Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Mashahoor Shayar (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=13)
-   -   mareeze-muhabbat unhi ka fasaanaa.. (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=71949)

sameer'shaad' 5th December 2010 09:28 AM

mareeze-muhabbat unhi ka fasaanaa..
 
pyaare doston aaj is forum me main haazir hua hoon ghazal ki duniyaa ke naami shaayir .. "ustad Qamar Jalalvi" ki ek nazm ke saaath nosh farmaaiiyegaa.



Mareez-e-mohabbat unhi ka fasana sunata raha dum nikaltey nikaltey
magar zikr-e-shaam-e-alum jab ke aaya, chiragh-e-sehar bujh gaya jaltey jaltey

(mareez-e-mohabbat = patient of love;
zikr = reminder, alum = sadness)

irada tha tark-e-mohabbat ka laikin, fariab-e-tabassum maiN phir aa gaey hum
abhi kha ke Thokar sanbhalney na paey, ke phir Thokar sanbhaltey sanbhaltey

unhain Khat maiN likha ke dil muztarib hai, jawab onka aaya mohabbat na kartey
tumhain dil laganey ko kis nay kaha tha, behal jaey ga dil beheltey beheltey

(muztarib - disquiet)

aray koi vadaa Khilafi ki hud hai, hisab apney dil maiN laga kar to dekho
qayamat ka din aa agaya rafta rafta, mulaqaat ka din badaltey badaltey

humaiN apney dil ki to parwa nahi hai, magar dar raha hoon yeh kam_sin ki zid hai
kaheeN paa-e-nazuk maiN mooch aa na jaey, dil-e-sakht jaaN ko masaltey masaltey

(paa-e-nazuk = tender feets;
mooch = sprain)

wo mehmaa.n rahe bhi to kab tak hamaare, hui shamma gul aur na duube sitaare,
"Qamar" is qadar unko jaldi thee ghar kii, wo ghar chal diye chaandni dhalte dhalte.




shaad...

AHMAD SHAKIL 6th December 2010 11:58 AM

Boht Boht Kamal Ghazal Hai Janab.........

Ye Nazam Nahi Ghazal Hai Sir....

Aap Ka Intikhaaab Qabil-e-Satayish Hai....

Mujhy Bazat-e-Khud Ye Ghazal Boht Pasand Hai.....

sunita thakur 6th December 2010 12:41 PM

Masha-allah ! kya khoobsurat gazal share ki hai aapne Shaaad Bhai....!

sameer'shaad' 6th December 2010 01:22 PM

Quote:

Originally Posted by AHMAD SHAKIL (Post 417208)
Boht Boht Kamal Ghazal Hai Janab.........

Ye Nazam Nahi Ghazal Hai Sir....

Aap Ka Intikhaaab Qabil-e-Satayish Hai....

Mujhy Bazat-e-Khud Ye Ghazal Boht Pasand Hai.....



Bhaot bahot shukriyaah Shakel bhai is ghazal ki mahfil me tashreef laane ke liye.. aur jaankar behad khushi hui ki aapko bhi ye ghazl utni hi pasand hai jitni ki mujhe... khush rahiye..

shaad...

sameer'shaad' 6th December 2010 01:31 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 417213)
Masha-allah ! kya khoobsurat gazal share ki hai aapne Shaaad Bhai....!

Bhaot bahot shukriyaah..Suneeta dee.. tashreef laane ke liye aur pasand karne ke liye.. duaaon me yaad rakhiega.

shaad..

LAMHA 6th December 2010 08:07 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 417142)
pyaare doston aaj is forum me main haazir hua hoon ghazal ki duniyaa ke naami shaayir .. "ustad Qamar Jalalvi" ki ek nazm ke saaath nosh farmaaiiyegaa.



Mareez-e-mohabbat unhi ka fasana sunata raha dum nikaltey nikaltey
magar zikr-e-shaam-e-alum jab ke aaya, chiragh-e-sehar bujh gaya jaltey jaltey

(mareez-e-mohabbat = patient of love;
zikr = reminder, alum = sadness)

irada tha tark-e-mohabbat ka laikin, fariab-e-tabassum maiN phir aa gaey hum
abhi kha ke Thokar sanbhalney na paey, ke phir Thokar sanbhaltey sanbhaltey

unhain Khat maiN likha ke dil muztarib hai, jawab onka aaya mohabbat na kartey
tumhain dil laganey ko kis nay kaha tha, behal jaey ga dil beheltey beheltey

(muztarib - disquiet)

aray koi vadaa Khilafi ki hud hai, hisab apney dil maiN laga kar to dekho
qayamat ka din aa agaya rafta rafta, mulaqaat ka din badaltey badaltey

humaiN apney dil ki to parwa nahi hai, magar dar raha hoon yeh kam_sin ki zid hai
kaheeN paa-e-nazuk maiN mooch aa na jaey, dil-e-sakht jaaN ko masaltey masaltey

(paa-e-nazuk = tender feets;
mooch = sprain)

wo mehmaa.n rahe bhi to kab tak hamaare, hui shamma gul aur na duube sitaare,
"Qamar" is qadar unko jaldi thee ghar kii, wo ghar chal diye chaandni dhalte dhalte.
shaad...


Superb creation..... thanx for sharing Shaad..... khush raho....:):):)

sameer'shaad' 7th December 2010 08:46 AM

Quote:

Originally Posted by LAMHA (Post 417244)
Superb creation..... thanx for sharing Shaad..... khush raho....:):):)

bahot baahot shukriyaaah lamha.. tashref lane ke liye aur is ghazal ko pasand karne ke liye.. khush raho.

shaad...

naresh_mehra110 24th December 2010 07:52 PM

Thanks for sharing ......... Shaad Ji ! :)

sameer'shaad' 24th December 2010 08:16 PM

Quote:

Originally Posted by naresh_mehra110 (Post 418965)
Thanks for sharing ......... Shaad Ji ! :)

behad shukriya.. aate rahen.. duaaon ka muntazir

shaad...


All times are GMT +5.5. The time now is 02:22 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.