Yun dekh kar hume muskraya na kijiye
chand panktiyon k saath prem anjana ko swikaar kijiye..................
yeh chand alfaaj jahan mein uth rahe the jo apki khidmat mein pesh karta hoon .... reply ke intizaar mein..........aapka .prem anjana:) Julffon ko rukh se apne hataya na kijiye Yun dekh kar hume muskraya na kijiye Ruk jayengi yeh saanse tham jaygi yeh dhadkan Yuh jatak k dupatta jaya na kijiye Tum jaan ho hamari tum jindigi hamari Jo aati labon pe pehle woh bandigi hamari Dekhu mai tujhko dunia mein har or ai sanam Yun banke ab khumari chaya na kijiye Aankho ko apni sanam yu jhukaya na kijiye Dil pe teer pyaar ke chalaya na kijiye Nigahon se huyi baatein saab raj rahengi Yun sare aam mehfil mein bataya na kijiye Kahke mujhe diwana sataya na kijiye Akele mein mujhe yun bulaya na kijiye Diwane tere lakho “anjana” pade hai Yun khuleaam mehfil sajaya na kijiye |
Quote:
|
Quote:
kavita ji .......... jaankar bahut khushi hui ki aapko panktiyan pasand aayi .........daad k liye shukriya .:)...............aapka ........dost prem anjana |
Aankho ko apni sanam yu jhukaya na kijiye
Dil pe teer pyaar ke chalaya na kijiye Nigahon se huyi baatein saab raj rahengi Yun sare aam mehfil mein bataya na kijiye Ehsaas bohat khoobsurat haiN Prem sahab.........:) |
Quote:
zainy ji jaan kar achcha laga ki aapko panktiya pasand aayi ..........sarahana aur prashansha k liye.............. thanx:) aapka dost ..........prem anjana |
All times are GMT +5.5. The time now is 01:41 AM. |
Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.