunita thakur 19th June 2006 04:26 PM

uske aansuo par taras kha ke pee gaya
 
dostoyeh share mera nahi hai, par mujhe behad pasand hai, so mai appko bhi sunana chahati hu.

gaur farmayega:

"Lehro'N se khelta hua lehra ke pee gaya,
mai sakki ki nazar par bal kha ke pee gaya,
maine chod di thi, par roney laggi sharab,
mai uskey aansuo par taras kha ke pee gaya"

mratul2000 11th July 2006 12:23 PM

hum to samjhe the ki barsaat main barsegi sharaab,

barsaat aayi to barsaat ne dil tod diya...

mratul2000 11th July 2006 12:25 PM

hi all, i tis not mine.. but i must share with u all .. here..

kal tak to kaheta tha ki bistar se utha jata nahin ,
aaj uth gaya duniya se , bata itni takat kahan se aa gayi....

mratul2000 11th July 2006 12:27 PM

arz kiya hai...

saaki ne naa dekhe honge humse sharaabi,
ki maikhana pee gaye peete peete..

saaki ne na dekhe honge humse sharabi,
ki maikhan bhi gaye peete peete...

sunita thakur 4th August 2006 03:51 PM

Quote:

Originally posted by mratul2000
hi all, i tis not mine.. but i must share with u all .. here..

kal tak to kaheta tha ki bistar se utha jata nahin ,
aaj uth gaya duniya se , bata itni takat kahan se aa gayi....

hello dost

appke share ka reply kar rahi hu:

arz kiya hai:

"kahdey meri laash par kahtey hai woh has kar,
aji tum to kahtey thy ki mujhe neend nahi aati"

mratul2000 4th August 2006 04:44 PM

Jara Gaur Farmaiye
meri urdu bahut achchhi nahin hai, maafi chahunga, yadi koi galti ho jaye to.

" Dekha ki -e-bo mast nigahon se baar baar,
jab tak sharaab aayi , kai daur ho gaye".

mratul2000 4th August 2006 04:45 PM

" kaun Kahta hai ki aasmaan main suraakh nahin ho sakta,

Ek patthar to tabiyat se uchhalo yaaro. "

sunita thakur 4th August 2006 04:49 PM

Quote:

Originally posted by mratul2000
" kaun Kahta hai ki aasmaan main suraakh nahin ho sakta,

Ek patthar to tabiyat se uchhalo yaaro. "

mujhe to urdu ke bahut kum words hi yaad rahtey hai.

"milla baharo ko fareb teri berukhi se verna,
yeh pedoo se pattey jadney ka mousam na tha"

sunita thakur 4th August 2006 05:00 PM

Quote:

Originally posted by mratul2000
Jara Gaur Farmaiye
meri urdu bahut achchhi nahin hai, maafi chahunga, yadi koi galti ho jaye to.

" Dekha ki -e-bo mast nigahon se baar baar,
jab tak sharaab aayi , kai daur ho gaye".

"jaam nahi to na sahi, ankho se hi pilla de saaki,
kaise uth jau maikhane se abhi hosh hai bakki"

mratul2000 5th August 2006 05:18 PM

" Dil ne bahut samjhaya akele safar karne ko,
hum karwan ke saath gaye aur rasta bhatak gaye".

mratul2000 5th August 2006 05:20 PM

" Bo kagaj ki naav tumhari kaise doob gayi Zafar,
tum to yaar bade maahir they aisi naav chalane main".

sunita thakur 7th August 2006 10:56 AM

Quote:

Originally posted by mratul2000
" Bo kagaj ki naav tumhari kaise doob gayi Zafar,
tum to yaar bade maahir they aisi naav chalane main".

"kismat ne mujhe dhokha diya har pal,
meri naav waha doobi jaha pani tha kum"

mratul2000 7th August 2006 11:48 AM

" Buland hausale Fateh ki buniyaad hua karte hain,
kaanpate hathon se talwaar na uthaya kijiye".

" Bhulana humko na itna assan hoga,
gujarish ye hai ki koshish to kijiye".

sunita thakur 7th August 2006 05:27 PM

Quote:

Originally posted by mratul2000
" Buland hausale Fateh ki buniyaad hua karte hain,
kaanpate hathon se talwaar na uthaya kijiye".

" Bhulana humko na itna assan hoga,
gujarish ye hai ki koshish to kijiye".

"jab jab tumey bulaya tum aur yaad aaye,
jatey nahi hai dil se ab tak tumarey saaye,
tumse bichdney ka jab bhi khayal aaya,
tanhai to kaya hum mahfil mai bhi gabraye"

mratul2000 7th August 2006 05:30 PM

bahut khoob Sunita ji, Bahut khoob, kafi dinon ke baad koi umda sher suna hai. tahe dil se taarif karna chahoonga.

Atul

sunita thakur 8th August 2006 09:15 AM

Quote:

Originally posted by mratul2000
" Buland hausale Fateh ki buniyaad hua karte hain,
kaanpate hathon se talwaar na uthaya kijiye".

" Bhulana humko na itna assan hoga,
gujarish ye hai ki koshish to kijiye".

Atul ji appne appna naam to bataya, bahut bahut shukriya. aur mera share appko pasand aaya, yeh pad kar accha lagga.

arz hai:

"aaj phir dil se ek awaaz aai hai,
is liye humne ye shayari bnai hai,
aapko bhulane ki koshish kaise karen hum,
nas nas mein teri yaad samaai hai"

appki dost

mratul2000 8th August 2006 10:37 AM

"Achchhi Surat bhi kyaa Shai hai,
jisne daali buri nazar dali".

Atul

sunita thakur 8th August 2006 10:41 AM

Quote:

Originally posted by mratul2000
"Achchhi Surat bhi kyaa Shai hai,
jisne daali buri nazar dali".

Atul

"us par hi na janey kyu aa gaya appna dil,
vaise masoom se surat wale to kai firtey hai"

mratul2000 8th August 2006 11:55 AM

"Maloom hai ki safar na assan hoga ye,
kadam fir bhi teri or badhe jate hain"

Atul

sunita thakur 8th August 2006 12:06 PM

Quote:

Originally posted by mratul2000
"Maloom hai ki safar na assan hoga ye,
kadam fir bhi teri or badhe jate hain"

Atul

"socha tha ab na jayegey us taraf,
par rasta kuad hi mud jaye to kaya kare"

appki dost

mratul2000 8th August 2006 12:15 PM

"Ab to pairon par bhi bas na raha hamara,
khud -ba-khud tere ghar ki or chale jate hain".

Atul

sunita thakur 8th August 2006 12:21 PM

Quote:

Originally posted by mratul2000
"Ab to pairon par bhi bas na raha hamara,
khud -ba-khud tere ghar ki or chale jate hain".

Atul

"appne pairon par lagga lo tum bandishy,
jaha jo bhi aaya hai qatal hokar gaya hai"

mratul2000 8th August 2006 12:28 PM

"mere katilon ki talaash main kai log jayenge jaan se,
mere katal main mera haath hai, kisi ko bhi pata na hoga".

Atul

mratul2000 8th August 2006 01:10 PM

" Hum to sar par kafan baandh ke aaye hain,
barna hum aur apse is tarah guftagu karte".

sunita thakur 8th August 2006 03:48 PM

Quote:

Originally posted by mratul2000
"mere katilon ki talaash main kai log jayenge jaan se,
mere katal main mera haath hai, kisi ko bhi pata na hoga".

Atul

"tu etna shatir hoga yeh humey andaza na tha,
khar ishq mai tu akhir appni manzil to pa gaya"

ahsan 9th August 2006 02:02 AM

SALAM...........

SHUKRIYAA AAP KA JOH AAPNE MERE ASHAAR KO PHIR SE YAHA DORAYA THAX ONCE AGAIN GOD BLESS U.....................

sunita thakur 9th August 2006 11:47 AM

Quote:

Originally posted by ahsan
SALAM...........

SHUKRIYAA AAP KA JOH AAPNE MERE ASHAAR KO PHIR SE YAHA DORAYA THAX ONCE AGAIN GOD BLESS U.....................

balekum salaam

sir app kis ashaar ki baat kar rahey hai, mai samji nahi. agar app last wala kah rahey hai, to pls dont mind yeh maine kuad joda hai. aur agar appke kisi share se milta hai to pls mujhe maaf karey. mujhe b pasand nahi hai ki mai kisi ka likha phir likhu.

appki dost

sunita thakur 11th August 2006 03:41 PM

Quote:

Originally posted by sunita virender
"tu etna shatir hoga yeh humey andaza na tha,
khar ishq mai tu akhir appni manzil to pa gaya"

atul ji appka reply nahi aaya, i m waiting........!

mratul2000 11th August 2006 03:50 PM

Mai akela hi chala tha janibemanzil ki taraf,
Log aate gaye aur karwa banta gaya.

Atul

mratul2000 11th August 2006 04:02 PM

Sunita ji,
ye lines mujhe bahut pasand hain. jitni baar sunta hoon utna aur sunane ki ichchha hoti hai.

please parh kar reply jaroor kariye. ki apko kaisi lagi?.

------------------------------------------------------------------------

E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.
------------------------------------------------------------------------

sunita thakur 11th August 2006 04:38 PM

atul ji yeh shayri bahut hi acchi hai, es ke jawab dena to bahut mushkil hai, phir bhi koshish jaroor karugi.

"eh mere dost aisa bhi kabhi hua hai kaya,
jo hum mangey woh kabhi milla hai kaya,
aur yeh baata aisa bhi kabhi hua hai kaya,
jisey hum dil se chahey woh kabhi milla hai kaya,
bin mangey to bahut kuch mil jaata hai jaha,
par waffa ke badley kabhi waffa milli hai kaya,
jiska mahboob ka naam dil par woh likh deta hai,
uska naam hattho ki lakeero mai kabhi likha hai kaya"

appki dost

-sunita virender

dilip200 11th August 2006 05:58 PM

kaya baat hai didi aapki hazir jawabi ka
pata nahi itne acche shawad dhood ke kahan se lati ho
jawab padkar maza aa gaya

dilip

sunita thakur 14th August 2006 12:01 PM

Quote:

Originally posted by dilip200
kaya baat hai didi aapki hazir jawabi ka
pata nahi itne acche shawad dhood ke kahan se lati ho
jawab padkar maza aa gaya

dilip

dilip agar appko mere yeh shawad acchey lagey to bahut kushi ki baat hai, vaise maine to atul ke likhey ka jawab hi diya hai.

thanks alot

tumari didi

Diggaj_Dave 14th August 2006 03:37 PM

Re: uske aansuo par taras kha ke pee gaya
 
Bohat khoob jee

aaj kaafi dino baad ish mehkhane mein aaya aur aapki post dikh gayi jaisa socha tha vaisa hi khoobsurat sher padhne ko mila

Dard-e-dil walo ka bas yahi thikana hai
mere ghar k pass khula ek mehkhana hai
dard-o-ghum ki har dawa yaha milti hai
is liye hi hamara yahaaN aana jana hai....

koi dum nahi mere sher mein bas taang adane ki aadat jo hai...hahaha

Shukriyah sunita jee itna acha likhne k liye

Quote:

Originally posted by sunita virender
dostoyeh share mera nahi hai, par mujhe behad pasand hai, so mai appko bhi sunana chahati hu.

gaur farmayega:

"Lehro'N se khelta hua lehra ke pee gaya,
mai sakki ki nazar par bal kha ke pee gaya,
maine chod di thi, par roney laggi sharab,
mai uskey aansuo par taras kha ke pee gaya"

mratul2000 14th August 2006 04:17 PM

"Kar diye taj mahal ke tukade tukade humane
Faink kar abe yamuna main patthar"

sunita thakur 15th August 2006 02:12 PM

Re: Re: uske aansuo par taras kha ke pee gaya
 
Quote:

Originally posted by Diggaj_Dave
Bohat khoob jee

aaj kaafi dino baad ish mehkhane mein aaya aur aapki post dikh gayi jaisa socha tha vaisa hi khoobsurat sher padhne ko mila

Dard-e-dil walo ka bas yahi thikana hai
mere ghar k pass khula ek mehkhana hai
dard-o-ghum ki har dawa yaha milti hai
is liye hi hamara yahaaN aana jana hai....

koi dum nahi mere sher mein bas taang adane ki aadat jo hai...hahaha

Shukriyah sunita jee itna acha likhne k liye

Diggaj ji bahut accha lagga appko es mahkhane mai dekh kar, aur appney jo share likha hai bahut lajwaab hai. umeed karti hu es mahkhane mai aana janna nahi chodeygey app.

"dard had se gujar jaye to tu hi batta kaya karey,
tere ghar ke paas wale mehkahne mai aakar marey,
2 gunt piney ko milley na miley tere se nazar jaroor miley,
jo nasha teri nazro mai miley woh sharab mai kaha miley"

appki dost

sunita thakur 15th August 2006 02:16 PM

Quote:

Originally posted by mratul2000
"Kar diye taj mahal ke tukade tukade humane
Faink kar abe yamuna main patthar"

"taj mahal ke tukade karke kaya samjtey ho,
tum bewaffeai karne wallo ke kudha ban gaye,
aji janab ishq to dil mai hota hai taj mai nahi,
aise sitam sahney ke baad ishq aur nikharta hai"

-sunita virender

Kailash Bodade 2nd September 2006 04:18 PM

Quote:

Originally posted by mratul2000
hi all, i tis not mine.. but i must share with u all .. here..

kal tak to kaheta tha ki bistar se utha jata nahin ,
aaj uth gaya duniya se , bata itni takat kahan se aa gayi....

EDITED

reason : Bad choice of words

Kailash Bodade 2nd September 2006 04:22 PM

Taj ke sitam
 
Quote:

Originally posted by sunita virender
"taj mahal ke tukade karke kaya samjtey ho,
tum bewaffeai karne wallo ke kudha ban gaye,
aji janab ishq to dil mai hota hai taj mai nahi,
aise sitam sahney ke baad ishq aur nikharta hai"

-sunita virender

MESSAGE DELETED

WARNING POINTS GIVEN

ANOTHER SUCH MISTAKE AND YOU WILL BE BANNED

Kailash Bodade 2nd September 2006 04:37 PM

Sunita and Dilip
 
How is life, ye jindagi galey laga ley...

All times are GMT +5.5. The time now is 01:37 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.