Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Aapki Shayri (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=32)
-   -   Haan main toh ik beti hoon (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=74809)

masti 18th July 2012 11:45 AM

Haan main toh ik beti hoon
 
Dekh ke jise ho gaye the udaas
haan main toh ik beti hoon

Jiske aane se tooti, har aas
haan main toh ik beti hoon

Apnon ke liye nahi thi kabhi khaas
haan main toh ik beti hoon

Bojh samajhne ka hai riwaz
Haan main toh ik beti hoon

Dee seekh sada chup rehne ki,
chheeni mujhse meri aawaaz
haan main toh ik beti hoon

Baapu ki chinta ka kaaran,
bhai ke sehti hoon mijaaz
Haan main toh ik beti hoon

Tum samjho mujhko sadaa paraaya
tum mein basti par meri saans
haan main toh ik beti hoon

secret admirer 18th July 2012 01:33 PM

Dee seekh sada chup rehne ki,
chheeni mujhse meri aawaaz
haan main toh ik beti hoon

aapka naam to nahi janta par itna zaroor kahunga ki ye panktiyaaN mujhe kuch yaad sa dila gayiN..........khair, koi baat nahi.......apki is acchi peshkash par meri taraf se Daad kabool karein .....!!!

aapka.

masti 19th July 2012 09:59 AM

shukriya secret admirer ji aapne mujhe padha aur haunslaa afzaayi ki

-masti

kshitiz 20th July 2012 03:41 PM

ye wala bhi bahut achha hai par pata nahi kyuN i feel like ki ye aapka bahut pehle ka likha hai ..
khair
daad phir se haazir hai
apna khyaal rakhiye

Abid_Majaaz 22nd July 2012 10:08 PM

Abid Afzal Majaaz ki taraf se daad qabool kijiey.

naresh_mehra110 6th August 2012 02:18 PM

Quote:

Originally Posted by masti (Post 439690)
Dekh ke jise ho gaye the udaas
haan main toh ik beti hoon

Jiske aane se tooti, har aas
haan main toh ik beti hoon

Apnon ke liye nahi thi kabhi khaas
haan main toh ik beti hoon

Bojh samajhne ka hai riwaz
Haan main toh ik beti hoon

Dee seekh sada chup rehne ki,
chheeni mujhse meri aawaaz
haan main toh ik beti hoon

Baapu ki chinta ka kaaran,
bhai ke sehti hoon mijaaz
Haan main toh ik beti hoon

Tum samjho mujhko sadaa paraaya
tum mein basti par meri saans
haan main toh ik beti hoon

WaaH ! UmdaaH ..................... !!!!!!!!!!! :)

Rashmi sharma 6th August 2012 10:45 PM

bahut khoob masti ji ........aap hi ko dedicate kuch panktian.........
main bhi kr sakti hoon roushan tera naam
kya huaa jo main ek beti hoon
main bhi dila sakti hoon
kalpna chawla jaise, sunita willium jaise
sania mirza jaise, sarojni naydu jaise
indra ghandhi jaise aur raani jhansi jaise
tere naam ko ek pehchaan
kya hua jo main ek beti hoon
sadion se main deti aai tere vansh ko ek naam
kya hua jo main ek beti hoon
kabhi maa, kabhi beti,
kabhi patni, kabhi pemika
kabhi sati kabhi switari
kabhi apsra to kabhi devika
mere sab roopo,n ko kiya toone bhi to salaam
kya hooa jo main ek beti hoon

ehthishamulhaq 3rd September 2012 06:57 PM

aadab
 
Behen bohut hi acha likha hai aapne ne,

aaj ke zamane ko dekh ke , main har behen se yahi kenha chahta hun,

jiyo toh aise jiyo ,
ke izzat ki baarish hojaye ,
doh din ki bhi agar zindagi ho,
toh babul tere naam kar jaye..

Quote:

Originally Posted by masti (Post 439690)
Dekh ke jise ho gaye the udaas

haan main toh ik beti hoon

Jiske aane se tooti, har aas
haan main toh ik beti hoon

Apnon ke liye nahi thi kabhi khaas
haan main toh ik beti hoon

Bojh samajhne ka hai riwaz
Haan main toh ik beti hoon

Dee seekh sada chup rehne ki,
chheeni mujhse meri aawaaz
haan main toh ik beti hoon

Baapu ki chinta ka kaaran,
bhai ke sehti hoon mijaaz
Haan main toh ik beti hoon

Tum samjho mujhko sadaa paraaya
tum mein basti par meri saans
haan main toh ik beti hoon

masti 4th September 2012 09:58 PM

shukriya aap sabka isey padne aur mera housla badaane ke liye.

kshitz pata nahi aapko aisa kyun laga magar ye purana nahi hai.

rashmi ji & ehtishaamulhaq ji aapke khyalat jaan kar bohut accha laga kaash sab log is baat ko aur beti ke dard ko samjhe. aaj ke zamaane mein bhi pade likhe logon ki iss tung soch par gussa aur sharm donon aati hai, aur sabse zyada dukh tab hota hai jab ye soch kisi aurat ki hoti hai.

kuch hi din pehle kisi ko beti hone par mubarakbaad di par us insaan ka chehra aise utra tha jaise koi chhuut ki bimaari aa gayi ho, mera mubarakbaad dena bhi jaise bura laga, tabhi ye khayaal aaya.

Rajeev Sharma 5th September 2012 04:53 PM

Quote:

Originally Posted by masti (Post 439690)

Bojh samajhne ka hai riwaz
Haan main toh ik beti hoon

bahut hi sunder ............................

sameer'shaad' 11th June 2014 12:50 PM

atyadhik samvedansheel..... no words to speak with, i am just speechless.

Shaad...

masti 12th June 2014 04:55 PM

Quote:

Originally Posted by Rajeev Sharma (Post 440370)
bahut hi sunder ............................

Shukriya rajeev ji.......................Deri ke liye maafi chaahti hun.

Apki Dost
Masti

masti 12th June 2014 04:56 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 459476)
atyadhik samvedansheel..... no words to speak with, i am just speechless.

Shaad...

Shukriya Shaad ji.......................:)

Yeh mere dil ke bohut kareeb hai.

Regards
Sarika

masti 12th June 2014 05:01 PM

Quote:

Originally Posted by naresh_mehra110 (Post 439952)
WaaH ! UmdaaH ..................... !!!!!!!!!!! :)

Shukriya Naresh ji..........Maafi chahungi der ke liye bohut kam aati thi yahan isliye aapka shukriya adaa na kar paayii.

AAp jaise umdaa shayar ne isey padaa aur apna aashirvaad diya, iskey liye dil se aapka ek baar phir shuriyaa.

-Masti

zainy 21st June 2014 07:17 PM

Quote:

Originally Posted by masti (Post 439690)
Dekh ke jise ho gaye the udaas
haan main toh ik beti hoon

Jiske aane se tooti, har aas
haan main toh ik beti hoon

Apnon ke liye nahi thi kabhi khaas
haan main toh ik beti hoon

Bojh samajhne ka hai riwaz
Haan main toh ik beti hoon

Dee seekh sada chup rehne ki,
chheeni mujhse meri aawaaz
haan main toh ik beti hoon

Baapu ki chinta ka kaaran,
bhai ke sehti hoon mijaaz
Haan main toh ik beti hoon

Tum samjho mujhko sadaa paraaya
tum mein basti par meri saans
haan main toh ik beti hoon

Bohat khoob sarika ji. ..dil ko chu lene waale ehsaas hain...

N@zneen 21st June 2014 08:09 PM

Kaash ki ma baap samajh sakte ki ladkiyan bojh nahin hoti, nazuk si ladkiyan apno keliye to apni sari khushiyan qurbaan karne taiyar hojati hain, har ek roop me har kadam par kabhi beti kabhi behen kabhi ma kabhi premika bankar qurbani deti hain, ek ladki hone ki wajahse zindagi bhar ladki hone ka karz utarti rehti hain phir bhi kahin na kahin kami reh jati hai qki wo to ladki hai.

Sarikaji afsos hua jaankar us aurat k bare me jisne ladki ko janam di aur usse mu mod li jab janam dene wali maa k ye ehsas hain to bakiyon ko kya kehna, Khuda ki di hui rehmat hoti hain betiyan inse mohabbat karni chahiye.

Sarikaji apke har ek shabd me dard aur afsos hai, ye rachna mere dil ko chu gai.

Harash Mahajan 28th June 2014 10:22 PM

Quote:

Originally Posted by masti (Post 439690)
Dekh ke jise ho gaye the udaas
haan main toh ik beti hoon

Jiske aane se tooti, har aas
haan main toh ik beti hoon

Apnon ke liye nahi thi kabhi khaas
haan main toh ik beti hoon

Bojh samajhne ka hai riwaz
Haan main toh ik beti hoon

Dee seekh sada chup rehne ki,
chheeni mujhse meri aawaaz
haan main toh ik beti hoon

Baapu ki chinta ka kaaran,
bhai ke sehti hoon mijaaz
Haan main toh ik beti hoon

Tum samjho mujhko sadaa paraaya
tum mein basti par meri saans
haan main toh ik beti hoon

Sarika ji MAA SHAA ALLAH aap ne bahoot hi khobsoorat ahsaasoN se labrez ye nazm....dil maiN utar jane wali...ye shayad...dil se nikalne wali awaaz...ajab si feel paida karne wale alfaz...waah....betiyoN ke baare meiN kehna hi dil ko itna emotional kar deta hai....sach meiN jo betiyaaN ma baap ke liye kar sakti haiN wo......
lekin samaaz ki dharna...inke prati aisi kyuN hai...samajh se parey hai.....bahut ho behtareen peshkash ...daad....is par ek Qatta aapki nazm ko smarpit...

विदा हुईं जो बेटियां तो दिल को लू गयीं,
परदेस क्या गयीं बाबुल की निकल रू गयी ।
खामोशियाँ जो छायीं थीं रुख्सती के वक़्त,
हलक के शब्द ला ज़ुबाँ पे दिल को छू गयीं ।

__________हर्ष महाजन

sabhaar

Harash Mahajan

masti 2nd July 2014 05:14 PM

Quote:

Originally Posted by zainy (Post 460237)
Bohat khoob sarika ji. ..dil ko chu lene waale ehsaas hain...

Shukriya Zainy................:)

Apki Dost
Sarika

masti 2nd July 2014 05:27 PM

Quote:

Originally Posted by N@zneen (Post 460242)
Kaash ki ma baap samajh sakte ki ladkiyan bojh nahin hoti, nazuk si ladkiyan apno keliye to apni sari khushiyan qurbaan karne taiyar hojati hain, har ek roop me har kadam par kabhi beti kabhi behen kabhi ma kabhi premika bankar qurbani deti hain, ek ladki hone ki wajahse zindagi bhar ladki hone ka karz utarti rehti hain phir bhi kahin na kahin kami reh jati hai qki wo to ladki hai.

Sarikaji afsos hua jaankar us aurat k bare me jisne ladki ko janam di aur usse mu mod li jab janam dene wali maa k ye ehsas hain to bakiyon ko kya kehna, Khuda ki di hui rehmat hoti hain betiyan inse mohabbat karni chahiye.

Sarikaji apke har ek shabd me dard aur afsos hai, ye rachna mere dil ko chu gai.

Sach kaha aapne Naaz ji

Kab samjhenge log ki jis din hum apni soch badal lenge us din samaj badal jayega, uss din beta beti baraabar ho jayenge. "Khuda ki rehmat hoti hai betiyan" bilkul sach kahaa magar jo taraste hain unko kabhi kabhi nahi milti hain betiyan, uske liye bohut kismat chahiye.

yaad hai mujhe when I was carrying Suhani, anubhav (Mast) used to pray everyday for a daughter koi galti se bhi keh de ki beta ho gaya toh? Gussa aa jata tha unko. Suhani ke hone har jaise ki samaaj ka ek warg aata hai duaein dene aur paise mangne toh jab anu ne unhe 2100 rs. diye toh woh bolne lage ladki hai isliye ye le rahi hu ladka hota to double leti, anu ka gussa satven aasmaan par pohunch gaya aur unke muh se nikla ladka hota toh iske aadhe bhi naa deta :p:p

Shukriya.

Apki Dost
Sarika

masti 2nd July 2014 05:51 PM

Quote:

Originally Posted by Harash Mahajan (Post 460592)
Sarika ji MAA SHAA ALLAH aap ne bahoot hi khobsoorat ahsaasoN se labrez ye nazm....dil maiN utar jane wali...ye shayad...dil se nikalne wali awaaz...ajab si feel paida karne wale alfaz...waah....betiyoN ke baare meiN kehna hi dil ko itna emotional kar deta hai....sach meiN jo betiyaaN ma baap ke liye kar sakti haiN wo......
lekin samaaz ki dharna...inke prati aisi kyuN hai...samajh se parey hai.....bahut ho behtareen peshkash ...daad....is par ek Qatta aapki nazm ko smarpit...

विदा हुईं जो बेटियां तो दिल को लू गयीं,
परदेस क्या गयीं बाबुल की निकल रू गयी ।
खामोशियाँ जो छायीं थीं रुख्सती के वक़्त,
हलक के शब्द ला ज़ुबाँ पे दिल को छू गयीं ।

__________हर्ष महाजन

sabhaar

Harash Mahajan

Bohut Bohut Shukriya Harshji.

Aur bohut hi khubsoorat likha hai aapne, dil se daad kabool kijiye.

Regards
Sarika

Madhu 14 21st June 2015 03:11 PM

Quote:

Originally Posted by masti (Post 439690)
Dekh ke jise ho gaye the udaas
haan main toh ik beti hoon

Jiske aane se tooti, har aas
haan main toh ik beti hoon

Apnon ke liye nahi thi kabhi khaas
haan main toh ik beti hoon

Bojh samajhne ka hai riwaz
Haan main toh ik beti hoon

Dee seekh sada chup rehne ki,
chheeni mujhse meri aawaaz
haan main toh ik beti hoon

Baapu ki chinta ka kaaran,
bhai ke sehti hoon mijaaz
Haan main toh ik beti hoon

Tum samjho mujhko sadaa paraaya
tum mein basti par meri saans
haan main toh ik beti hoon

Sarika aapko padhna bahut achcha lagta hai mujhe kyun ki aapke ehsaas mere dil ke bahut kareeb hote hain...jaise kisi ne bas mere khayalon jo awaaz di ho...is baar bhi vahi hua....:) dil kush ho gaya padhkar..bahut kuch badla hai samaaj mein par ab bhi bahut baki hai...betiyon ko apne hak ke liye..ab bhi bahut struggle karna hai...aur aisi kavitayein...logon ke dilon ko zaroor jhakjhorti hongi....
Likhti rahiye...aise hee...
khush raho....

sunita thakur 22nd June 2015 02:31 PM

Dear Sarika..................lafz nahi hai mere paas...aik aik lafz dil ko chuu gya...!

god bless u dear

Quote:

Originally Posted by Rashmi sharma (Post 439956)
bahut khoob masti ji ........aap hi ko dedicate kuch panktian.........
main bhi kr sakti hoon roushan tera naam
kya huaa jo main ek beti hoon
main bhi dila sakti hoon
kalpna chawla jaise, sunita willium jaise
sania mirza jaise, sarojni naydu jaise
indra ghandhi jaise aur raani jhansi jaise
tere naam ko ek pehchaan
kya hua jo main ek beti hoon
sadion se main deti aai tere vansh ko ek naam
kya hua jo main ek beti hoon
kabhi maa, kabhi beti,
kabhi patni, kabhi pemika
kabhi sati kabhi switari
kabhi apsra to kabhi devika
mere sab roopo,n ko kiya toone bhi to salaam
kya hooa jo main ek beti hoon

Rashmi ji....Sarika ki rachna ka aapne bakhoobi jawaab diya...aap dono ko padna accha lga.

masti 24th July 2015 11:19 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 480003)

Sarika aapko padhna bahut achcha lagta hai mujhe kyun ki aapke ehsaas mere dil ke bahut kareeb hote hain...jaise kisi ne bas mere khayalon jo awaaz di ho...is baar bhi vahi hua....:) dil kush ho gaya padhkar..bahut kuch badla hai samaaj mein par ab bhi bahut baki hai...betiyon ko apne hak ke liye..ab bhi bahut struggle karna hai...aur aisi kavitayein...logon ke dilon ko zaroor jhakjhorti hongi....
Likhti rahiye...aise hee...
khush raho....

Bohut bohut shukriya madhu usey phir se ateet ke panno se bahar nikalne ke liye.

Sach keh rahi hain abhi aur bohut waqt lagega mansikta badalne mein. Badlaav to aa raha hai magar gati bahut dheemi hai.

All times are GMT +5.5. The time now is 07:38 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.