Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Mashahoor Shayar (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=13)
-   -   shayri e mashhoor shayr`-Faiz ahmed faiz (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=80024)

Madhu 14 9th September 2016 04:59 PM

shayri e mashhoor shayr`-Faiz ahmed faiz
 
Faiz Ahmad Faiz was an influential left-wing intellectual, revolutionary poet, and one of the most famous poets of the Urdu language from State of Pakistan. A rising figure and notable member of the Progressive Writers' Movement (PWM),was a recipient of Lenin Peace Prize by the Soviet Union in 1962. Despite being repeatedly accused of atheism by the political and military establishment, Faiz's poetry suggested his complicated relationship with religion in general and Islam in particular.

Biography

One of the foremost poets in the Indian sub-continent, Faiz Ahmed Faiz was born in Sialkot in Pakistan. He studied philosophy and English literature, but poetry and politics preoccupied him more than anything else. For writing poetry that always antagonizes the ruling Žlite and challenges colonial and feudal values, like such rebellious writers as Ngugi of Kenya and Darwish of Palestine, Faiz had to go to jail repeatedly during both colonial and postcolonial times in Pakistan.

Awards

Faiz was the first Asian poet to be awarded the Lenin Peace Prize, the Soviet Union's equivalent to the Nobel Prize in 1963. He used traditional meters and rhythms to compose poetry that was a blend of Romanticism and realism. Before his death he was also nominated for the Nobel Prize.

Faiz Ahmed Faiz's Works:

Naqshe Faryadi
Daste Saba
Zindan Nama
Mizan, a collection of literary articles
Daste-Tahe-Sang
Sare-Wadiye Seena
Shame-Shehr Yaran
Merey Dil Merey Musafar
Nuskha-Hai-Wafa
Pakistani Culture (Urdu and English)


Madhu 14 9th September 2016 05:02 PM

teri soorat jo dilnasheen ki hai..
 
Teri soorat jo dilnasheeN ki hai
Aashna shakl har haseeN ki hai

Husn se dil lagaa ke hastii ki
Har ghaRi hum ne aatisheeN ki hai

Subh E gul ho K sham E maikhana
Madh us rooy E naazneeN ki hai

Shekh se be-haraas milte hain
Hum ne touba abhi naheeN ki hai

Zikr e dozakh, byan e hur-o-qasur
Baat goya yahiN kaheeN ki hai

Ashk to kuchh bhi rang la na sake
KhooN se tar aaj aasteeN ki hai

Kaise maneiN heram ke sahl-pasand
Rasm jo aashiqoN ke deeN ki hai

‘Faiz’ auj e khyaal se hum ne
AasmaaN Sindh ki zmeeN ki hai

Qasid 9th September 2016 08:59 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 494349)
Teri soorat jo dilnasheeN ki hai
Aashna shakl har haseeN ki hai

Husn se dil lagaa ke hastii ki
Har ghaRi hum ne aatisheeN ki hai

Subh E gul ho K sham E maikhana
Madh us rooy E naazneeN ki hai

Shekh se be-haraas milte hain
Hum ne touba abhi naheeN ki hai

Zikr e dozakh, byan e hur-o-qasur
Baat goya yahiN kaheeN ki hai

Ashk to kuchh bhi rang la na sake
KhooN se tar aaj aasteeN ki hai

Kaise maneiN heram ke sahl-pasand
Rasm jo aashiqoN ke deeN ki hai

‘Faiz’ auj e khyaal se hum ne
AasmaaN Sindh ki zmeeN ki hai

Umdaa ghazal se shuraauat ki hai mehfil ki Madhu umeed hai ki nasha is mahine sar chadh ke bolegaa

Madhu 14 10th September 2016 01:59 PM

bahut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai

ham ek umr se vaaqif hai.n ab na samajhaao
ke lutf kyaa hai mere meharabaa.N sitam kyaa hai

kare na jag me.n alaav to sher kis maqasad
kare na shahar me.n jal-thal to chashm-e-nam kyaa hai

ajal ke haath ko_ii aa rahaa hai paravaanaa
na jaane aaj kii feharist me.n raqam kyaa hai

sajaao bazm Gazal gaao jaam taazaa karo
bahut sahii Gam-e-getii sharaab kam kyaa hai

lihaaz me.n ko_ii kuchh duur saath chalataa hai
vagarnaa dahar me.n ab Khizr kaa bharam kyaa hai

Qasid 10th September 2016 11:49 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 494375)
bahut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai
mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai

ham ek umr se vaaqif hai.n ab na samajhaao
ke lutf kyaa hai mere meharabaa.N sitam kyaa hai

kare na jag me.n alaav to sher kis maqasad
kare na shahar me.n jal-thal to chashm-e-nam kyaa hai

ajal ke haath ko_ii aa rahaa hai paravaanaa
na jaane aaj kii feharist me.n raqam kyaa hai

sajaao bazm Gazal gaao jaam taazaa karo
bahut sahii Gam-e-getii sharaab kam kyaa hai

lihaaz me.n ko_ii kuchh duur saath chalataa hai
vagarnaa dahar me.n ab Khizr kaa bharam kyaa hai

ham ek umr se vaaqif hai.n ab na samajhaao
ke lutf kyaa hai mere meharabaa.N sitam kyaa hai

Waah Waah kya kehne...mazaa aa gaya

Qasid 10th September 2016 11:55 PM

Aap Ki Yaad Aati Rahi Raat Bhar
 
Aap Ki Yaad Aati Rahi Raat Bhar
Chandni Dil Dukhati Rahi Raat Bhar

Koi Khushboo Badalti Rahi Pairhann
Koi Tasveer Gaati Rahi Raat Bhar

Jo Na Aaya Use Koi Zanjeer e Dar
Har Sadaa Par Bulati Rahi Raat Bhar

Aik Umeed Say Dil Behalta Raha
Ik Tamanna Sataati Rahi Raat Bhar

Aap Ki Yaad Aati Rahi Raat Bhar
Chandni Dil Dukhati Rahi Raat Bhar



Madhu 14 11th September 2016 01:41 PM

Quote:

Originally Posted by Qasid (Post 494396)
Aap Ki Yaad Aati Rahi Raat Bhar
Chandni Dil Dukhati Rahi Raat Bhar

Koi Khushboo Badalti Rahi Pairhann
Koi Tasveer Gaati Rahi Raat Bhar

Jo Na Aaya Use Koi Zanjeer e Dar
Har Sadaa Par Bulati Rahi Raat Bhar

Aik Umeed Say Dil Behalta Raha
Ik Tamanna Sataati Rahi Raat Bhar

Aap Ki Yaad Aati Rahi Raat Bhar
Chandni Dil Dukhati Rahi Raat Bhar



waahh wahh wahhh!!!!

nayab ghazal hai ye....

thanks for sharing.....

Qasid 11th September 2016 09:02 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 494404)
waahh wahh wahhh!!!!

nayab ghazal hai ye....

thanks for sharing.....

Shukriya Madhu aapko yeh nayaab ghazal pasand aayi jaankar bahut aacha laga

sunita thakur 14th September 2016 04:30 PM

aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
us ke baad aaye jo azaab aaye

[azaab=trouble, difficulty]

baam-e-miinaa se maahataab utare
dast-e-saaqii me.n aaftaab aaye

har rag-e-Khuu.N me.n phir charaaGaa.N ho
saamane phir wo benaqaab aaye

umr ke har waraq pe dil ko nazar
terii meher-o-wafaa ke baab aaye

kar rahaa thaa Gam-e-jahaa.N kaa hisaab
aaj tum yaad behisaab aaye

na gaii tere Gam kii saradaarii
dil me.n yuu.n roz inqalaab aaye

jal uThe bazm-e-Gair ke dar-o-baam
jab bhii ham Khaanamaa.N_Kharaab aaye

is tarah apanii Khamashii guu.Njii
goyaa har simt se jawaab aaye

'Faiz' thii raah sar basar ma.nzil
ham jahaa.N pahu.Nche kaamayaab aaye

sunita thakur 14th September 2016 04:31 PM

ab vahii harf-e-junuu.N sab kii zubaa.N Thaharii hai
jo bhii chal nikalii hai vo baat kahaa.N Thaharii hai

[harf=syllable/letter; junuu.N=madness]

aaj tak shaiKh ke ikaraam me.n jo shay thii haraam
ab vahii dushman-e-dii.n raahat-e-jaa.N Thaharii hai

[shaiKh=preacher; ikaraam=code/prestige]
[dushman-e-dii.n=foe of faith/religion; raahat-e-jaa.N=joy of life]

hai Khabar garm ke phirataa hai gurezaa.N naaseh
guftaguu aaj sar-e-kuu-e-butaa.N Thaharii hai

[gurezaa.N=perverse mood; guftaguu=conversation]
[sar-e-kuu-e-butaa.N=in the lane of love (one's beloved)]

hai vahii aariz-e-lailaa vahii shiirian kaa dahan
nigaah-e-shauq gha.Dii bhar ko yahaa.N Thaharii hai

[aariz=cheek; dahan=mouth/lips]

vasl kii shab thii to kis darjaa subak guzarii hai
hijr kii shab hai to kyaa saKht garaa.N guzarii hai

[vasl=union; darjaa=grade; subak=delicate]
[hijr=separation; shab=night; garaa.N=heavy]

bikharii ek baar to haath aa_ii kab mauj-e-shamiim
dil se nikalii hai to kab lab pe fuGaa.N Thaharii hai

[shamiim=fragrant breeze; fuGaa.N=cry of pain]

dast-e-sayyaad bhii aajiz hai kaf-e-gulchii.n bhii
buu-e-gul Thaharii na bul-bul kii zabaa.N Thaharii hai

[dast=hand; sayyaad=hunter; aajiz=helpless]
[kaf=palm; gulchii.n=florist; buu-e-gul=flower's fragrance]

aate aate yuu.N hii dam bhar ko rukii hogii bahaar
jaate jaate yuu.N hii pal bhar ko Khizaa.N Thaharii hai

[Khizaa.N=autumn]

ham ne jo tarz-e-fuGaa.N kii hai qafas me.n ijaad
"Faiz" gulashan me.n vo tarz-e-bayaa.N Thaharii hai

[tarz=style; qafas=cage/prison; ijaad=invented/developed]
[tarz-e-bayaa.N=style/mode of speech]

Qasid 15th September 2016 08:50 AM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 494480)
aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye
us ke baad aaye jo azaab aaye

[azaab=trouble, difficulty]

baam-e-miinaa se maahataab utare
dast-e-saaqii me.n aaftaab aaye

har rag-e-Khuu.N me.n phir charaaGaa.N ho
saamane phir wo benaqaab aaye

umr ke har waraq pe dil ko nazar
terii meher-o-wafaa ke baab aaye

kar rahaa thaa Gam-e-jahaa.N kaa hisaab
aaj tum yaad behisaab aaye

na gaii tere Gam kii saradaarii
dil me.n yuu.n roz inqalaab aaye

jal uThe bazm-e-Gair ke dar-o-baam
jab bhii ham Khaanamaa.N_Kharaab aaye

is tarah apanii Khamashii guu.Njii
goyaa har simt se jawaab aaye

'Faiz' thii raah sar basar ma.nzil
ham jahaa.N pahu.Nche kaamayaab aaye

Bahut hi dil fareb ghazal pesh ki hai di ise mehndi hasan sahab ki awaaz mein sunne ka bhi apna mazaa hai...


sunita thakur 15th September 2016 05:26 PM

nazm "bahaar aa_ii"


bahaar aa_ii to jaise ek baar
lauT aaye hai.n phir adam se
vo Khvaab saare, shabaab saare
jo tere ho.nTho.n pe mar miTe the
jo miT ke har baar phir jiiye the
nikhar gaye hai.n gulaab saare
jo terii yaado.n se mushk_buu hai.n
jo tere ushshaaq kaa lahuu hai.n

ubal pa.De hai.n azaab saare
malaal-e-ahavaal-e-dostaa.N bhii
Khumaar-e-aaGosh-e-mahavashaa.N bhii
Gubaar-e-Khaatir ke baab saare
tere hamaare
savaal saare, javaab saare
bahaar aa_ii to khul gaye hai.n
naye sire se hisaab saare



[mushk_buu = musk like fragrance]
[ushshaaq = lovers; azaab = difficulties/pain]
[malaal-e-ahavaal-e-dostaa.N = sorrow at
friends' condition]
[Khumaar-e-aaGosh-e-mahvashaa.N = intoxication
of being in one's beloved's embrace]

sunita thakur 15th September 2016 05:28 PM

bol ki lab aazaad hai.n tere
bol zabaa.N ab tak terii hai

teraa sutawaa.N jism hai teraa
bol ki jaa.N ab tak terii hai

dekh ke aaha.ngar kii dukaa.N me.n
tu.nd hai.n shole surKh hai aahan

khulane lage quffalo.n ke dahaane
phailaa har ek zanjiir kaa daaman

bol ye tho.Daa waqt bahot hai
jism-o-zabaa.N kii maut se pahale

bol ki sach zi.ndaa hai ab tak
bol jo kuchh kahane hai kah le

Madhu 14 16th September 2016 11:06 PM

Quote:

Originally Posted by Qasid (Post 494489)
Bahut hi dil fareb ghazal pesh ki hai di ise mehndi hasan sahab ki awaaz mein sunne ka bhi apna mazaa hai...


Waaah!!! Shukriya video share karne k liye.............

Qasid 17th September 2016 07:27 AM

Quote:

Originally Posted by sunita virender (Post 494505)
bol ki lab aazaad hai.n tere
bol zabaa.N ab tak terii hai

teraa sutawaa.N jism hai teraa
bol ki jaa.N ab tak terii hai

dekh ke aaha.ngar kii dukaa.N me.n
tu.nd hai.n shole surKh hai aahan

khulane lage quffalo.n ke dahaane
phailaa har ek zanjiir kaa daaman

bol ye tho.Daa waqt bahot hai
jism-o-zabaa.N kii maut se pahale

bol ki sach zi.ndaa hai ab tak
bol jo kuchh kahane hai kah le

Bahut umdaa di thnx for sharing...ek bahut hi interesting tareeke se is ghazal ko gaaya bhi gaya hai...dekhiyegaa zaroor


Madhu 14 17th September 2016 04:16 PM

Quote:

Originally Posted by Qasid (Post 494525)
Bahut umdaa di thnx for sharing...ek bahut hi interesting tareeke se is ghazal ko gaaya bhi gaya hai...dekhiyegaa zaroor


Waah anu wakai video dekhne k baad ghazal aur bhi dil ko chhoo gayi...

Shukriya aap dono ka sunita di aur anu.

sunita thakur 17th September 2016 05:11 PM

chaa.Nd nikale kisii jaanib terii zebaa_ii kaa



chaa.Nd nikale kisii jaanib terii zebaa_ii kaa
rang badale kisii suurat shab-e-tanhaa_ii kaa

[jaanib = direction/side; zebaa_ii = beauty; shab = night]

daulat-e-lab se phir ai Khusrav-e-shirii.n-dahan
aaj rizaa ho ko_ii harf shanaasaa_ii kaa

[lab = lip; Khusravii = regal/royal; shiirii.n = sweet; dahan = mouth]
[rizaa = order/approval; harf = letter/word; shanaasaa_ii = acquaintance]

diidaa-o-dil ko sambhaalo ki sar-e-shaam-e-firaaq
saaz-o-saamaan baham pahu.Nchaa hai rusvaa_ii kaa

[diidaa-o-dil = sight and heart; baham = togetehr/with one another]

sunita thakur 17th September 2016 05:12 PM

Cha.nd Roz Aur



cha.nd roz aur merii jaan faqat cha.nd hii roz
zulm kii chhaa.Nv me.n dam lene par majabuur hai.n ham
ik zaraa aur sitam sah le.n ta.Dap le.n ro le.n
apane ajdaad kii miiraas hai maazuur hai.n ham

[cha.nd=few; faqat=only; ajdaad=ancestors]
[miiraas=ancestral property; maazuur=helpless]

jism par qaid hai jazbaat pe za.njiire hai
fikr mahabuus hai guftaar pe taaziire.n hai.n
aur apanii himmat hai ki ham phir bhii jiye jaate hai.n
zindagii kyaa kisii muflis kii qabaa hai
jis me.n har gha.Dii dard ke paiba.nd lage jaate hai.n

[fikr=thought; mahabuus=captive; guftaar=speech]
[taaziire.n=punishments; muflis=poor; qabaa=long gown]

lekin ab zulm kii miyaad ke din tho.De hai.n
ik zaraa sabr ki fariyaad ke tho.De hai.n

[miyaad=duration/term; sabr=patience; fariyaad=plea]

arsaa-e-dahar kii jhulasii hu_ii viiraanii me.n
ham ko rahanaa hai par yuu.N hii to nahii.n rahanaa hai
ajanabii haatho.n kaa benaam garaa.N-baar sitam
aaj sahanaa hai hameshaa to nahii.n sahanaa hai

[arsaa-e-dahar=life-time; jhulasii hu_ii=scorched]
[garaa.N-baar=heavy]

ye terii husn se lipaTii hu_ii aalaam kii gard
apanii do rozaa javaanii kii shikasto.n kaa shumaar
chaa.Ndanii raato.n kaa bekaar dahakataa huaa dard
dil kii besuud ta.Dap jism kii maayuus pukaar
cha.nd roz aur merii jaan faqat cha.nd hii roz

[aalaam=sorrow; shikast=defeat; shumaar=inclusion]

sunita thakur 19th September 2016 11:43 AM

chashm-e-mayaguu.N zaraa idhar kar de
dast-e-kudarat ko be-asar kar de

tez hai aaj dard-e-dil saaqii
talKhi-e-may ko tez-tar kar de

josh-e-vahashat hai tishnaakaam abhii
chaak-e-daaman ko taazagaar kar de

merii qismat se khelane vaale
mujh ko qismat se beKhabar kar de

luT rahii hai merii mataa-e-niyaaz
kaash! vo is taraf nazar kar de

'Faiz' takmiil-e-aarazuu maaluum
ho sake to yuu.N hii basar kar de

sabaa kiyani 21st September 2016 05:05 PM


Vah buhet achee faiz sahib ki poetry share ki hey aap sub ney
Great poet great poetry

sabaa kiyani 21st September 2016 05:07 PM


Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain

Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain

Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain

Madhu 14 21st September 2016 09:04 PM

Quote:

Originally Posted by sabaa kiyani (Post 494628)

Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain

Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain

Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain

Waaah!!! Bahot khoob sharing saba ji....

Aati rahiyega
Shukriya

Qasid 30th September 2016 12:19 AM

Quote:

Originally Posted by sabaa kiyani (Post 494628)

Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain

Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain

Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain

Bahut hi umdaa share sabaa ji, mazaa aa gaya

Qasid 30th September 2016 12:29 AM

गुलों मे रंग भरे, बाद-ए-नौबहार चले
 
गुलों मे रंग भरे, बाद-ए-नौबहार चले
चले भी आओ कि गुलशन का कारोबार चले

कफ़स उदास है यारों सबा से कुछ तो कहो
कहीं तो बह्र-ए-खुदा आज ज़िक्र-ए-यार चले

कभी तो सुब्ह तेरे कुन्ज-ए-लब से हो आगाज़
कभी तो शब् सर-ए-काकुल से मुश्कबार चले

बड़ा है दर्द का रिश्ता, ये दिल गरीब सही
तुम्हारे नाम पे आएंगे गमगुसार चले

जो हम पे गुजरी सो गुजरी मगर शब्-ए-हिजरां
हमारे अश्क तेरी आकबत संवार चले

हुज़ूर-ए-यार हुई दफ्तर-ए-जूनून की तलब
गिरह मे लेके गरेबां के तार-तार चले

मकाम कोई फैज़ राह मे जचा ही नही
जो कू-ए-यार से निकले तो सू-ए-दार चले


Nayaab ghazal ko ab in alag alag awaazon mein bhi suniye






Madhu 14 1st October 2016 11:28 AM

Quote:

Originally Posted by Qasid (Post 494774)
गुलों मे रंग भरे, बाद-ए-नौबहार चले
चले भी आओ कि गुलशन का कारोबार चले

कफ़स उदास है यारों सबा से कुछ तो कहो
कहीं तो बह्र-ए-खुदा आज ज़िक्र-ए-यार चले

कभी तो सुब्ह तेरे कुन्ज-ए-लब से हो आगाज़
कभी तो शब् सर-ए-काकुल से मुश्कबार चले

बड़ा है दर्द का रिश्ता, ये दिल गरीब सही
तुम्हारे नाम पे आएंगे गमगुसार चले

जो हम पे गुजरी सो गुजरी मगर शब्-ए-हिजरां
हमारे अश्क तेरी आकबत संवार चले

हुज़ूर-ए-यार हुई दफ्तर-ए-जूनून की तलब
गिरह मे लेके गरेबां के तार-तार चले

मकाम कोई फैज़ राह मे जचा ही नही
जो कू-ए-यार से निकले तो सू-ए-दार चले


Nayaab ghazal ko ab in alag alag awaazon mein bhi suniye






Waaahhh!! Waahh!!! umda sharing...............

Bahot shukriya..

Qasid 2nd October 2016 09:24 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 494781)
Waaahhh!! Waahh!!! umda sharing...............

Bahot shukriya..

Thanks a lot Madhu.....glad you enjoyed the share....:)

Madhu 14 2nd October 2016 10:42 PM

Naseeb aazmane ke din aa rahe hain..
 
Naseeb azmaane ke din aa rahe hain,
Qareeb un ke aane ke din aa rahe hain,

Jo dil se kaha jo dil se suna hai,
Sab un ko sunaane ke din aa rahe hain,

Abhi se dil o jaan sar-e-raah rakh do,
Ke luttne lutaane ke din aa rahe hain,

Tapakne lagi un nigaahon se masti,
Nigaahen churaane ke din aa rahe hain,

Sabaa phir humen puchti phir rahi hai,
Chaman ko sajane ke din aa rahe hain,

Chalo faiz phir se kahin dil lagaayen,
Suna hai thikaane ke din aa rahe hain..

Madhu 14 25th October 2016 07:23 AM

Tere gham ko jin ke talash thi tere jan-nisar chale gaye
 
Tere gham ko jin ke talash thi tere jan-nisar chale gaye
teri reh mein karte the sar talab sar-e-rah-guzar chale gaye

teri kaj-adai se har ke shab-e-intazar chali gai
mere zabt-e-hal se ruth kar mere gam-gusar chale gaye

na saval-e-vasl na arz-e-gam na hikayaten na shikayaten
tere ahad mein dil-e-zar ke sabhi ikhtiyar chale gaye

ye hamin the jin ke libas par sr-e-rah siyahi likhi gai
yahi daag the jo saja ke hum sar-e-bazm-eyar chale gaye

na raha junun-e-rukh-e-vafa ye rasan ye dar karoge kya
jinhen jurm-e-ishq pe naz tha wo gunahagar chale gaye


All times are GMT +5.5. The time now is 06:06 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.