Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Hindi/Urdu Lyrics (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=10)
-   -   Qawali ---- ( Aziz Nazaan ) Chadta Suraj Dheere-Dheere Dhalta hai Dhal Jaayega. (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=49736)

ashiq awara, 8th June 2006 01:29 PM

Qawali ---- ( Aziz Nazaan ) Chadta Suraj Dheere-Dheere Dhalta hai Dhal Jaayega.
 
@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

HUEY NAAM-WAR BE-NISHAAN KAISE,KAISE
ZAMEEN KHA GAEE NAUJAWAAN KAISE,KAISE

aaj jawaani par itraane waale kal pachtaayega

chadta suraj dheere,dheere dhalta hai,dhal jaayega

dhal jaayega, dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega

tu yahan musaafir hai yeh saraa-e-faani hai
chaar roz ki mehmaan teri zindagaani hai
teri zindagaani hai, teri zindagaani hai
zar,zameen,zevar kuch na saath jaayega
khaali haat aaya hai khaali haat jaayega
khaali haat jaayega, khaali haat jaayega
jaan kar bhi anjaana ban raha hai deewane
apni umr-e-faani par tan raha hai deewane
is kadar tu khoya hai is jahan ke mele mein
tu khuda ko bhula hai fans ke is jhamele mein
aaj tak yeh dekha hai paane waala khota hai
zindagi ko jo samjha zindagi pe rota hai
zindagi pe rota hai, zindagi pe rota hai
mitne waali is duniya ka aitebaar karta hai
kya samajh ke tu aakhir is se pyaar karta hai
is se pyaar karta hai, is se pyaar karta hai
apni,apni fikron mein jo bhi hai woh uljha hai
zindagi haqeeqat mein kya hai kaun samjha hai
kya hia kaun samjha hai, kya hai kaun samjha hai
aaj samajhleeeeeee
aaj samajhle kal yeh mauka haat na tere aayega
oh gaflat ki neend sone waale ek din dhoka khaayega

chadta suraj dheere,dheere dhalta hai dhal jaayega

maut ne zamaane ko yeh sama dikha dala
kaise,kaise rustam ko khaak mein mila dala
khaak mein mila dala, khaak mein mila dala
yaad rakh us sikandar ke hosle to aali they
jab gaya tha duniya se dono haat khaali they
dono haat khaali they, dono haat khaali they
ab na woh sikandar hai aur na uske saathi hai
jangaju na poras hai aur na uske haati hai
kal jo tanke chalte they apni shaan-o-shaukat par
shamma tak nahi jalti aaj unki turbat par
adnaa ho ya aala ho sabko laut jaana hai
sabko laut jaana hai, sabko laut jaana hai
muflis-o-tavangar ka kabr hi thikaana hai
kabr hi thikaana hai, kabr hi thikaana hai
jaisi karniiiiiiiiiiiiiiii
jasi karni waisi bharni aaj kya kal paayega
sar ko utha kar chalne waala ek din thokar khaayega

maut sabko aani hai kaun isse choota hai
tu fanah nahi hoga yeh khayaal jhoota hai
yeh khayaal jhoota hai, yeh khayaal jhoota hai
saans toot.te hi sab rishe toot jaayenge
baap,maan,behen,biwi,bacche choot jaayenge
bacche choot jaayenge, bacche choot jaayenge
tere jitne bhai hai waqt ka chalan denge
cheen kar teri daulat do hi gaz kafan denge
do hi gaz kafan denge, do hi gaz kafan denge
jinko apna kehta hai kab yeh tere saathi hai
kabr hai teri manzil aur yeh baraati hai
laake kabr mein tujhko murda paak daalenge
apne hi haaton se tere moonh pe khaak dalenge
tere moonh pe khaak daalenge, tere moonh pe khaak daalenge
teri saari ulfat ko khaak mein mila dnenge
khaak mein mila denge, khaak mein mila denge
tere chahane waale kal tujhe bhulaa denge
kal tujhe bhulaa denge, kal tujhe bhula denge
isiliye yeh kehta hoon khoob sochle dil mein
kyon fansaaye baitha hai apni jaan mushkil mein
kar gunaahon se tauba aage waqt sanbhal jaaye
aage waqt sanbhal jaaye, aage waqt sanbhal jaaye
dum ka kya bharosa hai jaane kab nikal jaaye
jaane kab nikal jaaye, jaane kab nikal jaaye
mutthi baand ke aane waaleeeeeeee
mutthi baand ke aane waale haat pasaare jaayega
dhan daulat jaagir tune kya paaya hai kya paayega

chadta suraj dheere,dheere dhalta hai dhal jaayega
chadta suraj dheere,dheere dhalta hai dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega

chadta suraj dheere,dheere dhalta hai dhal jaayega
chadta suraj dheere,dheere dhalta hai dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega

chadta suraj dheere,dheere dhalta hai dhal jaayega
chadta suraj dheere,dheere dhalta hai dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega

@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

Shimul 10th June 2006 03:59 PM

Aur Iss Waqt Kya Kahoun...! :)
 
:) Dil Ki Gehraaion Ki Gehraaion Se Dher Saare Phoul,Shukriya :)**Khush Rahiye ye Duwaaon Ke Saath Ijaazat...**God bless You.**

ashiq awara, 13th June 2006 01:41 PM

Re: Aur Iss Waqt Kya Kahoun...! :)
 
Quote:

Originally posted by Shimul
:) Dil Ki Gehraaion Ki Gehraaion Se Dher Saare Phoul,Shukriya :)**Khush Rahiye ye Duwaaon Ke Saath Ijaazat...**God bless You.**
shukriya shimul ji...............thanx for coming this post..........:)

dilip200 4th September 2008 03:39 PM

Quote:

Originally Posted by ashiq awara, (Post 203564)
@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

HUEY NAAM-WAR BE-NISHAAN KAISE,KAISE
ZAMEEN KHA GAEE NAUJAWAAN KAISE,KAISE

aaj jawaani par itraane waale kal pachtaayega
aaj jawaani par itraane waale kal pachtaayega
chadta suraj dheere,dheere dhalta hai,dhal jaayega
chadta suraj dheere,dheere dhalta hai,dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega

tu yahan musaafir hai yeh saraa-e-faani hai
chaar roz ki mehmaan teri zindagaani hai
teri zindagaani hai, teri zindagaani hai
zar,zameen,zevar kuch na saath jaayega
khaali haat aaya hai khaali haat jaayega
khaali haat jaayega, khaali haat jaayega
jaan kar bhi anjaana ban raha hai deewane
apni umr-e-faani par tan raha hai deewane
is kadar tu khoya hai is jahan ke mele mein
tu khuda ko bhula hai fans ke is jhamele mein
aaj tak yeh dekha hai paane waala khota hai
zindagi ko jo samjha zindagi pe rota hai
zindagi pe rota hai, zindagi pe rota hai
mitne waali is duniya ka aitebaar karta hai
kya samajh ke tu aakhir is se pyaar karta hai
is se pyaar karta hai, is se pyaar karta hai
apni,apni fikron mein jo bhi hai woh uljha hai
zindagi haqeeqat mein kya hai kaun samjha hai
kya hia kaun samjha hai, kya hai kaun samjha hai
aaj samajhleeeeeee
aaj samajhle kal yeh mauka haat na tere aayega
oh gaflat ki neend sone waale ek din dhoka khaayega

chadta suraj dheere,dheere dhalta hai dhal jaayega
chadta suraj dheere,dheere dhalta hai dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega

maut ne zamaane ko yeh sama dikha dala
kaise,kaise rustam ko khaak mein mila dala
khaak mein mila dala, khaak mein mila dala
yaad rakh us sikandar ke hosle to aali they
jab gaya tha duniya se dono haat khaali they
dono haat khaali they, dono haat khaali they
ab na woh sikandar hai aur na uske saathi hai
jangaju na poras hai aur na uske haati hai
kal jo tanke chalte they apni shaan-o-shaukat par
shamma tak nahi jalti aaj unki turbat par
adnaa ho ya aala ho sabko laut jaana hai
sabko laut jaana hai, sabko laut jaana hai
muflis-o-tavangar ka kabr hi thikaana hai
kabr hi thikaana hai, kabr hi thikaana hai
jaisi karniiiiiiiiiiiiiiii
jasi karni waisi bharni aaj kya kal paayega
sar ko utha kar chalne waala ek din thokar khaayega

chadta suraj dheere,dheere dhalta hai dhal jaayega
chadta suraj dheere,dheere dhalta hai dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega

maut sabko aani hai kaun isse *****a hai
tu fanah nahi hoga yeh khayaal jhoota hai
yeh khayaal jhoota hai, yeh khayaal jhoota hai
saans toot.te hi sab rishe toot jaayenge
baap,maan,behen,biwi,bacche ***** jaayenge
bacche ***** jaayenge, bacche ***** jaayenge
tere jitne bhai hai waqt ka chalan denge
cheen kar teri daulat do hi gaz kafan denge
do hi gaz kafan denge, do hi gaz kafan denge
jinko apna kehta hai kab yeh tere saathi hai
kabr hai teri manzil aur yeh baraati hai
laake kabr mein tujhko murda paak daalenge
apne hi haaton se tere moonh pe khaak dalenge
tere moonh pe khaak daalenge, tere moonh pe khaak daalenge
teri saari ulfat ko khaak mein mila dnenge
khaak mein mila denge, khaak mein mila denge
tere chahane waale kal tujhe bhulaa denge
kal tujhe bhulaa denge, kal tujhe bhula denge
isiliye yeh kehta hoon khoob sochle dil mein
kyon fansaaye baitha hai apni jaan mushkil mein
kar gunaahon se tauba aage waqt sanbhal jaaye
aage waqt sanbhal jaaye, aage waqt sanbhal jaaye
dum ka kya bharosa hai jaane kab nikal jaaye
jaane kab nikal jaaye, jaane kab nikal jaaye
mutthi baand ke aane waaleeeeeeee
mutthi baand ke aane waale haat pasaare jaayega
dhan daulat jaagir tune kya paaya hai kya paayega

chadta suraj dheere,dheere dhalta hai dhal jaayega
chadta suraj dheere,dheere dhalta hai dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega

chadta suraj dheere,dheere dhalta hai dhal jaayega
chadta suraj dheere,dheere dhalta hai dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega

chadta suraj dheere,dheere dhalta hai dhal jaayega
chadta suraj dheere,dheere dhalta hai dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega
dhal jaayega, dhal jaayega

@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@@

merul ji
ye qabbali mere dil ke kafi kareeb hai.......
ek baar college program main mere doston ne ise gaya tha
tab se ye dil main basii huyii hai
share karne ke liye aapka shukriyaa

dilip

Mayank 24th August 2009 10:38 AM

if anybody want to download the MP3 song--> chadta suraj dheere,dheere dhalta hai,dhal jaayega : mp3------->

http://rapidshare.com/files/77875141...hire_Dhire.mp3

-Mayank

asdfgh 12th October 2009 01:46 PM

Thanx alottttt for sharing this qawwali.. I am searching for it . . . . Thanx again dear :)

asdfgh 12th October 2009 01:53 PM

Quote:

Originally Posted by Mayank (Post 364185)

if anybody want to download the MP3 song--> chadta suraj dheere,dheere dhalta hai,dhal jaayega : mp3------->

http://rapidshare.com/files/77875141...hire_Dhire.mp3

-Mayank

thanx mayank ji.. Lekin jb maine is link pe click kiya to download ni kar paya mai... Actuly ths site is payable if i m nt wrong.. Koi free link aap yaha post kar sakte hain ??? :)

Mayank 6th November 2009 10:34 AM

Quote:

Originally Posted by Buland Shayar (Post 369427)
thanx mayank ji.. Lekin jb maine is link pe click kiya to download ni kar paya mai... Actuly ths site is payable if i m nt wrong.. Koi free link aap yaha post kar sakte hain ??? :)

click 'free user'. u will get the same freeeeeeeeeeeeeeeeee:)

neelkamalpandey 5th December 2009 05:20 PM

wah wah what a shayari i love it

zidd 1st March 2010 01:15 PM

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Taish 12th June 2010 04:43 PM

masha-allah......................!!

mittal_pali 29th July 2010 12:36 AM

good work. keep it up..................

parveen komal 29th July 2010 08:56 AM

beautiful meri pasandida qawali .................
www.parveenkomal.com

All times are GMT +5.5. The time now is 09:35 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.