![]() |
tamaam maikash pukaar uT,Thay...
Dosto, aaj mire marGhuub Shaa'ir Janaab Shakil Badayuni ki ik Ghazal pesh-e-Khidmat hai, ummid hai aap ko pasand aayegi. ------------------------------------------------- Ghazal Lateef pardoN se thay numaayaaN makeeN ke jalve makaaN se pehle muHabbat aa’inah ho chukee thii, vajuud -e-bazm-e-jahaaN se pehle nah woh mire dil se baa-Khabar thay, nah un ko eHsaas-e-aarzuu thaa magar nizaam-e-wafaa thaa qaa’im, kushuud raaz-e-nihaaN se pehle har eik ‘unvaan-e-dard-e-furqat hai ibtidaa sharH-e-mudd’a ki ko’ii bataaye kih yeh fasaanah sunaaye un ko kahaaN se pehle masarrateN raazdaar-e-Gham thiiN, masarrotoN meN alam tha pinhaaN jabhi to SeHn-e-chaman meN shaayad bahaar aayii KhizaaN se pehle samajh rahaa thaa kih naa-ummeedii nah pardah-daar-e-umeed hogii nazar uThaa kar jo maiN ne dekhaa, Ghubaar thaa kaarvaaN se pehle uThaa jo meenaa ba-dast saaqii, rahii nah kuChh taab-e-zabt baaqii tamaam maikash pukaar uT,Thay, “yahaaN se pehle, yahaaN se pehle" qasam fareb-e-nigaah-o-dil ki, hameN to us justajuu ne khoyaa wahiiN thi dar-asl apni manzil, qadam uThay thay jahaaN se pehle ajal se shaayad likhay hu`e thay :Shakeel: qismat meN jo’r paiham khuli jo aankheN us anjuman meN nazar milee aasmaaN se pehle ~Shakeel Badayuni ================================================== ======= |
waaahhhhhhhhhhhhhhh.............. din bana diyaa bgm saahab.
kmaal ki ghazal peshe ki hai........ waaahhhhhhhhh |
Quote:
bas ek guzarish hai ki...urdu ke alfazon ki meaning aur add karenge to badi mehar bani hogi...aur ham jaise..naye logon ko samajhne me asaani hogi... ......ummeed hai meri baat ka bura nhi manege aap... .. duaon k sath.. |
Madhu ji, aadaab!
Ghazal aap ko pasand aayii to mujhe Khushii hu'ii. aap ne mushkil alfaaz ke m'aanii bataane ki guzaarish kee hai, us ke javaab meN mira kehnaa hai kih kaun se alfaaz mushkil haiN yeh to pataa chale! agar aap yaa ko'ii bhi member is ki nishaandihi kare to Insha Allah maiN zaruur bataa'uuNgaa jo mujhe pataa hai yaa us :source: ki taraf jaane kaa raastaa bhi dikhaa duuNgaa. yehi ik tareeqah hai seekhne aur seekhaane kaa. ~B.G. ===================================== |
Quote:
sabse pahle to bahut shukriya ki aapne meri baat ko tawajjo di...aur reply kiya.bilkul sahi farmaya aapne..yahi ek tareeka hai seekhne sikhane ka...is ghazal ki baat karein to..sdc me kuch doston ki madad se ise to maine pad liya aur samajh bhi liya..to isme kuch poochna nhi ab...haan aage se koi bhi ghazal padhoongi to alfazon ke sath hazir houngi...:)..... abhi ijazat chaungi... apna khyaal rakkhein.. duaon ke sath..... |
All times are GMT +5.5. The time now is 02:10 PM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2021, Jelsoft Enterprises Ltd.