Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Aapki Shayri (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=32)
-   -   Khuda ke liye Shayri.com ko shayri ke liye hi rehne deN... (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=18767)

prasaxena 29th January 2004 12:09 PM

Khuda ke liye Shayri.com ko shayri ke liye hi rehne deN...
 
Aziiz Dosto

Adaab

Mujhe bohat takleef ho rahi hai yahaN jo bhi kuch chal raha hai ye dekh kar. Bohat logoN se shikayateN aayeen haiN ke yahaN ka mahole badmaza hota ja raha hai.

Afsos ki baat ye hai ke ye site jo sher kehne aur sunane ke liye hai usey yahaN ke membaran ne dating-joint meN tabdeel kar diya hai. Shayrana zaban ki jagah galiyoN aur bhadde afaaz ne le li hai. Log jis tarah ke alfaaz istemaal kar rahe hain wo badi sharm ki baat hai. Jab paRh kar sharm aati hai to un hazraat ko wo alfaaz yahan likh kar chaspaaN karte huve kyuN nahin aayee.

Sabhi dostoN maiN is baat se aagah karva duuN ke behtar hoga ke is tarah ki batoN ke liye koi aur jagah chun leN. Ab yahan se aise logoN ka daan-paani uth gaya samjheN. MaiN baRi hi saKhti se aisee har post ko delete karne jaa raha huuN. Aur gandi zaban wale har member BAN karne ja raha huuN.

Ye baat tai hai ke is site par is qism ki harketeN yahaN bardasht nahiN ki jaayeNgi. Chahe jo bhi ho.
Aur jo log is jagah se pyaar karte haiN unse meri guzarish hai ke Khuda ke liye apne waqt men se kuch lamhe iske liye nikalen aur yahaN hone waali kisi bhi badmaza baat par nazar rakhen aur uskii ittela mujhe deN. Foran action liya jaayega.
Ummeed hai aap sab is baat par ghaur kareN ge aur yahaN ke haalt theek karne meN meri madad kareNge.

Khaksaar
Praveen Saxena

mitushi 18th February 2004 07:11 PM

aapki baat se main sahmat hoon
 
Praveen,aadab!
Aapki baat se main solah aane sahmat hoon.Yahan par behoodgi ki koi jagah nahin...yahan par sirf shayri aur ubhrte shayron ka niwas hona chahiye..
Mitushi

sharad tailang 5th January 2005 10:29 PM

apka samarthan karta hoon
 
Hi praveen bhai.

aaj lagbhag 1 saal bad phir se Shayri.com dekhne ki ichchha man mein jaagi ki dekhe abhi bhee wo ashleel shayri bhej kar log is mahoul ko ganda kar rahe hai ya kuchh sudhar hua,Mujhe khusi hai ki aapne ye sakht qadam uthaya. Dhanyabad

Sharad Tailang

suhavi 10th February 2005 02:10 PM

hello bhaiya,
aaj mein bahut aas le ke aayi hoon aapke pass. darasal i pmd u too bt seems tht u didnt get my msg n i had to come in open to tell u something. bhaiya i need your help. meri ek dost jo ki is site ki member hai jasleen ke naam se aaj ek bahut badi problem mein hai aur faisla aap sab logo ko karna hai. meri dost jasleen ke barre mein kehna chahunghi ki woh aisi hai ki kisi ka dil nahi dukha sakti par haan yaan bahut logon ne uska dil dukhaya hai. she was in a habbit of writing a dairy n one of her close friends wished ki woh aapni dairy is site pe share kare. she never ever had shared it bt had to becoz it was her friends wish who is suffering frm blood cancer.she could not refuse her. sab ko acha laga jasleen ke post ko padkar. bt ek din kamkaze ji ne uski post pe bola ki yeh words uske nahi hai. n agar tum aisa kuch likho to author ka naam likho. she accepted her mistake n things were smooth again. latly two days back usne ishq sec mein ek post likha jo ki kisi aur ka tha aur i think kisi aur ne usse pehle hi yahan post kiya hua tha. meena di ne openly usko reply diya. mana ki meri dost se bhool hui bt this thing flamed up like any thing. uski ek aur post jo ki dard section mein hai mila hai dard mujhe yahan is bedard zammane se. aap plz us post pe gaur se padiye aap sab samjh jayenge. pehle aman ji ne kya tarif ki meri dost ke liye aur jab meena di ka jawab uski doori post pe pada they way he used harsh language is not bearable there. i always used to visit this site as a guest bt jas ko iss musibat mein kaise dekh pati isliye aapna id banaya aur jawab diya. to unlogon ne mujhe bhi galat samjha aur kaha ki jasleen aur tum ek hi ho. jab ki its not true. bhaiya jasleen is in hospital.wud be back soon bt the problem is tht she is such a sensative lady tht she wont bare all this. aaj bahut dukh ke saath kehna pad raha hai ki yahan sab ek doosre ke saath kicha taani mein lage hue hai. everyone is hurting each other. i assure u jasleen kabhi bhi is site pe doobara nahi aayeghi bt i want her self respect jiska kulle aam tamasha bana diya sabhi ne. uppar se kunal ji ne mere ko itna bura bhala kahan. reached till my parents too. aap plz us post ko padiye. mila hai dard mujhe yahan is bedard zammane mein. i nned justice for my friend bhaiya. ek aap hai jiske baare mein sunna ki u help the ones in need. i assure u, jas wnt cum back on this site bt at the cost ki aman ji aapne galat alfass wapis le. aapne aapne kimti samay mein se mere liye kuch waqt nikala. aapka teh dil se shukriya. ek baat aur kissi ne bhi jas ko pehle se warn nahi kiya thta is site ke rules ke baare mein aur ab sab yahi bol rahe hain. ho sake to insaaf dilana.

prasaxena 5th September 2005 06:17 PM

DotoN ke liye
 
Aziiz Dosto

Kuchh dinoN se ek Khaas topic hamari site pe garmaaya hua hai. Aur iss baare meiN Aman sahab aur Parul ji ne Khaas aawaaz uthhayee hai.

Main unke KhayaloN aur jazbe ki qadr karta huuN. Aur ye bhi manta huuN ke wo ekdam sahi baat keh rahe haiN. Jab ek shaKhs ek hi ID se apni baat keh sakta hai toh ussey koi aur ID banane ki zarUrat kyuuN paRe. Lekin phir bhi log aisa karte haiN.

Mujhey lagata hai ke wo membaraan ko ye batana chaahte haiN ke ke unke kalaam ko kitne logon ne taareef se nawaaza hai. Mera Khayaal hai ke aisa karne waale Khud jaante haiN ke unka kalaam kitna qaabil-e-daad hai. UnheN lagta hai ke agar kahiN se tareef na mile to chalo Khud hi kar leN. Mujhe afsos hai ke shayri ke naam par hamaare member dost iss tarah ki halki baton par utar aaye haiN.

MaiN Parul aur Aman ko ye bhi bataana chahuuN ga ke aise logon ko ban karna iss pareshaani ka hul qatayee nahiN hai. Kyunke aise log us ghaas ki tarah hote haiN jisse jitna zyada kaateNge aur zyad baRh jaati hai.

Aap iss baat ko maan leN ke ye site paid site nahiiN hai aur yahaN koi bhi register kar sakta hai. Aur ye baat bhi jaan leN ke yahaan chhoR kar jaane waali baateN karne waale shayri ke chaahne waale nahin ho sakte aur na hi unmeiN koi shayrana baat ho sakti hai. Aap se guzaarish hai ke aise logon ko ignore kar diya jaana hi behtar hoga. Warna unheN ban karte-karte hi saara waqt nikal jaayega… hum sher kab kaheN ge? Sach toh ye hai ke unhe shayri se koi lena dena nahin. Aise logon ke liye pareshaan hokar aap kyuuN apna qeemti waqt zaaya kareN.

Aap sab se meri ye guzarish hai ke jab koi chori ki post jaisi harkat kare to wo saamne laane se na chuukeN. Aise logon ko rokna aur yahaN ka darwaaza dikhana zaruuri hai.

Yaad rakheN… ye hum sabka apna ghar hai yahaN achcha mahole bana rahe uski zimmedaari hum sabki hai.

Ummeed karta huuN ke Aman aur Parul jaise dostoN ko kuchh hudd tak unke sawaaloN ka jawaab milaa hogA. Phir bhi kuch baat main kehne se reh gaya huuN to phir kahuuN ga.

Fil haal aap sabhi ki raae ka muntazir rahuuN ga.

Khaaksaar
Praveen Saxena

Chaand 5th September 2005 07:37 PM

DostoN ke liye
 
Phir bhi Praveen saahab ki ek baat per jaroor kehna chaahuNga ki ...

jaroori nahi sab....apni taareef khud karne ke liye eisa karte hoN...ho sakta hai unhe doosroN ke reply na milte hoN isi liye wo eisa karte hoN..or yahaan mai Chandsi se sehmat hooN...haan har ek yahaaN maahir nahi hai khuchh khaas dostoN ki tarah...per shayri pasand karte haiN...tabhi yahaaN aate bhi haiN...ye baat or hai ki shaayad meri hi tarah wo bhi iski baareekiyaaN or technicalities na jaante hoN...so per wo bhi kadrdaan haiN shaayri ke....

so unki khataaoN ko naadaani samajhkar maaf kiya jaaye...
KyoNki perfection....kahaan hota hai har ek me...(Praveen saahab or kuchh or dost...iske udaahran haiN so...mai salaam karta hooN unhe.)

or Jab koi site chhod kar jaane ki baat karta hai to wo kisi ki baat se hurt feel hokar bhi eisa kar sakta hai...so...iska matlab bhi ye nahi ki use...shaayri se lagaav nahi hai...balki koshish rahe ki ham uski galati (agar koi hai to) use shaaleenta se samjhaakar...apne saath hi rak.khaiN...or Pulkit hamaare beech iska ek bahut achchha udaahran haiN...jo aksar dostoN ko jode rakhta hai..galatiyaan samjhaane ke baavjood....mera salaam Pulkit ko bhi.

Shaayar jiyaadatar bhaavuk hriday ke log hote haiN...so...jaldi hi har baat ka bura maan jaate haiN..phir chaahe baat post per reply na milne ki ho ya...kisi apmaan ki....wo kripya ek doosre ho hurt karne ke bajaay protsaahit karien....(Meena ji ki tarah..)

Or haaN CHANDSI JI JEISE LOG JAB KUCHH PUKAAR PUKAAR KAR KAHEIN TO PLEASE...UNHE NAYA SAMAJHKAR IGNORE NA KAREIN...UNKO BHI SUNEIN....KYONKI JO LOG SAAF BOL DETE HAIN ....KHATARNAAK NAHI HOTE....SO KUCHH BAHAADUR LOG BHI SAATH RAHEIN TU ACHCHHA LAGTA HAI..

(Praveen saahab ek request hai kisi ke ID ban mat kijiyega...ham sab samajhdaar haiN...khud hi dheere dheere improvement kar leinge khud me.)

Khush raho....

Muskuraate raho...

Chaand

chandsi 29th September 2005 09:24 AM

Samjh samjh ka ferr hai



Wo kutch likhte hai
Fir pyaar se kehte hain
Jawaab ka intejaar rahega
Par kyou?

Jab dusre likhte hai
Aap padhte ho
Ek nahi 100 log padhte ho
Jawaab ek ka bhi nahi hota
Par kyun?

Aap likhte ho
100 log padhte hian
10ka ka jawaab hota hai
aap khush ho jaate ho
par kyun?


Kya khushi milti hai ?
Ki aapke dost ka jawaab tha
Ki aapko logoON ne saraaha
Aapke dukh ko nahi
Aapke lekh ko saraaha
Pure josh ke saath
Fir aap ek naya kutch likhte ho
Par kyun?


Kiyunki aapko likhna aata hai ?
Ya fir wahi pyaar pane ke liye
Logoon ka saath pane ke liye
Saath wo pyaar jo himmat badhaati hai
Fir kyun aap kisi ka himmat nahi ban sakte
Aap jo chaaho wo sahi baaki galat
Par kyun?


Agar bas likha hin chaahte ho
Toh apne diary main likho
Ek nahi baar baar likho
Kisi ko mat dikhyaa karo
Kisi ko mat sunaaya karo
Par hum sunaate hian
Apni kavita padhaate hain
Par kyun?

Aapne likha jawaab ka intejaar rahega
Par kyun?
Kisi ne likha jawaab ka intejaar rahega
Aap jawaab de naa paao
Par kyun?
AAP JO DUSROON SE CHAAO
WAHI AAP DUSROON KO DE NA PAAO
PAR KYUN?




Hum likhte hain
Likhna aata hin nahi
Bas koshish hin rehti hai
Hum dusroon ko padhte hian
Dard sabka apna sa lagta hai
Par kyun?


Dusroon ko padh kar
Humne rona hin chod diyaa
Unke dill ki tadap ko mehsoos kiya
Or fir kutch kehna chaha
Par kyun?


Jinke liye hum ladte rahe
Wo bhi saath de na sake
Sabke samne na sahi par
Peeche se wo kehte rahe
Jataate rahe santust hote rahe
Par kyun?


Kyun itni tang dill ye duniyaa hai
Kyun bas khud ke liye ye duniyaa hai
Kyun bas naam kamane bhar ki duniyaa hai
Kyun ye chaaplusi ki duniyaa hai
Jahan khudd ki bhalaai ho bas ussi ka saath de
Chaahe baat sahi ho ya galat
par kyun?


Bas apne main hin simmti duniyaa hai
Dost ka saath na chutt jaaye
Issliye saath choda satay ka
Fir bhi dill main khush hote rahe
Chlo kutch toh unkaa bhlaa hota raha
Kooi mare ya jiye
Unka toh bas bhlaa huaa
10 log jisse bhala kahe
sabhi ne ussi ko bhlaa kahe
kyun khudd kutch bhi soch nahi paate
kya sahi or koun sahi
kya galat or koun galat
badi matlabi duniyaa hai
na jaane kyoun maine pangge liya
na jaane kyun?



Sorry dill se NAHI kehna chaahti
Par fir bhi sabka dill dukha baithi hoon

Mujh se ye bhi sahi NAHI jaati
Pata nahi kyun?

CHLO AMAN JI MAINE MAANii APNI GALTI
ANJAANE MAIN HUI MUJHSE GALATI
DILL TODA AAPKA …..HUI HUMSE GALTI
LO HUM MAAFI CHAAHTE HAIN
KI HUI HUMSE EK GALTI
AAB MAAUF BHI KAR DO ….
AAPKO CHOT LAGA MAIN RAAT BHAR NA SO PAAI
PATA NAHI KYUN?

AAP SAHI MAIN HIN GALAT
AAP KHUSH RAHO TOH MAIN BHI KHUSH
PATA NAHI KYUN?

chandsi 7th October 2005 02:46 PM

http://www.shayri.com/forums/showthr...threadid=38862

shayar_abhishek 21st November 2005 11:28 AM

arre dosto maine bhi id badli par maine pichhli id chhod di, iske bhi kai kaaran the
1. uska naam tha wikked sunny , jo gayathri didi ko bilkul pasand nahi tha wo kahti thi ki tum itne shareef or sudhare hue ho fir kyun wikked bante ho , isliye unhone mujhe ye id gift di "shayar_abhishek"
etc etc kai kaaran the
mujhe bhi ye bahut galat lagta hai ki kai log kai ids banate hai or apni hi posts ko reply karte hai dusri ids se

hum sab yaha shero shayri ko k dusre se baantne ke liye ikatthe hue hai na ki apne aapko bada shayr batane ke liye
jise jo sher pasand aata hai wo apne aap hi uspe reply kar deta hai

KunaaL 5th March 2006 12:21 AM

praveen ji rules kya sirf dekhne ke liye banaye gayeN hai... aur kisi ko samjhao to ulta .. is section maiN BINDAAS AASHI ne jo post dale hai un par gaur kijiyega ... ya RULES BEFORE POSTING ka post hata deNa ... yahaN se....

site ka member

Kunal

chandsi 10th April 2006 04:15 PM

Aaj apni galti ka ehsaas ho raha hai …………….
Aaj samjh main aaya ki kutch log kutch logon ko reply kyoun nahi dete the ………………
Or phir kutch log kyoun das id banaaya karte the ……………..
Nahi pata mujhe inn sab problem kaa kya solution hai ………….

Actually pehle mere liye saare shayries naye the coz maine pehle kabhi iss tarah ke shayris padhe hin nahi the ……so mujhe sabka likha pasand aata tha ……….tab mujhe nahi pata tha ki wo sab adhiktar shayris ustaadon ke poems hote the ………
Mujhe lagta bachche log itni mehnat karte hain toh hum sabko unko badhaawa dena chaahiye ………………..or bas issi liye sabke liye aawaaz uthaai ……………
Aaj mujhe behad bura lag raha hai ………………

So ………….me sorry once again ki mere kaaran kabhi hungaama
Huaa tha ……………………….

Jo jaan bujh kar galtiyaana kar rahe hain ………pareshaan kar rahe hain ………..wo kyoun kar rahe hain pata nahi ……….

Phir bhi aaj bhi agar hum thoda pyaar se pesh aayein toh shayad kutch had tak sabhi ko badla ja sakta hai …………………



Sabko apna maani iss baat ke liye afosos hai mujhe ……………..


Jo samjhdaar log hain wo bhi agar galtiyaana karein toh baakiyouno se kya umeed karna ……

main jo chahti thi ==jo jataana chahti thi wo kooi nahi samjh pyaaa...............


……………………………………..khair …………….bye and tc

wonder on earth 23rd June 2006 05:26 PM

aey khuda teri mehhil main
yeh fariyaad karati hun
salamat use rakhana
jise mein yaad karati hun

sheeba 24th June 2006 11:40 PM

hello plz read its urgent
 
mein ye is liye likh rahi hoon yahn per log abb is site ko bohat gult use kar rahe hein gaaliyan likh kar bajhty hein jo k nayhatay hi sahrmindgi ki baat hay bare karam sab members ko is per koi action layna chaye umeed hay k sab is baat per ghor karen gaye

ana waladun 20th December 2006 01:59 PM

Quote:

Originally Posted by sheeba (Post 204700)
mein ye is liye likh rahi hoon yahn per log abb is site ko bohat gult use kar rahe hein gaaliyan likh kar bajhty hein jo k nayhatay hi sahrmindgi ki baat hay bare karam sab members ko is per koi action layna chaye umeed hay k sab is baat per ghor karen gaye

MAHSA ALLHA U R RYT INSHA ALLHA AAP KO INSAAF MILAIGA

Hasigal 21st December 2006 09:53 AM

main apke saath hoon.....!


All times are GMT +5.5. The time now is 09:34 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.