Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Ishq (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=2)
-   -   Ishq me guroor tha suroor tha ke tum bhi the (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=80320)

Pankaj Mishra 4th April 2018 04:49 PM

Ishq me guroor tha suroor tha ke tum bhi the
 
Ishq me guroor tha suroor tha ke tum bhi the ?
Dil pe ek ajeeb sa fitoor tha ke tum bhi the ??

Rasm the riwaaz the khumaariyan thiN dar ba dar ?
Qitaab-e-aashiqui me bas shaoor tha ke tum bhi the ??

Raat ke gunaahon par gumaan aasma ko tha ?
Chand se baras raha tha, noor tha ke tum bhi the ??

Nazar mili nazar se aur nazar nazar hui nazar ?
Asar faqat nazar ka ek kusoor tha ke tum bhi the ??

Ye baat aur hai ki ishq aadha adhoora tha ?
Chand mere haq me mujhse door tha ki tum bhi the ??

Madhu 14 14th April 2018 02:46 PM

Quote:

Originally Posted by Pankaj Mishra (Post 496492)

Waah Waah.. Bahot khoob pankaj ji..

Aate rahiyega...

Dhaval 21st April 2018 09:36 AM

Pankaj saaheb

Namaste

Umdaah andaaz e bayaaan... Dil se daad hi daad..

Likhte rahiye aage bhee

Khush rahen apna khayal rakhen

Duaaon ke saath ijaazat

Aapka
Dhaval

bhushan 10th May 2018 11:59 PM

Bohot khoob Pankaj ji
Waaaaah kya baat hai. Maza aya aapko padhkar

sameer'shaad' 5th June 2018 04:11 PM

Quote:

Originally Posted by Pankaj Mishra (Post 496492)
Ishq me guroor tha suroor tha ke tum bhi the ?
Dil pe ek ajeeb sa fitoor tha ke tum bhi the ??

Rasm the riwaaz the khumaariyan thiN dar ba dar ?
Qitaab-e-aashiqui me bas shaoor tha ke tum bhi the ??

Raat ke gunaahon par gumaan aasma ko tha ?
Chand se baras raha tha, noor tha ke tum bhi the ??

Nazar mili nazar se aur nazar nazar hui nazar ?
Asar faqat nazar ka ek kusoor tha ke tum bhi the ??

Ye baat aur hai ki ishq aadha adhoora tha ?
Chand mere haq me mujhse door tha ki tum bhi the ??

kya baat hai janaab ummda shayri pesh ki hai aapne is baar

Raat ke gunaahon par gumaan aasma ko tha ?
Chand se baras raha tha, noor tha ke tum bhi the ??

ye sher ke to kyaa kahne...... bahut khoob subhan allah

Shaad....

All times are GMT +5.5. The time now is 05:32 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.