Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Introduction Forum (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=47)
-   -   Praneeta jee ke saath Guftagu...! (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=73446)

Dhaval 1st August 2011 11:32 AM

Praneeta jee ke saath Guftagu...!
 
Parivaar ke sabhee sadasyoN ko

Namskaar aur Aadaab!!

Shayri Parivaar meiN chal rahaa guftagu ka silsilaah ab aur bhee aage baDh rahaa haii aap sab ke pyaar aur saath se.. maiN aap sab kaa be-Had ShuKraGuzaar huuN !!

ees baar Shayri.com ke kaThGhare meiN haaZir ho raheN hai "Praneeta jee"

Praneeta jee:

namaste!

maiN aapka tah-e-dil se ShuKriyaa'h adaa kartaa huuN ki aapne apnaa Qeemtee waQt dene ka faislaa kiyaa

kuChh sawaal aapke liye!

1: apne baare meiN kuChh bataa'iiye..Family.. Friends ?

2: Shayri Parivaar meiN aap kaise pahuunche?

3: aap kab se Shayri kar raheN haiN ?

4: Shayri Parivaar meiN aapke pasandeeda Shaayar kaun kaun se haiN?


Best of Luck!!

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

zidd 1st August 2011 12:37 PM

wah dhaval sahab. aapka shukriya ki aapne ek relevant shaksiyat ko invite kiya hai.

aapko praneetaji yaha dekh kar bahut accha laga.

ek baat mai bhi kahna chahunga praneetaji ke baare me she has been the most consistent in her writings.
agar praneeta ji ki saari gazle ek saath likh diya jaaye to bilkul break nahi mehsoos hoga. ek musalsal badi si ghazal lagegi.

welcome to you parineetaji

kuch der me sawaal lekar haazir hota hu.

warm regards

naresh_mehra110 1st August 2011 01:25 PM

Praneeta Ji !
Namaste ... !!

Aapka Yahaa Dil Se Swaaghat Hai ... Aur KahiN Behad Khushi Bhi ... ! Aaj Jab FB Par Subha Aapse Baat Cheet Ho Rahi Thii ... Tab Gumaan Bhi Nahi Thaa Mujhe Ki ... AaJ Se Aapka Interview Shuru Ho Raha Hai ... !

Vaise Toh Bahut Kuch Aapke Baare MeN Hum Jaante Hi HaiN ... Par Sab Kuch Nahi ... Jo Nahi Jaante ... Woh Ab Aapke ShabdoN Ke Zariye ... Yahaa PaDh Paayenge ... Itni Ummeed Toh Rakh Hi Sakte HaiN ... !

YuuN Aapki Shayri Ka Dard Hum Aksar Sehate Aaye HaiN ... Reply Ke Maraham Bhi Kitne Istemaal Kiye ... Lekin Aapki Shayri Kaa Dard Kam Nahi Huaa .. Balki Pehle Se Aur BaDhtaa Hi Chalaa Gayaa ... !

Aaj Se Aapka Interview Shuru Ho Raha Hai ... Aashaa Hai ... Kuch Dard Kam Zaroor Hogaa ... In Sammbhaavnaao Ke Saath Abhi Ke Liye Vishraam Letaa Hoon ... !

Aage Milte HaiN ... Kuch SawaaloN Ke Saath ... !

Ishwar Aapke Iss Interview Ko Kaamiyaab Banaaye ... Aur Yahaa Hum Dosto Ke Saath Aapka Acche Se Waqt Guzregaa .... !!

Sadaa Khush RaheN ... !
Apnaa Theek Se Khayaal RakheN ... !
DuaaoN Ke Saath ... !

Praneeta 1st August 2011 02:27 PM

Quote:

Originally Posted by Dhaval (Post 428712)
Parivaar ke sabhee sadasyoN ko

Namskaar aur Aadaab!!

Shayri Parivaar meiN chal rahaa guftagu ka silsilaah ab aur bhee aage baDh rahaa haii aap sab ke pyaar aur saath se.. maiN aap sab kaa be-Had ShuKraGuzaar huuN !!

ees baar Shayri.com ke kaThGhare meiN haaZir ho raheN hai "Praneeta jee"

Praneeta jee:

namaste!

maiN aapka tah-e-dil se ShuKriyaa'h adaa kartaa huuN ki aapne apnaa Qeemtee waQt dene ka faislaa kiyaa

kuChh sawaal aapke liye!

1: apne baare meiN kuChh bataa'iiye..Family.. Friends ?

2: Shayri Parivaar meiN aap kaise pahuunche?

3: aap kab se Shayri kar raheN haiN ?

4: Shayri Parivaar meiN aapke pasandeeda Shaayar kaun kaun se haiN?


Best of Luck!!

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

Shukriya Daval ji aur Zainy. Aap ne meri language weak hote hue mujhe is guftagu ke kabil samjha. Hope ki main is interview mein paas hun:p:D
1: apne baare meiN kuChh bataa'iiye..Family.. Friends ?
Mera pura naam Praneeta Kumar hai. Main Fiji Islands mein raheti hun jo ki Pacific ocean mein ek bahot hi chota sa island hai….kabhi tsunami aaye toh hum gayab hi ho jayenge. Main kabhi India nahi gayi aur pata bhi nahi ki mere ancestors india se kaha se hai. India jana ek major point hai mere life ke agenda par.
Mere parivar mein filhaal meri Maa, bhai, bhabi aur unke bête hai. Meri teen badi bahine hai jin mein se do Fiji mein hi settled hai aur ek isi saal America migrate hui hai. My daddy passed away in 2003.
Main profession se ek teacher hun. Mera qualification Bachelor of Arts majoring in Accounting & Financial Management and Information System hai. Main pichle 8 years se Business and Management, Information Technology aur Mathematics padhati hun. Abhi Master of Business Administration mein enroll hun par soch rahi hun ki is course se withdraw kar ke Law degree karun.

2: Shayri Parivaar meiN aap kaise pahuunche?


Ek din maine yahoo search kiya…shayri…toh pahela link www.shayri.com aaya. General browse karne ke baad mann hua register karne ko. Tab main shayri sirf padhna pasand karti thi…likhne ko socha tak nahi tha.
3: aap kab se Shayri kar raheN haiN ?


Yuhi roz padhte padhte apne ehsaas bhi likhne lagi…job hi tuti phuti shayri hoti thi ussay SDC par post kar deti thi…response bahot kam aate the…shurwati dino mein Mayank ji hi sirf comment karte the meri threads par.
Fir ek din zainy se mulakaat hui. She told me to go through the technical aspects of ghazal writing….bas tabhi se shayri kar rahe hai. :)



4: Shayri Parivaar meiN aapke pasandeeda Shaayar kaun kaun se haiN?
Shayri parivaar mein waise toh sab achcha likhte hai par kuch naam main zarur lena chaungi jinki shayri mujhe pasand hai...kuch members to ab SDC par nahi aate par mujhe unki ghazalen hamesha yaad rahengi...ye koi paricular order mein nahi bas naam yaad aate gaye main likhti gayi...

Mayank ji, Zainy, Dhaval ji, Naresh ji, Ishk Ek Ibadat, Janumanu…Vikas, Stillalive…Vicky, Sunita di, Amanush…Chachu, Kunaal, Pradhyuman, sameer'shaad' , yasmeenraaz, Fathomless, Zidd, Sajid Ghayel, noor_noor, Fezan, Radhika_2, nalinmehra, redtears_ocean, naadaan, N@zneen, mausam, Diya_Jale, Mohammad Kashif, Mujeeb, Vikramjethi, Taish, Hassan, Ek ehsaas, Heart_Killer…omi, Purvi, Dineshdharvi, Maan_chand, Tanha_Dil, Lamha

kisi na naam miss ho gaya ho to maaf kar dena please:o

Ek baar fir se Dhaval ji aap ka shukriya...aur baaki sabhi doston ko bhi...for bearing with me

Regards:)

Praneeta 1st August 2011 03:50 PM

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 428716)
wah dhaval sahab. aapka shukriya ki aapne ek relevant shaksiyat ko invite kiya hai.

aapko praneetaji yaha dekh kar bahut accha laga.

ek baat mai bhi kahna chahunga praneetaji ke baare me she has been the most consistent in her writings.
agar praneeta ji ki saari gazle ek saath likh diya jaaye to bilkul break nahi mehsoos hoga. ek musalsal badi si ghazal lagegi.

welcome to you parineetaji

kuch der me sawaal lekar haazir hota hu.

warm regards


behad shukriya Zidd sahab aap ke warm welcome ke liye
mera yaha hona relevant hai ya nahi pata nahi par khushi hui aap se apne liye ye sun kar. ye malum bhi pada ki aap meri threads notice karte hai..shukriya ek baar phir

Regards:)

Praneeta 1st August 2011 04:16 PM

Quote:

Originally Posted by naresh_mehra110 (Post 428719)
Praneeta Ji !
Namaste ... !!

Aapka Yahaa Dil Se Swaaghat Hai ... Aur KahiN Behad Khushi Bhi ... ! Aaj Jab FB Par Subha Aapse Baat Cheet Ho Rahi Thii ... Tab Gumaan Bhi Nahi Thaa Mujhe Ki ... AaJ Se Aapka Interview Shuru Ho Raha Hai ... !

Vaise Toh Bahut Kuch Aapke Baare MeN Hum Jaante Hi HaiN ... Par Sab Kuch Nahi ... Jo Nahi Jaante ... Woh Ab Aapke ShabdoN Ke Zariye ... Yahaa PaDh Paayenge ... Itni Ummeed Toh Rakh Hi Sakte HaiN ... !

YuuN Aapki Shayri Ka Dard Hum Aksar Sehate Aaye HaiN ... Reply Ke Maraham Bhi Kitne Istemaal Kiye ... Lekin Aapki Shayri Kaa Dard Kam Nahi Huaa .. Balki Pehle Se Aur BaDhtaa Hi Chalaa Gayaa ... !

Aaj Se Aapka Interview Shuru Ho Raha Hai ... Aashaa Hai ... Kuch Dard Kam Zaroor Hogaa ... In Sammbhaavnaao Ke Saath Abhi Ke Liye Vishraam Letaa Hoon ... !

Aage Milte HaiN ... Kuch SawaaloN Ke Saath ... !

Ishwar Aapke Iss Interview Ko Kaamiyaab Banaaye ... Aur Yahaa Hum Dosto Ke Saath Aapka Acche Se Waqt Guzregaa .... !!

Sadaa Khush RaheN ... !
Apnaa Theek Se Khayaal RakheN ... !
DuaaoN Ke Saath ... !

Naresh ji
Namaste...

aap ke is warm welcome ke liye bahot bahot shukriya...ji haa aaj subha FB par baat cheen toh ki hum ne par maine apni is interview ke baare mein mention karna thik nahi samjha...mujhe laga jaha ki baat wahi ki jaye toh bahetar hai...mujhe vishwaas tha ki aap zarur yaha ayenge toh fir pahele se bata kar surprise spoil nahi karna chahti thi...hope you are pleasantly surprised that is if you are surprised at all:p

ji haa aap beshak mere baare mein jo janna chahte hai poonch sakte hai aur meri koshish rahegi ki jald se jald jawab dun aap ko

main maafi chahti hun aap se aur sabhi doston se jinhe meri shayri ki wajah se koi bhi taqleef hui ho...mujhe pata hai maine har baar apne dard se aap logon ko bhi dard pahuchaya hai...dil se maafi chahungi par kya karun...dard ki wajah se hi meri shayri hai...dard khatam toh shayri khatam. zindagi mein itne hadse hue hai ki ab dard mein jeene ki adat ho gayi hai...kabhi suna tha maine...dard hota hai dard jab chubhta nahi...;) mera dard bhi pyar ki tarah hai jo kabhi kam nahi hoga...

mujhe intezaar rahega aap ke sawaalon ka...aap bhi apna kahayal rakhe
shukriya ek baar fir se

Regards:)

Pradhyuman 1st August 2011 08:23 PM

Hey Praneeta,

My best wishes for your interview. It has been an absolute pleasure knowing you. If you remember we used to chat in our earlier days at SDC and thats how I remember lot of things you've mentioned here.

There are few members on SDC who I absolutely admire for who they are and one of them is you. Your body of work is just an extention of you and like Zidd has mentioned it is as consistent as you.

regards,
Pradhyuman

naresh_mehra110 1st August 2011 08:49 PM

Praneeta Ji !
Namaste ... !!

Dhaval Bhai Dwaaraa Puchhe Gaye Aarambhik SawaaloN Kaa ... Aapne Jin Sadhe Hue ShabdoN MeN Jawaab Diye ... PaDhke Bahut AchChha Laga ... Jo Aapne Parivaar Ka Parichey ... Fiji Ke Baare MeN Jaankaari Dii ... apni Qualification Kaa Vishleshan Diya ... Kis Profession MeN HaiN ... Aur Aage Ki Sambhaavnaao Par Jo Roshni Daali ... Sab Jaankaripurn Laga Mujhe ... !

Mere Reply Kaa Bhi Jawaab Aapne Apne Andaaz Men Bahut Asardaar Dhangh Se Diyaa ... PaDhkar AchChaa Lagna Saubhaavik Hi Thaa ... ! Agar Dard Aapki Shayri Kaa Jeevan Hai ... Toh Main Bhi Kabhi Nahi Chaahunga ... Yeh Dard Kabhi Kam Ho ... !

Jeevan Hai Toh Haadse HaiN ... BaDhi Baat Hai ... Unkaa Saamnaa Karnaa ... Woh Aapki Jeevan Shailii Aur Shayri MeN Bhi Jhalaktaa Hai ... Aisaa Maine Mehsoos Kiyaa Hai ... Jab Kabhi Aapse Online Baat Hui Ho Yaa Aapki Koi Rachna PaDhte Waqt ... !

Abhi Ke Liye Bas Itnaa Hi ... Phir Milte HaiN ... !

Apna Theek Se Khayaal RakheN ... !
DuaaoN Ke Saath ... !


sameer'shaad' 1st August 2011 08:52 PM

Dear Praneeta.. its nice to see you here.. aur duaa karuNga ke ye safar aapka bahot hi yaadgaar beete... aapke baare me jaanna bhi accha laga... filhaaal aaj hi shuru hua hai interview isliye abhi NO questions.. thodaa aur set ho jaaao fir hamaare sawaaloN ki bauchaaroN se bach ke rahnaaa.. :p

khush raho...

Shaad

Amanush... 2nd August 2011 12:58 AM

Hamari taraf se bhi tah-e-dil se swaagatam, Pari Beti...!

Aashirvaad ke saath

:)

Praneeta 2nd August 2011 04:02 AM

Quote:

Originally Posted by Pradhyuman (Post 428726)
Hey Praneeta,

My best wishes for your interview. It has been an absolute pleasure knowing you. If you remember we used to chat in our earlier days at SDC and thats how I remember lot of things you've mentioned here.

There are few members on SDC who I absolutely admire for who they are and one of them is you. Your body of work is just an extention of you and like Zidd has mentioned it is as consistent as you.

regards,
Pradhyuman

Hello Pradhyuman

Thank you so much for your wishes. It is actually my pleasure to have such lovely comments coming from SDC family. Yes I do remember our conservation exchanges and that I always liked your writings.

Hearty gratitude is due to you for admiring my work and actually voicing it out on this forum...its always a pleasure to be appreciated.

Thanks again for this reply.

Regards:)

Praneeta 2nd August 2011 05:26 AM

Quote:

Originally Posted by naresh_mehra110 (Post 428728)
Praneeta Ji !
Namaste ... !!

Dhaval Bhai Dwaaraa Puchhe Gaye Aarambhik SawaaloN Kaa ... Aapne Jin Sadhe Hue ShabdoN MeN Jawaab Diye ... PaDhke Bahut AchChha Laga ... Jo Aapne Parivaar Ka Parichey ... Fiji Ke Baare MeN Jaankaari Dii ... apni Qualification Kaa Vishleshan Diya ... Kis Profession MeN HaiN ... Aur Aage Ki Sambhaavnaao Par Jo Roshni Daali ... Sab Jaankaripurn Laga Mujhe ... !

Mere Reply Kaa Bhi Jawaab Aapne Apne Andaaz Men Bahut Asardaar Dhangh Se Diyaa ... PaDhkar AchChaa Lagna Saubhaavik Hi Thaa ... ! Agar Dard Aapki Shayri Kaa Jeevan Hai ... Toh Main Bhi Kabhi Nahi Chaahunga ... Yeh Dard Kabhi Kam Ho ... !

Jeevan Hai Toh Haadse HaiN ... BaDhi Baat Hai ... Unkaa Saamnaa Karnaa ... Woh Aapki Jeevan Shailii Aur Shayri MeN Bhi Jhalaktaa Hai ... Aisaa Maine Mehsoos Kiyaa Hai ... Jab Kabhi Aapse Online Baat Hui Ho Yaa Aapki Koi Rachna PaDhte Waqt ... !

Abhi Ke Liye Bas Itnaa Hi ... Phir Milte HaiN ... !

Apna Theek Se Khayaal RakheN ... !
DuaaoN Ke Saath ... !



Naresh ji
Namaste...

mujhe khushi hai ki aap meri interview mein interest le rahe hain aur ise jannkaripurn aur asardaar samajh rahe hain

ji haa zarur jeevan hai toh haadse hote hi rahenge aur inhi haadson ko main shayri ka roop de rahi hun. mujhe khushi hai ki aap ne ye pahechana:)

shukriya ek baar fir Naresh ji
aap ka intezaar rahega....take care

Regards:)

Praneeta 2nd August 2011 06:07 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 428729)
Dear Praneeta.. its nice to see you here.. aur duaa karuNga ke ye safar aapka bahot hi yaadgaar beete... aapke baare me jaanna bhi accha laga... filhaaal aaj hi shuru hua hai interview isliye abhi NO questions.. thodaa aur set ho jaaao fir hamaare sawaaloN ki bauchaaroN se bach ke rahnaaa.. :p

khush raho...

Shaad

Dear Shaad,

Thank you for accepting me here. Thank you very much for your wishes.:)
I am glad that you like reading through my replies…

‘aaj hi shuru hua hai interview’…ab ye toh koi wajah nahi hui mujhse sawaal na poonchne ki. Waise intezaar karenge hum aap ke sawaalon ke bauchaaron ki. Preparation puri kar ke aana...:p

“Life was always a matter to waiting for the right moment to act”…Paulo Coelho;):D

Regards:)

Praneeta 2nd August 2011 06:13 AM

Quote:

Originally Posted by Amanush... (Post 428736)
Hamari taraf se bhi tah-e-dil se swaagatam, Pari Beti...!

Aashirvaad ke saath

:)

Bahot bahot shukriya Chachu jaan...aap ke aashirvaad mere saath hamesha rahe yahi dua hai khuda se aur guzarish aap se.


Thank you so very much Chachu.

Regards:)

Praneeta 2nd August 2011 07:35 AM

Jo dost roza se hai unhe ramdaan ki bahot bahot maubarakbaad

Regards:)

sunita thakur 2nd August 2011 03:59 PM

hmmm.....warm welcome Pari
 
Pari....bahut sara pyar !
hame bahut accha lga aapko es guftagu mei dekh kar, Pari bahut kuch jaante hai ham aapke bare mei, par jab guftagu ka silsilla chalta hai kisi bhi member se to pta chalta hai ki yaar ham to bahut kam jaante thy...so es baar bhi yehi hoga....aap apne bare mei batate jao aur members ke sawalaat ke jawaab detey jao....ham padte jayenge, mai sawaal bahut kam karti hu...muje samaj hi nahi aata ki kya sawaal karuN, par haa jab baaki members ke sawaal padti hu to lagta hai ki haa yaar muje bhi aisa hi kuch poochna tha :-)
umeed hai aapse yeh baat-cheet yaadgaar hogi....!

bahut sare pyar aur duaon ke saath
aapki diii

naresh_mehra110 2nd August 2011 11:55 PM

Praneeta Ji ! Sabse Pehle Hum Aapki JanamBhumi ... Fiji Islands Ke baare meN JaanNaa Chaahenge ... WahaaN Kaa Rahan-Sahan .. Khaan-Paan ...Seekshaa ... Sanskritii ... Bhaashaa .. Mausam ... Baazaar ... SaDhke ... Yaataayaat Ke SaadhaN ... Khaas Khaas Shahar Aur Ghoomne Phirne Ki JaghaayeN ... Kya Kya Cheeze Jyada Mashahoor HaiN ... Saath Hi Kaarobaar Aur NaukriyoN Kaa Bhavishye Kaisa Hai ... Bhaartiye Mool Ke Logo Ki Sanskritii Kaa Kitnaa Prabhaav Aap Dekhti HaiN ... Hindi Cinema Aur Hindi Filmi Geet Kitnaa Chalte HaiN ... ! Wahaa Kis Taraha Kaa Sarkaari Shaasan Hai ... Baaki Jo Aap Bataanaa ChaaheN ... ?

zidd 3rd August 2011 12:01 PM

Quote:

Originally Posted by Praneeta (Post 428748)
Jo dost roza se hai unhe ramdaan ki bahot bahot maubarakbaad

Regards:)

jinka roza hai bus unhi ko...baki dosto ko ??????

ISHK EK IBADAT 3rd August 2011 01:07 PM

praneeta jee
radhe radhe


is guftgu me aapka swagat hai asha karta hoon ki aapka ye safar bahut badhia guzrega aur hame aapke baare me jyada se jyada jaanne ka mauka milga. meri shubhkaanaayen sada aapke saath hain

duaon ke saath


Praneeta 3rd August 2011 01:32 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 428758)
Pari....bahut sara pyar !
hame bahut accha lga aapko es guftagu mei dekh kar, Pari bahut kuch jaante hai ham aapke bare mei, par jab guftagu ka silsilla chalta hai kisi bhi member se to pta chalta hai ki yaar ham to bahut kam jaante thy...so es baar bhi yehi hoga....aap apne bare mei batate jao aur members ke sawalaat ke jawaab detey jao....ham padte jayenge, mai sawaal bahut kam karti hu...muje samaj hi nahi aata ki kya sawaal karuN, par haa jab baaki members ke sawaal padti hu to lagta hai ki haa yaar muje bhi aisa hi kuch poochna tha :-)
umeed hai aapse yeh baat-cheet yaadgaar hogi....!

bahut sare pyar aur duaon ke saath
aapki diii


Dii aap ke pyar ke liye bahot bahot shukriya:)

Dii waise toh main ek teacher hun par mujhe bhi sawaal karna nahi aata:p except regarding subjects that i teach
ab aap sochiyen jise sawaal karna na aata ho wo jawaab kya de:D
mere liye kaafi hai ki aap yaha aaye...hope that my answers are not getting you bored.


thank you once again for all the love...aap ko bhi mera pyaar

Regards:)

Praneeta 3rd August 2011 01:46 PM

Quote:

Originally Posted by naresh_mehra110 (Post 428786)
Praneeta Ji ! Sabse Pehle Hum Aapki JanamBhumi ... Fiji Islands Ke baare meN JaanNaa Chaahenge ... WahaaN Kaa Rahan-Sahan .. Khaan-Paan ...Seekshaa ... Sanskritii ... Bhaashaa .. Mausam ... Baazaar ... SaDhke ... Yaataayaat Ke SaadhaN ... Khaas Khaas Shahar Aur Ghoomne Phirne Ki JaghaayeN ... Kya Kya Cheeze Jyada Mashahoor HaiN ... Saath Hi Kaarobaar Aur NaukriyoN Kaa Bhavishye Kaisa Hai ... Bhaartiye Mool Ke Logo Ki Sanskritii Kaa Kitnaa Prabhaav Aap Dekhti HaiN ... Hindi Cinema Aur Hindi Filmi Geet Kitnaa Chalte HaiN ... ! Wahaa Kis Taraha Kaa Sarkaari Shaasan Hai ... Baaki Jo Aap Bataanaa ChaaheN ... ?

ufff Naresh ji...aap ke kitne saare sawaal hai...well sawaal easy hai par main jawaab baad mein dena chaungi...actually i am away from home on a 3 day camp with my students at a beach resort. i am not able to use my personal internet connection due to weak reception. abhi main hotel ka service use kar rahi hun aur bahot limited time hai kyun ki pcs yaha sirf do hai aur a number of guests...main aap ko jawaab saturday ko dungi....please bear with me:o

Regards:)

Praneeta 3rd August 2011 01:50 PM

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 428797)
jinka roza hai bus unhi ko...baki dosto ko ??????


maafi janab...sabhi doston ko ramadan kareem
my thousand apologies Zidd sahab......please do accept i beg of you:o

Regards:)

Praneeta 3rd August 2011 01:53 PM

Quote:

Originally Posted by ISHK EK IBADAT (Post 428798)
praneeta jee
radhe radhe


is guftgu me aapka swagat hai asha karta hoon ki aapka ye safar bahut badhia guzrega aur hame aapke baare me jyada se jyada jaanne ka mauka milga. meri shubhkaanaayen sada aapke saath hain

duaon ke saath


Shukriya Ishk sahab
mujhe vishwaas tha ki aap yaha zarur aayenge
shukriya ek baar fir

Regards:)

sunita thakur 3rd August 2011 02:27 PM

Quote:

Originally Posted by Praneeta (Post 428799)
Dii aap ke pyar ke liye bahot bahot shukriya:)

Dii waise toh main ek teacher hun par mujhe bhi sawaal karna nahi aata:p except regarding subjects that i teach
ab aap sochiyen jise sawaal karna na aata ho wo jawaab kya de:D
mere liye kaafi hai ki aap yaha aaye...hope that my answers are not getting you bored.


thank you once again for all the love...aap ko bhi mera pyaar

Regards:)



Hamari Pyari pyari si Pari bhi ham jaisi hi hai...sawaal karma nahi aata :-)

naresh_mehra110 3rd August 2011 08:51 PM

Quote:

Originally Posted by Praneeta (Post 428800)
ufff Naresh ji...aap ke kitne saare sawaal hai...well sawaal easy hai par main jawaab baad mein dena chaungi...actually i am away from home on a 3 day camp with my students at a beach resort. i am not able to use my personal internet connection due to weak reception. abhi main hotel ka service use kar rahi hun aur bahot limited time hai kyun ki pcs yaha sirf do hai aur a number of guests...main aap ko jawaab saturday ko dungi....please bear with me:o

Regards:)

Praneeta Ji ... Haa .. Kuch Roz Pehle Aap Bataa Toh Rahi Thii Ki ... Students Ke Saath Camp Par Jaane Waali HaiN ... Koi Baat Nahi .. Aap Chintaa Naa KareN ... Jab Suvidhaa Ho .. Aaraam Se Jawaab De Dii Jiyegaa ... Yahaa Koi Jaldi Nahi Hai ... !

janumanu 4th August 2011 10:40 AM

hello pari...
hows u

mai aapka sara interview follow kar raha hun
jaldi hi sawaal leke bhi hazir ho jaungaa

Praneeta 4th August 2011 02:50 PM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 428803)
Hamari Pyari pyari si Pari bhi ham jaisi hi hai...sawaal karma nahi aata :-)


ji haa dii mujhe bhi sawaal karna nahi aata...jawaab zarur teda peda deti hun:p

Regards:)

Praneeta 4th August 2011 02:52 PM

Quote:

Originally Posted by naresh_mehra110 (Post 428820)
Praneeta Ji ... Haa .. Kuch Roz Pehle Aap Bataa Toh Rahi Thii Ki ... Students Ke Saath Camp Par Jaane Waali HaiN ... Koi Baat Nahi .. Aap Chintaa Naa KareN ... Jab Suvidhaa Ho .. Aaraam Se Jawaab De Dii Jiyegaa ... Yahaa Koi Jaldi Nahi Hai ... !


Shukriya Naresh ji
zarur ghar pahuchte hi aap ke sawaalon ka jawaab deti hun jaise hi time milta hai
thnx 4 understanding

Regards:)

Praneeta 7th August 2011 01:19 PM

Quote:

Originally Posted by janumanu (Post 428828)
hello pari...
hows u

mai aapka sara interview follow kar raha hun
jaldi hi sawaal leke bhi hazir ho jaungaa

hello Vikas ji
main fit and fine hun aap ki dua se

aap toh mujhe dara rahe hai...:p
bring it on ji

Regards:)

naresh_mehra110 7th August 2011 06:04 PM

Praneeta Ji ... Kuch Apne Bachpan .. School .. College Ke Khaas ... Mazedaar Waaqiye .. Jo Aaj Bhi ZehaN MeN Taazaa Ho Aate HoN ... Yadi HaiN Toh Kyaa Humse Share Karnaa Chaahengii ... ?

ISHK EK IBADAT 7th August 2011 10:01 PM

praneeta jee
radhe radhe

yun to mujhe bhi sawaal karne nahi aate par ek sawaal aapke liye aaj aa hi gaya hai to poochh leta hoon agar theek lage to jabaab dijiyega sawal hai :

aapki nazar me prem kise kahte hain, ye kyon hota hai aur kya ye ek tarfa hi hota hai ya doosre ka response jaroori hai ?

bas itna hi

fir milte hain

duaon ke saath

Praneeta 8th August 2011 05:41 AM

Quote:

Originally Posted by naresh_mehra110 (Post 428786)
Praneeta Ji ! Sabse Pehle Hum Aapki JanamBhumi ... Fiji Islands Ke baare meN JaanNaa Chaahenge ... WahaaN Kaa Rahan-Sahan .. Khaan-Paan ...Seekshaa ... Sanskritii ... Bhaashaa .. Mausam ... Baazaar ... SaDhke ... Yaataayaat Ke SaadhaN ... Khaas Khaas Shahar Aur Ghoomne Phirne Ki JaghaayeN ... Kya Kya Cheeze Jyada Mashahoor HaiN ... Saath Hi Kaarobaar Aur NaukriyoN Kaa Bhavishye Kaisa Hai ... Bhaartiye Mool Ke Logo Ki Sanskritii Kaa Kitnaa Prabhaav Aap Dekhti HaiN ... Hindi Cinema Aur Hindi Filmi Geet Kitnaa Chalte HaiN ... ! Wahaa Kis Taraha Kaa Sarkaari Shaasan Hai ... Baaki Jo Aap Bataanaa ChaaheN ... ?

Naresh ji
Namaste

aap ke salwaaon ke jawab hazir hai janab...sorry for taking so much time

Fiji bahot chota sa group of islands hai South Pacific mein. Kuch facts and figures likh rahi hun:


Geography: Fiji consists of 332 islands in the southwest Pacific Ocean about 1,960 mi (3,152 km) from Sydney, Australia. About 110 of these islands are inhabited. The two largest are Viti Levu (4,109 sq mi; 10,642 sq km) and Vanua Levu (2,242 sq mi; 5,807 sq km).

Government: Republic

President: Ratu Epeli Nailatikau


Prime Minister: Frank Bainimarama


Total area: 7,054 sq mi (18,270 sq km)


Population (2010 est.): 957,780

Capital and largest city (2003 est.): Suva (on Viti Levu), 177,300


Monetary unit: Fiji dollar (1Fiji dollar = 26.2 Indian rupees approximately)

Languages: English (official), Fijian, Hindustani

Ethnicity/race: Fijian 51%, Indian 44%, European, other Pacific Islanders, overseas Chinese, and other 5% (1998)

Religions: Christian 52% (Methodist 37%, Roman Catholic 9%), Hindu 38%, Islam 8%, other 2%

Rahan sahan
Yaha ka rahan sahan simple hai…jaisa ki har desh mein hota hai…urban areas mein concrete buildings, rural areas mein bure houses for Fijian aur Indians corrugated iron ka ghar hote the pahele aura b concrete houses bhi nazar aate hain.


Khaan paan
Khaan paan alag alag hoti thi pahele…Indians, zyada tar Indian dishes jaise roti aur curry, dhal, rice, chutney, achaar etc etc, Fijians, traditional Fijian food jaise, boiled fish, root crops (taro, yams, cassava, etc), lovo (steamed meat and root crops), aur bhi kayi tarah ke Fijian dishes khate the. Par ab Fijian gharon mein bhi roti banti hai aur Indians bhi lovo ka maza uthate hai…Chinese dishes dono race khate hain. Yaha restaurants mein Indian, Chinese, Thai, Fijian, aur Korean cuisine milti hai.

Seeksha
Fiji mein hum zyada tar Australian curriculum ke hisaab se apna curriculum prepare karte hai. Australian text books bhi zyada use karte hai. Fiji mein 3 universities hai jo Australia aur New Zealand mein recognized hai. Most population migrate to Australia and New Zealand.
Main jis school mein teach karti hun wo international school hai. Hum local curriculum nahi follow karte. We teach International Baccalaureate (IB). We are one of the two schools in Fiji teaching IB and this curriculum is recognized in around 100 countries and 1000 universities recognize the IB diploma.

Sanskritii
Fijians apni Sanskritii aaj bhi follow karte hai…jaise sevu sevu (yaqona presentation)… Indians bhi kuch hadh follow karte hai jaise marriage rituals etc but not in the pure form. Ab sab kuch suvidha ke hisaab se ho gaya hai…jo suit karta ho wahi hota hai.
Western influence bhi kuch zyada hai…dressing, eating, living styles sab change ho gaya hai.

Bhaashaa
Official language toh English hai
Fijian aur hindi (broken) hum ghar par use karte hain…Chinese aur French log apni apni language bhi use karte hai.


Mausam
May to November - this is the 'winter' season, and though still deliciously warm and tropical, it is not as humid as the hotter, wetter summer months of December to April. Fiji is beautiful all year round - it's just that there is more chance for some tropical rains during summer. But it is the tropical rains that make Fiji such a beautiful paradise!


Baazaar
Fiji mein abhi haal hi mein (within last 10 years) kuch malls banaye gaye hain…warna sirf chote chote shops hi the. Yaha zyada samaan Taiwan, China, Australia, New Zealand se hi aate hain. Fiji tourism ke liye famous hai so focus is mostly on duty free shops. Kahene ko toh yaha sab kuch milta hai par at a cost that not everybody can afford.

SaDhke
Hmmm…sadhke bachi kaha hai…bas pot holes hi pot holes hai…mostly because of flooding in some areas and lack of repairs and maintenance in others. Nadi (where I live) mein toh kitne roads par repair works ho raha hai par samajh nahi aata kab khatam hoga…kuch kuch jagha raaste bade achche bhai hai jaise Sigatoka…neighbouring town to Nadi.

Yaataayaat Ke SaadhaN
Aaj kal toh har ghare do teen vehicles hoti hai. Kuch log aaj bhi public transport (buses) use karte hai…ye cities mein hoti hai especially jaha log kahi aur se aa kar rent karte hai naukri ke liye. Fiji mein bas ek hi international airport hai…jo Nadi mein hai. Do bade wharfs hai jaha import export ke ships aate hain.

Khaas Khaas Shahar Aur Ghoomne Phirne Ki JaghaayeN
Main sirf main islands par focus karungi…Fiji has two main islands…Viti Levu jaha Suva (Capital), Lautoka, Nadi, Sigatoka, Ba, Nauva, Tavua aur Rakiraki towns hai, Vanua Leva jaha Labasa aur Savusavu towns hai. Fiji mein sirf do cities hai Suva aur Lautoka.
Ghoome ke liye toh bahot saare jaghaayen hain…Fiji tourism ke liye mashhur hai…main abhi last week hi Rakiraki gayi thi…waha ek mountain mein ek steep waterfall hai jo ek heart shaped pool tak jata hai…ussay “Pool of Love” naam diya gaya hai…pani bahot hi thanda hai waha par wo jagha ghoomne ke liye bahot hi khubsurat hai (you can see some photos on FB)…Labasa mein ek floating island hai jo ek lake ke is paar se us paar float hota hai…Nadi mein garden of the sleeping gaint hai jo ek mountain top par hai aur ye mountain ka shape dekhne mein lagta hai ki koi gaint so raha hai…Sigatoka mein sand dunes hai jo naturally form hua hai…Savusavu mein hot water springs hai…aisi aur bhi bahot achchi jaghaayen hai jaha ghoma ja sakta hai.

continued in next post...

Praneeta 8th August 2011 07:42 AM

...continued from previous post

Kya Kya Cheeze Jyada Mashahoor HaiN
Mashahoor toh yaha lag bhag wo sab hai jo aur bhi deshon mein hai….fashion, style, facebook, sheela ki jawani, munni ki badnami, logon ki baimaani, dirty politics, corrupted legal practices, coups, crime, pollution, etc etc.:p

On a good note, Fiji is still best home…no guns, no drugs well drugs isn’t readily available. Families mein abhi bhi respect kayam hai. (Depends on individuals) Human rights par ab emphasizes kuch zyada hai.:)

Saath Hi Kaarobaar Aur NaukriyoN Kaa Bhavishye Kaisa Hai
Investors ko attract karne ki koshish jari hai…yaha cheap labour available hai. Resources (Capital/Technology) abhi bhi developing stage par hai however, internet services available kayi jaghaayon par. 3 mobile phone services bhi hain.:cool:

Naukri ka bhavishye achchi hai kyun ki Fiji ek developing country hai. Yaha opportunities achchi hai provided politically hum stable ho toh.

Bhaartiye Mool Ke Logo Ki Sanskritii Kaa Kitnaa Prabhaav Aap Dekhti HaiN
Western habits aur styles ke anch se kaafi haani hui hai bhaartiye sanskritii par… jaise maine pahle bhi kaha hai ab sab kuch convenience ke hisaab se hota hai…sangat ki rangat kuch zyada hi dekhne ko milti hai.

Sach kahun toh ab locals zyada tourists jaise lagte hai kapde aur baat cheet ke hisaab se…tourists are more covered with clothes. Unfortunately Indians mein ye zyada dekha jata hai.:o

Hindi Cinema Aur Hindi Filmi Geet Kitnaa Chalte HaiN
Fiji mein cinemas do main cities mein hai Lautoka mein 4cinemas aur Suva mein 6 cinemas…baki towns ke cinemas close kar diye gaye mostly because people find it convenient and cheap to buy DVDs and watch, sorry to say mostly pirate:mad: copies are on sale. We have two companies providing us hindi channels. Mere ghar par 4 hindi channels aatein hai, Imagine Dilse, Colors, Sony aur Zee network…hum Sony aur Zee han hai especially my mom…she loves watching reality shows like X Factor India, Sa Re Ga Ma Pa little Champs, Comedy Circus.

Filmi geet bhi bahot famous hai yaha…even Fijians bhi hindi geet gaate hai…3 weeks pahele humara staff social tha ek island par (Malamala island). Fijian staff Fijian songs gaa rahe the…they asked me to sing a hindi number and they all joined in…dil deke dekho, ek hans ka joda aur ye dosti hum nahi…they could fluently sing these songs while some Indian teachers didn’t know the lyrics for these old songs.:o The latest hindi pop songs are very popular in Fiji.

Wahaa Kis Taraha Kaa Sarkaari Shaasan Hai
Fiji mein coup ka fashion hai…government se khush nahi hai toh military coup kar deti hai and they take over. Ek baar civilian coup bhi hua hai…Indian prime minister elect hone ke wajah se. Last military coup 2009 mein hua tha tab se military government hi hai…elections ab 2014 mein hogi par doubtful hai. Waise sunne mein bahot daraona lagta hai par koi danga fasaad nahi hoti hai yaha coups ke dauraan bas curfew rules follow karni padti hai. Coups ki wajah se Fiji ko kitne regional organizations (Commonwealth) se bhi bahar kar diya gaya hai. But life goes on…

Naresh ji...ye rahi aap ke sawaalon ke jawab
sorry again for the delay

Regards:)

Praneeta 8th August 2011 08:22 AM

Quote:

Originally Posted by naresh_mehra110 (Post 428909)
Praneeta Ji ... Kuch Apne Bachpan .. School .. College Ke Khaas ... Mazedaar Waaqiye .. Jo Aaj Bhi ZehaN MeN Taazaa Ho Aate HoN ... Yadi HaiN Toh Kyaa Humse Share Karnaa Chaahengii ... ?


Namaste Naresh ji

hmm...bachpan mein bahot shaitaan hua karti thi:p waise maa kaheti hai main abhi bhi shaitaan hun;)

maine ek baar apne naak mein ek choti si button daal li thi jise mujhe operation theater le jaa kar behosh kar ke nikala gaya tha...main sirf 4 years ki thi tab

@ 6 years i was running around chasing my little brother, i slipped and hit the edge of a doorway and tore my upper lip...stitches lage the and i still have the scar

8 years ki hui tab maine kisi ko (family friend) punch kiya tha on his nose...he was annoying me at a family gathering...his nose started bleeding...but i did this in a dark room and took many girls with me. He got confused who actually punched him but my parents could guess it was me:D

when 10 years old i warned a boy to stay away from my brother. He was huge and was bullying my brother. On He pushed me, i fell and my knees started bleeding. I reported to the head teacher and he was belted in the assembly.:cool:

Secondary school mein main apne class ke sabhi ladko ko rakhi bhand deti thi and they used to get absent during rakhi season to avoid me:p main class prefect hoti thi har class mein...aur bahot badmaash thi...shor main machchati thi aur daant baaki students ko padti thi...teachers just didnt believe that i could do something wrong...but i used to break a lot of rules...homework nahi karti thi most of the time....absenteeism rate bhi highest hota tha par main ghar par hi raheti thi...mom used to get angry on me but my dad was cool...na jane kitni baar i had killed my same grandparents and attended their funeral just to avoid school:D

jab main year10 mein thi tab maine ek ladki ke belt ko chair se bhaand diya...when she got up the chair went up with her....everybody laughed out their hearts. Thankfully she didnt mind and laughed along with us because she knew I did it....students used to accept my mischievousness and wouldnt complain about me because i used to help them alot acedemicallyand financially as well.

aisi aur bhi kayi stories hai mere kaarnaamon ki:p:D i was a very clever student...i never used to get caughtwhen i did a wrong:cool: thats why maybe i understand my students well and they are not able to cheat and lie to me...they respect my cool nature...i give them space and time for everything...we had good time at camp together and i have built a good rapport with all my students...

meri iss nature ki wajah se kuch log (esp. girls) mujh se jalte bhi the...not only when i was a student but even now when i am a teacher...i cant help it and i have stopped bothering about the number of enemies i made on the way because they are outnumbered by the friends i made along the same way....so i am happy:)

naresh_mehra110 8th August 2011 08:42 AM

Bahut Sundar ... Bahut JaankaariPurN .. Vishleshan Kiyaa Hai Aapne ... Praneeta Ji !! PaDhte Waqt Aise Laga Jaise Main Kuch Der Ke Liye Aapke Saath Fiji MeN Hii Aa Gayaa HooN ... Aur WahaaN Ki Sair Kar Raha HooN ... !

ShukriyaaH ... !!! Jiss Khoobsurti Se Har Pahaluu Par Prakaash Daalaa ... Har Sawaal Ke Jawaab MeN Hu-Bahu Tasveer Khiinchi .... Waaqaii Men Hii PaDhte Bantaa Hai .... !

Saath Hii ShukrGuzaar HooN .... Hume Apnaa Kimtii Waqt Dene Kaa ... !

Aise Hi Iss Safar MeN Aage Milte HaiN ... !

Humeshaa Khush RaheN ... !
Apnaa Theek Se Khayaal RakheN ... !
DuaaoN Ke Saath .... !

Praneeta 8th August 2011 01:26 PM

Quote:

Originally Posted by ISHK EK IBADAT (Post 428910)
praneeta jee
radhe radhe

yun to mujhe bhi sawaal karne nahi aate par ek sawaal aapke liye aaj aa hi gaya hai to poochh leta hoon agar theek lage to jabaab dijiyega sawal hai :

aapki nazar me prem kise kahte hain, ye kyon hota hai aur kya ye ek tarfa hi hota hai ya doosre ka response jaroori hai ?

bas itna hi

fir milte hain

duaon ke saath

Ishk sahab
radhe radhe

aap ne kya khub sawaal kiya hai:rolleyes:

jawab hazir hai sahab

meri nazar mein prem wo hai jo unconditional ho...aisa nahi ki main ussay pyaar karti hun toh wo bhi mujhe utna hi chaahen...meri samajh mein aisa pyaar tab hi ho sakta hai jab hum selfless ho jaye, jab humare liye saamne wale ki khushi ke siwa kuch aur nazar na aaye bhale fir hume kitna dard hi kyun na ho...saamne wale ki khushi se badh kar humare liye aur kuch bhi important nahi ho...tabhi aisa pyaar ho sakta hai...iss tarah ka prem maine maa aur uske santaan mein dekha hai...maa apne bachchon se unconditionally pyaar karti hai ye soche bina ki bada ho kar wo bachcha ussay pyaar karega bhi ya nahi

mujhe aisa lagta hai ki sachcha prem mostly ek tarfa hi hota hai...bhale hi pyaar dono taraf se ho par ek hadh tak jaa kar ek tarfa ho jata hai...pyaar tab bhi hota hai par conditions par depend karne lagta hai...tab ek partner ko apni wishes sacrifice karna padta hai aur pyaar ek tarfa ho jata hai...kabhi kahi suna tha..."dur rahe kar tadapne se toh achcha hai ki paas rahe kar tadpon"...i disagree with this...mera manna hai ki jise pyaar karo ussay tadpayon mat bhale khud kitna bhi tadpon.

isi liye mujhe nahi lagta ki sachche prem mein dusre ka response zaruri hai...jaise bhagwaan ke prati humara prem...hum kitna bhi bhajan kirtan kar le, kuch bhi kar le bhagwaan ji ka direct response nahi milta....wo kuch achcha ho jaye zindagi mein toh hum kahete hai ki bhagwaan ne achche karmon ka phal diya hai...par hum ye prove toh nahi kar sakte

ye meri personal opinion hai ji

Regards:)

abdulqadeert 8th August 2011 01:28 PM

aadab
 
aadab parneeta sahibah ,,

apko yahan dekh kar khushi howi ,,aur ye bhi andaza howa ke diyar-e-gair me apne watan ki tahezib kaise barqarar rakhi jaati hai ,, apka har wo jawab layaq-e-sad sataish hai ,,aur mashallah se apki hindi sunke aisa lagta hai ke app hindustan me pali barhi hai.N ,,,,eak jaga shayad typing mistake ho gaai hai apse jiski wajhe mai itna hassa hun ke zindagi na kabhi hassa tha aur na hansonga kabhi ,,,,darasal baat ye hai ke ,,,,


ek hans ka joda

eak hans ka juda hota hai kya fiji me ha ha ha ha ha ,,ap se typing mistake howi magar acha laga parh ke ,,, ,,

do hanso.N ka joda bichargayoo re ,,
gajab bhayoo rama julm bhaayoo re ..


apki shararaten bhi achi lagi ,,, apke naak ka buttun nikal gaya jaan kar khushi howi ,,,

mai apne sawal inshallah jald az jald yahan post karonga ,, eak baar phir apko dad deta hun ke apne jis purkhuloos andaza murassa jawabat diye hain ye yaqeenan kamal-e-fun hai ,,,allah apke hafize ko salamat rakhe ,,,


dua go

qadeertoopchi


Praneeta 8th August 2011 01:39 PM

Quote:

Originally Posted by naresh_mehra110 (Post 428919)
Bahut Sundar ... Bahut JaankaariPurN .. Vishleshan Kiyaa Hai Aapne ... Praneeta Ji !! PaDhte Waqt Aise Laga Jaise Main Kuch Der Ke Liye Aapke Saath Fiji MeN Hii Aa Gayaa HooN ... Aur WahaaN Ki Sair Kar Raha HooN ... !

ShukriyaaH ... !!! Jiss Khoobsurti Se Har Pahaluu Par Prakaash Daalaa ... Har Sawaal Ke Jawaab MeN Hu-Bahu Tasveer Khiinchi .... Waaqaii Men Hii PaDhte Bantaa Hai .... !

Saath Hii ShukrGuzaar HooN .... Hume Apnaa Kimtii Waqt Dene Kaa ... !

Aise Hi Iss Safar MeN Aage Milte HaiN ... !

Humeshaa Khush RaheN ... !
Apnaa Theek Se Khayaal RakheN ... !
DuaaoN Ke Saath .... !


ah...shukriya Naresh ji
mujhe toh laga tha ki aap bore hi ho jayenge

thanks alot for reading and responding

Regards:)

Praneeta 8th August 2011 02:02 PM

Quote:

Originally Posted by abdulqadeert (Post 428924)
aadab parneeta sahibah ,,

apko yahan dekh kar khushi howi ,,aur ye bhi andaza howa ke diyar-e-gair me apne watan ki tahezib kaise barqarar rakhi jaati hai ,, apka har wo jawab layaq-e-sad sataish hai ,,aur mashallah se apki hindi sunke aisa lagta hai ke app hindustan me pali barhi hai.N ,,,,eak jaga shayad typing mistake ho gaai hai apse jiski wajhe mai itna hassa hun ke zindagi na kabhi hassa tha aur na hansonga kabhi ,,,,darasal baat ye hai ke ,,,,

ek hans ka joda

eak hans ka juda hota hai kya fiji me ha ha ha ha ha ,,ap se typing mistake howi magar acha laga parh ke ,,, ,,

do hanso.N ka joda bichargayoo re ,,
gajab bhayoo rama julm bhaayoo re ..


apki shararaten bhi achi lagi ,,, apke naak ka buttun nikal gaya jaan kar khushi howi ,,,

mai apne sawal inshallah jald az jald yahan post karonga ,, eak baar phir apko dad deta hun ke apne jis purkhuloos andaza murassa jawabat diye hain ye yaqeenan kamal-e-fun hai ,,,allah apke hafize ko salamat rakhe ,,,


dua go

qadeertoopchi

adaab
ye jaan kar mujhe khushi hui ki aap ko mujhe yaha dekh kar khushi hui…humse jitna ban pata hai hum apni tahezib barqarar rakhte hai…mujhe aur bhi khushi hui ki mere jawab ne aap ko itna hasaya jitna aap na kabhi hase the aur nahi hi kabhi hasenge…par mujhe samajh nahi aaya ki aap hase kyun??:confused:
Main jo geet ko refer kar rahi hun uski thodi si lyrics likh rahi hun…
ek hans ka joda
jisne pyaar mein
har bandhan toda
kadam kadam par
toofan aaye…

Fiji mein hans ka joda nahi hai toh kya hua pyaar toh hai…jis mein log har bandhan tod dete hain:rolleyes: main materialistic cheez nahi dekhti emotions dekhti hun:cool:
Mujhe intezaar hai aap ke sawaalon ka:p

Shukriya
Regards:)

abdulqadeert 8th August 2011 02:17 PM

Quote:

Originally Posted by Praneeta (Post 428929)
adaab
ye jaan kar mujhe khushi hui ki aap ko mujhe yaha dekh kar khushi hui…humse jitna ban pata hai hum apni tahezib barqarar rakhte hai…mujhe aur bhi khushi hui ki mere jawab ne aap ko itna hasaya jitna aap na kabhi hase the aur nahi hi kabhi hasenge…par mujhe samajh nahi aaya ki aap hase kyun??:confused:
Main jo geet ko refer kar rahi hun uski thodi si lyrics likh rahi hun…
ek hans ka joda
jisne pyaar mein
har bandhan toda
kadam kadam par
toofan aaye…

Fiji mein hans ka joda nahi hai toh kya hua pyaar toh hai…jis mein log har bandhan tod dete hain:rolleyes: main materialistic cheez nahi dekhti emotions dekhti hun:cool:
Mujhe intezaar hai aap ke sawaalon ka:p

Shukriya
Regards:)


aadab,,

ye suna tha ke shaairi karne se insaan ya to shaair ban jata hai ya pagal mai shaair to nahi ban saka han pagal zaroor ho gaya hun mazrat.....khoob song hai ,,,mai gacha kha gaya tha ...allah apko khush rakhe .. Am very very sorry praneeta sahibah


dua go

qadeertoopchi


All times are GMT +5.5. The time now is 09:05 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.