Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Anjuman-e-Shayri (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=27)
-   -   Jeetey nahi jaatey yahaaN dil ab faqat taqreer se (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=80146)

Mujahid Ali 5th February 2017 10:02 AM

Jeetey nahi jaatey yahaaN dil ab faqat taqreer se
 
Koi tawaqqo kya karey ab shehar-e-be-tauqeer se

Terey nigaah-e-shoukh se ye dil mutaasir bhi hua
Voh shakhs kya hoga dikhe jo khoob ik tasveer se

AasaaN nahi ye zindagi ko yu basar karna bhi ab
Hai zindagi ik kashti jo chalti nahi tadbeer se

Talwaar tune ab utha li jung ke maidaan mai
Lar’ke magar haasil bhi kuch hota nahi shamsheer se

Qismat ne itna meherbaani toh kiya mujh pe ke ab
Jeetey rahey kuch roz hum bhi maut ki takheer se

Iss ishq mai kuch log bantey kaamil-e-kirdaar bhi
Mehroom rehtey log bhi kuch ishq ki taaseer se

Qismat badal sakti hai gar terey dua mai ho asar
Haasil nahi jo maang apney kaatib-e-taqdeer se

Shayar nahi hota hai mohtaaj-e-takhallus bhi kabhi
Pehchaan toh banti hai shayar ki faqat tehreer se

Ab tak mujahid ka nahi murshid koi phir bhi magar
Letey bishaarat hum faqat iqbal ghalib meer se

FEW MEANINGS

• Taqreer= speech
• Tawaqqo= expect
• Shehar-e-be-tauqeer= valueless city
• Mutaasir= impressed
• Tadbeer= planning
• Shamsheer= sword
• Takheer= delay
• Kaamil-e-kirdaar= accomplished
• Taaseer= impact
• Kaatib-e-taqdeer= writer of destiny i.e God
• Mohtaaj-e-takhallus= need of a pen name
• Tehreer= writings/creation
• Murshid= guide
• Bishaarat= inspiration

Madhu 14 6th February 2017 03:27 PM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 495603)

Waah!!Behtareen Urdu Se saji huyi ek aur khoobsoorat ghazal mujahid sahab....

Daad qubool Karein...

Likhte rahiye.aur aate rahein.

All times are GMT +5.5. The time now is 11:29 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.