Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   General Stories (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=30)
-   -   kismat ki kahani (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=71387)

PREMCHANDJAKHMI 2nd October 2010 01:38 AM

kismat ki kahani
 
Hai friends,

Kismat Ki Kahani

Ek ladka tha jo kabhi kisi ladki ki taraf ankh bharkar nahi dekhta tha. Ek din uske ghar uske bhai ki
Shadi thi, Us ke liye woh bhai ki shadi ke cards dene apne friends & reletives ke ghar jakar unhe cards
dene laga. Us ke kuch reletives dusre state me rahte the aur shadi ko 5 din hi baki the woh jaldi jaker
ana jaldi wapas ana tha. woh apne reletives ke ghar pahunca aur unhe card diye aur mila. Us kya pata
tha ke uski zindagi ke haseen waqt shuru ho chuke hai. wahan use ek badi hi kubsurat ladki dikhayee
padi, usane jab usse nazre milayee to woh apni nazare zuka nahi saka woh ladki bhi use usi tarha dekhati
rahi.

Us ladke ko jald hi apne shahar lautna pada. is liye woh us ladki ki yaaden apne dil me liye wapas apne
shaher lout gaya. Na jane use kya ho gaya tha uska dhyan kaam me bilkul nahi lagne laga. woh kuch karne
lagta to us ladki ka khubsurat sa chehra uske samne aa jata aur woh bus use dekhta rahta. Din guzar gaye
shadi ka din aaya aur uski adhuri kwahish ko bhi saath laya. woh ladka use dikhte hi khusi se phula nahi
samaya aur woh phir pahle ki tarha kam karne laga aur chori chori us ladki ko dekhane laga . woh ladki bhi
use chori chori dekhti thi. par woh dono ne apni zuban tak nahi kholi. ladka to pahle hi sharmila tha woh
kya baat karta ladki bhi majboor thi sirf dekhti rahi. Shadi ke baad woh sab log apne shaher janeke liye
nikal gaye to woh ladka unhe station par chodne gaya. uski nazaren bus us ladki ki taraf thi jo use chori chori
dekh rahi thi aur kuch ankho hi ankho me keh rahi thi "tumse juda hone ko dil nahi chah raha hai par kya karun
majbboori me dilse rona aa rha hai".ladka usse kuch na kah saka aur woh log chale gaye par ladke ki aur ek
kwahish adhuri rahgayi us ladkise baat karne ki . Ladka ankho hi ankhon me hui baat se to bahot khush tha par
uska dil is baatse bahoot gahrayi me chala gaya. Us ladkeko us ladki ki nazaron ne aisa ghayal kiya jaise kisi udte
hua parinde ko tir war lagta hai.

Ladka us ladki ki yadon me itna kho jata ke use kuch samajme nahi aata. do mahine gujar gaye the
ladke ko usse milne ka maan karne laga aur kismat ne uska sath diya us ladki ke bhai ki shadi ka awsar
aaya jo woh ladka nahi chodna chahta tha par office se chutti bhi to nahi mil rahi thi is liye usne apne
boss ko resignation letter diya aur azad panchi ki tarha us ladki ke shaher nikal gaya.


Doston Aaj may tumhe is kahani ke sabhi patraon ka Introduction detahu Sameer ( kahanika hero )
Aayesha ( Kahaniki heroin ) Aman (heroin ka cousien) Reshma heroki cousieni......etc

Sameer jab Aayesha ke ghar pahuncha to Aayesh ke chehre ki muskurahat kuch dekhne layak thi
woh sharmakar under chali gayee, Sameer ne Aman se baatchit ki to udharse Reshma aagaye aur kehne
lagi wah Bhaiya bade khudgarz ho apne shahar se hame hito phone lagate ho aur yahan aane ke baad
hame hi bhool gaye. Reshma bade mazakhi kisam ki thi par woh bhi nahi janti thi ke may Aayesha ko
chahne laga hoon aur uske bina shayad ab ji bhi nahi sakta. aur usse hi milne aaya hun.

Shadi ka din tha itne anjaan logon me Aman hi mera jaan pehchana aur acha dost tha. par woh bhi
Sameer ki tarha shrmila tha. Aman ki umar Ayesha ke bade bhai ke umar ke barabar thi is andaz se
Sameer ne Aman se kaha "ab tumhari bhi shadi jald ho jayengi" tab Aman ka jawab kuch is tarha tha
" Abhi to is gharme shadi ho rahi hai mujhe to abhi ek saal to rukna hi padenga " Is jawab me kai
raaz the jise Sameer samaje uske pahle Aman ne saaf saaf bata diya ke uska rishta uske gharwalon ne
Aayesha ke saath bachpan me hi tay kiya tha. Aisa jawab sunkar Sameer ke Hosh ud gaye use aisa laga
jese uske sunhare sapne ko kisi ne nind se jagakar tode diya.

Sameer ki ankhon me jaise moti nikalne bakithe woh jhatse baat banakar wahanse chala gaya. phir
shamtak woh kisi ko nazar hi nahi aaya sab log use dhund rahe the aur chinta kar rahe the lekin woh
ek park me jakar apna dil halka kar raha tha uske ansu rukne ka naam nahi le rahe the woh apne apko
sambhalne ka prayas kar raha tha Sham me shadi ka waqt ho gaya tha uske dhyan se hi nikal gaya tha ke
woh Aayesha ke bhai ki shadi me aaya hai. Jab use yaad aaya to usne jhatse apne apko sambhala aur
Shadi ke liye sidhe function hall me jaa pahuncha, par barat abhi aaye nahi thi aur dulhan wale use
pahchante nahi the isliye woh aur jayada bore hone laga par barat ke pahle ladies ki cars ani chalu ho gayi
jisme ek car me use Aayesha bhio nazar aayi Aayesha ne use dekha aur sidhe uski taraf badne lagi par
Sameer use dikhte hi wahanse nikalne laga. Par Aayesha ne idhar deka na udhar dekha aur use awaz dene lagi
Sameer...............

Sameer ruk gaya aur Aayesha ke aane ka intezar karne laga. Aayesha aayi aur usse kahne lagi kahan rah gaye
the tum kitna pareshan ho gaye the sab log tumare liye aur apna mobile bhi band rakha kyo? ......................
Sameer ne kaha kya Aayesha tum bhi pareshan ho gayi thi ? Aayesha ne nazaren jhookai aur kaha haan,,,,,,,
Phir sameer ne apne apko sambhala aur kaha barat kab tak ayengi. Aayeshane bataya barat tumhara intezar kar rahi hai
tum jaldi jao aur bhaiya ko smajhao ke barat chalni chahiye ! Sameer ne jaldi se khaha kyo barat mere bager nahi aa sakti
kya may thode hi dulha hun? ......... Aayeshane bataya ke Bhaiya apke saath hi chalna chahte hai. Aap jaldi jao yeh
Sunkar woh jane laga to Aayesha ne uske ek cousin ke sath bhej diya..................?

Udar Aman ke maan me Sameer ke prati shakh ho gaya ke woh AAyesha se pyar karne laga hai. Aur Aayesha ki
bhi harkate use samajme aane lagi thi.Sameer jaise hi wahan pahuncha Aayesha ka bhai usse kahane laga kya bhai
aise hi kahi chale jate hai kya ? May tumhare liye hi ruka hun chalo jaldi kahan chale gaye the ? ..........................
Sameer ne usse kaha sorry baba may trafik me fus gaya tha abto chalo jaldi dulhan wale intezar kar rahe hai mai
wahan se hi aaya hun .......... Barat nikli sab nach rahe the Aman bhi naacha raha tha Aayesha ke bhai ne Sameer se
request ki ke plz woh bhi naache to Reshma bhi wahan aa gayi aur Sameer ko naachne ke liye force karne lagi.
Sameer aur Reshma ne milkar khoob dance kiya aur barat Dulhanke ghar tak pounch gayi.

Wahan Aayesha aur sabhi log Dance dekhane ke liye bahar aa gaye to Reshma ne Aayeshaka hath pakad kar
Sameer ke hath me diya aur nachane ke liye kaha Aman yeh dekhkar dance ring se bahar ho gaya aur dusre sabhi
log jo nach rahe the woh bhi bahar ho gaye aur Aayesha aur Sameer dono hi naacha rahe the unhone bhi khoob
dance kiya aur Dulhan walon ne ab gad bad karni chalu kar di..................................Shadi ho gaye aur Sameer ne
Shadi ki photografi aur Video shutting karne laga. Shadi ke bad dinner ke bad Sameer thak gaya tha isliye woh
ghar wapas aaya aur so gaya par barati kab wapas aye use pata hi nahi tha.

Reception ke din Sameer ne jane ke liye aapna saman badha par Aayesha ke bhai ne use rok liya. Sameer ne bahot
kam hai bataya par wahan Aayesha aagayi aur usne bhi rukne ke liye force kiya to sameer naa na keh saka ..........
reception ke bad Sameer akela betha dekhkar wahan Reshma aa gayi aur uske khamoshi ka raaz janne lagi. Tab
Sameer ne Reshma se bataye ke woh yahan sirf aur sirf Aayesha ke liye aaya tha par use jab maloom hua ke Aayesha ki
shadi bachpan me hi Amanse tay huyi hai to............................ Reshama ne usse kaha ke Aayesha bhi tumhe chati hai
aur woh tumse shadi karna chahti hai! Aisa sunte hi Sameer ka dil khush ho gaya woh Bahot khus hua aur usne sidhe
aayesha se baat ki lekin Aayeshane usse bataye ke may tumse is bare me baad me baat karoogi...............................
Sameer samajha ke woh bhi counfuse hongi is liye usne maan liya aur apne shahar wapas aa gaya ..........? Kuch dino baad
Reshma se baat hui to usne use sab kuch bataya Reshma ne kaha ke Aman Aayesha ke ghar walon par dabao dal raha hai
ke uska ingagement Aayesha ke sath kardo .........? Phir Sameerne kuch dino baad Aayesha ko call lagaya to Aayesha ne
bataya ke Aman ne uske ghar walon par bahot pressure diya hai ke uska mere Sath ingagement kardi jaye mere samaj me nahi
Aaraha hai Sameer ke may kya karun .......................................

Tum mujhe bhool jao Sameer ? ...................................

Sameer ne apne apko sambhala aur Ayesha se kaha "Ayesha kya tum mujhe
bhool paungi? Aayesha rone lagi. Sameer ne kaha chahe tumhare dil me mere
liye mohobbat na ho par mayne apni mohobbat ko bahot sambhal kar rakha hai
ye to meri zindagike sath hi juda hongi.

Sameerki aur ayeshaki baten jo bahothi dard bhari thi vahin paas khadi sameer ki mummy ne sunli ?

Aur jaisake doston maine pahle bataya ke sameer ke famelly me sameer ke
mummy ki baat koi nahi tal sakta tha means unke high image stutus thi.

Sameer ki mummy ko jab pata chala ke Sameer aur Aayesha ek dusre ko jaan
se jayada chahte hai to Sameer ki mummy ne turant Sameer ke rishte ki baat Aayesha ke papa se kehdi tab Aayesha ke papa ka Inkar kaise ho sakta uske papane sari baten batayi tab Sameer ki mummy ne Aman se baat ki ke beta
" Hum tumara dil nahi todna chate par apne bete ka dil bhi tute kaise dekh sakte hai ? Uski mummy ne Aman ko samjaya aur Aman ne Aayesha ke mummy papase mafi mangi aur Aayesha ka hath Sameer ke hath me deneke liye kah diya ?

Aur doston kuch hi dino me unki ingagement hone wali hai!

Aur is tarha se Sameer ki kismat kahani ne naya mode liya aur Aayesha ke
sath zindagi ka safar gujarne ke liye din gin ne laga....................

secret admirer 2nd October 2010 01:56 AM

isse edit karke iska font bold karo plz.........

loveforgudia 2nd October 2010 02:06 AM

Hello Dear ... hum aap ka sdc ki mahefil mai swaagat karte hai .. aur ummid karte hai ki aap ka har pal yahaan haste muskuraate guzare ...

Kahaani bhi bahot achchhi hai ... humse isse ..SHARE karne ke liye .. Thank you ..

Par ek baat kahena chaahenge .. ki agar aap kisi ka likha huaa kuchh bhi share karte hai yahaan .. shayri, ghazal, kavita .. yaa stories ..or anything.. to please ..nichhe uss ke writer ka naam likhiye .. aur aap ko writer ka naam nahi pata to please Not Mine ...likhiye .. jis se likhi hui rachanaa yaa story ki credit proper writer ko mile .. hum ummid karte hai ki humaari iss baat ka aap bura nahi maanenge...

Aur ye story jo aap ne share ki hai yahaan .. woh yahaan ke jaane maane shaayar .. "Kwahish" Ji ,.. (Sameer Ji) ki hai ... link to the story

http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=65689

Par .. aap ne isse ek baar fir hum sab ke saath share kiya uss ke liye aap ka shukariya ...

once again welcome .. and have a great time .....ahead

Bhagwaan Ji aap ko har khushi de,

Aapki Dost: Gudia

Jay Ambe

mittal_pali 10th February 2011 10:38 AM

thanks for sharing...................


All times are GMT +5.5. The time now is 09:01 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.