Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Mashahoor Shayar (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=13)
-   -   Best Of Mirza Ghalib (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=61862)

Tausif shaikh 31st July 2008 06:52 PM

Best Of Mirza Ghalib
 
woh firaaq aur woh wisaal kahaaN?
woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN?

fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise?
zauq-e-nazzaraa-e-jamaal kahaaN?

dil to dil wo dimaaGH bhee na rahaa
shor-e-sauda-e-KHatt-o-KHaal kahaaN?

thee woh ik shaKHs ke tasavvur se
ab woh raanaai-e-KHayaal kahaaN?

'eisa aasaaN naheeN lahoo rona
dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN?

hamse *****a qamaar_KHaana-e-ishq
waaN jo jawaiN, girah meiN maal kahaaN?

fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN
maiN kahaaN aur ye wabaal kahaaN?

muzmahil ho gaye quwa'a 'GHalib'
wo anaasir meiN 'eitdaal kahaaN?
{Mirza ghalib}

Ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota

teree naazukee se jaana ki bandha tha 'ehed_booda
kabhee too na toD sakta agar oostuwaar hota

koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota

ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
koee chaarasaaz hota, koee GHamgusaar hota

rag-e-sang se Tapakta wo lahoo ki fir na thamta
jise GHam samajh rahe ho, ye agar sharaar hota

GHam agarche jaaN_gulis hai, pe kahaaN bachaiN ke dil hai
GHam-e-ishq gar na hota, GHam-e-rozgaar hota

kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota

hue mar ke ham jo ruswa, hue kyoN na GHarq-e-dariya
na kabhee janaaza uThata, na kaheeN mazaar hota

use; kauN dekh sakta ki yagaana hai wo yaktaa
jo dooee ki boo bhee hotee to kaheeN do chaar hota

ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaaN 'GHalib' !
tujhe ham walee samajhate, jo na baada_KHwaar hota
{Mirza ghalib}

baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage

ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek
ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage

juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor
juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage

hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote
ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage

mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche?
too dekh ke kya rang tera mere aage

sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN?
baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage

phir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage

nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa
kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage

imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam
MajnooN ko bura kehti hai Laila mere aage

KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate
aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage

hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho
aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage

go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage

ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage!
{Mirza ghalib}




yahhee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN?
royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN?

dair naheeN, haram naheeN, dar naheeN, aastaaN naheeN
baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN?

jab woh jamaal-e-dil_faroz, soorat-e-meher-e-neem_roz
aap hee ho nazzaara_soz, parde meiN muNh chupaaye kyoN?

dashna-e-GHamza jaaN_sitaaN, naawak-e-naaz be_panaah
tera hee aks-e-ruKH sahee, saamne tere aaye kyoN?

qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN
maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN?

husn aur uspe husn_zan rah gayee bulhawas ki sharm
apne pe 'eitmaad hai, GHair ko aazmaaye kyoN?

waaN wo GHuroor-e-iz'z-o-naaz yaaN yeh hijaab-e-paas-e-waz'a
raah meiN ham mile kahaaN, bazm meiN wo bulaaye kyoN?

haaN wo naheeN KHuda_parast, jaao wo be_wafa sahee
jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN?

'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN?
roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN?
{Mirza ghalib}

Zulmat_kade meiN mere shab-e-GHam ka josh hai
ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai

nai muzda-e-wisaal na nazzaara-e-jamaal
muddat huee ki aashtee-e-chashm-o-gosh hai

mai ne kiya hai, husn-e-KHud_aara ko be_hijaab
'ai shauq, yaaN ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai

gauhar ko ikd-e-gardan-e-KHubaaN meiN dekhna
kya auj par sitaara-e-gauhar_farosh hai

deedaar, waada, hausla, saaqee, nigaah-e-mast
bazm-e-KHayaal maikada-e-be_KHarosh hai

'ei taaza waaridan-e-bisaat-e-hawa-e-dil
zinhaar gar tumhaiN hawas-e-na-o-nosh hai

dekho mujhe jo deeda-e-ibrat_nigaah ho
meree suno jo gosh-e-naseehat_niyosh hai

saaqee ba_jalwa dushman-e-imaan-o-aagahee
mutrib ba_naGHma rahzan-e-tamkeen-o-hosh hai

ya shab ko dekhte the; ki har gosha-e-bisaat
daamaan-e-baaGHbaan-o-kaf-e-gul_farosh hai

lutf-e-KHiraam-e-saaqee-o-zauq-e-sada-e-chang
yeh jannat-e-nigaah woh firdaus-e-gosh hai

ya subh dam jo dekhiye aakar to bazm meiN
nai woh suroor-o-soz na josh-o-KHarosh hai

daaGH-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jalee hooee
ik shamma`a reh gaee hai so wo bhee KHamosh hai

aate haiN GHaib se ye mazaameeN KHayaal meiN
'GHalib', sareer-e-KHaama nawa-e-sarosh hai
{Mirza ghalib}


b
dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai?
aaKHir is dard kee dawa kya hai

ham haiN mushtaaq aur woh bezaar
ya ilaahee ! yeh maajra kya hai?

maiN bhee muNh meiN zabaan rakhta hooN
kaash ! poocho ki "muddaa kya hai"?

jab ki tujh bin naheeN koee maujood
fir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai

ye paree chehara log kaise haiN?
GHamza-o-ishwa-o-'adaa kya hai?

shikan-e-zulf-e-ambaree kyoN hai?
nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai?

sabja-o-gul kahaaN se aaye haiN?
abr kya cheez hai, hawa kya hai?

hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheeN jaante wafa kya hai

"haaN bhala kar tera bhala hoga"
aur darvesh kee sada kya hai?

jaan tum par nisaar karta hooN
maiN naheeN jaanata duaa kya hai

maiNe maana ki kuchch naheeN 'GHalib'
muft haath aaye to bura kya hai ?
{Mirza gahlib}

Husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai
us'se mera mah-e-KHursheed-e-jamaal achcha hai

bosa dete naheeN aur dil pe hai har lahja nigaah
jee meiN kehte haiN, muft aaye to maal achcha hai

aur baazaar se le aaye agar TooT gaya
saaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai

be_talab daiN to maza usme siwa milta hai
woh gada jisko na ho KHoo-e-sawaal achcha hai

unke dekhe se jo aa jaatee hai muNh par raunaq
woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai

dekhiye paate haiN ushshaaq butoN se kya faiz?
ik birahaman ne kaha hai, ke yeh saal achcha hai

ham_suKHan teshe ne farhaad ko sheereeN se kiya
jis tarah ka bhee kisee meiN ho kamaal achcha hai

qatra dariya meiN jo mil jaaye to dariya ho jaaye
kaam achchaa hai woh, jiska ma'aal achcha hai

KHijr SultaaN ko rakhe KHaaliq-e-akbar sar_sabz
shaah ke baaGH meiN yeh taaza nihaal achcha hai

hamko ma'aloom hai jannat ki haqeeqat lekin
dil ke KHush rakhne ko, 'GHalib' yeh KHayaal achcha hai
{Mirza ghalib}

c
sab kahaaN kuchh laalaa-o-gul mein numaayaaN ho gayeen
Khaak men kyaa suuraten hongii ki pinhaaN ho gayeen

yaad thii hamako bhii rangaa rang bazmaaraaiiyaaN
lekin ab naqsh-o-nigaar-e-taaq-e-nisiyaaN ho gayeen

thiin banaatunnaash-e-garduuN din ko parde men nihaaN
shab ko unake jii men kyaa aaii ki uriyaaN ho gayeen

qaid men yaaquub ne lii go na yuusuf kii Khabar
lekin aaNkhen rauzan-e-diivaar-e-zindaaN ho gayeen

sab raqiibon se ho.n naaKhush, par zanaan-e-misr se
hai zulaiKhaa Khush ke mahv-e-maah-e-kanaaN ho gayeen

juu-e-KhuuN aa.Nkho.n se bahane do ki hai shaam-e-firaaq
main ye samajhuuNgaa ke shamaen ho farozaaN ho gayeen

in pariizaadon se lenge Khuld men ham intaqaam
qudarat-e-haq se yahii huuren agar waaN ho gayeen

neend usakii hai, dimaaG usakaa hai, raaten usakii hain
terii zulfen jisake baazuu par parishaaN ho gayeen

main chaman men kyaa gayaa, goyaa dabistaaN khul gayaa
bul-bulen sun kar mere naale, Gazal_KhvaaN ho gayeen

vo nigaahen kyuuN huii jaatii hain yaarab dil ke paar
jo merii kotaahii-e-qismat se mizshgaaN ho gayeen

bas ki rokaa main ne aur siine men ubharen pai ba pai
merii aahen baKhiyaa-e-chaak-e-gariibaaN ho gayeen

waaN gayaa bhii main to unakii gaaliyon kaa kyaa javaab
yaad thii jitanii duaaen, sarf-e-darbaaN ho gayeen

jaaNfizaa hai baadaa, jisake haath men jaam aa gayaa
sab lakiiren haath kii goyaa rag-e-jaaN ho gayeen

ham muvahihad hain, hamaaraa kesh hai tark-e-ruusuum
millaten jab miT gayeen, ajzaa-e-iimaaN ho gayeen

ranj se Khuugar huaa insaaN to miT jaataa hai ranj
mushkilen mujh par paDi itanii ke aasaaN ho gayeen

yuuN hii gar rotaa rahaa 'Ghalib', to ae ahl-e-jahaaN
dekhanaa in bastiyon ko tum ki viiraaN ho gayeen
{Mirza ghalib}

Na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota?

huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
na hota gar juda tan se to zaanooN par dhaRa hota

huee muddat ke 'GHalib' mar gaya par yaad aata hai
wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota to kya hota?
{Mirza gahlib}

Tausif shaikh 31st July 2008 06:59 PM

All Are Best Of Mirza Ghalib Not Mine

habib.monu 18th September 2009 04:42 PM

jan
 
tu kis se shadi karega yahan her kisi ka yaar hai kisi ke19 to kisi ke sirf chaar(4) hai

kwahish 27th September 2009 04:23 PM

Quote:

Originally Posted by habib.monu (Post 366542)
tu kis se shadi karega yahan her kisi ka yaar hai kisi ke19 to kisi ke sirf chaar(4) hai

Oh Habeeb sahab aapka kuch msg samjh nahi aaya janab..:confused: kuch to baat chupi hai is mein wel.. keep trying best of luck.. but meri ek baat sun lijiye jo meri ek dost mujhse hamesha kehti thi... " Sameer it's a vertual word don't belive on it.. Yahan bus dhoka milta hai..." aur wakai isme sirf dhoka milta hai Yeh bhi sahiN hai... ":( Use bhi dhoka mila tha mujhe bhi dhoka mila jane kis kisko yahan sirf dhoka mila....:p

So it's my sugesstion to u Bhai aapse umar mein bada huN aur tajurba bhi kafi jyada hai isliye kabhi is khel mein khud ko itna involve mat kijiye ke dil ko koi aisa zakham mile ke jo kabhi bhar hi na paye ... so take it easy bro...:)

Tausif shaikh 17th May 2010 11:14 PM

Kai arsey baad main lauta hu.
 
At last after long 2 years i am back at Shayri.com.

Tausif shaikh 17th May 2010 11:21 PM

Best of Mirza Ghalib... I AM BACK AFTER 2 YEARS....
 
[QUOTE=Tausif shaikh;298805][SIZE="4"][FONT="Comic Sans MS"][COLOR="Red"]woh firaaq aur woh wisaal kahaaN?
woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN?

fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise?
zauq-e-nazzaraa-e-jamaal kahaaN?

dil to dil wo dimaaGH bhee na rahaa
shor-e-sauda-e-KHatt-o-KHaal kahaaN?

thee woh ik shaKHs ke tasavvur se
ab woh raanaai-e-KHayaal kahaaN?

'eisa aasaaN naheeN lahoo rona
dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN?

hamse *****a qamaar_KHaana-e-ishq
waaN jo jawaiN, girah meiN maal kahaaN?

fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN
maiN kahaaN aur ye wabaal kahaaN?

muzmahil ho gaye quwa'a 'GHalib'
wo anaasir meiN 'eitdaal kahaaN?
{Mirza ghalib}

Ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota

teree naazukee se jaana ki bandha tha 'ehed_booda
kabhee too na toD sakta agar oostuwaar hota

koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota

ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
koee chaarasaaz hota, koee GHamgusaar hota

rag-e-sang se Tapakta wo lahoo ki fir na thamta
jise GHam samajh rahe ho, ye agar sharaar hota

GHam agarche jaaN_gulis hai, pe kahaaN bachaiN ke dil hai
GHam-e-ishq gar na hota, GHam-e-rozgaar hota

kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota

hue mar ke ham jo ruswa, hue kyoN na GHarq-e-dariya
na kabhee janaaza uThata, na kaheeN mazaar hota

use; kauN dekh sakta ki yagaana hai wo yaktaa
jo dooee ki boo bhee hotee to kaheeN do chaar hota

ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaaN 'GHalib' !
tujhe ham walee samajhate, jo na baada_KHwaar hota
{Mirza ghalib}

baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage

ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek
ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage

juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor
juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage

hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote
ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage

mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche?
too dekh ke kya rang tera mere aage

sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN?
baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage

phir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage

nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa
kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage

imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam
MajnooN ko bura kehti hai Laila mere aage

KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate
aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage

hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho
aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage

go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage

ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage!
{Mirza ghalib}




yahhee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN?
royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN?

dair naheeN, haram naheeN, dar naheeN, aastaaN naheeN
baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN?

jab woh jamaal-e-dil_faroz, soorat-e-meher-e-neem_roz
aap hee ho nazzaara_soz, parde meiN muNh chupaaye kyoN?

dashna-e-GHamza jaaN_sitaaN, naawak-e-naaz be_panaah
tera hee aks-e-ruKH sahee, saamne tere aaye kyoN?

qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN
maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN?

husn aur uspe husn_zan rah gayee bulhawas ki sharm
apne pe 'eitmaad hai, GHair ko aazmaaye kyoN?

waaN wo GHuroor-e-iz'z-o-naaz yaaN yeh hijaab-e-paas-e-waz'a
raah meiN ham mile kahaaN, bazm meiN wo bulaaye kyoN?

haaN wo naheeN KHuda_parast, jaao wo be_wafa sahee
jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN?

'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN?
roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN?
{Mirza ghalib}

Zulmat_kade meiN mere shab-e-GHam ka josh hai
ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai

nai muzda-e-wisaal na nazzaara-e-jamaal
muddat huee ki aashtee-e-chashm-o-gosh hai

mai ne kiya hai, husn-e-KHud_aara ko be_hijaab
'ai shauq, yaaN ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai

gauhar ko ikd-e-gardan-e-KHubaaN meiN dekhna
kya auj par sitaara-e-gauhar_farosh hai

deedaar, waada, hausla, saaqee, nigaah-e-mast
bazm-e-KHayaal maikada-e-be_KHarosh hai

'ei taaza waaridan-e-bisaat-e-hawa-e-dil
zinhaar gar tumhaiN hawas-e-na-o-nosh hai

dekho mujhe jo deeda-e-ibrat_nigaah ho
meree suno jo gosh-e-naseehat_niyosh hai

saaqee ba_jalwa dushman-e-imaan-o-aagahee
mutrib ba_naGHma rahzan-e-tamkeen-o-hosh hai

ya shab ko dekhte the; ki har gosha-e-bisaat
daamaan-e-baaGHbaan-o-kaf-e-gul_farosh hai

lutf-e-KHiraam-e-saaqee-o-zauq-e-sada-e-chang
yeh jannat-e-nigaah wo

Tausif shaikh 20th May 2010 11:18 AM

Quote:

Originally Posted by Tausif shaikh (Post 298806)
All Are Best Of Mirza Ghalib Not Mine

Agar ap logo ko mera collection pasand aye ya naa aye apna feedback dena bhuliyega....

janumanu 20th May 2010 12:58 PM

fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise?
zauq-e-nazzaraa-e-jamaal kahaaN?

dil to dil wo dimaaGH bhee na rahaa
shor-e-sauda-e-KHatt-o-KHaal kahaaN?


'eisa aasaaN naheeN lahoo rona
dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN?

hamse *****a qamaar_KHaana-e-ishq
waaN jo jawaiN, girah meiN maal kahaaN?


kya koee in ashaar ko samjha sakta hai ?


Tausif shaikh 24th May 2010 03:37 PM

Ek Guzarish...!
 
Ap sab logo se bas ek guzarish hai ki, sirf meri he nahi par har us post par reply zarur karien jo apko pasand aye ya naa pasand aye. Apke replies se humara hosla badta hai aur humien pata lagta hai ki humari galtiyan kahan kahan hah. "PLEASE POST A REPLY"

Parwaazz 26th May 2010 05:47 PM

Shaikh Tousif Bhai As salam walekum.......

Aapne Mirza Asadullah Ghalib sahab ki shyari se hume ruberu karwaya aapka bahot bahot shukriya Bhai....... Ek ilteja hai agar aap alfazo ke mayne bhi sath mein de to hum samjhe chunki Ghalib sahab ki jyda tar shayari Farsi aur Arebi lafzo se ataa huyi hai..... aur hum itne zahin nahi jo itne fasi alfazo ko sahin mayne se samjh sake....... Agar aap aisa karte hai to aapke bahot bahot shukra guzar rahenge Bhai.....

Tausif shaikh 27th May 2010 02:23 PM

Walaikum asalaam,

Umeed hai tumhe mera collection pasand aya hoga, inshallah main apni taraf se puri koshish karunga ki apki pareshani dur ho jaye. Thanks for your reply yours truly......

Tausif shaikh 30th May 2010 11:33 AM

Thank You Very Very Much.............
 


Ap Sabka Bohat Bohat Shukria Jo Apne Is Theard To 5 Star Theard Ke Kabil Samjha..................:)

Gumnaam Shayar 1st June 2010 11:05 AM

Bohat he umda collection pesh kia hai apne janab, Ghalib sahab ki har ghazal dil ko chuu jati hai... Thanks for sharing...

Tausif shaikh 1st June 2010 11:16 AM

Anewale kuch hafto mein kuch aur umda ghazalein post karunga, umeed hai mera collection ap sabko pasand ayega...:)

premeet01245 2nd June 2010 12:08 PM

nice I want friendship with u .can we?

Tausif shaikh 2nd June 2010 01:02 PM

Quote:

Originally Posted by premeet01245 (Post 394064)
nice I want friendship with u .can we?

Apka sdc mein tahe dilse isteqbal karte hain hum, i mean welcome to shayri.com. Aur rahi dosti ki baat to bilkul karenge apse dosti. Muskurate rahein aur khush rahein

Tausif shaikh 5th June 2010 02:38 PM

Allah ka shukra hai aur ap logo ka pyar hai jo meri peshkash ap sabko pasand ayi...;-)

Tausif shaikh 7th June 2010 01:22 PM

Bohat he besabri se intezar kar raha hu apne sabse umda mirza ghalib ghazal collection ko 10,000 logon ko view karte dekh beinteha khushi ho rahi hai. Ap sabka tahe dilse shukria aur bohat sara pyar love u all :)

Tausif shaikh 11th June 2010 06:43 PM

:) :) ;> :) :) ;> :) :) ;> Thank you

Tausif shaikh 16th June 2010 11:30 PM

Its been a long journey at SDC but its been a great great achivement to be apart of this awesome social site for such a long era.... Love u all SDC members & moderators & Guests as well :) @};-

Tausif shaikh 7th July 2010 05:12 PM

Khawabo me ap ki tasvir nazar ati hai,

Yadon me ap ki muskurahat nazar ati hai,

Aye dost zindagi bhar sath nibhana,

Ap me hume apni taqdir nazar ati hai.

Yeh apke liye janab:)

*N.m*

premeet01245 5th August 2010 06:32 PM

Quote:

Originally Posted by Tausif shaikh (Post 400768)
Khawabo me ap ki tasvir nazar ati hai,

Yadon me ap ki muskurahat nazar ati hai,

Aye dost zindagi bhar sath nibhana,

Ap me hume apni taqdir nazar ati hai.

Yeh apke liye janab:)

*N.m*

thanks for writing...........................

premeet01245 3rd September 2010 06:25 PM

[QUOTE=Tausif shaikh;391889]
Quote:

Originally Posted by Tausif shaikh (Post 298805)
[SIZE="4"][FONT="Comic Sans MS"][COLOR="Red"]woh firaaq aur woh wisaal kahaaN?
woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN?

fursat-e-kaarobaar-e-shauq kise?
zauq-e-nazzaraa-e-jamaal kahaaN?

dil to dil wo dimaaGH bhee na rahaa
shor-e-sauda-e-KHatt-o-KHaal kahaaN?

thee woh ik shaKHs ke tasavvur se
ab woh raanaai-e-KHayaal kahaaN?

'eisa aasaaN naheeN lahoo rona
dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN?

hamse *****a qamaar_KHaana-e-ishq
waaN jo jawaiN, girah meiN maal kahaaN?

fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN
maiN kahaaN aur ye wabaal kahaaN?

muzmahil ho gaye quwa'a 'GHalib'
wo anaasir meiN 'eitdaal kahaaN?
{Mirza ghalib}

Ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota

teree naazukee se jaana ki bandha tha 'ehed_booda
kabhee too na toD sakta agar oostuwaar hota

koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota

ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
koee chaarasaaz hota, koee GHamgusaar hota

rag-e-sang se Tapakta wo lahoo ki fir na thamta
jise GHam samajh rahe ho, ye agar sharaar hota

GHam agarche jaaN_gulis hai, pe kahaaN bachaiN ke dil hai
GHam-e-ishq gar na hota, GHam-e-rozgaar hota

kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota

hue mar ke ham jo ruswa, hue kyoN na GHarq-e-dariya
na kabhee janaaza uThata, na kaheeN mazaar hota

use; kauN dekh sakta ki yagaana hai wo yaktaa
jo dooee ki boo bhee hotee to kaheeN do chaar hota

ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaaN 'GHalib' !
tujhe ham walee samajhate, jo na baada_KHwaar hota
{Mirza ghalib}

baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage

ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek
ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage

juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor
juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage

hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote
ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage

mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche?
too dekh ke kya rang tera mere aage

sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN?
baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage

phir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage

nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa
kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage

imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam
MajnooN ko bura kehti hai Laila mere aage

KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate
aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage

hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho
aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage

go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage

ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage!
{Mirza ghalib}




yahhee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN?
royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN?

dair naheeN, haram naheeN, dar naheeN, aastaaN naheeN
baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN?

jab woh jamaal-e-dil_faroz, soorat-e-meher-e-neem_roz
aap hee ho nazzaara_soz, parde meiN muNh chupaaye kyoN?

dashna-e-GHamza jaaN_sitaaN, naawak-e-naaz be_panaah
tera hee aks-e-ruKH sahee, saamne tere aaye kyoN?

qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN
maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN?

husn aur uspe husn_zan rah gayee bulhawas ki sharm
apne pe 'eitmaad hai, GHair ko aazmaaye kyoN?

waaN wo GHuroor-e-iz'z-o-naaz yaaN yeh hijaab-e-paas-e-waz'a
raah meiN ham mile kahaaN, bazm meiN wo bulaaye kyoN?

haaN wo naheeN KHuda_parast, jaao wo be_wafa sahee
jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN?

'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN?
roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN?
{Mirza ghalib}

Zulmat_kade meiN mere shab-e-GHam ka josh hai
ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai

nai muzda-e-wisaal na nazzaara-e-jamaal
muddat huee ki aashtee-e-chashm-o-gosh hai

mai ne kiya hai, husn-e-KHud_aara ko be_hijaab
'ai shauq, yaaN ijaazat-e-tasleem-e-hosh hai

gauhar ko ikd-e-gardan-e-KHubaaN meiN dekhna
kya auj par sitaara-e-gauhar_farosh hai

deedaar, waada, hausla, saaqee, nigaah-e-mast
bazm-e-KHayaal maikada-e-be_KHarosh hai

'ei taaza waaridan-e-bisaat-e-hawa-e-dil
zinhaar gar tumhaiN hawas-e-na-o-nosh hai

dekho mujhe jo deeda-e-ibrat_nigaah ho
meree suno jo gosh-e-naseehat_niyosh hai

saaqee ba_jalwa dushman-e-imaan-o-aagahee
mutrib ba_naGHma rahzan-e-tamkeen-o-hosh hai

ya shab ko dekhte the; ki har gosha-e-bisaat
daamaan-e-baaGHbaan-o-kaf-e-gul_farosh hai

lutf-e-KHiraam-e-saaqee-o-zauq-e-sada-e-chang
yeh jannat-e-nigaah wo


mezza aa gyaa bhaiiiiii.................. keeep going on.

Tausif shaikh 3rd September 2010 09:55 PM

Apka tah e dilse shukia premeet jee.....

premeet01245 23rd September 2010 06:12 PM

Quote:

Originally Posted by Tausif shaikh (Post 393533)

Ap Sabka Bohat Bohat Shukria Jo Apne Is Theard To 5 Star Theard Ke Kabil Samjha..................:)

mubarek ho jenab.....................................

LAMHA 23rd September 2010 06:21 PM

Superb indeed...... awesome collection.....thanx for sharing...:)

rep++++++++++++added

Tausif shaikh 15th October 2010 11:45 AM

Quote:

Originally Posted by LAMHA (Post 410972)
Superb indeed...... awesome collection.....thanx for sharing...:)

rep++++++++++++added


Apka tahe dilse shukria lamha jo apne meri choti se koshish ka saraha..... Bohat bohat shukria

Tausif shaikh 25th October 2010 08:56 PM

Quote:

Originally Posted by premeet01245 (Post 410970)
mubarek ho jenab.....................................

shukri janaab. Apka tahe dilse shukria

Tausif shaikh 12th January 2011 04:21 PM

Crosses 21,000 Mark Huge Achievment

Tausif shaikh 2nd March 2011 03:02 PM

Great Love Shown....
 
Ap sabka tahe dilse shukr ada karta hu main, meri mamuli se collection ko itna zyada serhane ke liye...

Dua me yaad rakhain inshallah i'll keep sharing.....

mittal_pali 19th March 2011 02:37 AM

bahut hi achi rachna hai. padh kar acha laga.
thanks for sharing......................................

Mohammad Kashif 19th March 2011 05:18 PM

Assalam-o-Alaykum Tausif Sahab bahut hi umda kallam aapne hamnse baante, hum aapke bahut shukrguzar hai ese hi acche-2 collection yanha pesh karte rahe....ALLAH HAFIZ

Tausif shaikh 21st March 2011 03:23 PM

Quote:

Originally Posted by Mohammad Kashif (Post 424291)
Assalam-o-Alaykum Tausif Sahab bahut hi umda kallam aapne hamnse baante, hum aapke bahut shukrguzar hai ese hi acche-2 collection yanha pesh karte rahe....ALLAH HAFIZ

walaikum asalam kashif sahab.
Apki hausla afzi ke liye main tah e dil se shukr guzar hu, bas mujhe apni dua me yaad rakhain..
Fiamanallah

Tausif shaikh 8th May 2011 03:10 PM

Quote:

Originally Posted by mittal_pali (Post 424262)
bahut hi achi rachna hai. padh kar acha laga.
thanks for sharing......................................

shukria pali jee....umeed hai ki apko meri baki peshkash bhi pasand ayegi insha allah...

Ap sabka shukria aj meri post +30,000 viewer cross kar chuki hai.... Bohat Bohat Shukria

Tausif shaikh 2nd September 2011 03:01 PM

Quote:

Originally Posted by mittal_pali (Post 424262)
bahut hi achi rachna hai. padh kar acha laga.
thanks for sharing......................................

Shukria mittali mere collection ko pasand karne ke liye...... Insha allah i'll share some more very soon.... Allah de hawaley.... khush rahein.....

Kaamil 21st September 2011 05:15 PM

aaiinaa kyun na dun ke tamaashaa kahen jise


aaiinaa kyun na dun ke tamaashaa kahen jise
aisa kahan se laun ke tujhsaa kahen jise





hasarat ne laa rakhaa teri bazm-e-khayaal men
guldastaa-e-nigaah suvedaa kahen jise





phuunkaa hai kisne goshe muhabbat men ai Khudaa
afasuun-e-intazaar tamannaa kahen jise





sar par hujuum-e-dard-e-Gariibii se Daliye
vo ek musht-e-Khaak ke saharaa kahen jise





hai chashm-e-tar men hasarat-e-diidaar se nihaan
shauq-e-inaan guseKhtaa dariyaa kahen jise





darakaar hai shiguftan-e-gul haaye aish ko
sub_h-e-bahaar panbaa-e-miinaa kahen jise





"Ghalib" buraa na maan jo vaaiz buraa kahe
aisaa bhii koi hai ke sab achchhaa kahen jise

Kaamil 24th September 2011 04:21 PM

dard minnat_kashe-davaa na huaa





dard minnat_kashe-davaa na huaa
mai.n na achchaa huaa, buraa na huaa



[minnat_kashe-davaa=obliged to medicine]





jamaa karate ho kyo.n raqiibo.n ko
ik tamaashaa huaa gilaa na huaa





ham kahaa.N qismat aazamaane jaaye.n
tuu hii jab Kha.njar aazamaa na huaa





kitane shiirii.n hai.n tere lab ke raqiib
gaaliyaa.N khaake bemazaa na huaa



[shiirii.n=sweet]





hai Khabar garm unake aane kii
aaj hii ghar me.n boriyaa na huaa



[boriya=mat]





kyaa vo namaruud kii Khudaaii thii
ba.ndagii me.n meraa bhalaa na huaa



[namarud=Nimrod=a king who used to say that he was God]





jaan dii, dii huii usii kii thii
haq to yuu.N hai ke haq adaa na huaa



zaKhm gar dab gayaa lahuu na thamaa
kaam gar ruk gaya ravaa na huaa



[ravaa=lawful]





rahazanii hai ki dil_sitaanee hai
leke dil, dil_sitaa.N ravaa na huaa



[dil_sitaa.N=stealer of one's heart]



kuchch to pa.Dhiye ki log kahate hai.n
aaj 'Ghalib' Gazal_saraa na huaa


Tausif shaikh 19th October 2011 08:22 PM

Shukria Kamil Sahab Apne Achi Gazal Pesh Ki Mirza Sahab Ki.... Share Karte Rahain Aur Khush Rahain.... Take Care

Tausif shaikh 29th January 2016 05:34 PM

Shukriya
 
Is post k view dekh ke behadd khushi hoti hai mujhe...

SDC ka tah e dil se shukriya..


All times are GMT +5.5. The time now is 12:20 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.