Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Shayri-e-Mashahoor Shayar (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=13)
-   -   "Iqbal" aur "Ghalib", ek hi beher mein (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=12625)

khan 6th June 2003 06:30 PM

"Iqbal" aur "Ghalib", ek hi beher mein
 
Tamaam Ahl-e-Mehfil ki khidmat mein adaab,

Yahan par mein apnen pasandida shoara hazraat, Sir Allama Mohammad "Iqbal" aur Mirza Asadallah Khan "Ghalib" ka kalaam pesh kar raha hoon jo ek hi beher mein hain, tabsira zaroor karen,intzaar rahega.
Shukriya
Sahil Khan

"Iqbal" ki Ghazal yun hai......

kabhii ai haqiiqat-e-mu.ntazir nazar aa libaas-e-majaaz me.n
ke hazaaro.n sajde ta.Dap rahe hai.n terii jabiin-e-niyaaz me.n

tarab aashanaa-e-Kharosh ho tuu navaa hai maharam-e-gosh ho
vo suruur kyaa ke chhaayaa huaa ho sukuut-e-pardaa-o-saaz me.n

tuu bachaa bachaa ke na rakh ise teraa aa_iinaa hai vo aa_iinaa
ke shikastaa ho to aziiz tar hai nigaah-e-aa_iinaa-saaz me.n

dam-e-tauf kar mak-e-shammaa na ye kahaa ke vo asr-e-kohan
na terii hikaayat-e-soz me.n na merii hadiis-e-gudaaz me.n

na kahii.n jahaa.N me.n aman milii jo aman milii to kahaa.N milii
mere jurm-e-KhaanaaKharaab ko tere azo-e-ba.ndaa-navaaz me.n

na vo ishq me.n rahii.n garmiyaa.N na vo husn me.n rahii.n shoKhiyaa.N
na vo Gazanavii me.n ta.Dap rahii na vo Kham hai zulf-e-ayaaz me.n

jo mai.n sar-ba-sajdaa kabhii huaa to zamii.n se aane lagii sadaa
teraa dil to hai sanam-aashanaaa tujhe kyaa milegaa namaaz me.n
Sir Allama Mohammad "Iqbal"

Aur "Ghalib" ki ghazal yun hai.......

milatii hai Khuu-e-yaar se naar iltihaab me.n
kaafir huu.N gar na milatii ho raahat azaab me.n

kab se huu.N kyaa bataauu.N jahaa.N-e-Kharaab me.n
shab haaye hijr ko bhii rakhuu.N gar hisaab me.n

taa phir na intazaar me.n nii.nd aaye umr bhar
aane kaa ahad kar gaye aaye jo Khwaab me.n

qaasid ke aate aate Khat ik aur likh rakhuu.N
mai.n jaanataa huu.N jo vo likhe.nge jawaab me.n

mujh tak kab un kii bazm me.n aataa thaa daur-e-jaam
saaqii ne kuchh milaa na diyaa ho sharaab me.n

jo munkir-e-vafaa ho fareb us pe kyaa chale
kyuu.N badagumaa.N huu.N dost se dushman ke baab me.n

mai.n muztarib huu.N vasl me.n Khauf-e-raqiib se
Daalaa hai tum ko vahm ne kis pech-o-taab me.n

mai aur hizz-e-vasl, Khudaa_saaz baat hai
jaa.N nazr denii bhuul gayaa iztiraab me.n

hai tevarii cha.Dii huii a.ndar naqaab ke
hai ik shikan pa.Dii huii tarf-e-naqaab me.n

laakho.n lagaav, ik churaanaa nigaah kaa
laakho.n banaav, ik biga.Danaa itaab me.n

vo naalaa dil me.n Khas ke baraabar jagah na paaye
jis naale se shigaaf pa.De aafataab me.n

vo sehr muddaa talbii me.n na kaam aaye
jis sehr se safinaa ravaa.N ho saraab me.n

'Ghalib' chuTii sharaab, par ab bhii kabhii kabhii
piitaa huu.N roz-e-abr-o-shab-e-maahataab me.n
Mirza "Ghalib"

sahar 10th June 2003 10:21 AM

Re: "Iqbal" aur "Ghalib", ek hi beher mein
 
AOA Sahil Khan.
u have shared very marvelous ghazal by two ASATAZAA
Iqbal's ghazal is in long beher as compared to Ghalib's ghazal.
Qaafia is not exactly the same . there is a little difference if you see.
Iqbal ki ghazal main SOOFIANAA rang buhat zyada jhalak raha hai.. aur ye kafi had tak ISHQ-E-HAQIQI se qareeb tar hai. jabkae Ghalib ki ghazal main ISHQ-E-MAJAZI zyada numaayaan hai.

yehi kuchh differences nazar aaie..
zahir hai ke Ghalib ne Iqbal se inspire ho kar to nahi likhi hogi ghazal... :) it might be possible is ke opposite baat ho.. but .. but.. its not necessary .. becuase donon ki zameen main difference hai.... its not exactly the same.

donon ghazain hi behad haseen hain.
IQBAL ki is ghazal ka mera pasandeeda shair ye hai ;

na kahii.n jahaa.N me.n aman milii jo aman milii to kahaa.N milii
mere jurm-e-KhaanaaKharaab ko tere azo-e-ba.ndaa-navaaz me.n

aur GHALIB ki ghazal ka mera pasandeeda shair hai;

mujh tak kab un kii bazm me.n aataa thaa daur-e-jaam
saaqii ne kuchh milaa na diyaa ho sharaab me.n

Thanks for starting a good thread.
SAHAR

p.s. can u help me out how do I change font, color, bold etc in a message ? thx

khan 30th June 2003 03:57 PM

Thanks Sahar Sahiba,
is topic par aapke brief discussion ke liye mein aapka shukrguzaar rahunga. Mein aapka mashkoor hoon jo aapne itni tafseel se is mozoo par tabsira kiya, aapke tabsire se mujhe bahut kuchh seekhne ko mila. Thanks again a lots.
regards
Sahil


All times are GMT +5.5. The time now is 03:26 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.