Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   General Stories (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=30)
-   -   Birthmark (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=79879)

Madhu 14 13th May 2016 12:14 AM

Birthmark
 
Kuch batein aisi hoti hain jo ham ek umra ke baad hee samajh pate hain....aisi hee ek baat saloni ke sath bhi judi thi..jo aaj achanak yaad aa gayi jab bahut dino baad kisi ne usse phir poocha ye pair pe nishan kaisa hai aapke?....
Are ye bas aise hee bachpan se, itna kahna tha ki bachpan ki sari batein uski ankhon ke samne thiin....
Dadi ka vo ek dialogue ki, jab tum itni si thiin tumhari malish karte roz dekhte the ham ye nishan ye to paidaishi hai...jane vo mujhe samjhati thiin ya khud ko...kyunki duniya ke sawalon ne unka vishwas hila diya tha..agar aisa na hota to kyun mummy papa saloni ko lekar na jane kitne doctors se mile... ki bas ye pair ka nishaan kaise bhi kam ho jaye...
Doctors bhi unki tassalli ke liye kabhi koi dawa kabhi lotion de diya karte. ..akhir maa papa ki ghalti bhi kya thi...ladki jo thi saloni aur ladkiyon ko bhagwan ke ghar se perfect hokar hee ana chahiye na...:)rang vaise hee sanwla tha aur us par ye nishan agar sabko pata chal gaya to shadi me dikkat aayegi ladki ki..na jane kitna dawaab samaaj daal deta hai ladki ke maa baap ke sar.....tabhi to vo apni beti ke birthmark ka bhi ilaaz dhoondhne nikal padte the...

Maa ne use zara lamba hote dekha to salwar kameez khareed ke la di...taki pair dhakein rahein..lambe lambe kapde pahan ke pareshan ho jati thi vo ki akhir apni umra ki ladkiyon ki tarah frock me kyun nahi ghoom sakti...

Ek kissa aaj bhi yaad aata hai ,jab School ke bas stop par khadi saloni ke pair ki taraf ek bachche ki maa ne salaah dena shuru kar diya tha...besan me na jane kya kya milakar lagane se ye nishan kam hoga mummy ko batana beta...
Ji aunty kahkar usne bhi sar hila diya par uske man par kya beeti kisi se na kah saki...

Aisi batein kisi ke manobal pe kya asar dalti hain...ye aaj samajh me aata hai jab peeche mudkar dekho to...ye kaisa samaaj hai jo salaah dete vaqt ye bhi bhool jata hai ki ek bachche ka man kitna nazuk hota hai...use har vaqt ye ehsaas dilana ki tum auron se alag ho ya tumme ye kami hai...kahaan tak sahi hai.......

Aaj bhi vo birthmark utna hee hai jaisa dadi ne pahli baar dekha tha...aur ab usko chhupane ka saloni par koi dawab nhi tha...par uske dil pe zaroor ek nishaan pad gaya tha jo isse kahiin gahra tha..aur shayad kabhi na jaye...
Lambe kapdon me jis tarah pair ko chhupana sikhaya tha..ek chadar saloni ne apne man par bhi daal li thi..aur usi me simat ke rahna pasand tha use...
Jo beet gaya vo badalta to nahi...par sawaal zaroor chhod jata hai kai baar.jinke jawaab mil bhi jayein to shayad ab koi fayda nahi...

Madhu...

Qasid 13th May 2016 08:13 AM

Aankhen nam hai ye padh kar, Kuch cheezen hum chah kar bhi nahi badal sakte

akshara 13th May 2016 02:39 PM

Humare society me pata nhi kyu ladki ko show piece ki tarah treat krte he...zara si kharonch aur uska bikna mushkil....galat krte hen hum ise bakhubhi samjhaya he aapne!

Madhu 14 15th May 2016 09:50 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 492796)
Aankhen nam hai ye padh kar, Kuch cheezen hum chah kar bhi nahi badal sakte

Sahi kaha anu....thank u...aap ne ye story padhi aur apni rai di..

sameer'shaad' 16th May 2016 06:10 AM

madhu ji yaqeen maniye mujhe yaqeen hi nahi ho rahaa ki itnaa achhaa aapne likhaa hai jo ki meri dost hain...... aisaa lag raha hai jaise kisi professional writer ne likha ho...

samaaj ki kunthit maansikta par teevra kutharaghaat kiyaa hai aapki is laghu kathaa ne...

dil baar baar padhne ko karta hai aur baar baar ye sochne par majboor hota hoon ke jo samaaj ladka ladki ki samaanta ka rona rota hai wahi aise bhedbhaav kyun karta hai...

aisi ochi maansikta ka bakhubi chitan kiya hai aapne in panktiyon me.... bahut bahut daad aur mubaarakbaad aapke is athak prayaas ke liye......

likhtii rahen, khush rahen.....

Shaad..........

Madhu 14 24th May 2016 11:52 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 492822)
madhu ji yaqeen maniye mujhe yaqeen hi nahi ho rahaa ki itnaa achhaa aapne likhaa hai jo ki meri dost hain...... aisaa lag raha hai jaise kisi professional writer ne likha ho...

samaaj ki kunthit maansikta par teevra kutharaghaat kiyaa hai aapki is laghu kathaa ne...

dil baar baar padhne ko karta hai aur baar baar ye sochne par majboor hota hoon ke jo samaaj ladka ladki ki samaanta ka rona rota hai wahi aise bhedbhaav kyun karta hai...

aisi ochi maansikta ka bakhubi chitan kiya hai aapne in panktiyon me.... bahut bahut daad aur mubaarakbaad aapke is athak prayaas ke liye......

likhtii rahen, khush rahen.....

Shaad..........

Mafi chahti hun..shaad sahab..deri se reply kar pa rahi hun..Itna achcha likha hai vo meri dost hain.......ha ha ha....to ab apko naaz hona chahiye na main aapki dost hun...; ) just kidding...thank u so much aapne hamesha mera hausla badhaya hai...aur mujhe yakeen dilaya hai ki main likh sakti hun chahe vo shayri ho ya story...:)

Par sach maniye bas kalam khud chal padti hai kabhi kabhi aur fir soch me pad jati hun ki jane kaisa likha hoga...par aap doston ki rai jankar dil ko tassalli hoti hai.....

Aapka behad shukriya...aise hee sath dete rahiyega....

Salamat rahein......
Madhu

Madhu 14 18th July 2016 10:12 AM

Quote:

Originally Posted by akshara (Post 492800)
Humare society me pata nhi kyu ladki ko show piece ki tarah treat krte he...zara si kharonch aur uska bikna mushkil....galat krte hen hum ise bakhubhi samjhaya he aapne!

Thank u so much akshra..ki aapne apna vaqt diya hamari koshish ko aur ise padhna zaroori samjha...

Aage bhi apke sath ki ummeed karti hun..aati rahiyega..

Apna khayaal rakhein..

Madhu.


All times are GMT +5.5. The time now is 08:02 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.