Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Ishq (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=2)
-   -   Woh aa rahe hai (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78843)

Qasid 9th April 2015 07:49 AM

Woh aa rahe hai
 
aarzo-e-mohabbat machal si rahi hai
bhanwre bhi ab gungunaa rahe hai

yeh do chaar din ab guzrenge kaise
meri zindagi mein yun wo aa rahe hai

kya dekhenge unko ya bolenge unse
inhi uljhanon mein jiye jaa rahe hai
tasaavur bhara hai yeh dil ka taraana
yun hi ahl-e-dil ko behlaa rahe hai

unke dil ki halat bhi hai kuch ajab si
dabi si zubaan se kuch gaa rahe hai
hai ikraar-e-ulfat ya chipi koi hasrat
apni zubaan se na keh paa rahe hai

rok lo koi yaaron na cheeno is dil ko
hum ab aisi baaton se ghabraa rahe hai

meri zindagi mein yun wo aa rahe hai
meri zindagi mein yun wo aa rahe hai...


आरज़ू-ए-मोहब्बत मचल सी रही है
भँवरे भी अब गुनगुना रहे है

यह दो चार दिन अब गुज़रेंगे कैसे
मेरी ज़िन्दगी में यूँ वो आ रहे है

क्या देखेंगे उनको या बोलेंगे उनसे
इन्ही उलझनों में जिए जा रहे है
तसवुर भरा यह इस दिल का तराना
यूँ ही अहल-ए-दिल को बहला रहे है

उनके दिल की हालत भी है कुछ अजब सी
दबी सी जुबां से कुछ गा रहे है
है इकरार-ए-उल्फत या छिपी कोई हसरत
अपनी जुबां से न कह पा रहे है

रोक लो कोई यारों न छीनो इस दिल को
हम अब ऐसी बातों से घबरा रहे है

मेरी ज़िन्दगी में यूँ वो आ रहे है
मेरी ज़िन्दगी में यूँ वो आ रहे है...

Hamdam 9th April 2015 08:32 AM

Hai mai mer jawan gur kha ke ....Ishq ki inteha aur unki intezar mein uthte
jazbat aur haal he dil , badi bechaini sub kuch kitni bareeki se pesh kiya aapne,
ke mujhe bhi per ke curosity ho rahi hai ..ki vo kab aa rahe haiN.

Bahut aala Nazm ..rels pending ..kya rawangee hai is nazm mein.

Sanjay Sehgal

sameer'shaad' 9th April 2015 09:21 AM

उनके दिल की हालत भी है कुछ अजब सी
दबी सी जुबां से कुछ गा रहे है
है इकरार-ए-उल्फत या छिपी कोई हसरत
अपनी जुबां से न कह पा रहे है




haay zaalim ne kyaa teer choRe hain savere savere....... kyaa baat hai miyaan, nazm hai yaa jaaduu..... jo ghul sa gayaa hai mere mann me.... bas abhi tak iskii mithaas mahsoos kiye jaa rahaa hoon main.... bahot gahraai se bayaan kiyaa hai husne ulfat ko janab..... tahe dil se daap pesh hain aapko.... bas kalam chalaate rahiyegaa.....

shukriyaa

Shaad.....

Qasid 9th April 2015 11:34 AM

Quote:

Originally Posted by Hamdam (Post 475859)
Hai mai mer jawan gur kha ke ....Ishq ki inteha aur unki intezar mein uthte
jazbat aur haal he dil , badi bechaini sub kuch kitni bareeki se pesh kiya aapne,
ke mujhe bhi per ke curosity ho rahi hai ..ki vo kab aa rahe haiN.

Bahut aala Nazm ..rels pending ..kya rawangee hai is nazm mein.

Sanjay Sehgal

Sanjay Bhai

Behad shukriyaa aapka ki aapne itne mithaas se khaaksaar ke shabdon ko daad di. Aapki curiousity ka koi jawaab nahi hai is dil ke paas :D kyunki woh to kab ke aa chuke hai.

Yunhi saath dete rahiYeGaa

Qasid 9th April 2015 11:37 AM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 475867)
उनके दिल की हालत भी है कुछ अजब सी
दबी सी जुबां से कुछ गा रहे है
है इकरार-ए-उल्फत या छिपी कोई हसरत
अपनी जुबां से न कह पा रहे है




haay zaalim ne kyaa teer choRe hain savere savere....... kyaa baat hai miyaan, nazm hai yaa jaaduu..... jo ghul sa gayaa hai mere mann me.... bas abhi tak iskii mithaas mahsoos kiye jaa rahaa hoon main.... bahot gahraai se bayaan kiyaa hai husne ulfat ko janab..... tahe dil se daap pesh hain aapko.... bas kalam chalaate rahiyegaa.....

shukriyaa

Shaad.....

Shaad bhai - Umeed hai aap khairiyat se honge, janaab aajkal subah savere uth kar likhne mein khoob lutf aata hai. Mamnoon hoon ki aapne haunslaa badhaaya.

Aap padhte rahiYe aur kalam to chalta hi raheGaa

Madhu 14 9th April 2015 12:10 PM

Bahut bahut khoob mast jee..kya khoobsoorat nazm pesh ki hai....subah subah kuch aisa padhne ko mil jaye to bas din ban jata hai ...chashni me ghule huye alfaaz...
waaaaah....
likhte rahein...
khush rahein...

Qasid 9th April 2015 02:41 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 475888)
Bahut bahut khoob mast jee..kya khoobsoorat nazm pesh ki hai....subah subah kuch aisa padhne ko mil jaye to bas din ban jata hai ...chashni me ghule huye alfaaz...
waaaaah....
likhte rahein...
khush rahein...

Zarra nawazi hai aapki Madhu ji, aacha laga ki aapko yeh khayaal pasand aaye, alfaaz to saade the aapne chashni khud gol kar pi li in mein.

Bahut aacha laga aapki daad paakar, yunhi saath dete rahiYeGaa

Hassan 9th April 2015 04:47 PM

kya dekhenge unko ya bolenge unse
inhi uljhanon mein jiye jaa rahe hai


Superbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbb....
kamaal hii kamaal hy bhai ...

ishQ ky jazbe se bharpoor yeh dilnasheen kalaam mujhe bohat pasand aaya! :)

likhte rahiye ..

Qasid 9th April 2015 08:26 PM

Quote:

Originally Posted by Hassan (Post 475906)
kya dekhenge unko ya bolenge unse
inhi uljhanon mein jiye jaa rahe hai


Superbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbb....
kamaal hii kamaal hy bhai ...

ishQ ky jazbe se bharpoor yeh dilnasheen kalaam mujhe bohat pasand aaya! :)

likhte rahiye ..

Shukriyaa Hassan bhai aapke aane se yeh pukhtaa ho jaata hai ki kuch to wazn hoga shayar ki baat mein

kuch to wazn hoga shayar ki baat mein
mehfil-e-khaas mein yunhi daad nahi milti

Shukriyaa Janaab, yunhi saath banaye rakhiYeGaa


All times are GMT +5.5. The time now is 10:15 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.