Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri Ki Paathshaala (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=50)
-   -   Duur talak gayi (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=72788)

zidd 19th March 2011 07:15 PM

Duur talak gayi
 
sabhi dosto ko namaste.....
aaj subah sdc ke ek puraane dost ka phone aaya.....phirse kuch likhna ka dil kiya......kuch purana kaam kiya hua tha( is ghazal ka)...use aaj poora kar diya
halanki ye design ke hisab se ek geet jyada hai aur shayad ghazal kam.....
jo jaisa samjhhe.

gulam ali ki dhun hai' kabhi aah lab pe machal gayi,kabhi as askh aankho se Dhal gaye'

regards

------------------------------

teri paayalon ki khanak se ik, dabi aag dil ki dhahak gayi
khuda jaane kya mera hashr ho ,jo naqaab rukh se sarak gayi

teri aankh me wahi baat hai,mere haal ka wahi haal hai
teri sharm jaane gayi kidhar, kaha jaane meri jhijak gayi

raha chand mujhse khafa khafa, na hi taare hi rahe rahnumaa
mere askh me base jugnuoo, se ye raat meri chamak gayi

mere khwab me jo shafaq sa tha, koi saya jaise ho waqt ka
mai to hosh hi me tha har ghadi, meri aankh kaise jhapak gayi

hua khud se zidd yu muqaabla, kya hai dil balaa, jo pata chala
teri yaad ka liye kaarwaa, meri aah duur talak gayi

naresh_mehra110 20th March 2011 09:35 AM

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 424303)

Zidd Sahab ... Holi Ki Mubaaraqbaad !! :)

Kya Khoob Ghazal Likhi Hai ......... Matle Se Maqte Tak ....... Kis Ashaar Ko Khaas KahooN ... Kis ashaar Ko Pehle Daad DooN ... PaDh PaDh Ke Zehn Ki AankheN Chamak Gai ...... ! :)

SuperBBBB Creation ... tahe dil se daad hazir hai ... qubuul FarmaayeN ... !http://www.funonthenet.in/forums/Smileys//fun/clap2.gifhttp://www.funonthenet.in/forums/Smileys//fun/clap2.gifhttp://www.funonthenet.in/forums/Smileys//fun/clap2.gif

aise hi behtreen taraanoN ke saath humeshaa aate rahe ... likhte rahen ... !

khush rahen ... !
apna theek se khayaal rakhen ... !
duaaoN ke saath ... !

Radhika_2 21st March 2011 12:39 PM

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 424303)
sabhi dosto ko namaste.....
aaj subah sdc ke ek puraane dost ka phone aaya.....phirse kuch likhna ka dil kiya......kuch purana kaam kiya hua tha( is ghazal ka)...use aaj poora kar diya
halanki ye design ke hisab se ek geet jyada hai aur shayad ghazal kam.....
jo jaisa samjhhe.

gulam ali ki dhun hai' kabhi aah lab pe machal gayi,kabhi as askh aankho se Dhal gaye'

regards

------------------------------

teri paayalon ki khanak se ik, dabi aag dil ki dhahak gayi
khuda jaane kya mera hashr ho ,jo naqaab rukh se sarak gayi

teri aankh me wahi baat hai,mere haal ka wahi haal hai
teri sharm jaane gayi kidhar, kaha jaane meri jhijak gayi

raha chand mujhse khafa khafa, na hi taare hi rahe rahnumaa
mere askh me base jugnuoo, se ye raat meri chamak gayi

mere khwab me jo shafaq sa tha, koi saya jaise ho waqt ka
mai to hosh hi me tha har ghadi, meri aankh kaise jhapak gayi

hua khud se zidd yu muqaabla, kya hai dil balaa, jo pata chala
teri yaad ka liye kaarwaa, meri aah duur talak gayi

ji.....nice creation.................:)

Dhaval 21st March 2011 01:21 PM

Zidd saaHeb:

namaste!

behterin Khayaal... dil se daad aur duaaeN...!

yuuNhi bazm ki Shaan baDhaate rahiye... KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~Dhaval

ISHK EK IBADAT 25th March 2011 07:48 AM

Zidd bhai
radhe radhe

teri paayalon ki khanak se ik, dabi aag dil ki dhahak gayi
khuda jaane kya mera hashr ho ,jo naqaab rukh se sarak gayi

teri aankh me wahi baat hai,mere haal ka wahi haal hai
teri sharm jaane gayi kidhar, kaha jaane meri jhijak gayi

hua khud se zidd yu muqaabla, kya hai dil balaa, jo pata chala
teri yaad ka liye kaarwaa, meri aah duur talak gayi

bahut Khoooooooooooooob ............ :)
dil se daad hazir hai .... qabool ki jiye humari bhi .... :)

yuhi likhte rahiye ............ !

kshitiz 21st January 2013 12:17 AM

Bahut achhe zidd saaheb

Khayalaat ke to aap shuruaat se saanii hai ..

Daad
Reps ++

sameer'shaad' 21st January 2013 01:02 PM

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 424303)
sabhi dosto ko namaste.....
aaj subah sdc ke ek puraane dost ka phone aaya.....phirse kuch likhna ka dil kiya......kuch purana kaam kiya hua tha( is ghazal ka)...use aaj poora kar diya
halanki ye design ke hisab se ek geet jyada hai aur shayad ghazal kam.....
jo jaisa samjhhe.

gulam ali ki dhun hai' kabhi aah lab pe machal gayi,kabhi as askh aankho se Dhal gaye'

regards

------------------------------

teri paayalon ki khanak se ik, dabi aag dil ki dhahak gayi
khuda jaane kya mera hashr ho ,jo naqaab rukh se sarak gayi

teri aankh me wahi baat hai,mere haal ka wahi haal hai
teri sharm jaane gayi kidhar, kaha jaane meri jhijak gayi

raha chand mujhse khafa khafa, na hi taare hi rahe rahnumaa
mere askh me base jugnuoo, se ye raat meri chamak gayi

mere khwab me jo shafaq sa tha, koi saya jaise ho waqt ka
mai to hosh hi me tha har ghadi, meri aankh kaise jhapak gayi

hua khud se zidd yu muqaabla, kya hai dil balaa, jo pata chala
teri yaad ka liye kaarwaa, meri aah duur talak gayi

Zidd saahab.. sach kahun to aapki ghazlon me jo lutf hai, wo kahin aur nazar nahi aata... alagh hi kuch baat hai isme ke baar baar padhne ko jee chaahata hai....

bas ek baat jo mujhe pareshaan kar rahi hai, ijaazat ho to pooch looN...???

Naqaab- Muzakkar hai ya Muannis.
Kyonki aapne ise as a muannis pesh kiyaa hai, aur waise bhi ek gaana hai "Saraktii jaae hai rukh se naqaab"

lekin agar is gaane ko chhod diyaa jaae to mujeh to badii muskil huii iske muannis paane me.... halaki muzakkar ke kai example mile hain....

aap dekh leiN ek baar...

Sarak gaya jis ghadi sir se naqaab uska,
le gayaa jaan meri zaalim hijaab uska,
mehekte rehte the jinse mere sham-o-sahar,
ab bhi pannon mein dabaa rakhaa hai gulaab uska,
jab bhi hoti hai koi baat shab-e-mehfil mein,
jikr hota hai her baat mein janaab uska.

Aaftaab bhi nikal jaata hai andheron se
naqaab chehre se zaraa bhi na hilta hai

husn e janaan ki jhalak ko tadpta hua ye dil
kaash sarak jaata naqab dua kerte hua ye dil

Naqaab kya chupae ga shabab-e-husn ko "IQBAL"
Nigah-e-ishq to pathar b cheer deti hai..

ab ummeed karta hon bade bhai.. ab aap meri baatOn se naraaz na hote hue bas mera maslaa hal karne me meri madad karenge..... Waise bhi aapne kaha hai ke aajkal kaafi fursat me hain janaab, to maine socha lage haanthOn kuch pooch looN... :D
ILM me izaafa hoga...

Shukriyaa.

Shaad...

Harash Mahajan 21st January 2013 04:40 PM

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 424303)
sabhi dosto ko namaste.....
aaj subah sdc ke ek puraane dost ka phone aaya.....phirse kuch likhna ka dil kiya......kuch purana kaam kiya hua tha( is ghazal ka)...use aaj poora kar diya
halanki ye design ke hisab se ek geet jyada hai aur shayad ghazal kam.....
jo jaisa samjhhe.

gulam ali ki dhun hai' kabhi aah lab pe machal gayi,kabhi as askh aankho se Dhal gaye'

regards

------------------------------

teri paayalon ki khanak se ik, dabi aag dil ki dhahak gayi
khuda jaane kya mera hashr ho ,jo naqaab rukh se sarak gayi

teri aankh me wahi baat hai,mere haal ka wahi haal hai
teri sharm jaane gayi kidhar, kaha jaane meri jhijak gayi

raha chand mujhse khafa khafa, na hi taare hi rahe rahnumaa
mere askh me base jugnuoo, se ye raat meri chamak gayi

mere khwab me jo shafaq sa tha, koi saya jaise ho waqt ka
mai to hosh hi me tha har ghadi, meri aankh kaise jhapak gayi

hua khud se zidd yu muqaabla, kya hai dil balaa, jo pata chala
teri yaad ka liye kaarwaa, meri aah duur talak gayi

Waah janaab kya baat hai khoobsoorat ahsaasat our unhe bahut hi behtareen shabdoN se bandh diyaa aapne ....

"hua khud se zidd yu muqaabla, kya hai dil balaa, jo pata chala
teri yaad ka liye kaarwaa, meri aah duur talak gayi"........waah!!

kshitiz 21st January 2013 10:34 PM

Waise bhi urdu ek zubaan hai aur shayri lahza .. aur lahze meiN upar niche ki guniaaish rahti hai ..ameer minai saaheb ko apni shayri meiN SARAKTII JAAYE zyada achha laga to unhone naqaab ko muannis kar diya..

Humaare ustaad naqaab ko muzakkar treat karte haiN aur kayii dost muannis to meri nazar meiN ye sirf bolne ka fark jaisa aapko achha lage :D

zidd 22nd January 2013 01:26 PM

shaad bhai aapko kyu laga ki mai jawaab nahi dunga.?:confused:

aisa kaun sa bahot katin sawaal hai?

aur waise bhi ameer minai ne lafz ko muannas(feminine) istemaal kiya hai to utna hawala kafi hai

bahut se noun common(neuter) gender hote hai, yehi simple answer hai:confused:...jo muzakkar aur muannas dono ho sakte hai.

regards

sameer'shaad' 22nd January 2013 01:36 PM

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 447251)
shaad bhai aapko kyu laga ki mai jawaab nahi dunga.?:confused:

aisa kaun sa bahot katin sawaal hai?

aur waise bhi ameer minai ne lafz ko muannas(feminine) istemaal kiya hai to utna hawala kafi hai

bahut se noun common gender hote hai, yehi simple answer hai:confused:...jo muzakkar aur muannas dono ho sakte hai.

regards

Pataa nahi kyoN, magar jab aapne jawaab na diyaa to mujhe lagaa ke shaayad aap jawaab na denge, isliye pooch liya bhai...

waise aapka jawaab sunkar tasallee hui.... ek sawaal aur khaae ja raha hai....

Lafz-e- Qalam (pen) ke baare me aapki kya raay hai....

maine ise Muannas le liya tha ek ghazal mein....

Kya ye muzakkar hai ya muannas.... yahaan ke kuch khaas members ne kuch din pehle bahot hungama kar diyaa tha is baat ko lekar...

Lekin jab same thing Naqaab ke saath uthi, to sochaa shaayad aap is baat ko bakhubi samjhaa paaen... aur ho saktaa hai apne guru ki baat un members ko acche se samajh me aa jaae...

main bhi bas apni confusion door karna chahta tha...

Shukriyaa bahrhaal.....

Shaad...

Mujeeb 22nd January 2013 03:13 PM

Quote:

Originally Posted by kshitiz (Post 447220)
Bejaan cheez meiN kya muannis kya muzakkar .. isme to banaane waale ne bhi fark nahi banaya ..

Waise bhi urdu ek zubaan hai aur shayri lahza .. aur lahze meiN upar niche ki guniaaish rahti hai ..ameer minai saaheb ko apni shayri meiN SARAKTII JAAYE zyada achha laga to unhone naqaab ko muannis kar diya..

Humaare ustaad naqaab ko muzakkar treat karte haiN aur kayii dost muannis to meri nazar meiN ye sirf bolne ka fark jaisa aapko achha lage :D

Aadaab !

mai app per tanQeed bilkul nahi ker raha , bus apni tasalee ke liye kuch poochna chahtaa hoN . sab se pehly to yeh Hairat hai keh ameer minaaee ne sarakti ko saraktaa kiyoN nahi likha ? jab ke dono hi Haalat mai peRha or gunagunaaya jaa sakta hai . phir bhi unhoN ne saraktee jaaey hai kiyoN istemaal kiya :confused: bahut hi pecheedgee hai

or doosra yeh bhi poochna hai keh kiya ameer minaee saHb ghaltioN se paak thay ? wo koii ghaltee nahi ker sakty thay ?

abhee do hi din pehley mai shae'ree mai naqS "shutur garbah" ke baary mai peRh raha tha , to mujhy ustaadoN ke kalaam mai bhi bahut hi jaga shutur garba nazar aaya aik miCaal pesh kerta hoN

jissey app ginty they aashnaa , jissy app kehty they bawafaa
maiN wahi hoN momin e mumtilaa , tumhaiN yaad ho ke ya yaad ho

yahaN iska zikr zarooree to naheeN tha phir mai iska kiyoN ker raha hoN ?
ab sawal yeh aata hai zehn mai keh kiya momin saHb is naqS se bekhabar thy ? aur ager bakhabar thy to phir aisa kiyoN ker likha ?

zyada tar ustaad is naqS k murtakib rahieN haiN or sab se zyada lut^f ki baat to yeh hai keh sabhi ne is naqS ko tasleem bhi kiya hai , mager gaahy bagaahy is a'eb ko dohraaty rahy haiN . or dosry ustaadoN ne us per koee tanQeed bhi nahi kee .

ab zara sawal muzakar ya muanaC per bhi ho jaaey .

mujhy sharm aa gayaa ?
maiN ne khaana khaaee ?
maiN ne paanee pee ?
mujhy pyaar aaii ?

darj e baalaa sabhi alfaaZ bejaan haiN or muzakar bhee , kiya inka istemaal saHeeH hai ?

aakhir mai , shaad bhai se muKhaatib honaa zarooree smajhtaa hoN . shaad bhaaee calmn down , mai kisee ke bhee t^araf daaree naheeN ker raha , mager mujhy kshitiz saHb ki kahee gaeii baat maiN kaheeN bhi appki baat ka mazaak uRaana nahieeN lag raha , agerchy unhoN ne baat mazaak mai zaroor kee hai . mager aam bol chaal maiN aksar aisy alfaaz hoty haiN jo hum bhi ghalat^ bolty haiN kiyoN keh uska andaaza hamieN khud bhi nahi hota aaya yeh muzakaar hai ya muanac , iski micaalieN bahut jald pesh karoNga .

zidd 22nd January 2013 04:14 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 447252)
Pataa nahi kyoN, magar jab aapne jawaab na diyaa to mujhe lagaa ke shaayad aap jawaab na denge, isliye pooch liya bhai...

waise aapka jawaab sunkar tasallee hui.... ek sawaal aur khaae ja raha hai....

Lafz-e- Qalam (pen) ke baare me aapki kya raay hai....

maine ise Muannas le liya tha ek ghazal mein....

Kya ye muzakkar hai ya muannas.... yahaan ke kuch khaas members ne kuch din pehle bahot hungama kar diyaa tha is baat ko lekar...

Lekin jab same thing Naqaab ke saath uthi, to sochaa shaayad aap is baat ko bakhubi samjhaa paaen... aur ho saktaa hai apne guru ki baat un members ko acche se samajh me aa jaae...

main bhi bas apni confusion door karna chahta tha...

Shukriyaa bahrhaal.....

Shaad...

qalam = ye bhi optional gender hai. chahe jaise form me properly istemaal ho sake.

(shaad bhai, mai poore yakeen se kahta hu ki andaaz sahab ne aapke sawaal ko hawaii andaaz me talaa nahi hai. varna vo aate hi kyu kuch kahne . bahut serious qism ke insaan hai vo . mere khayaal se unka matlab grmmatical tha,,,ki inanimate object hai kuch,tou itni behas kyu ,jaisa theek lagta hai aur misaal hai,,,,so theek hai!!)
( urdu zabaan aur shayri ke lahje se bhi vo tecnical baat hi kar rahe the...indirectly. matlab ye ke urdu prose ke liye kuch rules ho sakte hai ,magar shayri ka apna ek lahja hai ,matlab nuance hai. shayar ko bahut jagah poetic licence hai ,liberty hai ,apni baat shayri ke hisaab se arrange karne ki ( jaise tecnically yaha bandish radeef ki thi),,,so use vo GENERALLY permissible Tahra rahe hai. ye liberty ek prose writer ko nahi hai....unki bat bhi tecnical nature ki hi hai, shaad sahab..aap gaur farmaiye)

regards

zidd 22nd January 2013 04:41 PM

.................................................. .................................................. .
Quote:

Originally Posted by Mujeeb (Post 447256)
Aadaab !

mujeeb sahab aadaab.

mai aapke sawaalo ka kuch jawaab dena chahta hu. andaaz sahab ko to aapne invite kiya hi hai.vo chahe to apne hisaab se jawaab denge.
magar mera thread hai to mera bhi to farz banta hai ....................

mai app per tanQeed bilkul nahi ker raha , bus apni tasalee ke liye kuch poochna chahtaa hoN . sab se pehly to yeh Hairat hai keh ameer minaaee ne sarakti ko saraktaa kiyoN nahi likha ?

sabse pahle to ye sabit hua hi nahi hai ki 'sarakti' galat istemaal hai. iska matlab ye ki vo sahi istemaal hai.

jab ke dono hi Haalat mai peRha or gunagunaaya jaa sakta hai . phir bhi unhoN ne saraktee jaaey hai kiyoN istemaal kiya :confused: bahut hi pecheedgee hai

'sarakti' aur ' sarakta' se meter par koi farq nahi padta. matlab meter majboori nahi thi unki , ke poetic licence ikhtiyar kar liya.
iska matlab unhone soch samjhkar ye lafz choose kiya hai.
ab is aala darje ka ustaad aur shayar jab kuch bina majboori ke karta hai to sahi hi hoga

or doosra yeh bhi poochna hai keh kiya ameer minaee saHb ghaltioN se paak thay ? wo koii ghaltee nahi ker sakty thay ?

iska jawaab upar darj hai. shayad aisa sochna bhi slander hai

-----------------------------------------------------------------------------
NOT APPLICALBE / THIS TOPIC IS NOT UNDER DISCUSSION HERE
abhee do hi din pehley mai shae'ree mai naqS "shutur garbah" ke baary mai peRh raha tha , to mujhy ustaadoN ke kalaam mai bhi bahut hi jaga shutur garba nazar aaya aik miCaal pesh kerta hoN ginty they aashnaa , jissy kehty they bawafaamaiN wahi hoN momin e mumtilaatumhaiNyaad ho ke ya yaad ho yahaN iska zikr zarooree to naheeN tha phir mai iska kiyoN ker raha hoN ?ab sawal yeh aata hai zehn mai keh kiya momin saHb is naqS se bekhabar thy ? aur ager bakhabar thy to phir aisa kiyoN ker likha ?
zyada tar ustaad is naqS k murtakib rahieN haiN or sab se zyada lut^f ki baat to yeh hai keh sabhi ne is naqS ko tasleem bhi kiya hai , mager gaahy bagaahy is a'eb ko dohraaty rahy haiN . or dosry ustaadoN ne us per koee tanQeed bhi nahi kee .

--------------------------------------------------------------------------------------

ab zara sawal muzakar ya muanaC per bhi ho jaaey .

mujhy sharm aa gayaa ?
maiN ne khaana khaaee ?
maiN ne paanee pee ?
mujhy pyaar aaii ?

darj e baalaa sabhi alfaaZ bejaan haiN or muzakar bhee , kiya inka istemaal saHeeH hai ?

generally gender to hota hi hai bhai, bus kahi kahi optional gender hota hai.
dusri baat- general rules ke exceptions bhi hote hai.
aap kshitiz sahab ka 'bejaan' lafz pakad rahe hai. vo itne wide context me nahi hai, ki sab usme sama jaaaye. baki kuch explanation maine upar shaad bhai ko diya hai...dono ko milakar ,mujhe yakeen hai aapko unki baat sahi lagegi.vo bhi tecnical angle hi se baat kar rahe the

aakhir mai , shaad bhai se muKhaatib honaa zarooree smajhtaa hoN . shaad bhaaee calmn down , mai kisee ke bhee t^araf daaree naheeN ker raha , mager mujhy kshitiz saHb ki kahee gaeii baat maiN kaheeN bhi appki baat ka mazaak uRaana nahieeN lag raha , agerchy unhoN ne baat mazaak mai zaroor kee hai . mager aam bol chaal maiN aksar aisy alfaaz hoty haiN jo hum bhi ghalat^ bolty haiN kiyoN keh uska andaaza hamieN khud bhi nahi hota aaya yeh muzakaar hai ya muanac , iski micaalieN bahut jald pesh karoNga .

mera bhi yehi man'na hai.

regards

janumanu 22nd January 2013 05:10 PM

Thoda sa main bhi kahna chahta hun.... Shayari ka jo bhi grammar hai.. Aur zubaan ka jo bhi hai... Follow karna hi hoga... Aur agar koe nuks agar arooz mai hai to wo nuks hai hi... Chahe ghalib main ne bhi ghalti ki ho... Akhir shayar shayri se bada to ni ho sakta.. Ab dikkat ye hai ki.. Shayyri kis zubaan mai hai kahna 100% mushkil hai.... Urdu shayri .. Hindi shayri... Ya hindustaani shayri ...

Aur ik baat ki ghazal momin in sabke zamane main shayri k kayde ya arooz poori tarah samne nahi aaya tha.. Shutrgurba... Ustaad daagki khoj hai..
Aur daag hi ki shayri ek bharpoor sanad maani jaati hai..

Ab ye to humpe depend hai hum kis tarah likhna chahte hai.. Jite ji to hum misaalen de denge
Baad marne ke?

kshitiz 22nd January 2013 05:47 PM

Sameer saaheb ..

Awwal to maiN aapka gunahgaar huN kyu ki aapko meri baat ka bura laga par yaqeen maaniye mera irada rattii bhar bhi aapka dil dukhaane ka nahii tha .. apnii baat ko haNsii meiN kahne ka sabab bas itna tha ki aapko vo khale na ..aapke sawaal ka mazaak banana nahii ..

Hum jis cheez ko jaisa sunte aaye haiN hume vo waisi hi achhi lagti hai par ho sakta hai kahiN koi aur usi cheez ko kisi aur dhang se kahta ho ..

Maslan maine logoN ko kahte suna falaaN jagah bahut pahuche hue baba KI mazaar hai to mazaar muannas hui jabki ghalib saaheb ka sher hai

Hue mar ke hum jo ruswa hue kyu na garq e dariya
Na kahiiN janaza uth-ta na kahiN mazaar banta

Ab iss baat pe agar hum bahas kareiN ki mazaar muannas hai ya muzzakkar to kya munasib hoga kyuN koi saboot to hai nahi muannas aur muzakkar ka .. jaandaar aur bejaan cheez se mera yahi matlab tha ..

Aapne jin chizoN ka hawala diya unhe 10 me se 10 log wahi pukaarte haiN jo aapne kaha par unka kya. Jinhe 10 me se 7 kuch aur kahte haiN aur 3 kuch aur jaise..

Humaare ghar me aaj nayi tv aai hai / naya tv aaya hai / nayi scooter aayi hai / naya. scooter aaya hai

Ummeed karta huN aap naraaz nahi honge

kshitiz 22nd January 2013 05:56 PM

Mujeeb bhai..

Aapko yahaaN dekh ke behad khushi hui kam se kam isi bahaane aapke deedaar to hue ..bahut waqt hua aapko kuch shaya kiye hue ..

Buzm apni jaanib aapki masrufiyyat ki talabgaar hai ..

Ummeed karta huN jald humaare beech aapka naya kalaam hoga

Apna khyaal rakhiye

zidd 22nd January 2013 06:31 PM

.................................................. .................................................. .................................................. .................................................. .................................................. .................................................. .......................................
Quote:

Originally Posted by janumanu (Post 447264)
Thoda sa main bhi kahna chahta hun....

mike hazir hai janaab.

Shayari ka jo bhi grammar hai.. Aur zubaan ka jo bhi hai... Follow karna hi hoga...

aapki baat se sab 100% ittefaaq rakte hai.
aisa koi hoga hi nahi jo jisko ye baat manjoor nahi hogi,,,,
bus ek problem hai ,
chota sa=
ye do alag alag baate hai aur dono individually sahi hai..
.haa dono ko ek saath milaya jaaye to kahi kuch clash hone ki possibility hai

Aur agar koe nuks agar arooz mai hai to wo nuks hai hi...

koi behas wali baat hi nahi isme. 100 % agreed

Chahe ghalib main ne bhi ghalti ki ho...

is baat ka jawaab ab dena premature hoga...is reply ke end tak iske baare me mera opinion saamne aa jayega.

Akhir shayar shayri se bada to ni ho sakta..

ye baat sunne me bahot acchi lagti hai ,magar meaningless hai.
haa ,agar ye misra kisi sher ka misra hota, tou in proper context ,because of poetic licence iska matlab nikalta, kyuki poetry me abstract sentences acche lagte hai.aur meaningful bhi.:D...
(ab kyu acche lagte hai ye last me batata hu)

Ab dikkat ye hai ki.. Shayyri kis zubaan mai hai kahna 100% mushkil hai.... Urdu shayri .. Hindi shayri... Ya hindustaani shayri ...

mere hisaab se hindi-urdu shayri ya hindustani shayri appropriate description hona chaiye...

Aur ik baat ki ghazal momin in sabke zamane main shayri k kayde ya arooz poori tarah samne nahi aaya tha..

ilme urooz was near totally developed in the times of these shayars.

Shutrgurba... Ustaad daagki khoj hai..

iski mujhe jaankaari nahi hai. agar aap ke aap koi literature hai iske baare me to mujhe zaroor dijiye. i am very very interested in this.balki aaj hi bhej dijiye.

Aur daag hi ki shayri ek bharpoor sanad maani jaati hai..

ab daag sahab aur ameer sahab feirce competitors the:D ab kaun accha ya kiski sanad jyada valid ko debate banayenge to bechare chain se so bhi nahi payenge.:D

Ab ye to humpe depend hai hum kis tarah likhna chahte hai.. Jite ji to hum misaalen de denge

misaal urooz ka ek part hai.
ek example deta hu
india me laws codified hai. magar england jaisa desh lijiye, mere last info tak waha 60% laws codified nahi hai. precedents ke upar judgement hota hai. yani misaalo ke upar.
precedent ya misaal ,jurisprudence ka aham hissa hai ,jisse rules bante hai.
aap misaaalo ko rules se alag mat kijiye.
misaal has the force of a rule.(ab kiski misaal ye mudda uTh'Ta hai..so sessions court ke upar hight court,uske upar supreme court.....:D)
theek isi tarah kai shayaro ki misaal has the force of a rule and minor shayar ki nahi.

waise bhi kahte hai na?
parso ki galti
wahi kal ka culture
aur aaj ka kaanoon.

Baad marne ke?

iska jawaab poetry me hai....waha hazam ho jayega iska jawaab...agar prose me iska jawaab doge to log kahenge 'avai philosopher ban raha hai'.....sher me jawaab doge to log daaad denge. ise bhi aap poetic licence ka naam de sakte hai.

Mujeeb 22nd January 2013 07:28 PM

mujeeb sahab aadaab.

Quote:

mai aapke sawaalo ka kuch jawaab dena chahta hu. andaaz sahab ko to aapne invite kiya hi hai.vo chahe to apne hisaab se jawaab denge.
magar mera thread hai to mera bhi to farz banta hai .
jee ayaa nooN moHteram. dil khool ker baatieN kijiye hamaree majaal ke appko rokieN ya tokieN :)

Quote:

sabse pahle to ye sabit hua hi nahi hai ki 'sarakti' galat istemaal hai. iska matlab ye ki vo sahi istemaal hai.

'sarakti' aur ' sarakta' se meter par koi farq nahi padta. matlab meter majboori nahi thi unki , ke poetic licence ikhtiyar kar liya.
iska matlab unhone soch samjhkar ye lafz choose kiya hai.
ab is aala darje ka ustaad aur shayar jab kuch bina majboori ke karta hai to sahi hi hoga
cabit huwa ? woh kaisey ? yeh to koee baat hi naa huwee keh unhoN ne likhaa to saHeeH hee hai .
yeh bhi ho saktaa hai woh ghalt^ee per hoN . Ghalib , zauq , meer Hasan , juraat or bahut saary ustaadoN ke kalaam mai choTi choTi ghalt^iyaaN paee jaatee haiN . or bar haa woh dosry ustaadoN ki tanqeed ka shikaar rahy haiN . kuch tanqeed ki bina per iSlaah ker laity thy or kuch joN ka tooN rehny daity . khud Ghalib saHb key dewaan e Ghalib ke kaee nuSKhy jaaree kiye gaey haiN markete mai app check ker sakty haiN , apnee hi kaii ghazloN ki iSlaaH khud mirza saHb ne ki .

mager aik baat waZeH ker daina chahtaa hoN keh aisa Sirf shak hai meraa keh woh ghalat^ bhee ho sakty haiN or naheeN bhee ho sakty , mai unko ghalat^ cabit naheeN ker raha or naa hee mera maqSad hai . maiN ne sawal sirf isi liye kiya ke aisa unhoN ne kiyoN ker likha .

or ager app is per thoRee wizaHat ker daiN ke ameer minaee saHb ghaltioN se paak thay ? wo koii ghaltee kiyoN nahi ker sakty thay ? iski kiya waja hai ?

Quote:

iska jawaab upar darj hai. shayad aisa sochna bhi slander hai
apka jawaab ulTa aur sawal paida ker raha hai keh bhala ameer saHb ke pass aisee konsee sanad maujood hai keh woh ghalt^ee nahi ker sakty ? kiya app ke pass hai iska koii caboot ?

Quote:

NOT APPLICALBE / THIS TOPIC IS NOT UNDER DISCUSSION HERE
Hairat huwee mujhy yeh peRH ker keh yeh yahaN applicable naheeN hai :). huzoor apnee guftagoo mai kahieN bhee yeh baat nahieN kii mai ne ke is baat ka tazkirah chal raha hai .app zara ghaur fermaaieN to maiN ne yeh baat waZeh t^aur per kee hai ke yeh baat mai yahaN sirf is liye ker raha hoN ke , ustaad bhi ghaltee kerty thy or barhaa kerty thy . sirf aik hi naqS naheeN paaya jaata unkey kalaamoN mai balkeh mukhtalif aqsaam ke paaey jaaty haiN.

Quote:

generally gender to hota hi hai bhai, bus kahi kahi optional gender hota hai.
dusri baat- general rules ke exceptions bhi hote hai.
aap kshitiz sahab ka 'bejaan' lafz pakad rahe hai. vo itne wide context me nahi hai, ki sab usme sama jaaaye. baki kuch explanation maine upar shaad bhai ko diya hai...dono ko milakar ,mujhe yakeen hai aapko unki baat sahi lagegi.vo bhi tecnical angle hi se baat kar rahe the
chalieN app hee ki baat maan laity haiN , lakin exceptions kab or kaisey laagoo hota hai ?
aSl mai yeh baat jananaa zaroree hai . ager is per tafSeel batana chaieN to mujhy bahut khushee ho gee.

Quote:

Originally Posted by kshitiz (Post 447265)
Sameer saaheb ..

Awwal to maiN aapka gunahgaar huN kyu ki aapko meri baat ka bura laga par yaqeen maaniye mera irada rattii bhar bhi aapka dil dukhaane ka nahii tha .. apnii baat ko haNsii meiN kahne ka sabab bas itna tha ki aapko vo khale na ..aapke sawaal ka mazaak banana nahii ..

Hum jis cheez ko jaisa sunte aaye haiN hume vo waisi hi achhi lagti hai par ho sakta hai kahiN koi aur usi cheez ko kisi aur dhang se kahta ho ..

Maslan maine logoN ko kahte suna falaaN jagah bahut pahuche hue baba KI mazaar hai to mazaar muannas hui jabki ghalib saaheb ka sher hai

Hue mar ke hum jo ruswa hue kyu na garq e dariya
Na kahiiN janaza uth-ta na kahiN mazaar banta

Ab iss baat pe agar hum bahas kareiN ki mazaar muannas hai ya muzzakkar to kya munasib hoga kyuN koi saboot to hai nahi muannas aur muzakkar ka .. jaandaar aur bejaan cheez se mera yahi matlab tha ..

Aapne jin chizoN ka hawala diya unhe 10 me se 10 log wahi pukaarte haiN jo aapne kaha par unka kya. Jinhe 10 me se 7 kuch aur kahte haiN aur 3 kuch aur jaise..

Humaare ghar me aaj nayi tv aai hai / naya tv aaya hai / nayi scooter aayi hai / naya. scooter aaya hai

Ummeed karta huN aap naraaz nahi honge

Aadaab moHteram !

mai aik baar phir appse ma'zrat chahoNga is gustaakhi :( ki keh aik baar phir appke mukhaalif honaa peRH raha hai mujhy apnee raaey mai . qatee mat^lab appko ghalat^ kehna naheeN hai .

urdu mai tamaam alfazoN ko muzakar muanic or waHid jamma decalre kiya gaya hai . ager appko urdu peRHna likhna aati hai to lughat ki aik website daita hoN beshak app us se faaidaa HaaSil ker liya karieN .

mazaar muzakar hi hai :( baabaa ki mazaar nahi ... baabaa ka mazaar kehna hi saHeeH samjhaa jaataa hai . go aisaa naheeN keh roz maraa ki zindagee mai hum saary alfaaz / jumley ya muHvery saHeeH kehty hoN . khud hum jinko bachpan se urdu peRHaaee jaatee haiN hazarooN ghalt^iyaaN kerty haiN aik din maiN .

app is baat ka yaqeen karieN ya na karieN mujhy URDU ke bahut saary alfaaz app jaisey aHbaab se saHeeH sunany ko mily to maiN chaunk jaataa ke yeh ghalat^ kiyoN keh rahy haiN . aur jab teHqeeq kerta to ghalat^ app naheeN mai hotaa tha :)

mai appki is baat se to mutafiq hoN ke hum jaisy behter smajhty haiN waisy hee sunanaa acha lagtaa hai kiyoN keh woh bachpan se hum waisy hi sunty chaly aaye haiN .

aakhir mai aik baat kerna chaoN ga jo micaalieN appne bataieN hai woh urdu ka Hisa nahieN hai gooyaa unko muzakar ya muanac ka jaama naheeN pehnaaya jaa sakta

dil azaaree ke liye ma'zrat

janumanu 22nd January 2013 08:52 PM

Quote:

Originally Posted by Mujeeb (Post 447268)
mujeeb sahab aadaab.

jee ayaa nooN moHteram. dil khool ker baatieN kijiye hamaree majaal ke appko rokieN ya tokieN :)

cabit huwa ? woh kaisey ? yeh to koee baat hi naa huwee keh unhoN ne likhaa to saHeeH hee hai .
yeh bhi ho saktaa hai woh ghalt^ee per hoN . Ghalib , zauq , meer Hasan , juraat or bahut saary ustaadoN ke kalaam mai choTi choTi ghalt^iyaaN paee jaatee haiN . or bar haa woh dosry ustaadoN ki tanqeed ka shikaar rahy haiN . kuch tanqeed ki bina per iSlaah ker laity thy or kuch joN ka tooN rehny daity . khud Ghalib saHb key dewaan e Ghalib ke kaee nuSKhy jaaree kiye gaey haiN markete mai app check ker sakty haiN , apnee hi kaii ghazloN ki iSlaaH khud mirza saHb ne ki .

mager aik baat waZeH ker daina chahtaa hoN keh aisa Sirf shak hai meraa keh woh ghalat^ bhee ho sakty haiN or naheeN bhee ho sakty , mai unko ghalat^ cabit naheeN ker raha or naa hee mera maqSad hai . maiN ne sawal sirf isi liye kiya ke aisa unhoN ne kiyoN ker likha .

or ager app is per thoRee wizaHat ker daiN ke ameer minaee saHb ghaltioN se paak thay ? wo koii ghaltee kiyoN nahi ker sakty thay ? iski kiya waja hai ?

apka jawaab ulTa aur sawal paida ker raha hai keh bhala ameer saHb ke pass aisee konsee sanad maujood hai keh woh ghalt^ee nahi ker sakty ? kiya app ke pass hai iska koii caboot ?

Hairat huwee mujhy yeh peRH ker keh yeh yahaN applicable naheeN hai :). huzoor apnee guftagoo mai kahieN bhee yeh baat nahieN kii mai ne ke is baat ka tazkirah chal raha hai .app zara ghaur fermaaieN to maiN ne yeh baat waZeh t^aur per kee hai ke yeh baat mai yahaN sirf is liye ker raha hoN ke , ustaad bhi ghaltee kerty thy or barhaa kerty thy . sirf aik hi naqS naheeN paaya jaata unkey kalaamoN mai balkeh mukhtalif aqsaam ke paaey jaaty haiN.

chalieN app hee ki baat maan laity haiN , lakin exceptions kab or kaisey laagoo hota hai ?
aSl mai yeh baat jananaa zaroree hai . ager is per tafSeel batana chaieN to mujhy bahut khushee ho gee.

Aadaab moHteram !

mai aik baar phir appse ma'zrat chahoNga is gustaakhi :( ki keh aik baar phir appke mukhaalif honaa peRH raha hai mujhy apnee raaey mai . qatee mat^lab appko ghalat^ kehna naheeN hai .

urdu mai tamaam alfazoN ko muzakar muanic or waHid jamma decalre kiya gaya hai . ager appko urdu peRHna likhna aati hai to lughat ki aik website daita hoN beshak app us se faaidaa HaaSil ker liya karieN .

mazaar muzakar hi hai :( baabaa ki mazaar nahi ... baabaa ka mazaar kehna hi saHeeH samjhaa jaataa hai . go aisaa naheeN keh roz maraa ki zindagee mai hum saary alfaaz / jumley ya muHvery saHeeH kehty hoN . khud hum jinko bachpan se urdu peRHaaee jaatee haiN hazarooN ghalt^iyaaN kerty haiN aik din maiN .

app is baat ka yaqeen karieN ya na karieN mujhy URDU ke bahut saary alfaaz app jaisey aHbaab se saHeeH sunany ko mily to maiN chaunk jaataa ke yeh ghalat^ kiyoN keh rahy haiN . aur jab teHqeeq kerta to ghalat^ app naheeN mai hotaa tha :)

mai appki is baat se to mutafiq hoN ke hum jaisy behter smajhty haiN waisy hee sunanaa acha lagtaa hai kiyoN keh woh bachpan se hum waisy hi sunty chaly aaye haiN .

aakhir mai aik baat kerna chaoN ga jo micaalieN appne bataieN hai woh urdu ka Hisa nahieN hai gooyaa unko muzakar ya muanac ka jaama naheeN pehnaaya jaa sakta

dil azaaree ke liye ma'zrat

mujeeb sahab adaab ....
Kya aap batayenge ki aapne jo usatadon k naam liye unki kaha kaha ghaltiyan hai.... Ya shaq hai aapko .. Main aapki baat jyun ki tyun rakh raha hun..

Regards

Mujeeb 22nd January 2013 08:58 PM

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 447258)
qalam = ye bhi optional gender hai. chahe jaise form me properly istemaal ho sake.

zidd saHeb !

Aadaab !

maiN ma'zrat chahtaa hoN keh maiN ne appki is ahm tareen baat ko peRhaa hi naheeN . urdu mai aisy bahut alfaaz haiN jo optional gender haiN woh bayak waqt muzakar bhee hai aur muanic bhee.

jaisa keh app ne mical dee "Qalam" ki aur isi hi tereH app hi ne miCaal dee "fikr" ki ، jee haaN yeh waaqe'ee muzakar bhi haiN or muanic bhi

aik do micaalieN mai bhi day a'rZ kerna chahoNga

lalach
mushkil

etc

mager aisa nahieN ke yahaN hamieN her lafZ^ per hi ikhtiyaar hai ke apni merzi se iste'maal karieN usse , ab shai'ree mai kis Had tak iski ijaazat hai iska e'lm naheeN hai mujhy .

sameer'shaad' 22nd January 2013 09:11 PM

aapkaa behad shukriyaa Mujeeb bhai jo islaah ko aapne sahi raah dikhaai aur bahot khoobsurtii aur behad adab ke saath aapne apni baateN hum sab ke saath share kareeN...

Filhaal jo mujhe shaq thaa "Naqaab" ka wo jyoN ka tyoN hai... magar Qalam ka shaq door karne ke liye aapka aur Zidd bhai ka bahot shukriyaa...

Zidd saahab agar aap mujhe Naqaab ne muannis hone ki agar chand aur misaal pesh karenge to yaqeen maniye dil bahot aaraam se is neutral gender waali baat qubool kar legaa...

Warnaa to naqaab saahab sarakte hi jaa rahaa hai.. kya kareN...

Shukriyaa...

janumanu 22nd January 2013 09:14 PM

Quote:

Originally Posted by Mujeeb (Post 447270)
zidd saHeb !

Aadaab !

maiN ma'zrat chahtaa hoN keh maiN ne appki is ahm tareen baat ko peRhaa hi naheeN . urdu mai aisy bahut alfaaz haiN jo optional gender haiN woh bayak waqt muzakar bhee hai aur muanic bhee.

jaisa keh app ne mical dee "Qalam" ki aur isi hi tereH app hi ne miCaal dee "fikr" ki ، jee haaN yeh waaqe'ee muzakar bhi haiN or muanic bhi

aik do micaalieN mai bhi day a'rZ kerna chahoNga

lalach
mushkil

etc

mager aisa nahieN ke yahaN hamieN her lafZ^ per hi ikhtiyaar hai ke apni merzi se iste'maal karieN usse , ab shai'ree mai kis Had tak iski ijaazat hai iska e'lm naheeN hai mujhy .

Mujeeb sahab ..
Urdu mein qalam .. Ka gender kya hai ho sake to .. Proof k sath batayen . ..
Kynki firk aur qalam dono alag taraf k lafz hai
ek ko choo sakte hai ek ko nahin..
Apke pas urdu ki kafi sanad hogi ..
Plz share karen

zidd 22nd January 2013 09:25 PM

Quote:

Originally Posted by janumanu (Post 447273)
Mujeeb sahab ..
Urdu mein qalam .. Ka gender kya hai ho sake to .. Proof k sath batayen . ..
Kynki firk aur qalam dono alag taraf k lafz hai
ek ko choo sakte hai ek ko nahin..
Apke pas urdu ki kafi sanad hogi ..
Plz share karen

amaa yaar...

chal apni qalam uTha aur chal yaha se (uThi nahi ho sakta na?)
mere saath meri qalam chalti hai ( chalta hai hoga kya?)

so dono sahi hai

matlab optional gender hai.,,,jab maine kaha to yakeen nahi hua ...ab mujeeb sahab ne bhi kah diya hai. ab to yakeen ho gaya hoga na?

ab isse jyada proof chaiye?

regards

Mujeeb 22nd January 2013 09:33 PM

Quote:

Originally Posted by janumanu (Post 447269)
mujeeb sahab adaab ....
Kya aap batayenge ki aapne jo usatadon k naam liye unki kaha kaha ghaltiyan hai.... Ya shaq hai aapko .. Main aapki baat jyun ki tyun rakh raha hun..

Regards

saHb meree itnee hastee itnee auqaat kahaN ke maiN unko ghalat^ kahoN ya un per shak karoN .

albataa e'lm rakhny waaloN ne in per teHqeeq ki hai or ustaadoN ke shai'ree mai bhi ghalt^iyoN ki nishaan dehee ki hai , kiyoN ke ajj kal jaisa keh maiN ne a'rZ kiya hai shuturgarbah peRh raha tha to abhee unki chand miCaalieN hai , app kahieN to idher wagerna app jahaN kahieN maiN likh daita hoN .

mazeed mujhy jo jo Hawalaa miltaa jaaey ga mai appki pesh kerta rahoNga .

janumanu 22nd January 2013 09:36 PM

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 447275)
amaa yaar...

chal apni qalam uTha aur chal yaha se (uThi nahi ho sakta na?)

Bhayee qalam ke liye "apni" use hua hai ..
Hindi main meri qalam hota hai..

Par yahan sawaal urdu ka hai..
aur .. Mujeeb sahab urdu jaante hain..
Isliye .... Pakka hona chahtaa hun..
Maine urdu ke achy jankaro se suna hai.
Ab urdu mai Phd karne walakahe ki qalam ... Mera hoga... To ... Main to fas gaya na ..
..
Ufaq sab ka misra yaad aaya
Main kahan ab ja maru.. Kis jagah ab ja maru :)

mere saath meri qalam chalti hai ( chalta hai hoga kya?)

so dono sahi hai

matlab optional gender hai.,,,jab maine kaha to yakeen nahi hua ...ab mujeeb sahab ne bhi kah diya hai. ab to yakeen ho gaya hoga na?

ab isse jyada proof chaiye?

regards

Bilkul chahiyee ..... :)

Meri baat bhi kaun maantaa hai
Khair ..

Bhayee tasalli chahiye umr bhar isi main thodi uljha rahunga..

zidd 22nd January 2013 09:38 PM

Quote:

Originally Posted by sameer'shaad' (Post 447272)
aapkaa behad shukriyaa Mujeeb bhai jo islaah ko aapne sahi raah dikhaai aur bahot khoobsurtii aur behad adab ke saath aapne apni baateN hum sab ke saath share kareeN...

Filhaal jo mujhe shaq thaa "Naqaab" ka wo jyoN ka tyoN hai... magar Qalam ka shaq door karne ke liye aapka aur Zidd bhai ka bahot shukriyaa...

Zidd saahab agar aap mujhe Naqaab ne muannis hone ki agar chand aur misaal pesh karenge to yaqeen maniye dil bahot aaraam se is neutral gender waali baat qubool kar legaa...

Warnaa to naqaab saahab sarakte hi jaa rahaa hai.. kya kareN...

Shukriyaa...

ab shaad sahab aap qabool karo ya na karo...usse matlab nahi....

haqiqat to ye hai hi ke neutral gender hai,,, jo maine sabit kiya.
aur usi ke wajah se aapka 'qalam' sabit hua hai.:D

------------------------------------------

(uski)naqaab uThi ke Uthi rah gayi............
(uski)naqaab uTha ke dekh.......................:D

plus
ameer minai ka precedent.

ab isse jyada kya kahe?

regards

janumanu 22nd January 2013 09:42 PM

Quote:

Originally Posted by Mujeeb (Post 447276)
saHb meree itnee hastee itnee auqaat kahaN ke maiN unko ghalat^ kahoN ya un per shak karoN .

albataa e'lm rakhny waaloN ne in per teHqeeq ki hai or ustaadoN ke shai'ree mai bhi ghalt^iyoN ki nishaan dehee ki hai , kiyoN ke ajj kal jaisa keh maiN ne a'rZ kiya hai shuturgarbah peRh raha tha to abhee unki chand miCaalieN hai , app kahieN to idher wagerna app jahaN kahieN maiN likh daita hoN .

mazeed mujhy jo jo Hawalaa miltaa jaaey ga mai appki pesh kerta rahoNga .

Bhayee aukaat wali koe baat nahi...
shaturgurba ka kayda daag sahab se shuru hua tha... Meri jaankaari k hisaab se...
So is par to ni kah sakta.

Haan ek aur baat hai... Ghalib ne apni ghazal kabhi kagaz par nahi utaari
Unki kayee ghazlen hai .. Jinme aadhy sher hi unke nahi hai .. Ye baat unhone apne khat mai khud kahi hai...
Aapko chahiye hoga to de dunga

Phir bhi mujhe lagta hai ek alag thread ispe hona chahiye jab tak yahi baat karte hain

zidd 22nd January 2013 09:43 PM

Quote:

Originally Posted by janumanu (Post 447277)
Bilkul chahiyee ..... :)

Meri baat bhi kaun maantaa hai
Khair ..

Bhayee tasalli chahiye umr bhar isi main thodi uljha rahunga..

tou apni hata do bhai...

ab dekho

qalam uTha aur chal yaha se.

janumanu 22nd January 2013 09:47 PM

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 447280)
tou apni hata do bhai...

ab dekho

qalam uTha aur chal yaha se.

acha to

Bindi utha aur chal yaha se
Chdiya utha aur chala yaha se
bakri utha aur chal yaha se

Ab kya ye sab beech k ho gaye..
:)

daleel khariz... Shad sahab mai apke sath hun dont worry
Ab to guru chele mein thann gayee
:)

zidd 22nd January 2013 09:58 PM

Quote:

Originally Posted by janumanu (Post 447281)
acha to

Bindi utha aur chal yaha se
Chdiya utha aur chala yaha se
bakri utha aur chal yaha se

Ab kya ye sab beech k ho gaye..
:)

daleel khariz... Shad sahab mai apke sath hun dont worry
Ab to guru chele mein thann gayee
:)

hahhhahahahahah
jawaab itna muskil nahi jitna soch rahe ho.....

Mujeeb 22nd January 2013 10:00 PM

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 447278)
ab shaad sahab aap qabool karo ya na karo...usse matlab nahi....

haqiqat to ye hai hi ke neutral gender hai,,, jo maine sabit kiya.
aur usi ke wajah se aapka 'qalam' sabit hua hai.:D

------------------------------------------

(uski)naqaab uThi ke Uthi rah gayi............
(uski)naqaab uTha ke dekh.......................:D

plus
ameer minai ka precedent.

ab isse jyada kya kahe?

regards

yeh app sirf zaberdasti ka qaaida banaa rahy haiN naqaab , muzakar hi hai :D yeh optional gender naheeN hai .

sameer'shaad' 22nd January 2013 10:10 PM

Quote:

Originally Posted by janumanu (Post 447281)
acha to

Bindi utha aur chal yaha se
Chdiya utha aur chala yaha se
bakri utha aur chal yaha se

Ab kya ye sab beech k ho gaye..
:)

daleel khariz... Shad sahab mai apke sath hun dont worry
Ab to guru chele mein thann gayee
:)

hahahaha... maine sochaa tha naqaab ke saath lage haathoN apne puraane hisaab kitaab chuktaa kar loon aapse... qalam ke saath saath...

magar lagtaa hai apne guru ki baat aap hi nahi maanna chahate,... waise kai logon se maaine bhi pata kiyaa to jawaab saamne ye aaya ke qalam keval munnas nahi balki kai bar muzakkar bhi istemaal me aata hai..

Asal me agar qalam lafz ko dekha jaae to aam taur pe muannas ke misaal khoob hain.. lekin muzakkar ke bhi kam sanad nahi hain....

Deja Meri Kalam Naam Nu Ik Hor Hadsa

shiv kumar..

khoye din, jaagti shab ka sabab kya hai,
meri kalam, meri ghazal, mere hunar ki vajah kya hai..

Hum ne kabhi likha nhi tha shouk sey,
bass kalam chal padi, kisi ka khayaal aane sey

--------------------------

aur yoon bhi dekhen...

mera qalam mere jazbaat se waqif hai itna ,
kay main lafz mohabbat likhu to tera naam likha jaye

isi tarah agar kisi bade shaayr ki sanad mil jaae naqaab ke liye (sivaay minaai) to pesh kareN.. aur apne guru ji ki madad kareN..

Shukriyaa...

sameer'shaad' 22nd January 2013 10:11 PM

Quote:

Originally Posted by Mujeeb (Post 447283)
yeh app sirf zaberdasti ka qaaida banaa rahy haiN naqaab , muzakar hi hai :D yeh optional gender naheeN hai .

yello........ Zidd saahab ki jaanib se koi pukhtaa daleel na aane ke kaaran.. Mujeeb bhai ne to faislaa hi sunaa diyaa.... hahahahah

Mujeeb 22nd January 2013 10:28 PM

Quote:

Originally Posted by janumanu (Post 447273)
ab ye aap dono kya khichdi paka rahe ho?
Mujeeb sahab ..
Urdu mein qalam .. Ka gender kya hai ho sake to .. Proof k sath batayen . ..
Kynki firk aur qalam dono alag taraf k lafz hai
ek ko choo sakte hai ek ko nahin..
Apke pas urdu ki kafi sanad hogi ..
Plz share karen

maiN Haazir moHteram :)

aam bol chaal mai to qalam kee dono soortieN bolee jaatee haiN .
gooya qalam per mujhy pukhtaa yaqeen tab bhi nahee thaa or ab bhee nahieN hai . mager ghaalib saHb ne apney kalaam maiN iste'maal kiya hai pesh e khidmat hai

hay qalam meree abr e gohar e baar
zulm hai gar nah doo suKhan ki daad

yahaN qalam muanic iste'maal huwee hai

ab dosree miCaal daina bhi wajib hai mujh per to pesh e Khidmat hai .

qazaa ney thaa mujhy chaahaa Kharaab e baadah e ulfat
faqat^ Kharaab likhaa , bas nah chal sakaa qalam aagay

yahaN muzakar iste'maal kiya gaya hai qalam .

aur kuch moHteram :)

zidd 22nd January 2013 10:37 PM

Quote:

Originally Posted by janumanu (Post 447281)
acha to

Bindi utha aur chal yaha se
Chdiya utha aur chala yaha se
bakri utha aur chal yaha se

Ab kya ye sab beech k ho gaye..
:)

daleel khariz... Shad sahab mai apke sath hun dont worry
Ab to guru chele mein thann gayee
:)

hahhhahahahahah
waise arguement kafi ingenous hai....magar understanding ke liye finess chaiye
ek faida to hua hi ke aapki aur shaad bhai ki dosti ho gayi.
jawaab itna muskil nahi jitna soch rahe ho.....
halanki ab is samay dimag chalane ka mood nahi tha ,phir socha what the heck.

sabse pahle 'chirya ' aur ' bakri ' animate nouns hai ,isliye ye is discussion ke bahar hai.

naqaab aur qalam ,material noun hai isliye unka rule alag.

rahi baat aapki bindi ki....tou verb is not in agreement ,mtlab syntax error hai because of non agreement,maine asume kiya i aap samjh hi lenge . halanki material moun hai.my mistake jo maine assume kiya ki aap baat samjh jayenge.
shayad mujhe example dete huye basic verb with an agreeable and relevant action of the verb saamne rakna chaiye tha. ab kar deta hu.

qalam hota hai= true
qalam hoti hai= true

naqaab sarakta hai =true
naqaab sarakti hai =possible ( modesty does not permit me to say true,when the debate is on)

chidya udta hai = false
chidya udti hai =true

bakri sota hai = false
bakri soti hai = true

bindi laga hai = false
bindi lagi hai = true

...............bhai noun alag alag types ke hote hai aur sabka alag alag rule hai.....aur mere bus ki baat nahi ki mai ek kitaab yaha type karu....j\\

regards

zidd 22nd January 2013 10:45 PM

Quote:

Originally Posted by Mujeeb (Post 447283)
yeh app sirf zaberdasti ka qaaida banaa rahy haiN naqaab , muzakar hi hai :D yeh optional gender naheeN hai .

bhai maine koi kaida nahi banaya hai......
aap kah rahe hai ameer sahab galat hai...mai nahi

mai to ab bhi r& d kar raha hu.

aur 1-2 dino me shayad kuch saaamne laa pauu:D dekhte hai.

mere kaaano ko galat nahi lag raha hai....aur ameer sahab mere saath hai:D

janumanu 22nd January 2013 10:49 PM

Quote:

Originally Posted by Mujeeb (Post 447286)
maiN Haazir moHteram :)

aam bol chaal mai to qalam kee dono soortieN bolee jaatee haiN .
gooya qalam per mujhy pukhtaa yaqeen tab bhi nahee thaa or ab bhee nahieN hai . mager ghaalib saHb ne apney kalaam maiN iste'maal kiya hai pesh e khidmat hai

hay qalam meree abr e gohar e baar
zulm hai gar nah doo suKhan ki daad

yahaN qalam muanic iste'maal huwee hai

ab dosree miCaal daina bhi wajib hai mujh per to pesh e Khidmat hai .

qazaa ney thaa mujhy chaahaa Kharaab e baadah e ulfat
faqat^ Kharaab likhaa , bas nah chal sakaa qalam aagay

yahaN muzakar iste'maal kiya gaya hai qalam .

aur kuch moHteram :)

bas itna hi ............. agar aap micaal hi maan rahe hai..
to naqaab ki misaal kyun nahi maan rahe :)

sirf urdu grammar ke hawale se baat karo...

mujhe is bat ki hairat hai ki... aapne ek reply main ye baat kar rahe haiN ki... koe ghalti kare to hum bhi kare kyuN

:)

sameer'shaad' 22nd January 2013 10:49 PM

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 447287)
ek faida to hua hi ke aapki aur shaad bhai ki dosti ho gayi.

regards

janaab..... ab ye to koi baat nahi hui... Dushmani hi kab thi hamaari...

bas ye ho saktaa hai ke hamaare thoughts na mil paate hon... magar dost to wo pehle they aur ab bhi hain...... khair intzaar hai mujhe ke jald aapki R n D poori ho jaae aur aap kuch pukhtaa sanad leke saamne aayeN....

Shaad...

janumanu 22nd January 2013 10:51 PM

Quote:

Originally Posted by zidd (Post 447287)
hahhhahahahahah
waise arguement kafi ingenous hai....magar understanding ke liye finess chaiye
ek faida to hua hi ke aapki aur shaad bhai ki dosti ho gayi.
jawaab itna muskil nahi jitna soch rahe ho.....
halanki ab is samay dimag chalane ka mood nahi tha ,phir socha what the heck.

sabse pahle 'chirya ' aur ' bakri ' animate nouns hai ,isliye ye is discussion ke bahar hai.

naqaab aur qalam ,material noun hai isliye unka rule alag.

rahi baat aapki bindi ki....tou verb is not in agreement ,mtlab syntax error hai because of non agreement,maine asume kiya i aap samjh hi lenge . halanki material moun hai.my mistake jo maine assume kiya ki aap baat samjh jayenge.
shayad mujhe example dete huye basic verb with an agreeable and relevant action of the verb saamne rakna chaiye tha. ab kar deta hu.

qalam hota hai= true
qalam hoti hai= true

naqaab sarakta hai =true
naqaab sarakti hai =possible ( modesty does not permit me to say true,when the debate is on)

chidya udta hai = false
chidya udti hai =true

bakri sota hai = false
bakri soti hai = true

bindi laga hai = false
bindi lagi hai = true

...............bhai noun alag alag types ke hote hai aur sabka alag alag rule hai.....aur mere bus ki baat nahi ki mai ek kitaab yaha type karu....j\\

regards

bhayee......... ab har noun ka alag rule to nahi padha... magar 30 saal hindi bolte ho gaye ... uske hisaab hi se baat ki hai..

waise yahaN baat urdu ki ho rahi hai..

so sirf mere liye no use ....

All times are GMT +5.5. The time now is 04:44 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.