Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   Sher of the Day....... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=76126)

sameer'shaad' 28th August 2013 09:17 AM

Aaj ka sher,...

Deed ki hasrateN itni bhi nahi dil me hoN,
ke jab wo saamne aayeN to Dil hi rukk jaaye....

~Shaad~

SULTAAN RAAJ 28th August 2013 04:27 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 454162)
Aaj ka sher,...

Deed ki hasrateN itni bhi nahi dil me hoN,
ke jab wo saamne aayeN to Dil hi rukk jaaye....

~Shaad~



wahhhhh......
Kya khub aehsah arz kiya hai shaad shahb
maza aa gaya...

sameer'shaad' 30th August 2013 05:15 PM

Ek sher Peshe khidmat hai:

PahochuN main ManziloN ko koii Chaahata hai yeh,
Raste pe AansuoN ke nishaaN chhoR gayaa hai.......

Shaad....

Dhaval 30th August 2013 08:59 PM

iShQ ne JOSH ko zaKhm aisaa diyaa
marz laaKhoN kiye zaKhm bhartaa nahiiN

SULTAAN RAAJ 31st August 2013 10:33 AM

meraaa aaj ka sher..
 
ab jee bhar ke dalo lakdiya mujh par..
koi sikayat nahi.,
jal jaye ye badan to ghao ke nisan to kam se kam mitenge..




~@ :SULTAAN RAAJ

SULTAAN RAAJ 2nd September 2013 04:27 PM

Meraaa aaj ka sher....
 
itna gumnam kar dunga tujhe "SULTAAN"
wo guzrenge tere kbra par se ek daba patthar smjh..

sameer'shaad' 2nd September 2013 08:30 PM

Lazzat-e-Gham ki nawaazish hai bahot hum pe Shaad,
Ye agar ChhooT'tee hum jaaN se gaye hote....

~Shaad~

Dhaval 3rd September 2013 07:59 PM

jitanii pyaarii hai.n merii dharatii jo zanjiire.n 'Adeem'
itanaa pyaaraa to kisii dulhan ko zevar bhii nahii.n

By Aadeem

sameer'shaad' 4th September 2013 10:43 AM

Aaj kaa sher...

Naazuk kalaaiyoN meiN, pehno zaraa Aahistaa,
meri jaan le na jaaye , kangan ye rafta rafta...

~Shaad~

sameer'shaad' 5th September 2013 07:48 PM

Aaj kaa Sher...

Chalo Acchaa huaa yaaroN wo humse rooThe rehte haiN,
Agar raazi khushi rehte to hum, mahboob kyuN kehte.....!!

~Shaad~

aru 6th September 2013 06:35 AM

Quote:

Originally Posted by puneet singh (Post 453940)
kabr pe aaye wo meri apne hamsafar ke sath,
kon kehta h"DAFNANE"k baad"JALAYA"nahi jata..

Not mine..

Kya baat hai puneet jee..dono sher bahut khoob hain......

aru 6th September 2013 06:46 AM

dushmanii laakh sahii, khatm na kiijiye rishta,
dil mile yaa na mile haath milaate rahiye,

NM.

sameer'shaad' 6th September 2013 09:26 AM

Quote:

Originally Posted by aru (Post 454255)
dushmanii laakh sahii, khatm na kiijiye rishta,
dil mile yaa na mile haath milaate rahiye,

NM.

waaahhhhh bahot khoob Aru bhai......................

sameer'shaad' 6th September 2013 09:27 AM

Aaj ka sher........

Aap to alvida kehte hi badh gaye jaanaa,
Pase-manzar ki tabaahi koi humse Pooche..

~Shaad~

swaraa 6th September 2013 12:15 PM

Quote:

Aaj ka sher........

Aap to alvida kehte hi badh gaye jaanaa,
Pase-manzar ki tabaahi koi humse Pooche..

~Shaad~

Shaad ji ke sher se inspired ek gustakhi meri bhi . kuch galat ho to maafi ki request hai .

आबाद भी तुमसे हैं तबाही में भी तुम हो
तुम ही नज़र आते हो देखता हूँ जिधर भी .

sameer'shaad' 6th September 2013 04:53 PM

Quote:

Originally Posted by swaraa (Post 454259)
Shaad ji ke sher se inspired ek gustakhi meri bhi . kuch galat ho to maafi ki request hai .

आबाद भी तुमसे हैं तबाही में भी तुम हो
तुम ही नज़र आते हो देखता हूँ जिधर भी .

khoobsurat sher kahaa aapne... aur mujhe aapke ehsaas behad pasand aaye............ shukriyaa jo aap ko hamara likha pasand aaya..... likhti rahen.. apne khoobsurat sher yahan share karti rahen......

Shaad....

zarraa 7th September 2013 09:34 PM

karo kaj jabeeN pe sar-e-qafan mere qaatiloN ko gumaaN n ho
ke gharoor-e-ishq ka baaNkpan pas-e-marg hum ne bhula diya

- Faiz Ahmed Faiz

sameer'shaad' 12th September 2013 05:28 PM

MayoosiyaaN sameT kar saare jahaaN ki,
jab kuch na ban sakaa to meraa dil banaa diyaa....

-nm

Mujeeb 12th September 2013 08:09 PM

zaroorat or khuwahish , donoo hi tum ho
khudaa mehrbaan hai , koi aik to poori ho gi

nm

SULTAAN RAAJ 15th September 2013 02:17 PM

meraa aj ka sher......
 
jmane ki ruswaiya shta "SULTAAN" muskura - muskura kar..
phir pattar kyu ho gya ek apno ke ruwaiya se..




.
~@ : SULTAAN RAAJ

Taish 20th September 2013 08:54 AM

zakhmon ko kaise ab hawaa di jaayegi,
tohmat koi sar pe uthaa li jaayegi...

--Taish

ISHK EK IBADAT 20th September 2013 08:54 PM

जिस्म के जलने से ख़ाक नसीब होता है
दिल के फ़ना होने से महबूब करीब होता है

radhe radhe

ISHK EK IBADAT 21st September 2013 12:25 PM

इश्क के बदले इश्क चाहना तिजारत है

इज़हार किससे करें महबूब तो दिल में है ………इश्क

zarraa 22nd September 2013 01:00 AM

jahaaN tera naqsh-e-qadam dekhte haiN
khiyaabaaN khiyaabaaN iram dekhte haiN

- GHALIB


naqsh-e-qadam = footprint
khiyaabaaN = flower bed
iram = paradise

SULTAAN RAAJ 22nd September 2013 07:38 PM

Meraa aaj ka sher........
 
bahoot badle tufan ne nakse mom ke..
par aj bhi jal rha h kisi kabristhan maine..


~: SULTAAN RAAJ

ISHK EK IBADAT 23rd September 2013 01:18 PM

इश्क की दुनिया में रोज़ा नहीं होता

पीते रहते हैं मकरंद महबूब की आँखों से……इश्क

Dhaval 23rd September 2013 07:47 PM

vo sitaaraa hai chamakane do yuu.N hii aa.Nkho.n me.n
kyaa zaruurii hai use jism banaakar dekho

By Nida Fazli

sameer'shaad' 23rd September 2013 08:07 PM

Quote:

Originally Posted by Dhaval (Post 454483)
vo sitaaraa hai chamakane do yuu.N hii aa.Nkho.n me.n
kyaa zaruurii hai use jism banaakar dekho

By Nida Fazli

Waaahhhh.............. bahot khoob

sameer'shaad' 23rd September 2013 08:08 PM

Naazuk mizaaj dekhiye, mere yaar hain kis qadar,
Pehni jo paayal paaoN me, Cham cham se darr gaye.....

nm

zarraa 25th September 2013 10:40 PM

itne sheereeN haiN tere lab ke raqeeb
gaaliyaaN kha ke bemazaa n hua

(sheereeN = sweet)


- Ghalib

sameer'shaad' 26th September 2013 06:51 PM

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 454536)
itne sheereeN haiN tere lab ke raqeeb
gaaliyaaN kha ke bemazaa n hua

(sheereeN = sweet)


- Ghalib

WAAAAAAAaaaaaaahhhhhhhhHHHHHHHHH.................. ................. :)

sameer'shaad' 26th September 2013 06:53 PM

Dile- Gumraah ko aye kaash ye maaloom ho jaata,
Gunaah us waqt tak dilkash hai jab tak ho nahi jaata....

nm

Dhaval 26th September 2013 08:48 PM

Khumaar TuuTe to kaise ke ham ne siikh liyaa
tuu na ho to terii yaad se nashaa lenaa

By Farig Bukhari

zarraa 26th September 2013 10:07 PM

shiddat-e-tishnagi meiN bhi ghairat-e-maikashi rahi
us ne jo pher li nazar maiN ne bhi jaam rakh diya

- Ahmad Faraaz

Dhaval 27th September 2013 12:17 PM

tamannaao.n ke bahalaave me.n aksar aa hii jaate hai.n
kabhii ham choT khaate hai.n kabhii ham muskuraate hai.n

By Roshan nanda

sameer'shaad' 27th September 2013 12:46 PM

Quote:

Originally Posted by Dhaval (Post 454565)
tamannaao.n ke bahalaave me.n aksar aa hii jaate hai.n
kabhii ham choT khaate hai.n kabhii ham muskuraate hai.n

By Roshan nanda

Quote:

Originally Posted by zarraa (Post 454554)
shiddat-e-tishnagi meiN bhi ghairat-e-maikashi rahi
us ne jo pher li nazar maiN ne bhi jaam rakh diya

- Ahmad Faraaz



Waaahhhhhh kyaa kehne, bahot khoob sher share kiye hain aap dono ne Zarra bhai aur Dhaval bhai......... behad shukriyaa inhe hamaare sath Baantne ke liye..... tashreef laate rahen.... shukriyaa

Shaad....

Mujeeb 28th September 2013 12:41 AM

jung anaa ki haar hi jaana , behter hai ab laRny se
mai bhi hoN TooTa TooTa sa , bikhra bikhraa tu bhi hai

Faragh Ruhavi

sameer'shaad' 28th September 2013 09:55 AM

Quote:

Originally Posted by Mujeeb (Post 454590)
jung anaa ki haar hi jaana , behter hai ab laRny se
mai bhi hoN TooTa TooTa sa , bikhra bikhraa tu bhi hai

Faragh Ruhavi

Waahhhhh Mujeeb bhai..................... kyaa nageena chun kar laaye hain aap... mubaarak ho

sameer'shaad' 28th September 2013 10:00 AM

Mera aaj ka sher............

Daaman ko wo Lehraa rahe haiN door gaaoN meiN,
Baade-saba se aa rahi hai yaar ki khushboo..!!

~Shaad~

Mujeeb 28th September 2013 12:45 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 454593)
Mera aaj ka sher............

Daaman ko wo Lehraa rahe haiN door gaaoN meiN,
Baade-saba se aa rahi hai yaar ki khushboo..!!

~Shaad~

Wo hawaon ki tarha khana baja phirta hai
Ik jhonka hai jo aye ga, guzar jaye ga

Parveen Shakir


All times are GMT +5.5. The time now is 10:22 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.