Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Sher of the Day....... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76126)

sameer'shaad' 28th January 2018 09:12 PM

Ibne Mariyam huaa kare koii,
mere dukh ki dawaa kare koii....

-Ghalib

Madhu 14 6th February 2018 08:56 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 496394)
Ibne Mariyam huaa kare koii,
mere dukh ki dawaa kare koii....

-Ghalib

Waah waaaaaaah.... Bahot khoob..

sameer'shaad' 22nd February 2018 03:56 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 496406)
Waah waaaaaaah.... Bahot khoob..

shukriyaa madhu ji..................................

MANOJTANHA 4th March 2018 08:04 PM

वक्त
 
कहते है कि वक्त सुब कुछ भुला देता है
कहते है कि वक्त हर जख्म भर देता है
ढूंड रहाँ हूं मैं वो वक्त आज तक
भुला तुझे पाउँ या भर पाउँ वो जख्म

मनोज तन्हा

MANOJTANHA 4th March 2018 08:09 PM

इजहारे इश्क़ हम कभी ना कर पाए, ये खता थी हमारी
आँखों मे पढ़ कर भी अनजान बने रहे, ये अदा थी तुम्हारी,
अपना तुम्हे मान कर भी अपना कहें कैसे
बस इसी कशमकश मे गुजर गई ये जिंदगानी हमारी।

मनोज तन्हा

Qasid 10th March 2018 10:23 PM

Quote:

Originally Posted by MANOJTANHA (Post 496434)
इजहारे इश्क़ हम कभी ना कर पाए, ये खता थी हमारी
आँखों मे पढ़ कर भी अनजान बने रहे, ये अदा थी तुम्हारी,
अपना तुम्हे मान कर भी अपना कहें कैसे
बस इसी कशमकश मे गुजर गई ये जिंदगानी हमारी।

मनोज तन्हा

khayaal aacha hai saheb likhte rahiye

MANOJTANHA 3rd April 2018 11:24 AM

Quote:

Originally Posted by Qasid (Post 496443)
khayaal aacha hai saheb likhte rahiye

shukriyaa qasid bhai, bas kabhi kuch khyalaat aate hain to likh dete hain.

MANOJTANHA 3rd April 2018 11:27 AM

दिल तड़पा, तड़प कर सब्र कर गया
मगर मुझको मुझसे बेदखल कर गया
बहुत तड़पा तड़प कर कुछ कहने के लिए
हर हर्फ़ जुबान पर आते आते रह गया

मनोज तन्हा

Qasid 7th May 2018 09:52 PM

Kaash dil mein tune apne na basaya hota
Malaal jeene ka is dil mei.n na aaya hota

MANOJTANHA 8th May 2018 04:22 PM

तन्हायी, तन्हायी का ये आलम, तन्हायी ही का तो सहारा है,
इस तन्हायी को तो मत छीन ए खुद्गर्ज ज़माने |


मनोज तन्हा

MANOJTANHA 8th May 2018 04:33 PM

Quote:

Originally Posted by qasid (Post 496533)
kaash dil mein tune apne na basaya hota
malaal jeene ka is dil mei.n na aaya hota


मलाल जीने का दिल में मेरे कभी ना आया होता,
गर दिल में उसके, एक छोटा सा कोना मिल गया होता|

मनोज तन्हा

Phoenix 29th May 2018 01:14 PM

Sar-e-bazaar me unhone hamare bol lagaye
Jinko kharidne ke liye hum khud bikne aaye the

Madhu 14 29th May 2018 03:01 PM

Quote:

Originally Posted by Phoenix (Post 496544)
Sar-e-bazaar me unhone hamare bol lagaye
Jinko kharidne ke liye hum khud bikne aaye the

Waaaahhhhh.......................bahot khoob...

sameer'shaad' 5th June 2018 04:31 PM

palaT kar chal diye jab tum hame tanhaaiyaaN de kar,
to hamne khud se bhi saare hi rishtey khatm kar Daale..

Shaad...

Phoenix 29th June 2018 10:34 PM

dil ka aalam
 
Dil ka aalam kyun tere jaane se yun badal gaya
Ek pal pehle to zinda tha, dusre pal me marr gaya.

sameer'shaad' 30th June 2018 07:57 PM

Quote:

Originally Posted by Phoenix (Post 496574)
Dil ka aalam kyun tere jaane se yun badal gaya
Ek pal pehle to zinda tha, dusre pal me marr gaya.

waahhhh kya khoob sher hai...........................

Phoenix 2nd July 2018 03:01 AM

Uss Ghar ki har cheez me tere yaadein basar karte the
Jisko main todd diya bas tujhe bhulane ke liye

sameer'shaad' 8th August 2018 08:58 AM

Quote:

Originally Posted by Phoenix (Post 496581)
Uss Ghar ki har cheez me tere yaadein basar karte the
Jisko main todd diya bas tujhe bhulane ke liye

Khoobsurat sher pesh kiya hai aapne waaahhhh....

sameer'shaad' 16th August 2018 10:12 AM

Kon rakkhegaa is ujRe se afsaane ko yaad,
Waqt ke saath hame log bhool jaaenge....
Shaad...

sameer'shaad' 7th September 2018 08:16 PM

Itnii bhi dooriyaaN na badheN aap me ham me,
Milne pe khairiyat ki jagah naam pooch leN.....

Shaad....

sunita thakur 12th September 2018 12:16 PM

"ham nahi badleNge waqt ki raftaar ke saath,
jab bhi mileNge andaaz............purana hoga"
-nm

Phoenix 12th September 2018 09:59 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 496624)
Kon rakkhegaa is ujRe se afsaane ko yaad,
Waqt ke saath hame log bhool jaaenge....
Shaad...


Kya baat hai


Batein bhool jaate hain
Yadein yaad aate hain

Madhu 14 1st October 2018 01:29 PM

Mujhme baki nahi Kahiin bhi main
Aur kirdaar sare rahte hain
Khud Ko Naraaz kar liya jab se
ghar me gulzaar sare rahte hain
Madhu..

Phoenix 21st October 2018 02:39 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 496682)
Mujhme baki nahi Kahiin bhi main
Aur kirdaar sare rahte hain
Khud Ko Naraaz kar liya jab se
ghar me gulzaar sare rahte hain
Madhu..




Simply wow....kya baat hai madhu ji

Phoenix 21st October 2018 02:50 PM

Sukun ki do pal ki talash me
Unke sahar se dur jaane ka faisla kya kar diya
Koi bewafa to aur koi dagebaaz ka taz pehna diya...

sameer'shaad' 7th November 2018 05:12 PM

Quote:

Originally Posted by Phoenix (Post 496698)
Sukun ki do pal ki talash me
Unke sahar se dur jaane ka faisla kya kar diya
Koi bewafa to aur koi dagebaaz ka taz pehna diya...

bahot khoob............................................. ........

sameer'shaad' 7th November 2018 05:13 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 496682)
Mujhme baki nahi Kahiin bhi main
Aur kirdaar sare rahte hain
Khud Ko Naraaz kar liya jab se
ghar me gulzaar sare rahte hain
Madhu..

waaaahhhhhhhhhh kyaa kahne....................................

bahot khoob.....

Shaad....

sameer'shaad' 11th January 2019 08:25 AM

gurez-paa hai nayaa raasta kidhar jaaeN

chalo ki lauT ke ham apne apne ghar jaaeN...

Not mine...

maikasH 20th January 2019 05:18 AM

ai ishq ye sab duniya vaale be-kaar ki baateN karte haiN

paayal ke GhamoN ka ilm nahiN jhankaar ki baateN karte haiN


Shakeel Badayuni

maikasH 20th January 2019 05:32 AM

youN pukaare haiN mujhe kuucha-e-jaanaaN waale
idhar aa bey, abey, o chaak garebaaN waale

Mir Taqi Mir

sunita thakur 22nd January 2019 02:05 PM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 496776)
ai ishq ye sab duniya vaale be-kaar ki baateN karte haiN

paayal ke GhamoN ka ilm nahiN jhankaar ki baateN karte haiN


Shakeel Badayuni

wahhh bahut khoobsurat sher share kiya aapne....shukriya Maikash ji

sunita thakur 22nd January 2019 02:14 PM

ham to samajhe the ke ek zaKhm hai bhar jaayegaa
kyaa Khabar thii ke rag-e-jaa.N me.n utar jaayegaa

~Parveen Shakir~

sameer'shaad' 2nd February 2019 10:26 AM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 496777)
youN pukaare haiN mujhe kuucha-e-jaanaaN waale
idhar aa bey, abey, o chaak garebaaN waale

Mir Taqi Mir

waaaahhhh maiksah bhai............. shaandaar sher.

sameer'shaad' 2nd February 2019 10:27 AM

Quote:

Originally Posted by sunita thakur (Post 496779)
ham to samajhe the ke ek zaKhm hai bhar jaayegaa
kyaa Khabar thii ke rag-e-jaa.N me.n utar jaayegaa

~Parveen Shakir~

behad dard bhara sher kaha sunitaa dee..... laajwaab

Phoenix 24th February 2019 10:42 PM

Roz sochta hun aaj kuch likh dun
Magar har lafz tumpe hi aake khatm hote hain
Likhun to likhun kaise.

sunita thakur 4th May 2019 11:51 AM


apne hisse ke sab ko sehne haiN,
dard ye keh kam naheeN hoNge,
yaar milte raheiN jawaani ke,
umr dhalne ke gham naheeN hoNge :)

-Zarra

sameer'shaad' 26th May 2019 09:26 AM

Hamii maikash, hamii saaqii , hamee hain jaame mai aur ham hi paimaane,
Jo apnaa ishq naa hotaa , kahaan ye mashgale hote...

Shaad...

satyaa 27th May 2019 01:30 AM

Ye Dard ko Dard hone Laga
Dard Zakhmon ko Dhone Laga
Main Na Roya Dard se
Dard Mujhko Chukar Rone laga

Phoenix 28th May 2019 02:58 PM

Quote:

Originally Posted by satyaa (Post 496862)
Ye Dard ko Dard hone Laga
Dard Zakhmon ko Dhone Laga
Main Na Roya Dard se
Dard Mujhko Chukar Rone laga

Kya baat hai............................................... ..

Phoenix 28th May 2019 03:01 PM

Kabhi tanhayion me baith ke kisi ke intezaar karte the.
Aaj intezaar karte karte khud tanha ho gahe....


All times are GMT +5.5. The time now is 05:34 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.