Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Mashahoor Shayar (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=13)
-   -   Kamal Ghazal by Shayer-e-Mashriq (Allama Iqbal) (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=67059)

Hassan 10th September 2009 10:43 AM

Kamal Ghazal by Shayer-e-Mashriq (Allama Iqbal)
 
Shikwa-e-Ashk nahi, Jurrat-e-Guftaar nahi,
Mere haathon mein jaber ki koi Talwaar nahi!

Ibn-e-Adam hon, Insan se Mohabbat ki hai,
Aag ka, Chand ka, Patthar ka paristaar nahi!

Ae Khuda Mujhko Meri Ibadat ke iwaz meri mohabbat de de,
Main teri kisi bhi Jannat ka kharidaar nahi!

Jis ne Insaan se Mohabbat hi na ki ho,
Dar-Haqeeqat woh Khuda ka bhi talabgaar nahi...

(Allama Iqbal)

ajay nidaan 17th September 2009 07:55 AM

ek farz
 
Adarniya hassan Ji

aadab

daad kabul kijiyega
wakai me aapne alfajo ke maydhaym se apne
bhawana ko bahut khub shabdo se bayaan
kiya hai. sach me tareef ke kabil hai.

bahut aacha .. aise hi koshish karte rahiyega.
khus rahe kaamyaab hote rahe........



Ajay nidaan

Hassan 17th September 2009 05:08 PM

Quote:

Originally Posted by ajay nidaan (Post 366412)
Adarniya hassan Ji

aadab

daad kabul kijiyega
wakai me aapne alfajo ke maydhaym se apne
bhawana ko bahut khub shabdo se bayaan
kiya hai. sach me tareef ke kabil hai.

bahut aacha .. aise hi koshish karte rahiyega.
khus rahe kaamyaab hote rahe........



Ajay nidaan

Dear Ajay Nidaan,
Adaab,
Meri share ki hui post ko pasand karnay ka boht
boht shukria :),
Ye ghazal meri nahi hai, meri qalam mein itni taqat kahan
k main itna acha likh paon, yeh famous shayer Dr. Allama Iqbal
ki hai....
Meri kawishien aap dekh sakte hain Shayri-e-Dard aur Shayri-e-Ishq
mein, .... Mujhe aap ke comments ka wahan interzaar rahay ga.

Stay Happy,

GOD BLESS YOU,

Take care,


All times are GMT +5.5. The time now is 06:40 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.