Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Ishq (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=2)
-   -   Bheegne se na khud ko bachaya karo (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=78654)

mujib66 1st February 2015 11:33 PM

Bheegne se na khud ko bachaya karo
 
Bheegne se na khud ko bachaya karo
Jab bhi barsaat ho tum nahaya karo

Husn hota hai is se manawwar bohut
Apne maathe pe afshaaN sajaya karo

Manawwar- Splendid

Umr ki koi bandish nahin hoti hai
haath pawoN men menhdi rachaya karo

Aur bhi khoobsurti nikhar jayegi
Isno powder o kajal lagaya karo

Khud ko motaape se door rakhte raho
Dhyan hargiz na is se hataya karo

Motaapa- Fatty/ Not slim

Mat karo tum takalluf kisi baat pe
raaz koi na dil men chupaya karo

rok kar tum paraya na kardo mujhe
apne haq ko hamesha jataya karo

Baat achhii lage jo bhi merii tarah
Be jhijak mujh ko tum bhi bataya karo

Saath Parwaaz dete hain dete raheN ge
HosloN ke patangge udaya karo

ghar men Parwaaz hanste hansate raho
be-zaroorat kahin tum na jaya karo.



By Mujeeb Parwaaz

Madhu 14 2nd February 2015 07:17 AM

very nice mujeeb jee..........:)

sameer'shaad' 3rd February 2015 03:26 PM

Isno powder o kajal lagaya karo :p :p

hahaha waah waahh kya baat hai.... ishqiyaa kam mazaakiyaa zyaada nazar aa raha hai....lekin bahot hi accha likha hai aapne.... likhte rahiye

Shaad...

mujib66 3rd February 2015 03:45 PM

Bohut bohut shukriya Madhu Saheba.

Duaon ke saath.

Mujeeb Parwaaz.

mujib66 3rd February 2015 04:13 PM

Aadab arz hai Shaad Sahab.

aap ne waqt nikala aur mujh ko padha Bohut bohut shukriya aap ka.

Yun hi saath dete rahiye.

Bhai mera zehen dard wale kalaam ke pass nahin jaata. eh baat nahin ke dard se bhare kalaam main padhta nahin ya mujhe acche nahin lagte. Main inhen padhta hun likhta bohut kam hun.

Rahi baat mazaaq ki ...agar mazaaq sasta/ khasta na ho ya gira hua na ho to eh qabil-e-qubool hota hai. Acchhe mazaaq se qurbat men ijafa hota hai...isliye hansne hansane ke liye mazaaq karte rehna chahiye.....bas dhyaan rakhna chahiye ke isse koi hurt na ho.

Ek correction kar ne ki zehmat uthayiyega. Mujhe khushi hogi.

"Faty " ko "Fatty" kardijiye. Aur last men ek aur philosophical makta jod dijiye.

ghar men Parwaaz hanste hansate raho
be-zaroorat kahin tum na jaya karo.

With thanks & regards.

Mujeeb Parwaaz.

Sagar Aashna 3rd February 2015 09:19 PM

Wah, Mujeeb saHb, Mazaa aagaya.
Bohot baDhiya, kuchh chulbula sa bhi hai ismeiN. PaDhte paDhte laboN pe be-saakhta ek musurahat sii aagayii.. bas yunhi likhte raheiN.

Regards

sameer'shaad' 4th February 2015 10:01 AM

Quote:

Originally Posted by mujib66 (Post 474149)
Aadab arz hai Shaad Sahab.

aap ne waqt nikala aur mujh ko padha Bohut bohut shukriya aap ka.

Yun hi saath dete rahiye.

Bhai mera zehen dard wale kalaam ke pass nahin jaata. eh baat nahin ke dard se bhare kalaam main padhta nahin ya mujhe acche nahin lagte. Main inhen padhta hun likhta bohut kam hun.

Rahi baat mazaaq ki ...agar mazaaq sasta/ khasta na ho ya gira hua na ho to eh qabil-e-qubool hota hai. Acchhe mazaaq se qurbat men ijafa hota hai...isliye hansne hansane ke liye mazaaq karte rehna chahiye.....bas dhyaan rakhna chahiye ke isse koi hurt na ho.

Ek correction kar ne ki zehmat uthayiyega. Mujhe khushi hogi.

"Faty " ko "Fatty" kardijiye. Aur last men ek aur philosophical makta jod dijiye.

ghar men Parwaaz hanste hansate raho
be-zaroorat kahin tum na jaya karo.

With thanks & regards.

Mujeeb Parwaaz.


Mujeeb saahab aadaab.. aapke huqum ki tameel karte hue maine wo dono correction kar diye hain jo aapne kahe they...... au mujhe sach kahun to aapke kalaam ka ye rang bahot hi zyaada pasand aaya... ek shaayar me variations hona bahot zaruuri hai ye merii raay hai........
Allah kare zore qalam aur zaada... likhte rahiye...........

Shaad..

Hamdam 4th February 2015 01:37 PM

Waah mujeeb bhai ...aap ne shringar bhi karva diya aur husn ki tareef bhi kardi..
Miya bahut natkhat andaaz laga aapka ...ki mashuka ko barish meiN nahane ki guzarish /
hidayat de di ...bahut khoob

sanjay sehgal

aru 4th February 2015 07:43 PM

very very nice mujeeb jee...........keep it up

mujib66 24th February 2015 09:27 PM

Bohut bohut shukriya Aru Sahab.

Mujeeb Parwaaz

Hassan 27th February 2015 10:41 AM

ghar men Parwaaz hanste hansate raho
be-zaroorat kahin tum na jaya karo.


waaaaaaaaaaaaah ... Mujeeb bhai ....

waaahh.. kia kehny....

aik alag tarz ky kalaam sy saamna karwaaya hy...
bohat mazaa aaya phad kar .. is meiN tanz bhi tha aur pyar bhii...
mazaah bhiii tha aur dard bhii....

khaaksaar kii taraf sy is anmool kaawish ky liye dherooN daad qabool kejiye.. :)

mujib66 27th February 2015 08:12 PM

Bohut bohut shukriya Hassan Sahab

Duaon ke saath.

Mujeeb Parwaaz


All times are GMT +5.5. The time now is 04:44 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.