Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Dard (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=4)
-   -   just ...all pains to write (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=37404)

red_ruchika 7th July 2005 05:48 AM

just ...all pains to write
 
yeh shayri us ajnabi ke liye jis se hum is had tak nafrat karte hain aaj ki zindagi main kabhi unka chehre se samna na ho,yeh dua karte hain,par yehi woh the,jinki khusiyon ko kabhi kabhi hum apni duaon main shamil karte the kyunki woh bhi hame kuuch apne haal jaisa lagte the...



pyar ki wajah se,kisi ajnabi se dushmani ho gayi
hote the gam kuuch kam unhe padhkar,
ab unke naam se bhi is qadar nafrat ho gayi

"woh bhulaai hui dastan hai zindagi ki meri"
aisa aksar sunte rehte hain hum
ki phir se aaj annkhen us ajnabi ki wajah se nam ho gayi

pyar ko to khoob hunar hai adaon aur kalam ka
ke jane anjanne main phir se aaj
us undekhe chehre se dil main nafrat ho gayi

hum kyun mange uske naam ka mehboob ke
labon par se hat jane ka
ke jaan bhi hamari kabhi kabhi dhoka de gayi

gazab ka andaz hamare pyar ka,
ik pal main apna ik pal main paraya kara
use nahin yakeen,haan humko bhi sacchi mohabbat ho gayi!

Chaand 7th July 2005 12:58 PM

Jo chala gaya use...Bhool ja
Wo na sun sakega...teri sada,
Jo chala gaya use ...Bhool ja
use bhool ja ..use bhool ja...

(line from Old hindi song...singer Mukesh)

red_ruchika 7th July 2005 06:03 PM

hmmmmm...

kehne aur sun ne ke liye to bahot hota hai chand ji,par karna kahin mushkil hota hai...

Chaand 7th July 2005 07:48 PM

hmmmmm...

kehne aur sun ne ke liye to bahot hota hai chand ji,par karna kahin mushkil hota hai...


Ji........jaanta hooN...kehne or usper amal karne me bada fark hai..

kuchh arz karna chaahuNga...ek ghazal ka hi sher hai....mere hi mut.taliq



Ey waaiz-e-naadaN karta hai...Tu...ek ...kayaamat kaa charchaa...
Ey Waaiz-e-naadaaN karta hai...Tu..ek...kayaamat kaa charchaa

yahaaN roj nigaaheiN milti haiN....YahaaN roj kayaamat hoti hai..

Gulshan ki faqat phooloN se nahi...KaaNtoN se bhi zeenat hoti hai


(its from Together or friendship ...I guess from Together )
Singer...Jagjit singh


eisa nahi ki mai aapki feelings ka mazaak udata hooN....per phir bhi kuchh kehna chaahuNga.

arz hai...

Wo Dil meri hi khaatir dhadakta hai to...
Mujhse nazreiN kyoN churaata hai...
Ey Khuda, meri chaahat me koi khot to nahi...
Phir Tu mujhko hi kyoN sataata hai...

Likh de mera mukad.dar mere hi haathoN me
Wo to apna haath meri zaanib barhata hi nahi,
Mai khud hi....dhooNd looNga manzil apni
Wo bharam me hai ke mai, tanha chal pata hi nahi.

Chaand

chalta hooN isi dua ke saath ke .......Khush raho.

red_ruchika 8th July 2005 02:31 PM

chalo,aap ne hamare liye do chaar lamhe hi barbaad kiye,uske liye shukriya apka
atleast a friend can understand
tahnks


All times are GMT +5.5. The time now is 12:37 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.