Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Mashahoor Shayar (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=13)
-   -   Maa........originally by MUNAWAR RANA SAHAB (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=65388)

huzefa 2nd May 2009 06:05 PM

Maa........originally by MUNAWAR RANA SAHAB
 
.labo par uske kabhi baddua nahi hoti
bas ek maan hai jo kabhi khafa nahi hoti

Is tarah mere gunaahon ko wo dho deti hai,
maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai

Maine rote hue ponchhe the kisi din aansoo
muddaton maa ne nahi dhoya dupatta apna

Abhi zinda hai maa meri mujhe kuchh bhi nahi hoga,
main jab ghar se nikalta hoon dua bhi saath chalti hai

jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai
maa dua karti hui khwaab mein aa jaati hai

aye andhere dekh le munh tera kaala ho gaya,
maa ne aankhein khol di ghar mein ujaala ho gaya

meri khwaahish hai ki main phir se farishta ho jaun
maaN se is tarah liptun ki bachcha ho jaun

'munawwar' maa ke aage yun kabhi khulkar nahi rona
jahan buniyaad ho itni nami achhhi nahi hoti

lipat jaata hoon maa se aur mausi muskurati hai,
main udru mein ghazal kehta hoon hindi muskrati hai

Parwaazz 6th June 2010 11:38 PM

Masha Allah Subhan Allah aur Alhamdulillah humare saath bhi humari Maa hai:)

Munawar Rana sahab ko kai bar suna hai, Bahot bade shayar hai per kabhi unse yeh kalaam sunne ka sharf hasil nahi hua, aaj yaha padhkar dili khushi mehsus ho rahi hai.... hum sahin jaga aaye hai....:)
Apka bahot bahot shukriya Bhai jo apne yeh kalaam yahan post ki.....:)

Dhaval 9th June 2010 07:45 AM

Thanx for sharing huzefa jee

~Dhaval

Parwaazz 19th June 2010 01:22 AM

Hume Munawar Rana sahab ki ek Gazal ke kuch sher yaad aa gaye ...... :)

Bichad kar bhi muhobbat ke zamane yaad rahte hai
Ujadti jati hai mehfile aur chahare yaad rahate hai

Samandar ki nazare uski badahve pe markooz rehti hai
Mai darya hu mujhe apne kanaare yaad rahte hai

Khuda ne har aurat ko yeh sifat bakhshi hai jaha me
Gar maa pagal bhi ho jaye use apne bete yaad rahte hai

Hume barabar yaad nahi aa rahi hai kuch galti huyi hai aisa lag raha hai hume.

Taish 1st July 2010 03:36 PM

dis is one of d mst awesome cretions dedicater to mothers, had read it long back, thanks for sharin it ovr here sir, n keep posting n sharing....!!

sameer'shaad' 31st August 2016 02:34 AM

Quote:

Originally Posted by huzefa (Post 352995)
.labo par uske kabhi baddua nahi hoti
bas ek maan hai jo kabhi khafa nahi hoti

Is tarah mere gunaahon ko wo dho deti hai,
maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai

Maine rote hue ponchhe the kisi din aansoo
muddaton maa ne nahi dhoya dupatta apna

Abhi zinda hai maa meri mujhe kuchh bhi nahi hoga,
main jab ghar se nikalta hoon dua bhi saath chalti hai

jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai
maa dua karti hui khwaab mein aa jaati hai

aye andhere dekh le munh tera kaala ho gaya,
maa ne aankhein khol di ghar mein ujaala ho gaya

meri khwaahish hai ki main phir se farishta ho jaun
maaN se is tarah liptun ki bachcha ho jaun

'munawwar' maa ke aage yun kabhi khulkar nahi rona
jahan buniyaad ho itni nami achhhi nahi hoti

lipat jaata hoon maa se aur mausi muskurati hai,
main udru mein ghazal kehta hoon hindi muskrati hai



waahhh janaab... kyaa ummdah sharing kii hai aapne... ek ek sher ek nageene ki tarah hai jise apne paas sambhaal kar rakhne ko jee chaahata hai.........

ruchika 31st August 2016 11:27 AM

Bahut hi Khoobsurat Lines......Maa jaisa koi nahi...

Madhu 14 31st August 2016 04:54 PM

Umdaa sharing waahh!!!!!!!!!!!


All times are GMT +5.5. The time now is 07:55 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.