Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Sher of the Day....... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76126)

Madhu 14 30th June 2015 01:30 PM

duniyaa ne kis kaa raah-e-vafaa me.n diyaa hai saath
tum bhii chale-chalo yuu.nhii jab tak chalii chale

NM

sunita thakur 30th June 2015 01:58 PM

"jo bhi aaye hai tere pehlu meiN baithe hai,
bata ham kahan tak sarkate jaaye"
-nm

Qasid 30th June 2015 05:33 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 480659)
"jo bhi aaye hai tere pehlu meiN baithe hai,
bata ham kahan tak sarkate jaaye"
-nm

Wah Di bahut khoob sher hai :):):):):)

Qasid 30th June 2015 05:37 PM

Jabse naseeb ki lakeeron ko padhne ka hunar seekha
Aye khuda maine sabhi ilzaam apne sar hai le liye

Madhu 14 30th June 2015 07:23 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 480659)
"jo bhi aaye hai tere pehlu meiN baithe hai,
bata ham kahan tak sarkate jaaye"
-nm

Waaaahh kya khoob sher share kiya di....

Madhu 14 30th June 2015 07:24 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 480672)
Jabse naseeb ki lakeeron ko padhne ka hunar seekha
Aye khuda maine sabhi ilzaam apne sar hai le liye

Waaaaahh!!
Bahut khooob sher kaha mast ji...........

Madhu 14 1st July 2015 01:43 PM

ye na jaanaa the ki us mahfil me.n dil rah jaa.egaa
ham ye samjhe the chale aa.e.nge dam bhar dekh kar


MAMNOON NIZAMUDDIN

sameer'shaad' 1st July 2015 01:54 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 480748)
ye na jaanaa the ki us mahfil me.n dil rah jaa.egaa
ham ye samjhe the chale aa.e.nge dam bhar dekh kar


MAMNOON NIZAMUDDIN

waahhhhhhhhhhhhh............. ye sher pesh kiyaa aapne, laakhon me ek.....
abhi tak iske nashe me jhoom rahe hain....... abhut ummdah..... TFS

Madhu 14 1st July 2015 02:00 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 480749)
waahhhhhhhhhhhhh............. ye sher pesh kiyaa aapne, laakhon me ek.....
abhi tak iske nashe me jhoom rahe hain....... abhut ummdah..... TFS

sharing ki pasandigi ka shukriya shaad...

sunita thakur 1st July 2015 03:00 PM

Mil kar juda hue toh na soya karenge hum,
ek doosre ki yaad mein roya karenge hum.
-Qateel Shifai

Qasid 2nd July 2015 07:41 AM

Dil pe aae huye ilzaam se pehchaante hai
log ab mujhe tere naam se pehchaante hai

Qateel Shifai

Madhu 14 2nd July 2015 10:37 AM

Qateel sahab ke bahut khoobsoorat sher pesh kiye aap dono ne....waah!!

Taish 2nd July 2015 11:30 AM

miri raakh me thi kahin kahin mere ek khwaab ki kirchiyaaN,
mere jism-o-jaan me chipa hua teri qurbaton ka khayaal tha...

----Unknown

sameer'shaad' 2nd July 2015 11:50 AM

aayee hogee hijr me kisii ko maut,
mujh ko to neend bhii nahii aatee...


-Akbar Allahabaadi.

Madhu 14 2nd July 2015 12:07 PM

Quote:

Originally Posted by Taish (Post 480858)
miri raakh me thi kahin kahin mere ek khwaab ki kirchiyaaN,
mere jism-o-jaan me chipa hua teri qurbaton ka khayaal tha...

----Unknown

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 480864)
aayee hogee hijr me kisii ko maut,
mujh ko to neend bhii nahii aatee...


-Akbar Allahabaadi.

kya baat bahut khoob sher...share karne ka shukriya shaad ji aur taish ji...

Madhu 14 2nd July 2015 12:19 PM

kuchh aur bhii saa.Nse.n lene par majabuur-saa mai.n ho jaataa huu.N
jab itane ba.De ja.ngal me.n kisii insaan kii Khushbuu aatii hai .....

qateel sifai

sunita thakur 3rd July 2015 11:39 AM

khwaab kuch raat bhar jale haiN yahaaN,
raakh aaNkhon pe mal raha hooN maiN...
-Taish

sameer'shaad' 3rd July 2015 03:05 PM

Be-khudee me le liyaa bosaa khataa keeje mu'aaf,
ye dile betaab kii saaree khataa thee , main na thaa..

-Zafar

Madhu 14 3rd July 2015 03:47 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 480986)
Be-khudee me le liyaa bosaa khataa keeje mu'aaf,
ye dile betaab kii saaree khataa thee , main na thaa..

-Zafar

Waah...khoob sharing shaad ji...

ISHK EK IBADAT 3rd July 2015 04:44 PM

Socha karte h hum yu hi kabhi ki tum na hote to kya hote,
Dil mein hota kitna dard or safar kitna tanha hota.

Qateel shifai

Taish 3rd July 2015 05:41 PM

ham nay unkay saamnay awwal to awwal to khanjar rakh diya,
phir kaleeja rakh diya,dil rakh diya,sar rakh diya...

----Daagh Dehalvi

sunita thakur 4th July 2015 09:55 AM

Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai “Qateel”
Jaane Kis Desh Gaye Pyaar Nibhaane Waale ?

-Qateel Shifai

Taish 4th July 2015 11:28 AM

ab naa maa.Nge.nge zindagii yaa rab
ye gunaah ham ne ek baar kiyaa

---Gulzar

ISHK EK IBADAT 4th July 2015 12:11 PM

Teri Halat Se Lagta Hai Tera Apna Tha Koi,
Itni Sadgi Se Barbad Koi Gair Nahi Karta

Qateel Shifai

Madhu 14 4th July 2015 12:28 PM

Waahhh!Umda sher pesh kiye hain aap sab ne...

Madhu 14 4th July 2015 05:04 PM

Chalo Achha Hua Kaam AA Gai Deewaangi Apni
Varna Ham Zamaane Bhar Ko Samjhaane Kahaan Jaate
(Qateel sifai)

bhushan 4th July 2015 06:08 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 481080)
Chalo Achha Hua Kaam AA Gai Deewaangi Apni
Varna Ham Zamaane Bhar Ko Samjhaane Kahaan Jaate
(Qateel sifai)

Waaah kyaazal yaad dila di aapne Madhu ji.

bhushan 4th July 2015 06:10 PM

Tumhari berukhi ne laaj rakhli badakhane ki
Tum aankho se pila dete to paimane kahan jate

Qateel Sifai

Qasid 5th July 2015 12:46 PM

Quote:

Originally Posted by bhushan (Post 481084)
Tumhari berukhi ne laaj rakhli badakhane ki
Tum aankho se pila dete to paimane kahan jate

Qateel Sifai

Bahut khoob janaab..umda sher share kiya hai aapne...

Qasid 5th July 2015 12:48 PM

kuchh is adaa se aap ne puuchhaa miraa mizaaj
kahnaa pa.Daa ki shukr hai parvardigaar kaa

JALEEL MANIKPURI

ISHK EK IBADAT 5th July 2015 12:56 PM

Mere ghumgeen hone par ahbaab hain yun hairaan ‘qateel
jaise main patthar hun mere seene mein jazbaat nahin. !!

Qateek Shifai

Taish 5th July 2015 01:07 PM

Aankhoon ka rang, baat ka lehja badal gaya
wo shaks aik sham main kitna badal gaya !

---Not Mine

Taish 6th July 2015 11:35 AM

uska ab bhi suroor hai mujh pe,
aaj vo bhi utaar de saaqi...

----Taish

Madhu 14 7th July 2015 12:33 PM

ik dhuup sii jamii hai nigaaho.n ke aas paas
ye aap hai.n to aap pe qurbaan jaa_iye ...
NM

tabaah 7th July 2015 11:50 PM



कभी जो थक जाओ तुम दुनिया की महफिलों से,
हमें आवाज दे देना, हम अकसर अकेले होते हें.

nm

Qasid 8th July 2015 08:04 AM

Quote:

Originally Posted by tabaah (Post 481239)


कभी जो थक जाओ तुम दुनिया की महफिलों से,
हमें आवाज दे देना, हम अकसर अकेले होते हें.

nm

Wah bahut khoob aur gehra sher hai yeh....adaab aapko is sher par...

sameer'shaad' 8th July 2015 10:10 AM

itnaa to mujhe yaad hai kuch usne kahaa thaa,
kyaa usne kahaa thaa ye mujhe yaad nahii hai...

nm

Madhu 14 8th July 2015 10:13 AM

Quote:

Originally Posted by tabaah (Post 481239)


कभी जो थक जाओ तुम दुनिया की महफिलों से,
हमें आवाज दे देना, हम अकसर अकेले होते हें.

nm

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 481263)
itnaa to mujhe yaad hai kuch usne kahaa thaa,
kyaa usne kahaa thaa ye mujhe yaad nahii hai...

nm

kya baat hai...bahut hee behtareen sher share kiye hain aap dono ne...bahut shukriya....

Madhu 14 8th July 2015 10:46 AM

ab kahaan dost mile sath nibhane wale..
sab ne seekhe hain adab zamaane wale...

sada ambalvi

sameer'shaad' 8th July 2015 10:54 AM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 481281)
ab kahaan dost mile sath nibhane wale..
sab ne seekhe hain adab zamaane wale...

sada ambalvi

waahh kya abaat hai madhu ji.......... bhaut ummdah sher hai


All times are GMT +5.5. The time now is 11:24 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.