Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Mashahoor Shayar (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=13)
-   -   Beautiful work by munavvar Rana (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=14848)

talib 8th September 2003 12:45 PM

Beautiful work by munavvar Rana
 
simply Outstanding...


Safed Poshi tera Etbaar jaata hai,
Agar charag hawaon se haar jata hai.

Kadam badhane mein khatra hai Maut ka lekin,
Mein LauTta hoon to sara waqar jata hai.

waqar = image

Karen naseeb se shikwa ya mausamon ka gila,
Badal ke raasta Abr-e-bahaar jata hai.

Abr-e-bahar = could responsible for spring/rain.

Mein apna lehza to tabdil kar nahi sakhta,
balaa se jaaye agar Karobaar jata hai.

honeyash 11th September 2003 04:30 PM

1 Attachment(s)
duniya me aaye to kuch aseia kam karo
jis gali se gujro to ek hi awaj aaye

abbajan abbajan abbajan .............:D

talib 11th September 2003 05:48 PM

yash sahab..adaab..
 
kya baat hai bhai....aap bhi shayri khoob karte ho...aap ka ishm-e-shariff kya hai..aur kahan ke hai aap..aur ek guzaarish hai kiblaa aap se....agar aap ne apni iss shayri ko humorous shayri section mein post kiya hota to kafi bhari tadad mein reply milte ..raafta qayam rakhiyega....

Shimul 21st September 2003 07:14 PM

Talib Jee, Munavvar Rana Jee ka kalam achha hi lagta hein mujhe.
Achhe shayer hein. Yeh wala bhi bohot achha tha. Sukriya aapka ke aap yeaha post kiya hein. Waise aap bhi toh achhe likhte hein.
Aapna khayal rakhiyega. God bless.
Shimul.

Toh keya khayal hein aapka?

talib 22nd September 2003 10:15 AM

shimul jee
 
aap ka bahot bahot shukriya ke aap ne meri tariff ki....aur yeh jaan kar bhi khushi huee ke aap bhi munavvar rana sahab ki fan hai...mujhe unke kalaam mein aam zindai judi nazar aati hai...agar ap ke pass unki yeh gazal puri hai to please post kijiyega...

teri akhen dilon se yu kahani cheen leti hai,
jisse hawaen badal se paani cheen leti hai.

aise hi kuch hai..mujhe yaad nahi...aap bhi aapna khayaal rakhiyega...

Shimul 22nd September 2003 04:55 PM

Dear Talib Jee, sukriya aapne waqt nikal ke reply kiya.
Ha, mujhe Munavvar Jee ka kalam mujhe bhi kuch aap jeisa hi ahsaash dilata hein. Aur shayed ish liyehi mujhe achha bhi lagta hein. Mein mafhi chahungi ish liye ke mere paas yeh kalam nehi hein. Lekin mein note karke rakhrahi hu agar kabhi miljaye toh mein zaroor aapko post kardungi.
Likhte rahiyega. Aapna khayal rakhiyega.
God bless.
Shimul.


All times are GMT +5.5. The time now is 12:08 PM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.