Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Nazm : Raat bhar ......... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76229)

zarraa 22nd August 2013 11:45 PM

Nazm : Raat bhar .........
 
raat bhar thandi thandi hawa jo chalee
soz-e-gham se charaaghaaN ye dil ho utha
lab pe aane lagee khud-ba-khud tishnagee
koyee naghma bhi hothoN pe khulne laga
kis qadar ghaibat-e-yaar khalne lagee

(soz = burning, ghaibat = absence)


yaad aaye puraane naye kuchh rafeeq
haadse kuchh puraane bhi yaad aa gaye
kuchh nayee ranjishoN ke naye waaqye
ab shikaayat bhi kis se kahaaN tak kareiN
jab puraane hoN khanjar naye haathoN meiN
dhooNdhtee reh gayeeN aaNkheiN chehra shafeeq

(rafeeq = companions, shafeeq = compassionate)


kis ke hone ka ehsaas hota hai ye
kis ko deti hai aawaaz tanhaaiyaaN
kis ke qadmoN ki aahat sunaayee si de
kaNpkapaatee si kis ki ye sargoshiyaaN
nak’hat-e-zulf kis ki hawa meiN urhe
kaun haule se hai uNgliyoN se chhuwe
paas kya door bhi tum naheeN ab rahe
ho raha phir hamaare ye kya darmiyaaN


(sargoshiyaaN = whisperings, nak’hat = fragrance)



ZARRAA

aru 23rd August 2013 09:32 PM

bahut khoobsoorrat nazm hai zarra jee.................

zarraa 24th August 2013 11:08 AM

Quote:

Originally Posted by aru (Post 454111)
bahut khoobsoorrat nazm hai zarra jee.................

Pasand karne ka shukriya Aru ji

ISHK EK IBADAT 24th August 2013 10:43 PM

bahut khoob zarraa bhai dili daad hazir hai............radhe radhe

mannjeet 24th August 2013 11:28 PM

bahut khubsoorat rachna hai zarra ji ...........
aise hi likhte rahein

zarraa 25th August 2013 02:38 PM

Quote:

Originally Posted by ISHK EK IBADAT (Post 454124)
bahut khoob zarraa bhai dili daad hazir hai............radhe radhe

Inaayat Ishk ji ... Shukriya !!

zarraa 25th August 2013 02:41 PM

Quote:

Originally Posted by mannjeet (Post 454125)
bahut khubsoorat rachna hai zarra ji ...........
aise hi likhte rahein

Shukriya Mannjeet ji ....Zaroor koshish jaaree rahegee ....

sameer'shaad' 26th August 2013 07:59 PM

Masha Allaah mere bhai........... waaaaahhhhhhhhhhhhhhhh

awwal to takheer se pesh hone ke liye nacheez muafi ka talabgaar hai.. baad iske gar is nazm ki taraf ayeN to uff taubaa qayaamat hai qayaamat saahab......... Wallaaah aise alfaaz aise ehsaas ke barbas hi muh se waahhh nikal jaae.... kisi saagar kinaare thandi hawa ke jhonke saa mehsoos karaati hai aapki nazm.....

aur is kaam me to aap maahir hain... beshaq har baar ki tarah is baar bhi dil jeet liya hai aapne bhai.. hame mureed kar liyaa hai..... likhte rahiye... kalam ka jaadu chalaate rahiye...

Shukriyaa

Shaad.............

Abrarsworld 27th August 2013 01:06 PM

Bohot khoob... Dil ko lage seed he ehsaas aapke...

Duaon ki guzarish,
Abrar.

Manshaa Thaakur 28th August 2013 08:21 AM

bahot bahot umda .............................. :)

zarraa 30th August 2013 09:31 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 454142)
Masha Allaah mere bhai........... waaaaahhhhhhhhhhhhhhhh

awwal to takheer se pesh hone ke liye nacheez muafi ka talabgaar hai.. baad iske gar is nazm ki taraf ayeN to uff taubaa qayaamat hai qayaamat saahab......... Wallaaah aise alfaaz aise ehsaas ke barbas hi muh se waahhh nikal jaae.... kisi saagar kinaare thandi hawa ke jhonke saa mehsoos karaati hai aapki nazm.....

aur is kaam me to aap maahir hain... beshaq har baar ki tarah is baar bhi dil jeet liya hai aapne bhai.. hame mureed kar liyaa hai..... likhte rahiye... kalam ka jaadu chalaate rahiye...

Shukriyaa

Shaad.............

Shaad mere bhai ... Jis ehsaas mohabbat aur apnepan se apne is nazm ko mehsoos kiya aur samjha ...tab ja ke ye nazm kisi bhi laayak huee .. wo jitni
achchhee thi naheen usse barhkar ho gayee hai .... Bhai bahaut bahaut inaayat apki ....lakh lakh shukriya aur lakhon duaein .... Khush Raho aabaad raho .... Zarraa

zarraa 30th August 2013 09:34 PM

Quote:

Originally Posted by Abrarsworld (Post 454149)
Bohot khoob... Dil ko lage seed he ehsaas aapke...

Duaon ki guzarish,
Abrar.

Abraar ji .... Nawazish apki .... Aur bahaut bahaut shukriya apka .... Dheron duaon ke saath .... Zarraa

zarraa 30th August 2013 09:35 PM

Quote:

Originally Posted by Manshaa Thaakur (Post 454157)
bahot bahot umda .............................. :)

Shukriya Mansha ji .... Inaayat

maikasH 9th November 2014 03:05 AM

Zarraa bhai, aadaab aur namaste

BGM saahab ne aapki is nazm ki farmaayish ki thi to maiN dhooNdhte hue idhar aa gaya aur yaqeen kijiye mujhe apni qismat aur masroofiyat donoN par itna gussa aa raha hai ke maiN is baab par haaziri pehle kyoN na de paaya aur aapka shukurguzaar bhi na ho saka

bhai kya kamaal ka takkhayyul aur taGhazzul ataa kiya hai aapko uupar waale ne aur kya hi kamaal ki pakaD hai aapki zabaan-o-lehje par, khuda kare qalam, zehan aur dil ka taal-mel yooN hi banaa rahe aur hum aapke in nageenoN ke husn ka lutf yooN hi uThaate raheN

daad "Tikaa" lijiyega, yaad se.

rab raakha
maikash

zarraa 9th November 2014 11:38 PM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 471442)
Zarraa bhai, aadaab aur namaste

BGM saahab ne aapki is nazm ki farmaayish ki thi to maiN dhooNdhte hue idhar aa gaya aur yaqeen kijiye mujhe apni qismat aur masroofiyat donoN par itna gussa aa raha hai ke maiN is baab par haaziri pehle kyoN na de paaya aur aapka shukurguzaar bhi na ho saka

bhai kya kamaal ka takkhayyul aur taGhazzul ataa kiya hai aapko uupar waale ne aur kya hi kamaal ki pakaD hai aapki zabaan-o-lehje par, khuda kare qalam, zehan aur dil ka taal-mel yooN hi banaa rahe aur hum aapke in nageenoN ke husn ka lutf yooN hi uThaate raheN

daad "Tikaa" lijiyega, yaad se.

rab raakha
maikash

Maikash bhai ... aadaab...khaaksaar ki is maamoolee koshish ko is darja pazeeraayee bakshne ke liye aap ka tah e dil se shukrguzaar hoon. aap ke tashreef laane se waaqayee hausla afzaayee hoti hai. aap ki daad sambhaal kar rakkhi hai sahab !! duaon ke saath ... Zarraa

Hamdam 10th November 2014 08:33 AM

Zarra bhai ..bahut acha nibhaya pure kalam ko aapne ...Yaar apse tau dil ke taar jure haiN.Aaplo perna yaqeenan bahut achcha kagta hai mujhe .

Bhai thora keemti waqt humlogon ko bhi de diya karo bazm mein shirkat ho kar .

Baki.khuda khair kare , aapke naye kalam ka intezar rahega.

Sanjay Sehgal

Pankaj Mishra 10th November 2014 12:26 PM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 454104)
raat bhar thandi thandi hawa jo chalee
soz-e-gham se charaaghaaN ye dil ho utha
lab pe aane lagee khud-ba-khud tishnagee
koyee naghma bhi hothoN pe khulne laga
kis qadar ghaibat-e-yaar khalne lagee

(soz = burning, ghaibat = absence)


yaad aaye puraane naye kuchh rafeeq
haadse kuchh puraane bhi yaad aa gaye
kuchh nayee ranjishoN ke naye waaqye
ab shikaayat bhi kis se kahaaN tak kareiN
jab puraane hoN khanjar naye haathoN meiN
dhooNdhtee reh gayeeN aaNkheiN chehra shafeeq

(rafeeq = companions, shafeeq = compassionate)


kis ke hone ka ehsaas hota hai ye
kis ko deti hai aawaaz tanhaaiyaaN
kis ke qadmoN ki aahat sunaayee si de
kaNpkapaatee si kis ki ye sargoshiyaaN
nak’hat-e-zulf kis ki hawa meiN urhe
kaun haule se hai uNgliyoN se chhuwe
paas kya door bhi tum naheeN ab rahe
ho raha phir hamaare ye kya darmiyaaN


(sargoshiyaaN = whisperings, nak’hat = fragrance)



ZARRAA


Just one word i say.......SUPERB.....bahut achche se jazbaat bayan hue hain sahab......mubarakbaad aapko.....

rajveeer 11th November 2014 06:45 AM

Zaraa ji adaab or tasleem pesh karta hoo.n aapki nazam sach me bhut lajawaab hai mai.n hamesha aapki likhi huii shayri ke intezaar mei.n rehta hoo.n bhut khub likhte ho aap...Raj...


All times are GMT +5.5. The time now is 11:58 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.