Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Ae zindagi.... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=80339)

sameer'shaad' 8th August 2018 08:59 AM

Ae zindagi....
 
Khaamosh si rahti hai machal kyon nahi jaati
Ae zindagii mausam si badal kyon nahi jaati.

Tasweer samaai hai jo is khoone jigar me,
Gar aag hai dil me to pighal kyon nahin jaatii.

Saanson ka jo toofaan tha wo thahar chukaa hai,
Dhadkan bhi naamuraad sambhal kyon nahi jaati.

Ik shor sa rah rah ke uTha kartaa hai mujh me,
Tabiyat ye kisi haal bahel kyon nahi jaatii.

Sholaa hai agar tu to mujhe raakh banaa de,
Shamma si kisii roz tu jal kyon nahii jaati.

Ae shaad tu tadpegaa bhalaa kab talak aise,
Seene se tere jaan nikal kyon nahii jaati..

Shaad........

bhushan 19th August 2018 11:55 AM

Shaad bha namaste,
Behad umda peshkash hai shad bhai. Dherron daad is shandar gazal k liye.
Yoon hi likhte rahiye.
Aapka apna
Bhushan

sameer'shaad' 8th September 2018 10:14 AM

Quote:

Originally Posted by bhushan (Post 496641)
Shaad bha namaste,
Behad umda peshkash hai shad bhai. Dherron daad is shandar gazal k liye.
Yoon hi likhte rahiye.
Aapka apna
Bhushan

bahot bahot shukriyaa aapka bhushan saahab jo aap tashreef laaye aur kalaam ko pasand kiyaa..... aate rahen

Shaad.....

sunita thakur 12th September 2018 12:13 PM

Shaad bhai bahut khoobsurat gazal hue hai...sabhi sher behad acche bane hai...yeh sher muje khaas lga.

Ik shor sa rah rah ke uTha kartaa hai mujh me,
Tabiyat ye kisi haal bahel kyon nahi jaatii.

sameer'shaad' 13th September 2018 12:03 PM

Quote:

Originally Posted by sunita thakur (Post 496655)
Shaad bhai bahut khoobsurat gazal hue hai...sabhi sher behad acche bane hai...yeh sher muje khaas lga.

Ik shor sa rah rah ke uTha kartaa hai mujh me,
Tabiyat ye kisi haal bahel kyon nahi jaatii.

bahot bahot shukriyaa aapka sunita dee........................ :)

Shaad...

Madhu 14 19th September 2018 08:08 PM

Tasweer samaai hai jo is khoone jigar me,
Gar aag hai dil me to pighal kyon nahin jaatii...

Kya kahne..kamaal hai!!

Saanson ka jo toofaan tha wo thahar chukaa hai,
Dhadkan bhi naamuraad sambhal kyon nahi jaati.

Waaaahhhh....
Ik shor sa rah rah ke uTha kartaa hai mujh me,
Tabiyat ye kisi haal bahel kyon nahi jaatii.

Ahaaa sukoon aa Gaya padhkar....

Tabiyat aapki bahal jaye dua karenge...Bas hame aisi ghazal sunate rahiyega..taki hame bhi thoda qaraar aa sake....

Khush rahiye....:)

sameer'shaad' 20th September 2018 03:02 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 496672)
Tasweer samaai hai jo is khoone jigar me,
Gar aag hai dil me to pighal kyon nahin jaatii...

Kya kahne..kamaal hai!!

Saanson ka jo toofaan tha wo thahar chukaa hai,
Dhadkan bhi naamuraad sambhal kyon nahi jaati.

Waaaahhhh....
Ik shor sa rah rah ke uTha kartaa hai mujh me,
Tabiyat ye kisi haal bahel kyon nahi jaatii.

Ahaaa sukoon aa Gaya padhkar....

Tabiyat aapki bahal jaye dua karenge...Bas hame aisi ghazal sunate rahiyega..taki hame bhi thoda qaraar aa sake....

Khush rahiye....:)


behad khushnaseebi hai meri jo aapne ise pasand kiyaa madhu ji...
aati rahiyega....

shukriyaa

Shaad........

maikasH 2nd October 2018 12:56 AM

FB pa kuch ishaara de chuka hooN shaad miyaaN go aapke jawaab ki talab meiN rooh sookh kar fanaa ho chuki. aapki ijaazat ho to idhar kuch kehne ki himaakat karuN?

sameer'shaad' 5th October 2018 11:14 PM

Aadaab maikash bhai .. awwal to muaafi ka arzmand hoon jo aapse rabt na kar sakaa..

Mujhe khud aapse baat karni thi aapka facebook pe comment dekh kar bas ya kahiye zahn se nikal gayaa aur us par kuch waqt ki tangi ne bhi sharmindaa kiyaa hai..

Thodi mohlat aur chahunga aur bahot jald inaha allah aapke huzoor me haazir hounga..

Muaafi ke saath ijaazat mere bhai.. apna khayaal rakhiye.. shukriyaa

Shaad

sameer'shaad' 5th October 2018 11:17 PM

Quote:

Originally Posted by maikasH (Post 496687)
FB pa kuch ishaara de chuka hooN shaad miyaaN go aapke jawaab ji talab meiN rooh sookh kar fanaa ho chuki. aapki ijaazat ho to idhar kuch kehne ki himaakat karuN?

Maikash bhai aap jaante hain mere kalaam pe aap bina pooche tabsira kar sakte hain bhai.. aap apni beshkeemti raay se mujhe yahin nawaaz den main sar aankhon par aapke huqm ki tameel ko tasleem karoonga... ijaazat rahega aapke aane ka..

Shaad...

maikasH 6th October 2018 04:40 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 496689)
Maikash bhai aap jaante hain mere kalaam pe aap bina pooche tabsira kar sakte hain bhai.. aap apni beshkeemti raay se mujhe yahin nawaaz den main sar aankhon par aapke huqm ki tameel ko tasleem karoonga... ijaazat rahega aapke aane ka..

Shaad...

Usi meiN ishq ki kismat badal bhi sakti thi
Jo waqt beet gaya mujhko aazmane meiN

Ye keh ke TooT gaya shaakh-e-gul se aakhri phool
Ab aur de'r hai kitni bahaar aane meiN

Kaifi Azmi

;)


All times are GMT +5.5. The time now is 04:20 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.