Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Anjuman-e-Shayri (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=27)
-   -   Nazm= Ramzaan (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=80183)

Mujahid Ali 4th June 2017 01:26 PM

Nazm= Ramzaan
 
Barkato ka maheena ye ramzaan hai
Jo amal na karey uss ka nuqsaan hai
Ho bhi jaaye raza tujh se tera khuda
Gar dua mai terey shiddat-o-jaan hai

Sajdo mai sar jhukaiye tu rakhna sada
Iss amal ko banaaiye tu rakhna sada
Yaad rakhna khuda ki nazar tujh pe hai
Purey aalam ka voh hi nigahbaan hai

Jo terey farz hai voh adaa karna tu
Maghfirat bhi miley ye dua karna tu
Tujh pe laazim hai roze bhi ramzaan ke
Haq tu karna adaa gar musalmaan hai

Ajr tujh ko milega kabhi na kabhi
Rab teri bhi sunega kabhi na kabhi
Kaamyaabi muyassar hui unn ko hi
Jin ka mazboot aur paak imaan hai

Tujh ko haasil bhi hoga ibaadat toh kar
Khud ko pehle badalne ki neeyat toh kar
Ab toh tabdeel kar ley tu aamaal ko
Shukr kar rab ka jo uss ka ehsaan hai


برکتوں کا مہینا یہ رمضان ہیں
جو عمل نا کرے اُس کا نقصان ہیں
ہو بھی جائے رضا تجھ سے تیرا خدا
گر دعا میں ترے شدّت و جان ہیں


سجدو میں سر جھکائیں تُو رکھنا صدا
اِس عمل کو بنائیں تُو رکھنا صدا
یاد رکھنا خدا کی نظر تجھ پہ ہے
پورے عالم کا وہ ہی نگہبان ہیں


جو ترے فرض ہے وہ ادا کرنا تُو
مغفرت بھی ملے یہ دعا کرنا تُو
تجھ پہ لازم ہے روضے بھی رمضان کے
حق تُو کرنا ادا گر مسلمان ہیں


اجر تجھ کو ملیں گا کبھی نا کبھی
رب تری بھی سنیں گا کبھی نا کابھی
کامیابی میسّر ہوئ اُن کو ہی
جن کا مضبوط اور پاک ایمان ہیں


تجھ کو حاصل بھی ہوگا عبادت تو کر
خود کو پہلے بدلنے کی نیّت تو کر
اب تو تبدیل کر لے تُو اعمال کو
شکر کر رب کا جو اُس کا احسان ہیں


Few meanings

Maghfirat= free from one's sin
Laazim= compulsory
Ajr= reward
Muyassar= achieve
Aamaal= plural of amal i.e practices

Qasid 18th June 2017 07:50 AM

Quote:

Originally Posted by Mujahid Ali (Post 495817)
Barkato ka maheena ye ramzaan hai
Jo amal na karey uss ka nuqsaan hai
Ho bhi jaaye raza tujh se tera khuda
Gar dua mai terey shiddat-o-jaan hai

Sajdo mai sar jhukaiye tu rakhna sada
Iss amal ko banaaiye tu rakhna sada
Yaad rakhna khuda ki nazar tujh pe hai
Purey aalam ka voh hi nigahbaan hai

Jo terey farz hai voh adaa karna tu
Maghfirat bhi miley ye dua karna tu
Tujh pe laazim hai roze bhi ramzaan ke
Haq tu karna adaa gar musalmaan hai

Ajr tujh ko milega kabhi na kabhi
Rab teri bhi sunega kabhi na kabhi
Kaamyaabi muyassar hui unn ko hi
Jin ka mazboot aur paak imaan hai

Tujh ko haasil bhi hoga ibaadat toh kar
Khud ko pehle badalne ki neeyat toh kar
Ab toh tabdeel kar ley tu aamaal ko
Shukr kar rab ka jo uss ka ehsaan hai


برکتوں کا مہینا یہ رمضان ہیں
جو عمل نا کرے اُس کا نقصان ہیں
ہو بھی جائے رضا تجھ سے تیرا خدا
گر دعا میں ترے شدّت و جان ہیں


سجدو میں سر جھکائیں تُو رکھنا صدا
اِس عمل کو بنائیں تُو رکھنا صدا
یاد رکھنا خدا کی نظر تجھ پہ ہے
پورے عالم کا وہ ہی نگہبان ہیں


جو ترے فرض ہے وہ ادا کرنا تُو
مغفرت بھی ملے یہ دعا کرنا تُو
تجھ پہ لازم ہے روضے بھی رمضان کے
حق تُو کرنا ادا گر مسلمان ہیں


اجر تجھ کو ملیں گا کبھی نا کبھی
رب تری بھی سنیں گا کبھی نا کابھی
کامیابی میسّر ہوئ اُن کو ہی
جن کا مضبوط اور پاک ایمان ہیں


تجھ کو حاصل بھی ہوگا عبادت تو کر
خود کو پہلے بدلنے کی نیّت تو کر
اب تو تبدیل کر لے تُو اعمال کو
شکر کر رب کا جو اُس کا احسان ہیں


Few meanings

Maghfirat= free from one's sin
Laazim= compulsory
Ajr= reward
Muyassar= achieve
Aamaal= plural of amal i.e practices

Bahut hi paak aur sajde bhari nazm rahi ye mujahid bhai, allah kare aapko is ramzaan ke mahine khuda har us dua se nawaaze jise aap chahe. Is ibaadat bhari nazm ko khaaksaar ka salaam

likhte rahiye

Madhu 14 25th June 2017 12:00 AM

Waah!!!ramzaan ke paak mahine me likhi apki ye nazm bahot hee khoobsoorat Hai......

Khush rahein.

sameer'shaad' 30th June 2017 11:53 AM

behad hi pursukoon purkhuloos aur roohani kalaam padhne ka mauqaa milaa aaj subah subah ... tahe dil se meri daad qubool karen...


shaad....


All times are GMT +5.5. The time now is 10:33 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.