Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Anjuman-e-Shayri (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=27)
-   -   Sher ka jawaab sher meiN deejiye.. (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=56063)

Mayank 8th May 2007 06:57 PM

Sher ka jawaab sher meiN deejiye..
 
Sher ka jawab sher meiN deejiye..

DostoN,


ham apni is Anjuman main ek or thread ka izafa karte haiN ess main aap ko ashar hi likhne haiN or agle member ko us sher ke jawab main koi sher meiN likhna hoo ga theek hai ?:)

yeh koi naya silsila nahi hai sab ko pata hoga ke kaise khelna hai yeh.. aise threads say hame kaafi kuchh seekhne ko milta hai.. Sher kisii ka bhii ho sakta may be your own or borrowed..:p

bas she'r likhte vaqt is baat ka khayaal rakha jaaye ke javaaban jo she'r likha jaa rahaa hai, us ka koi na koi rabt pichle she'r se hona chaahiye..Shukryah!:)

to chaliye meiN hi Shuruaat karta huuN:


ibtidaa-e-ishq hai rotaa hai kyaa
aage aage dekhiye hotaa hai kyaa


PS: to keep the beauty & meaning of the thread 'sher ka jawaab sher me.n deejiye', it is requested to all member that, please reply a 'sher' with a 'sher' only (not with four liners, qitaa, Ghazal, nazm etc etc). I hope all members will cooperate me to maintain beauty and dignity of the site in all level.

thank u all :)

Mayank

Mayank 9th May 2007 01:15 PM

frineds.. kuchh examples de raha huuN....

jaise kii pahela Sher hai..

ibtidaa-e-ishq hai rotaa hai kyaa
aage aage dekhiye hotaa hai kyaa

ess Sher ka jawaab kuchh ess tarah ho sakta hai...

ishq me.n jaa.N se guzarate hai.n guzarane vaale
maut kii raah nahii.n dekhate marane vaale

aur phir ess Sher ka jawaab kuchh es tarah de sakte haiN...

us lab-o-chashm se hai zindagii-o-maut apanii
kab-kabhii pal me.n jilaayaa kabhii pal me.n maaraa


mausam 9th May 2007 02:29 PM

fir ek nayi column....:) good..........

waise jawab dena try kar rahin hoon..sahin hain ki galat jaroor batana....

nida fazlijee ka sher hain yeh......

Kabhi kisiko mukammal jahan nahin milta,
Kahin zameen to kahin aasman nahin milta...

mausam:)

Mayank 9th May 2007 02:36 PM

Quote:

Originally Posted by mausam (Post 231760)
fir ek nayi column....:) good..........

waise jawab dena try kar rahin hoon..sahin hain ki galat jaroor batana....

nida fazlijee ka sher hain yeh......

Kabhi kisiko mukammal jahan nahin milta,
Kahin zameen to kahin aasman nahin milta...

mausam:)


hmm.. answer sahiii hai aur rabt bhii dono SheroN meiN..:) yeh Sher waise bhii mera pasandidah Sher hai... so, thanks too

ab ess Sher ke jawaab meiN, Ek Sher arz hai...

zamii.n pe chal na sakaa aasmaan se bhii gayaa
kaTaa ke par ko parindaa uDaan se bhii gayaa

chaahat 9th May 2007 06:08 PM

Quote:

Originally Posted by Mayank (Post 231762)

hmm.. answer sahiii hai aur rabt bhii dono SheroN meiN..:) yeh Sher waise bhii mera pasandidah Sher hai... so, thanks too

ab ess Sher ke jawaab meiN, Ek Sher arz hai...

zamii.n pe chal na sakaa aasmaan se bhii gayaa
kaTaa ke par ko parindaa uDaan se bhii gayaa


I don't know if I'm replying this right.. still trying to..

Na cheeno usse uski udaan, keh raha hai ek parinda..
Aasmaan me hi hai muskaan uski, mat karo use sharminda..

~Priya

Mayank 9th May 2007 07:35 PM

Chaahat aap ka Sher bilkul sahii... aur khuubsuurat Sher chuna hai aap ne.. daad!

apa ke SHer ke jawaab meiN yehi kahuNga..

Na cheeno usse uski udaan, keh raha hai ek parinda..
Aasmaan me hi hai muskaan uski, mat karo use sharminda..


mujhe maaluum hai us kaa Thikaana phir kahaa.N hogaa
pari.ndaa aasmaa.N chhuune me.n jab naaqaam ho jaaye :)


akelijaan 9th May 2007 08:06 PM

Quote:

Originally Posted by Mayank (Post 231810)
Chaahat aap ka Sher bilkul sahii... aur khuubsuurat Sher chuna hai aap ne.. daad!

apa ke SHer ke jawaab meiN yehi kahuNga..

Na cheeno usse uski udaan, keh raha hai ek parinda..
Aasmaan me hi hai muskaan uski, mat karo use sharminda..


mujhe maaluum hai us kaa Thikaana phir kahaa.N hogaa
pari.ndaa aasmaa.N chhuune me.n jab naaqaam ho jaaye :)


aadaab mayank ji,
is thread mai,mai bhi shirkat karna chahungi.umeed hai mera sher sahi hai,

hamarii koshishon ko naakaami ka naam na do yaaron,
milen na manzil jab tak hum haaraa nahi karte.

Mayank 9th May 2007 08:36 PM

Quote:

Originally Posted by akelijaan (Post 231814)
aadaab mayank ji,
is thread mai,mai bhi shirkat karna chahungi.umeed hai mera sher sahi hai,

hamarii koshishon ko naakaami ka naam na do yaaron,
milen na manzil jab tak hum haaraa nahi karte.

Sara jee:

aap ne Sher sahii kahe haiN.. daad!

ab aap ke Sher ke jawaab meiN..

ajab chiiz hai ye mohabbat kii baazii
jo haare vo jiite, jo jiite vo haare


chaahat 9th May 2007 09:07 PM

Quote:

Originally Posted by Mayank (Post 231817)

ajab chiiz hai ye mohabbat kii baazii
jo haare vo jiite, jo jiite vo haare



Mohabbat karne vaale, haar jeet ka kahaan hisaab rakhte hain..
Dil me mehboob ki dhadkan, aur aankhon me hijaab rakhte hain..

~Priya

akelijaan 9th May 2007 09:11 PM

Mohabbat karne vaale, haar jeet ka kahaan hisaab rakhte hain..
Dil me mehboob ki dhadkan, aur aankhon me hijaab rakhte hain..

~Priya

kyon ho koi hijaab mehboob aur aashiq ke darmiyaan??
bas yeh wasl ki baatein logon ko bataaya nahi karte.

akelijaan

sunita thakur 10th May 2007 10:37 AM

Quote:

Originally Posted by akelijaan (Post 231825)
Mohabbat karne vaale, haar jeet ka kahaan hisaab rakhte hain..
Dil me mehboob ki dhadkan, aur aankhon me hijaab rakhte hain..

~Priya

kyon ho koi hijaab mehboob aur aashiq ke darmiyaan??
bas yeh wasl ki baatein logon ko bataaya nahi karte.

akelijaan

Ishq - mohabat ke charchey chupaye nahi chuptey,
yeh raaj kuad kul jatey hai, dabaye nahi dabtey.....

-sunita virender

mausam 10th May 2007 10:47 AM

raaz kii baate.n likhii aur Khat khulaa rahane diyaa
jaane kyo.n rusavaa_iio.n kaa silasilaa rahane diyaa


mausam:)

sunita thakur 10th May 2007 10:53 AM

Quote:

Originally Posted by mausam (Post 231857)
raaz kii baate.n likhii aur Khat khulaa rahane diyaa
jaane kyo.n rusavaa_iio.n kaa silasilaa rahane diyaa


mausam:)

rusvaa_iio.n ke liye tera shahar mashoor hai,
chorr dun tujhe par mera dil majboor hai,
jane tu kis baat par etna magroor hai,
mujhe chorr auro.N ki chahto.N mein churr hai....

mausam 10th May 2007 11:15 AM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 231859)
rusvaa_iio.n ke liye tera shahar mashoor hai,
chorr dun tujhe par mera dil majboor hai,
jane tu kis baat par etna magroor hai,
mujhe chorr auro.N ki chahto.N mein churr hai....


Ho gayi hai mashoor bewafai kuch is qadar unki
Zikra aaya mere mehfil main to jhuk gayi nazar unki
.....NM

mausam:)

sandysandy 10th May 2007 12:00 PM

Quote:

Originally Posted by mausam (Post 231869)

Ho gayi hai mashoor bewafai kuch is qadar unki
Zikra aaya mere mehfil main to jhuk gayi nazar unki
.....NM

mausam:)

Very good thread... Ijazat liye bagair hee arz kar raha hoon... khataa mauf...

Unsey milee nazar, ek lamha-e-mukhtsar ke liye,
dil yeh soch kar Mutama-iin ho gaya, jaise koyi mil gaya hai umar bhar ke liye...

sunita thakur 10th May 2007 12:24 PM

Quote:

Originally Posted by sandysandy (Post 231875)
Very good thread... Ijazat liye bagair hee arz kar raha hoon... khataa mauf...

Unsey milee nazar, ek lamha-e-mukhtsar ke liye,
dil yeh soch kar Mutama-iin ho gaya, jaise koyi mil gaya hai umar bhar ke liye...

Sandy ji aapne sher bahut khoob kaha hai, par shayad aapne rules nahi padey...aapko sher ke last lafaz se sher kahna hai...jaise ki aapke sher ka last word hai "Liye" to hindi ka lafaz hua "A" to mujhe "A" se sher lahna hoga....shukriya

aaj to besabab ushad hai dil,
ishq hota to koi baat bhi thi...


Not Mine

dilip200 10th May 2007 03:50 PM

mahfile shayarii ko mera aadab
main bhii is mahfil main shirkat karne kii koshish kar raha hoon
umiid hai ki sher kuch thik thak hoga
shukriyaa
dilip

merii mohbbat ko unhone dosti naam de diyaa
shayad ye bhii ek ada thi unki mujhe satane kii.....

mausam 10th May 2007 04:05 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 231876)
Sandy ji aapne sher bahut khoob kaha hai, par shayad aapne rules nahi padey...aapko sher ke last lafaz se sher kahna hai...jaise ki aapke sher ka last word hai "Liye" to hindi ka lafaz hua "A" to mujhe "A" se sher lahna hoga....shukriya

aaj to besabab ushad hai dil,
ishq hota to koi baat bhi thi...


Not Mine


are didi aap confuse ho gayi hain aur bechare sandy ji ko bhi confuse kar rahin hain.....yaha last akshar se dusra sher start nahin karna hain...woh to dusre thread"baitbaazi "main karna hain..yaha to sher ke jawab mein sher hi likhna hain.........jo pehle sher se match karta ho......


mausam

mausam 10th May 2007 04:09 PM

Quote:

Originally Posted by dilip200 (Post 231890)
mahfile shayarii ko mera aadab
main bhii is mahfil main shirkat karne kii koshish kar raha hoon
umiid hai ki sher kuch thik thak hoga
shukriyaa
dilip

merii mohbbat ko unhone dosti naam de diyaa
shayad ye bhii ek ada thi unki mujhe satane kii.....


Darta hun naye dost banane se....
Bahut Zakhm khaye hain dosti ke bahane se........
NM

sunita thakur 10th May 2007 05:26 PM

Quote:

Originally Posted by mausam (Post 231891)

are didi aap confuse ho gayi hain aur bechare sandy ji ko bhi confuse kar rahin hain.....yaha last akshar se dusra sher start nahin karna hain...woh to dusre thread"baitbaazi "main karna hain..yaha to sher ke jawab mein sher hi likhna hain.........jo pehle sher se match karta ho......


mausam

ufffffff.......sorry dear mausam...aur sorry sandy ji

yeh kaya ho gaya mujhe, gad-bad ghotala.....:confused:

ab aap log mujhse chotty ho to maaf kar hi dogey .....hai na;-)

sunita thakur 10th May 2007 05:29 PM

Quote:

Originally Posted by mausam (Post 231892)

Darta hun naye dost banane se....
Bahut Zakhm khaye hain dosti ke bahane se........
NM


"Dosti kudha ka ek nayaab tohfa hai,
na kar inkaar esko apna-ne se,
thaam le tu haath dosti ka,
mil jayegi janaat esi bahane se"

-Sunita Virender

chaahat 10th May 2007 05:53 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 231901)

"Dosti kudha ka ek nayaab tohfa hai,
na kar inkaar esko apna-ne se,
thaam le tu haath dosti ka,
mil jayegi janaat esi bahane se"

-Sunita Virender

Har lehar ko kinaara mat samjho..
Har dost ko dost pyara mat samjho..
Nazar nazar me bhi farak hota hai..
Har nazar ko ishara mat samjho..

------NOT MINE--------

~Priya

Mayank 10th May 2007 06:44 PM

Thanks friends, aap sab waqaii meiN bohat achchha kar rahe haiN.. aap ek ke baad ek Sher ko paRhenge to bohat mazza aayega... aisa lagegaa kya khuub silsila chal raha hai..

Priya, aap ke Sher

Har lehar ko kinaara mat samjho..
Har dost ko dost pyara mat samjho..
Nazar nazar me bhi farak hota hai..
Har nazar ko ishara mat samjho..

ess ke jawaab meiN:

Takaraa hii ga_ii merii nazar un kii nazar se
dhonaa hii pa.Daa haath mujhe qalb-o-jigar se

qalb-o-jigar: jaaN aur dil


akelijaan 10th May 2007 07:07 PM

Takaraa hii ga_ii merii nazar un kii nazar se
dhonaa hii pa.Daa haath mujhe qalb-o-jigar se

-mayank

jawaab arz hai,

han,kuch pane ke liye kuch khona to padta hai,
tune to bas khoya hai dil,woh apne qaraar ko tarasta hai.

Mayank 10th May 2007 07:15 PM

Quote:

Originally Posted by akelijaan (Post 231980)
Takaraa hii ga_ii merii nazar un kii nazar se
dhonaa hii pa.Daa haath mujhe qalb-o-jigar se

-mayank

jawaab arz hai,

han,kuch pane ke liye kuch khona to padta hai,
tune to bas khoya hai dil,woh apne qaraar ko tarasta hai.

sara jee wel come...ess anjuman meiN post kiye huye mere lagbhag sabhii Sher ustaadoN ke haiN.. aap ke sher ka jawaab arz hai..

shaayad aa jaayegaa saaqii ko taras ab ke baras
mil na paayaa hai un aa.Nkho.n ka ras ab ke baras






akelijaan 10th May 2007 07:29 PM

Quote:

Originally Posted by Mayank (Post 231988)


sara jee wel come...ess anjuman meiN post kiye huye mere lagbhag sabhii Sher ustaadoN ke haiN.. aap ke sher ka jawaab arz hai..

shaayad aa jaayegaa saaqii ko taras ab ke baras
mil na paayaa hai un aa.Nkho.n ka ras ab ke baras






yeh baras beete jaaye hai,
na taras kisi ko aaye hai,
kis daur se guzar rahe hain hum,
ye poochne bhi na koi aaye hai!!!

mausam 10th May 2007 07:56 PM

Quote:

Originally Posted by akelijaan (Post 231995)
yeh baras beete jaaye hai,
na taras kisi ko aaye hai,
kis daur se guzar rahe hain hum,
ye poochne bhi na koi aaye hai!!!

Guzar jaati hain yunhi umar saari
Kisiko dhundhte hain hum kisime
........nida fazli

dilip200 10th May 2007 09:11 PM

Quote:

Originally Posted by mausam (Post 232001)
Guzar jaati hain yunhi umar saari
Kisiko dhundhte hain hum kisime
........nida fazli


Guzar jaati hain yunhi umar saari
Kisiko dhundhte hain hum kisime



har waqt ek anjana sa khwab bunte rahte hain
bekas nigaho.n mian bhii pyar doondte rahte hain
.

shukriyaa
:)

sunita thakur 11th May 2007 10:14 AM

Quote:

Originally Posted by dilip200 (Post 232009)
Guzar jaati hain yunhi umar saari
Kisiko dhundhte hain hum kisime



har waqt ek anjana sa khwab bunte rahte hain
bekas nigaho.n mian bhii pyar doondte rahte hain
.

shukriyaa
:)

gujar to jayegi eh dost bin tere,
par badi udhas beqarar gujregi.....NM

Mayank 11th May 2007 11:53 AM



Sunita jee,

gujar to jayegi eh dost bin tere,
par badi udhas beqarar gujregi.....

aap ke sher ka jawaab

phuul Khushbuu jhiil mausam dhuup titalii aur havaa
sab ke cheharo.n par udaasii tere jaane ke baad


sandysandy 11th May 2007 12:16 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 231876)
Sandy ji aapne sher bahut khoob kaha hai, par shayad aapne rules nahi padey...aapko sher ke last lafaz se sher kahna hai...jaise ki aapke sher ka last word hai "Liye" to hindi ka lafaz hua "A" to mujhe "A" se sher lahna hoga....shukriya

aaj to besabab ushad hai dil,
ishq hota to koi baat bhi thi...


Not Mine

Thanks for appreciating my sher, but I think You have not read the rules properly...

You should just check the example given by Mayank... You don't have to start from last word but need to use one rabt from the previous sher....

I hope I am right... Mayank please correct me if I am wrong...

mausam 11th May 2007 12:25 PM

Quote:

Originally Posted by Mayank (Post 232077)


Sunita jee,

gujar to jayegi eh dost bin tere,
par badi udhas beqarar gujregi.....

aap ke sher ka jawaab

phuul Khushbuu jhiil mausam dhuup titalii aur havaa
sab ke cheharo.n par udaasii tere jaane ke baad


Duur rah kar bhii sadaa rahatii hain
mujh ko thame huin baahein uskii
....by parveen shakir

sunita thakur 11th May 2007 12:25 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 231899)
ufffffff.......sorry dear mausam...aur sorry sandy ji

yeh kaya ho gaya mujhe, gad-bad ghotala.....:confused:

ab aap log mujhse chotty ho to maaf kar hi dogey .....hai na;-)



sandy ji jab mujhe aapni galati ka ahsaas hua, maine tabhi yeh post daal de thi.....again sorry for that.

Mayank 11th May 2007 12:29 PM

Quote:

Originally Posted by mausam (Post 232088)
Duur rah kar bhii sadaa rahatii hain
mujh ko thame huin baahein uskii
....by parveen shakir

aap ke Sher ka jawaab mausam,


chooTaa kar ke dekhiye jiivan kaa vistaar
aa.Nkho.n bhar aakaash hai, baaho.n bhar sa.nsaar

sunita thakur 11th May 2007 12:30 PM

dost sandy ji, aapko dedicate kar rahi hoon yeh sher...ab to gusse ko jane dijiye...aur ek smile dijiye...aise:D

humse ek khata ho gaye,
unki nazar bhi khaffa ho gaye,
sar jukka diya jab unke saamne,
to unki nigahey-karam ho gaye

-sunita virender


sorry mayank ji, aapke sher ka jawaab na dekar maine aapne ruthey huey dost ko mana-ne ke liye ek alkag sa sher likh diya....uske liye.

sandysandy 11th May 2007 12:31 PM

Quote:

Originally Posted by Mayank (Post 232077)


Sunita jee,

gujar to jayegi eh dost bin tere,
par badi udhas beqarar gujregi.....

aap ke sher ka jawaab

phuul Khushbuu jhiil mausam dhuup titalii aur havaa
sab ke cheharo.n par udaasii tere jaane ke baad


Mayank Jawab arz hai.....

Kaash aisaa ho sabah jo haath tere chhoo aaye,
too udahr phool chuney aur idhar khushboo aaye

Kam se kam itna Muyassar toh ho insaan ka khulus,
Ghar se nikalo toh padosi ko bhi khushboo aaye..

Merey ehsaas main bas gayee hai kaisee yeh mehak,
Koyee khushbu main lagaaon teri khushboo aaye

Muyassar - easy
Khulus - Strength Of The Relationship

sandysandy 11th May 2007 12:34 PM

Arey sunita ji chill, I am not angry at all. Infact I ws replying to mayank's sher But took some time and now when I posted my sher there are couple of more posts before me.... mistake oops...

Mayank 11th May 2007 12:44 PM

it's ok sandy , Sher ka jawaab achchha diya hai aap ne.. ab aap mere us Sher ka jawaab deejiye, jis Sher ka jawaab baaqi hai.. lekin jaldi kahiiN aisa na ho kii aap se pahle koii aur jawaab de de..:)



chooTaa kar ke dekhiye jiivan kaa vistaar
aa.Nkho.n bhar aakaash hai, baaho.n bhar sa.nsaar

Mayank

sandysandy 11th May 2007 12:45 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 232091)
dost sandy ji, aapko dedicate kar rahi hoon yeh sher...ab to gusse ko jane dijiye...aur ek smile dijiye...aise:D

humse ek khata ho gaye,
unki nazar bhi khaffa ho gaye,
sar jukka diya jab unke saamne,
to unki nigahey-karam ho gaye

-sunita virender


sorry mayank ji, aapke sher ka jawaab na dekar maine aapne ruthey huey dost ko mana-ne ke liye ek alkag sa sher likh diya....uske liye.

tumhari nazar kyon khafa ho gai
khata bakhsh do gar khata ho gai
hamara irada to kuchh bhI na tha
tumhari khata khud saza ho gai....

Just joking sunita ji.... Actually I didn't read your earlier post... Friends

Now we should carry on with the theme of the thread.... Sorry Mayank for spoiling the fun of the thread....

sandysandy 11th May 2007 12:53 PM

Quote:

Originally Posted by Mayank (Post 232106)
it's ok sandy , Sher ka jawaab achchha diya hai aap ne.. ab aap mere us Sher ka jawaab deejiye, jis Sher ka jawaab baaqi hai.. lekin jaldi kahiiN aisa na ho kii aap se pahle koii aur jawaab de de..:)



chooTaa kar ke dekhiye jiivan kaa vistaar
aa.Nkho.n bhar aakaash hai, baaho.n bhar sa.nsaar

Mayank

Dohe ka jawab dohe se....

jeevan ke din rain kaa , kaise lage hisaab
deemak ke ghar baith kar, lekhak likhe kitaab


All times are GMT +5.5. The time now is 08:33 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.