Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Dil ki hasrat...........( Ghayel ) (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=71213)

sajid_ghayel 16th September 2010 03:39 PM

Dil ki hasrat...........( Ghayel )
 
Ek nayee aag phir lagi hai abhi
Dil ki hasrat koi jali hai abhi



Kaun kehta hai door woh humse
Ek sadaa phir wahi suni hai abhi



Humse mayoos woh bhi rehte hai
Jinse rishta koi nahi hai abhi



Waqt_e_sajda khayaal aaya hai
Dil me khwaish koi buri hai abhi



Logh khud me dafan bhi hote hai
Dil me chahat kaiee dabi hai abhi



Jaisi marzi teri guzari hai
Jaisi kal thi zindagi hai abhi



Teri surat hai chand si lekin
Teri seerat kaha bhali hai abhi





naresh_mehra110 16th September 2010 05:52 PM

Kaun kehta hai door woh humse
Ek sadaa phir wahi suni hai abhi

Humse mayoos woh bhi rehte hai
Jinse rishta koi nahi hai abhi

Kaun kehta hai door woh humse
Ek sadaa phir wahi suni hai abhi


Good One...... Sajid Bhai !

Very Nice Creation...

dil se daad hazir hai...

aise hi behtar kalaam ke saath aate rahen aage bhi... khush rahen...

duaaon ke saath...

m.mayoos 16th September 2010 06:22 PM

Quote:

Originally Posted by sajid_ghayel (Post 410025)
Ek nayee aag phir lagi hai abhi
Dil ki hasrat koi jali hai abhi



Kaun kehta hai door woh humse
Ek sadaa phir wahi suni hai abhi



Humse mayoos woh bhi rehte hai
Jinse rishta koi nahi hai abhi



Waqt_e_sajda khayaal aaya hai
Dil me khwaish koi buri hai abhi



Logh khud me dafan bhi hote hai
Dil me chahat kaiee dabi hai abhi



Jaisi marzi teri guzari hai
Jaisi kal thi zindagi hai abhi



Teri surat hai chand si lekin
Teri seerat kaha bhali hai abhi





Good one Ghayel,

yeh khoob rahaa

Humse mayoos woh bhi rehte hai
Jinse rishta koi nahi hai abhi

zidd 17th September 2010 05:37 PM

Quote:

Originally Posted by sajid_ghayel (Post 410025)
Ek nayee aag phir lagi hai abhi
Dil ki hasrat koi jali hai abhi



Kaun kehta hai door woh humse
Ek sadaa phir wahi suni hai abhi



Humse mayoos woh bhi rehte hai
Jinse rishta koi nahi hai abhi



Waqt_e_sajda khayaal aaya hai
Dil me khwaish koi buri hai abhi



Logh khud me dafan bhi hote hai
Dil me chahat kaiee dabi hai abhi



Jaisi marzi teri guzari hai
Jaisi kal thi zindagi hai abhi



Teri surat hai chand si lekin
Teri seerat kaha bhali hai abhi






ghayal sahab.....kin lafzo me aapki taareef karu....samajh nahi aa rah hai.....

itna kamaal ki beherbandi ki hai...ki hai ..ki lab sil gaye.....khushi se seeTee bhi nahi bajaa paa raha hu.....agar mera ghar ground floor par hota to zarur khushi ke maare apne balcony se kuud jata.....

ek syllable bhi apke meter me bharti ka nahi hai.....
poori ghazal me sirf aur sirf ek misre me bahut bahot mamuli meter laDkhdaya hai..vo hai

Jaisi kal thi (___)zindagi hai abhi...bus yaha ek chota harf/lafz ki zarurat hai

aaj wakai itni khushi hui hai ki bayaa na kar paa raha hu....
aaj ek naya saajid sahab ka janm huaa hai....
aapki fikr hamesha bemisaal rahi hai....isliye aap GFFC ke malik hai
ab apke paas tecnic bhi hai aur urdu aapki maadri zabaan to hai hi....
mujhe poora yakeeen hai ki ek din ham sabko kahenge ki saajid sahab to hamaare dost hai ...aap itne famous ho jayenge...aap dekhna

bus lage rahiyega ab...ab koi bebeher ghazal nahi sunana....aaj ke baad
ise ek challenge hi samjh lijiye khudse.....
bhale 10 din ka gap aa jaaye......

my salute to you sir

regards

zainy 21st September 2010 10:52 PM

Kaun kehta hai door woh humse
Ek sadaa phir wahi suni hai abhi


Humse mayoos woh bhi rehte hai

Jinse rishta koi nahi hai abhi


BOHAT KHOOB SAJID SAHAB.............

ISHK EK IBADAT 21st September 2010 11:08 PM

Quote:

Originally Posted by sajid_ghayel (Post 410025)
Ek nayee aag phir lagi hai abhi
Dil ki hasrat koi jali hai abhi



Kaun kehta hai door woh humse
Ek sadaa phir wahi suni hai abhi



Humse mayoos woh bhi rehte hai
Jinse rishta koi nahi hai abhi



Waqt_e_sajda khayaal aaya hai
Dil me khwaish koi buri hai abhi



Logh khud me dafan bhi hote hai
Dil me chahat kaiee dabi hai abhi



Jaisi marzi teri guzari hai
Jaisi kal thi zindagi hai abhi



Teri surat hai chand si lekin
Teri seerat kaha bhali hai abhi






sajid bhai
radhe radhe

bahut khoob.......dil se daad........
duaon ke saath

vikramjethi 22nd September 2010 08:09 PM

Quote:

Originally Posted by sajid_ghayel (Post 410025)
Ek nayee aag phir lagi hai abhi
Dil ki hasrat koi jali hai abhi



Kaun kehta hai door woh humse
Ek sadaa phir wahi suni hai abhi



Humse mayoos woh bhi rehte hai
Jinse rishta koi nahi hai abhi



Waqt_e_sajda khayaal aaya hai
Dil me khwaish koi buri hai abhi



Logh khud me dafan bhi hote hai
Dil me chahat kaiee dabi hai abhi



Jaisi marzi teri guzari hai
Jaisi kal thi zindagi hai abhi



Teri surat hai chand si lekin
Teri seerat kaha bhali hai abhi





kya kahuN sajid saheb...?
mujhe behad khushi hui aapka ye qalaam padh kar....
har sher dil meiN utar gaya hai...bahut khoob bhai...keep it up...

daad haazir hai qubuul kijiyega...:)

LAMHA 22nd September 2010 08:23 PM

Sajid,

wahhhhhhhh.... bahut khoob dost.... har ek sher kaabil-e-tarif hai... aapke ye ehsaas mere dil me utar gaye... dil se daad hazir hai.... yuhi likhte rahiye.... khush rahiye....:):):)

rep+++++++++++++ added :)

aru 24th September 2010 06:51 PM

Humse mayoos woh bhi rehte hai
Jinse rishta koi nahi hai abhi

Teri surat hai chand si lekin
Teri seerat kaha bhali hai abhi

ye lines bahut pyaari laggein .... sajid bhai ..bahut hee khoobsoorati se byaan kiya hai aapne... dil se daad deta hoon...

reps.++++++++++ added

sajid_ghayel 9th October 2010 04:53 PM

Quote:

Originally Posted by naresh_mehra110 (Post 410056)
Kaun kehta hai door woh humse
Ek sadaa phir wahi suni hai abhi

Humse mayoos woh bhi rehte hai
Jinse rishta koi nahi hai abhi

Kaun kehta hai door woh humse
Ek sadaa phir wahi suni hai abhi


Good One...... Sajid Bhai !

Very Nice Creation...

dil se daad hazir hai...

aise hi behtar kalaam ke saath aate rahen aage bhi... khush rahen...

duaaon ke saath...

Naresh bhai aapki mohabbato ko salam........yeh sab aapke aashirwaad ka natija hai jo mehfil me thodi bohat izzat mil jati hai. :)

sajid_ghayel 11th March 2011 02:38 AM

Quote:

Originally Posted by m.mayoos (Post 410062)
Good one Ghayel,

yeh khoob rahaa

Humse mayoos woh bhi rehte hai

Jinse rishta koi nahi hai abhi

Nawazish Karam mere bhai.........:)

sameer'shaad' 11th March 2011 09:50 AM

Sajid bhai, ummeed hai khairiyat se honge....

aaj aapke is kalaam pe nazar gayeee, sabse pahle kahna chahunga pahla misra padhte hi mujhe ek ghazal ki yaad aa gai.....

Dil me ek laher si uthi hai abhi,
koi taaza hawaa chali hai abhi.....


Fir poori ghazal padhta gaya to kahin se ye na laga ki ye kalaam kuch aur hai, yoon laga wahi ghazal chalti jaa rahi hai aur isme naye sher add hue jaa rahe hain... beherbandi ki tareef zidd saahab kar chuke hain, ab hame itni aqqal to hai nahi behar ki, lekin ise padhte waqt kahin aisa na laga ke rythem toot raha hai... bahot khoob kalaam, bahot sacchee koshish........ AAge bhi intezaar rahega aise nagmoN ka...... apna khayaal rakhiyega.

shaad....


All times are GMT +5.5. The time now is 12:58 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.