Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Hindi Kavitayen (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=37)
-   -   Hindi Kavita / Chhand Ke Niyam (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=55081)

arvindvyas 20th February 2007 10:26 PM

Hindi Kavita / Chhand Ke Niyam
 
hindi Chhnad / Kavita Ke Niyam / Rules: Sankxept Me (Introduction)

(if Needed In English…….please Write)

Hindi Bahut Se Chand Hote Hai….
Badi Muskil Se Likha Jata Hai…..niyamo Ke Saath…..
Aage Details Diye Gaye Hai……

Mene Koshis Ki He Ke Equivalent Urdu Ke Sabd Du.

“chhand”:

“yati”, “gati”, Var.n Ya Matra Ki Gadna Ke Vichhar Ko Chhand Ya Paddh Kahte Hai.

Panktiyo Ko “charan” Ya “pad” Kahte Hai……(urdu…misra)

“yati”: Chand Padhate Samay…jo Bich Bich Me Rukna Padhta Hai Use Yati Kahte Hai.

“gati”: Chand Padhte Waqt……jo Utaar Chadhav Aata , Ek Lay Deta Hai, Use Gati Kahte Hai.

Tuk : (tuk-bandi)…..charan (misra) Ke Ant Me Ju Samaan Sabd Aate Hai (urdu Me…….radeef, Kaafiyaa)………tuko Se Chhand… Lay, Sunne Me Priy V Rochak Ho Jata Hai……

“matra”: Kisi Ver.n Ke Uchcharn Me Jo Samay Lagta Hai……use Matra Kahte Hai…….

“matra” Do Prakar Ki Hoti Hai……..”laghu” Aur “guru / Dirgh”

Laghu Matra: Samay Thoda Lagta Hai Jaise A, E, U, Ri (ka, Ke, Ki, Ku, K’r…… )
Guru / Dirgh: Ee, Ii, Uu, Ye, Yee, O, Ou (kaa, Kee, Kii, Kuu, Kaye, Ko, Kau…….)

Matra Ki Gad.na (meter, Urdu—beher, Yeh Chhand Ke Prakar Nirdharit Karti Hai)

Sayukta Vyanjan Me Pahla….laghu Bhi Guru Mana Jata Hai

Visarg Aur Anuswar….se Yukt….vern Bhi Guru Mana Jata Hai

Ga.n: Hindi Me 8 Ga.n Hote Hai……jo 3-3 Akxaro Ke Samuh Hote Hai….
Yaga.n (1 2 2), Maga.n (2 2 2), Taga.n (2 2 1), Raga.n(2 1 2), Jaga.n(1 2 1), Bhaga.n(2 1 1), Naga.n(1 1 1), Saga.n(1 1 2)

Chhand Kayi Bhed / Prakaar Ke Hote Hai…unka Aadhar Niche Diye 3 Hote Hai……

1..var.n Vritta: Var.no Ke Unusar Gadna Hoti Hai
2.. Mantrik: Cahrno Ki Gadna Matrao Per Adharit Rahti Hai
3.. Muktak: Inme Upar Ka Koyi Niyam Nahi Hota

Sabse Pahle Me…….

1.. Mukt Chhand / Kavita Ke Bare Me Kahumga……

“atukanty Chhand” Ye Sab Gadanao Se Aajad Hai…..per Sundarta Ke Liye……lay, Utar Chadhav Ka Prayog Ho Sakta Hai, Tuk Ka Ho Sake To Prayog Hota Hai……inme “vichhar” Ahem Hai…… Aaj Kal Jyada Tar Yahi Rachnaye Hindi Me Milti Hai……dusari Log Ghazal Keh Dete Hai……..

2..“chaupaye”:4 Charan, Her Me 16 Matraye, Jag.n, Tag.n…ant Me Nahi Hota

3..“rola”: Kul 24 Matraye, 11 Vi Aur Baab Me 13 Per Viram, Ant Me Do Guru Hona Jaroori Hai.

4..”doha”: 1 Le Aur 3 Re Charan Me 13 Matraye, 2 Re Aur 4 The Me 11 Matraye…. 1 Le 3 Re Charan Jaga.n Se Suru Nahi Hota, Aur 2 Re, 4 The Ka Anr Sam Aur Laghu Hona Chahiye.

5..”sortha”: 1 Le 3 Re Charan Me 11 -11 Matraye, 2 Re Aur 4 The Charan Me 13-13 Matraye Honi Chahiye….isme 1 Le Aur 3 Re Charan Ke Tuk Milte Hai.

6..”kundaliya.n”: Suruat Me Ek Doha, Baad Me 6 Charan Hote Hai…dohe Ka Antim Charan..rola Ka Pehla Charan Hota Hai…pahla Aur Antim Sabd Ek Hota Hai….

7..”savaiya”: Partek Charan Me..7 Bhaga.n Aur Do Guru Var.n Hote Hai.

8..”kavit’ta”: 4 Charan Hote Hai, Pratek Charan Me 16, 15, Aur 31 Ver.n Hote Hai,
.. Pratek Charan Ke Ant Me Guri Ver.n Hona Chahiye….gati Thik Karne Ke Liye…8..8..8..ayr 7 Ver.n Per Yati Rahna Chahiye………

aarya 21st February 2007 02:40 AM

arvindvyas ji,
yeh sab samjhane ke liye shukriya....hindi kavitain likhte samaye inpar amal karne ka prayatn karenge...



Regards
aarya

arvindvyas 21st February 2007 10:34 AM

Aarya ji,

Dekheye........gyan ke liye di gayi hai........per sunderta to muktak me bhi hoti hai.......aap eise hi likhte rahe.........per gyan hona jaroori hai.....mujhe lagta hai.......

Dhanyabad,

Arvind Vyas "Pyas"

chaahat 21st February 2007 08:25 PM

Arvind ji..

Hindi kavitaaon pe yeh dher saare gyan ki roshni daalne ke liye bahut bahut shukriya...

Kaafi cheezein jo bas aise hi for granted le leti thi main... aaj yeh rules padh ke samjh aa gayin...

Bahut bahut shukriya aapka!

~Priya

arvindvyas 21st February 2007 10:48 PM

arvind vyas "pyas"
 
Priya Ji,

Bahut bahut dhanyabad,

Me sahityik pahalu batana chahta tha.......

Per kavita.....apne me sunder honi chahiye......

Aaj kal ka jo kavita ka chalan hai........swatantra......mukt hona....achchha hai..

Mere anushar.......

Raso ka samanvay.......sunder vishay
Sunder milan ho.....sabd aur vishay
Vishay ki ekagrata
Gahan Gyan ka samanvay......sakaratmak sandes......
Sabdo ki saralta......sunderta
Lay ka lawanya.....geet ki gunjaan

Eisa ho to baat hi kya hai.......

Khud b khud........sunder kavita ban jaati hai.......
Per achchhi rachna ke liye........soch aur mahanat jaroori hai....kavita gyan / niyam ke saath......

Dhanyabad

Arvind Vyas "Pyas"

aarya 27th February 2007 10:39 PM

Quote:

Originally Posted by arvindvyas (Post 225772)
hindi Chhnad / Kavita Ke Niyam / Rules: Sankxept Me (Introduction)

(if Needed In English…….please Write)

Hindi Bahut Se Chand Hote Hai….
Badi Muskil Se Likha Jata Hai…..niyamo Ke Saath…..
Aage Details Diye Gaye Hai……

Mene Koshis Ki He Ke Equivalent Urdu Ke Sabd Du.

“chhand”:

“yati”, “gati”, Var.n Ya Matra Ki Gadna Ke Vichhar Ko Chhand Ya Paddh Kahte Hai.

Panktiyo Ko “charan” Ya “pad” Kahte Hai……(urdu…misra)

“yati”: Chand Padhate Samay…jo Bich Bich Me Rukna Padhta Hai Use Yati Kahte Hai.

“gati”: Chand Padhte Waqt……jo Utaar Chadhav Aata , Ek Lay Deta Hai, Use Gati Kahte Hai.

Tuk : (tuk-bandi)…..charan (misra) Ke Ant Me Ju Samaan Sabd Aate Hai (urdu Me…….radeef, Kaafiyaa)………tuko Se Chhand… Lay, Sunne Me Priy V Rochak Ho Jata Hai……

“matra”: Kisi Ver.n Ke Uchcharn Me Jo Samay Lagta Hai……use Matra Kahte Hai…….

“matra” Do Prakar Ki Hoti Hai……..”laghu” Aur “guru / Dirgh”

Laghu Matra: Samay Thoda Lagta Hai Jaise A, E, U, Ri (ka, Ke, Ki, Ku, K’r…… )
Guru / Dirgh: Ee, Ii, Uu, Ye, Yee, O, Ou (kaa, Kee, Kii, Kuu, Kaye, Ko, Kau…….)

Matra Ki Gad.na (meter, Urdu—beher, Yeh Chhand Ke Prakar Nirdharit Karti Hai)

Sayukta Vyanjan Me Pahla….laghu Bhi Guru Mana Jata Hai

Visarg Aur Anuswar….se Yukt….vern Bhi Guru Mana Jata Hai

Ga.n: Hindi Me 8 Ga.n Hote Hai……jo 3-3 Akxaro Ke Samuh Hote Hai….
Yaga.n (1 2 2), Maga.n (2 2 2), Taga.n (2 2 1), Raga.n(2 1 2), Jaga.n(1 2 1), Bhaga.n(2 1 1), Naga.n(1 1 1), Saga.n(1 1 2)

Chhand Kayi Bhed / Prakaar Ke Hote Hai…unka Aadhar Niche Diye 3 Hote Hai……

1..var.n Vritta: Var.no Ke Unusar Gadna Hoti Hai
2.. Mantrik: Cahrno Ki Gadna Matrao Per Adharit Rahti Hai
3.. Muktak: Inme Upar Ka Koyi Niyam Nahi Hota

Sabse Pahle Me…….

1.. Mukt Chhand / Kavita Ke Bare Me Kahumga……

“atukanty Chhand” Ye Sab Gadanao Se Aajad Hai…..per Sundarta Ke Liye……lay, Utar Chadhav Ka Prayog Ho Sakta Hai, Tuk Ka Ho Sake To Prayog Hota Hai……inme “vichhar” Ahem Hai…… Aaj Kal Jyada Tar Yahi Rachnaye Hindi Me Milti Hai……dusari Log Ghazal Keh Dete Hai……..

2..“chaupaye”:4 Charan, Her Me 16 Matraye, Jag.n, Tag.n…ant Me Nahi Hota

3..“rola”: Kul 24 Matraye, 11 Vi Aur Baab Me 13 Per Viram, Ant Me Do Guru Hona Jaroori Hai.

4..”doha”: 1 Le Aur 3 Re Charan Me 13 Matraye, 2 Re Aur 4 The Me 11 Matraye…. 1 Le 3 Re Charan Jaga.n Se Suru Nahi Hota, Aur 2 Re, 4 The Ka Anr Sam Aur Laghu Hona Chahiye.

5..”sortha”: 1 Le 3 Re Charan Me 11 -11 Matraye, 2 Re Aur 4 The Charan Me 13-13 Matraye Honi Chahiye….isme 1 Le Aur 3 Re Charan Ke Tuk Milte Hai.

6..”kundaliya.n”: Suruat Me Ek Doha, Baad Me 6 Charan Hote Hai…dohe Ka Antim Charan..rola Ka Pehla Charan Hota Hai…pahla Aur Antim Sabd Ek Hota Hai….

7..”savaiya”: Partek Charan Me..7 Bhaga.n Aur Do Guru Var.n Hote Hai.

8..”kavit’ta”: 4 Charan Hote Hai, Pratek Charan Me 16, 15, Aur 31 Ver.n Hote Hai,
.. Pratek Charan Ke Ant Me Guri Ver.n Hona Chahiye….gati Thik Karne Ke Liye…8..8..8..ayr 7 Ver.n Per Yati Rahna Chahiye………


I tried to assimilate jo aapne hindi Chhnad / Kavita Ke Niyam / Rules: Sankxept Me mae bataya hai...ise maine pRha aur kuch ek baat samajh bhi payi, lekin lagata hai agar aap ise english mae explain karne ka kasht karae to mujh jaison ke liye jzada labhdayak rahega.

Please consider it...
many thanks
regards
aarya

arvindvyas 28th February 2007 12:08 AM

namaste
 
Aarya ji,

Me english me expain karunga......thoda waqt chahiye

Per ek baat duhrata hu........

Aap likhte waqt.......sabdo pe, ek si lambaye / meter / length / beher per dhyan de......lay (madhur atar chadhav) per dyan de.......aur aakhiri tuk (tuk-bandi) per dhayan de........

Lay lane me......sabdo ka selection......unki sequence......utar chadhav...jaroori hai......ek dhoon mann me lao.....gungunao.......aaur usi per likhne ki koshis karo......

Ab aur baad me.......

Dhanyabad...........

Arvind Vyas "Pyas"

aarya 28th February 2007 08:12 AM

bahut bahut dhanyavad aapka arvid vyas jee samjhane ke liye. aapki english mae explanation ka intzaar rahega.



many thanks once again.

regards
aarya

zainy 20th June 2010 05:33 PM

Quote:

Originally Posted by arvindvyas (Post 225772)
hindi Chhnad / Kavita Ke Niyam / Rules: Sankxept Me (Introduction)

(if Needed In English…….please Write)

Hindi Bahut Se Chand Hote Hai….
Badi Muskil Se Likha Jata Hai…..niyamo Ke Saath…..
Aage Details Diye Gaye Hai……

Mene Koshis Ki He Ke Equivalent Urdu Ke Sabd Du.

“chhand”:

“yati”, “gati”, Var.n Ya Matra Ki Gadna Ke Vichhar Ko Chhand Ya Paddh Kahte Hai.

Panktiyo Ko “charan” Ya “pad” Kahte Hai……(urdu…misra)

“yati”: Chand Padhate Samay…jo Bich Bich Me Rukna Padhta Hai Use Yati Kahte Hai.

“gati”: Chand Padhte Waqt……jo Utaar Chadhav Aata , Ek Lay Deta Hai, Use Gati Kahte Hai.

Tuk : (tuk-bandi)…..charan (misra) Ke Ant Me Ju Samaan Sabd Aate Hai (urdu Me…….radeef, Kaafiyaa)………tuko Se Chhand… Lay, Sunne Me Priy V Rochak Ho Jata Hai……

“matra”: Kisi Ver.n Ke Uchcharn Me Jo Samay Lagta Hai……use Matra Kahte Hai…….

“matra” Do Prakar Ki Hoti Hai……..”laghu” Aur “guru / Dirgh”

Laghu Matra: Samay Thoda Lagta Hai Jaise A, E, U, Ri (ka, Ke, Ki, Ku, K’r…… )
Guru / Dirgh: Ee, Ii, Uu, Ye, Yee, O, Ou (kaa, Kee, Kii, Kuu, Kaye, Ko, Kau…….)

Matra Ki Gad.na (meter, Urdu—beher, Yeh Chhand Ke Prakar Nirdharit Karti Hai)

Sayukta Vyanjan Me Pahla….laghu Bhi Guru Mana Jata Hai

Visarg Aur Anuswar….se Yukt….vern Bhi Guru Mana Jata Hai

Ga.n: Hindi Me 8 Ga.n Hote Hai……jo 3-3 Akxaro Ke Samuh Hote Hai….
Yaga.n (1 2 2), Maga.n (2 2 2), Taga.n (2 2 1), Raga.n(2 1 2), Jaga.n(1 2 1), Bhaga.n(2 1 1), Naga.n(1 1 1), Saga.n(1 1 2)

Chhand Kayi Bhed / Prakaar Ke Hote Hai…unka Aadhar Niche Diye 3 Hote Hai……

1..var.n Vritta: Var.no Ke Unusar Gadna Hoti Hai
2.. Mantrik: Cahrno Ki Gadna Matrao Per Adharit Rahti Hai
3.. Muktak: Inme Upar Ka Koyi Niyam Nahi Hota

Sabse Pahle Me…….

1.. Mukt Chhand / Kavita Ke Bare Me Kahumga……

“atukanty Chhand” Ye Sab Gadanao Se Aajad Hai…..per Sundarta Ke Liye……lay, Utar Chadhav Ka Prayog Ho Sakta Hai, Tuk Ka Ho Sake To Prayog Hota Hai……inme “vichhar” Ahem Hai…… Aaj Kal Jyada Tar Yahi Rachnaye Hindi Me Milti Hai……dusari Log Ghazal Keh Dete Hai……..

2..“chaupaye”:4 Charan, Her Me 16 Matraye, Jag.n, Tag.n…ant Me Nahi Hota

3..“rola”: Kul 24 Matraye, 11 Vi Aur Baab Me 13 Per Viram, Ant Me Do Guru Hona Jaroori Hai.

4..”doha”: 1 Le Aur 3 Re Charan Me 13 Matraye, 2 Re Aur 4 The Me 11 Matraye…. 1 Le 3 Re Charan Jaga.n Se Suru Nahi Hota, Aur 2 Re, 4 The Ka Anr Sam Aur Laghu Hona Chahiye.

5..”sortha”: 1 Le 3 Re Charan Me 11 -11 Matraye, 2 Re Aur 4 The Charan Me 13-13 Matraye Honi Chahiye….isme 1 Le Aur 3 Re Charan Ke Tuk Milte Hai.

6..”kundaliya.n”: Suruat Me Ek Doha, Baad Me 6 Charan Hote Hai…dohe Ka Antim Charan..rola Ka Pehla Charan Hota Hai…pahla Aur Antim Sabd Ek Hota Hai….

7..”savaiya”: Partek Charan Me..7 Bhaga.n Aur Do Guru Var.n Hote Hai.

8..”kavit’ta”: 4 Charan Hote Hai, Pratek Charan Me 16, 15, Aur 31 Ver.n Hote Hai,
.. Pratek Charan Ke Ant Me Guri Ver.n Hona Chahiye….gati Thik Karne Ke Liye…8..8..8..ayr 7 Ver.n Per Yati Rahna Chahiye………




Arvind sahab se , ya phir is site ke kisi bhi member se ,jo hindi bhasha acchi tarah se jaante haiN,meri prarthna hai ke in rules ko zara saral bhasha me sabko samjhayeiN....

mittal_pali 24th June 2010 04:18 AM

Quote:

Originally Posted by zainy (Post 397347)
Arvind sahab se , ya phir is site ke kisi bhi member se ,jo hindi bhasha acchi tarah se jaante haiN,meri prarthna hai ke in rules ko zara saral bhasha me sabko samjhayeiN....


lagta hai jeh kaam mujhe hi karna padega....ha ha ha
just joking.


All times are GMT +5.5. The time now is 02:31 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.