Shayri.com

Shayri.com (http://www.shayri.com/forums/index.php)
-   Aapki Shayri (http://www.shayri.com/forums/forumdisplay.php?f=32)
-   -   Kucha-e-kalam ki sarfaraaz ghazalein (http://www.shayri.com/forums/showthread.php?t=79119)

Qasid 27th June 2015 07:32 AM

Kucha-e-kalam ki sarfaraaz ghazalein
 
Doston,

Kucha-e-kalam mein June mahine mein ek aisi lehar uthi ki mehfil mein ek alag se roomaniyat nazar aane lagi, is bazm mein beh'r mein tawazoo rakh kar jo ghazalein tayaar ho rahi hai woh anmol nagine hai is shayri parivaar ke sha.i.raan ki mehnat ka. Is thread ke zariye humhari koshish hai ki un nagino ko ek saath compile kiya jaaye.

Umeed hai ki aap sab ka saath mileGaa

Qasid 27th June 2015 07:38 AM

Na Yun Paas Aao
 
Ghazal: Na Yun Paas Aao

Completed on: June 16th 2015

na yun paas aao na doori badhaao
na naz.ren churao.n na yun mus.kuraao (Mast)

na sapne dikhao na neenden udaao
Na humko tum apna dewaana banao (Bhushan)

yun chehre se mere ye naz.ren hataao
na hum.ko yun ap.nii ye aa.dat lagaao (Masti)

Muhabbat bhare pal vo fir laut aayeiN
Kabhi maiN jo roothuN mujhe tum manaao (Madhu)

jo muddat se ham se kinaaraa kiye they
wahii kah rahe hain hame na bhulaao (Shaad)

poore chehre ka deedar hai karna!
meri jaaN! rukh se zulfeN hataao (Hasan)

Mujhi se jo roothe aawaz de rahe haiN.
Mere intezar meiN palkeiN bichao (Hamdam)

Ajab hai ye dil bhi dhadakta hi jaye
ya tum paas aao ya fir door jao (Madhu)

Khuda us nazar mein hai kaisi khumari
kahun bhi to kaise na jalwe dikhaao (Mast)

Qasid 27th June 2015 07:54 AM

Raat bhar jalte rahe
 
Ghazal: Raat bhar jalte rahe

Completed on: 26th June 2015

raat bhar khaamoshiyon se guftagoo karte rahe,
ham charaaGon ki tarah chup chaap se jalte rahe (Shaad)

YuN Nigalte ja rahe the mujh ko saye raat ke,
bebasi meiN is kadar hum hath ko malte rahe (Hamdam)

har subah laayii umeedoN se bhara ek din magar
Naa khabar lii yaar ne ham shaam ban dhalte rahe (Madhu)

haath jo tuune meraa thaama nahi aye hamsafar
zulmaton ki raah par hum be jhijhak chalte rahe (Masti)

aatishon se udh rahe the khwaab mere raat bhar
hasraton ki justjuu mein khwaab hi palte rahe (Mast)

ManzileiN to paas thiiN aur walwala bhi Thaa magar
Thee nahii manzoor wo raaheN jahaaN baDhte rahe (Sagar Aashna)

Dil ko mere gam mile jab se ki uskii khwaahisheiN
fir usii ke khwaab in AaNkhoN me kyuN khilte rahe (madhu)

Phool ham ko Gulshan-e-yaaraa ke yoon daste rahe.
choolhe ke paanii pe ham bhii bulbule bante rahe (Hassan bhai)

kis tarah ki raah hai, kaise musaafir hain yahaaN,
peeTh me khanjar chubhaaye jo gale milte rahe (Shaad)

arz meri aye khuda kya sun sakegaa tuu kabhii
aasmaan ko bas isi ek chaah meiN takte rahe (Madhu)

Qasid 1st July 2015 09:06 AM

Adhure Khwaab aankhon ke
 
Ghazal: Adhure Khwaab aankhon ke

Completed on: 18th June 2015

Adhoore khwaab aankhon ke mujhe aksar jagate hain
Vo baatein aur woh pal chhin bahut ab yaad aate hain (Madhu)

Tera waada tha har pal tuu mujhe yun shaad rakhegaa
Tumhaare khat mujhe reh reh ke jaane kyu rulaate hain (Masti)

likhe they naam ham dono ne jin pe.Don ki shaakhon pe,
guzartaa hoon jo raahon se to aawaazen lagaate hain (Shaad)

Wo taare jin ko gin gin ke guzaari thi kai raatein
Wo taare ab mujhe aksar usee chat par bulaate hain (Masti)

wahi par aake baitha hoon jaha guzri thi sab shaamein
meri ulfat ke yeh goshe* mujhe ab bhi sataate hain (Mast)

*corner/privacy

ke jab bhii yaad me terii hue hain mubtilaa jaanaa,
to tasweeron ko terii jaane jaaN dil se lagaate hain (Shaad)

jo dete the su.koon mujh ko kabhi aaghosh mein tere
vo lamhe ab mujhe aksar judaaii mein rulaate hain (Sunita Virender)

jo honthon par nahin aayi vo apni hi kahaani thi
tha dil kis baat par toota yeh qissa hum bataate hain (Mast)

Muhabbat ke tarano si jo in kano me ghulti thi
Na Vo barish he hoti hai na ab badal darate hain
(Madhu)

Madhu 14 1st July 2015 09:54 AM

Kya baat! kya baat!kya baat!.....ek se badhkar ek ghazalein....aur sab ek sath...bahut khoob anu...bahut shukriya in sab ko ek sath padhne ka mauka dene ke liye.. .

ISHK EK IBADAT 1st July 2015 12:05 PM

wah wah ek badhkar ek ghazal bahut sundar............anu bhai..............

sameer'shaad' 2nd July 2015 09:13 PM

waahh janaab waahhhh.......

nayaab ghazlon ko gar ek saath dekhnaa mil jaae to jaise lagta hai khazaano haath lag gayaa ho..

bahut mubaarak ho aapko aur tamaam membaraan ko jinhone isme hissa liyaa aur ise kamyaab kiyaa.....

umeed hai aage bhi hame aise hi nayaab kalam padhne ko milte rhenge.....

Shaad...

Qasid 5th July 2015 12:45 PM

Vo sama
 
Ghazal: Vo sama

Completed on: 3rd July 2015

khoob hai ishq ka vo bayaan
gam mera ab bana daastaa.n(mast)

Reh Gayi Aarzoo dil mein hi
chal pada ashq ka kaarwaa.N(masti)

humne tau khud dekha ek jahaN,
humse phir raushna aasmaN (hamdam)

chand taare uthaaye hue,
dhoondti ik naya aasmaaN(taish)..

gam mila dil laga ke mujhe
kuch na baki hai soona jahaaN(madhu)

jo hame jaan se ajeez the,
wo sabhii ho gaye raayegaaN. (Shaad)

Dil mera le gaya tha kabhi
ab vo aashiq mera hai kahaa.n (Masti)

Khaak hi Khaak tha kar gaya
kis tarah tha uthaa ye dhuaa.N
(Mast)

Madhu 14 6th July 2015 01:15 PM

kya baat hai.....waaah!ek aur khoobsoorat ghazal par sabhi doston ko madhu ki taraf se mubarak baad......aur daad pesh hai....

Qasid 16th July 2015 04:36 PM

Ghazal: Mera na hua

Completed on: 10th July 2015

Humsafar mera humnawa na hua,
Mera hi tha magar mera na hua (Taish)

kuch vafaon me apni hogi kasar
Jisko chaha mera zara na huaa (Madhu)

manzilen meri raah mein thi magar
raston se hi aashnaa na hua (Masti)

jeene ki ab na aarzoo hi rahi
unko chaha jo ab khudaa na hua (Mast)

qahr jo aap dhaa rahe hain sanam
aise koii kabhii khafaa na huaa (Shaad)

sadgi uski dil churaa ke gayii
yooN kabhi mujhse dil judaa na hua (Madhu)

KaarvaaN saath saath aage badaa,
humsafar phir yuN begana na hua. ( Hamdam)

jo gaya door tuu to aise gaya
Mujh ko haasil tera pata na hua (Bhushan)

Madhu 14 16th July 2015 10:36 PM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 482495)

waaah!waaah!.....bahut khooob doston........

Dhaval 16th July 2015 10:47 PM

Behterin Ghazal par sabhee kl daad.................

sameer'shaad' 17th July 2015 10:20 AM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 482495)
Ghazal: Mera na hua

Completed on: 10th July 2015

Humsafar mera humnawa na hua,
Mera hi tha magar mera na hua (Taish)

kuch vafaon me apni hogi kasar
Jisko chaha mera zara na huaa (Madhu)

manzilen meri raah mein thi magar
raston se hi aashnaa na hua (Masti)

jeene ki ab na aarzoo hi rahi
unko chaha jo ab khudaa na hua (Mast)

qahr jo aap dhaa rahe hain sanam
aise koii kabhii khafaa na huaa (Shaad)

sadgi uski dil churaa ke gayii
yooN kabhi mujhse dil judaa na hua (Madhu)

KaarvaaN saath saath aage badaa,
humsafar phir yuN begana na hua. ( Hamdam)

jo gaya door tuu to aise gaya
Mujh ko haasil tera pata na hua (Bhushan)

aap sabhi doston ko hamaari taraf se dher saarii mubaarakbaad aur shubh kaamnaen

Qasid 4th August 2015 09:06 PM

Ghazal: Sawaal

Completed on: 10th July 2015

takhti - 1222 1222 1222 1222

mujhe tumse shiqaayat hai ke tum mujhse Khafaa ho kyuu.n ,
inaayat ho nahii.n saktee to phir mere Khudaa ho kyuu.n (Shaad)

yun apna kaat kar seena dhadakta dil dikhaya tha
Sitamgar tum hi batlao ki itne bewafaa ho kyu.n (Masti)

ye kaise hain takalluf aur kaisi dooriyaan jana
bhula kar yaad sari pyaar ki mujhse juda ho kyu.n (Madhu)

khata apni meri jaana chalo main maan leta hoon
bhala phir maat par meri kaho soz-e-navaa ho kyu.n (Mast)

Nigaahon me jahaan ham the vahaan ab gair ki surat
ye teri berukhi hai fir sukoon dil ko bhala ho kyu.n (Madhu)

muhabbat se muhabbat thi muhabbat dil mein basti thi
meri jaa.n ye bataa do bas muhabbat se khafaa ho kyu.n (Masti)

vo do din roothna tumse aur khud aansun bahaa dena
meri is dil ki halat ki kaho dard-e-dawaa ho kyu.n (Mast)

Chhuda kar hath mujhse tum safar me bad gaye aage
Mujhe tanha jo dekha raah mein fir gam zadaa ho kyun (Madhu)

Badi shiddat se kehte the ki main koi nahi tera
Fir mere janaze me shamil be-wajaa ho kyun (Bhushan)

Madhu 14 5th August 2015 08:27 AM

Waaaahhh!! Bahut khoobsoorat.....
Sabhi ko meri daad aur mubarakbaad.........

sameer'shaad' 5th August 2015 09:53 AM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 484010)

Ghazal: Sawaal

Completed on: 10th July 2015

takhti - 1222 1222 1222 1222

mujhe tumse shiqaayat hai ke tum mujhse Khafaa ho kyuu.n ,
inaayat ho nahii.n saktee to phir mere Khudaa ho kyuu.n (Shaad)

yun apna kaat kar seena dhadakta dil dikhaya tha
Sitamgar tum hi batlao ki itne bewafaa ho kyu.n (Masti)

ye kaise hain takalluf aur kaisi dooriyaan jana
bhula kar yaad sari pyaar ki mujhse juda ho kyu.n (Madhu)

khata apni meri jaana chalo main maan leta hoon
bhala phir maat par meri kaho soz-e-navaa ho kyu.n (Mast)

Nigaahon me jahaan ham the vahaan ab gair ki surat
ye teri berukhi hai fir sukoon dil ko bhala ho kyu.n (Madhu)

muhabbat se muhabbat thi muhabbat dil mein basti thi
meri jaa.n ye bataa do bas muhabbat se khafaa ho kyu.n (Masti)

vo do din roothna tumse aur khud aansun bahaa dena
meri is dil ki halat ki kaho dard-e-dawaa ho kyu.n (Mast)

Chhuda kar hath mujhse tum safar me bad gaye aage
Mujhe tanha jo dekha raah mein fir gam zadaa ho kyun (Madhu)

Badi shiddat se kehte the ki main koi nahi tera
Fir mere janaze me shamil be-wajaa ho kyun (Bhushan)

kyaa baat hai janaab..... ummdah sheron se sajaa nayaab kalaaam... sabko hamaara pyaar aur mubaarakbaad.....

Madhu 14 4th September 2015 11:23 PM

ghazal -meri jaan huye..
Completed on..31 August. .
Takhti - 122 122 122 12

Behr - Mutaqaarib musamman mehzoof

Arkaan - Fa-oo-lun fa-oo-lun fa-oo-lun fa-al

Matla
yun hasrat-e-dil ka vo armaan huye
mile mujhse aise meri jaan huye (Mast)

1st sher
Ghadi bhar jo unse nigaheiN mili
Jo the ajnabi dil ke mehmaaN huye. (Madhu)

2nd sher
unhe ab bhi shaayad muhabbat hai yaad,
huaa saamnaa to pareshaaN hue. (Shaad)

3rd sher
idhar dil ki haalat bhi nazuk si thi
udhar khwaab the kitne nadaan huye (Mast)

4th sher
Mere dil ki haalat bataayii uNhe
NigahoN ke ham par ye ehsaaN huye. (Madhu)

5th sher
bohut kuch tha kehna kahaa na gaya
ye alfaaz bhi kyu be-imaa.n huye (Masti)

6th sher
nigaahoN se unki mili jo nazar
the khud maut ka apni samaaN huye (Mast)

7th sher
JahaaN pyaar gam bhi vahiiN yaar hai.
Bhala aap aise kyuN hairaaN huye..

Makta
Wafaa ka humaari silaa naa mila
humee.n they diwaane jo kurbaa.n hue

Madhu 14 4th September 2015 11:26 PM

sabhi sathiyon ko dili mubarakbaad aur daad.....bahut khoobsoorat rahi ye aapki shayri...:)

Agli ghazal ke jald poora hone ka intzaar rahega.....

Madhu 14 30th September 2015 11:04 AM

Ghazal-khud ko chhota ye dil bada rakhiye.

4th sep to 28 sep 2015
2122 1212 112

Matla.
Khud ko chhota ye dil bada rakhiye....
Dost bankar na fir ana rakhiye...(madhu)

sher 1
muh me rab ke hi naam rakhte hain,
apne dil me bhi to Khudaa rakhiye.... (shaad)

Sher 2
Dost ban kar na ab dagaa kariye
Apni baato.n mein kuch wafa rakhiye(masti)

Sher 3
Jinke bin har khushi adhuri hai
Aise apno se na gila rakhiye. (Madhu)

Sher 4
Dil ke tukde abhi hai bikhare hue
Pao.n apne zaraa bachaa rakhiye (Masti)

Sher 5
tarse jo dil kabhi kisi ke liye
faasle phir n darmiyaa.N rakhiye (Mast)

Sher 6
Roothna apno se agar hak hai.
Maan jane ki bhi ada rakhiye. (Madhu)

Sher 7
roz milnaa muhaal hai lekin
harz kya aisi gar dua rakhiye (Mast)

sher 8
ghaltiyoN par khafa raho beshaq
naam iska na par zafa rakhiye..(madhu)

sameer'shaad' 30th September 2015 01:51 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 487552)

4th sep to 28 sep 2015
2122 1212 112

Matla.
Khud ko chhota ye dil bada rakhiye....
Dost bankar na fir ana rakhiye...(madhu)

sher 1
muh me rab ke hi naam rakhte hain,
apne dil me bhi to Khudaa rakhiye.... (shaad)

Sher 2
Dost ban kar na ab dagaa kariye
Apni baato.n mein kuch wafa rakhiye(masti)

Sher 3
Jinke bin har khushi adhuri hai
Aise apno se na gila rakhiye. (Madhu)

Sher 4
Dil ke tukde abhi hai bikhare hue
Pao.n apne zaraa bachaa rakhiye (Masti)

Sher 5
tarse jo dil kabhi kisi ke liye
faasle phir n darmiyaa.N rakhiye (Mast)

Sher 6
Roothna apno se agar hak hai.
Maan jane ki bhi ada rakhiye. (Madhu)

Sher 7
roz milnaa muhaal hai lekin
harz kya aisi gar dua rakhiye (Mast)

sher 8
ghaltiyoN par khafa raho beshaq
naam iska na par zafa rakhiye..(madhu)

beautifull...aap sab ke sath se ek aur behtareen ghazal taiyaar hai aaj...hissa lene wale sabhi sathiyon ko daad aur mubarakbaad...

aur padhne walon se darkhwasht ki aap bhi agli ghazal me apna sher zaroor dein....

shukriya..

bahut khoob ghazal huii hai... sabhi doston ko dil se mubaarakbaad is ghazal ko muqammal karne k liye...........

Madhu 14 30th September 2015 01:56 PM

beautifull...aap sab ke sath se ek aur behtareen ghazal taiyaar hai aaj...hissa lene wale sabhi sathiyon ko daad aur mubarakbaad...

aur padhne walon se darkhwasht ki aap bhi agli ghazal me apna sher zaroor dein....

shukriya..

Madhu 14 6th January 2016 11:58 AM

laut ke na aayenge....
 
1oct 2015 -6 jan 2016

laut ke na aayenge..
Takhti - 212 1222 212 1222

Matla
dil se bewafaa jis din hum tujhe bhulaayenge
hai kasam teri phir jee kar tujhe dikhaayenge (Mast)

1st sher
Teri aarzuu ab khwabon me na mere hogi
Tuu agar hai khush ye doori bhi ham nibhayenge(madhu)

2nd sher..
ye nahii khabar thii ke ab aap bhii sataaenge,
aap muskuraaenge chehraa chupaaenge...(Shaad)

3rd sher
Jo malaal tumko mujhse kyun mil gaye ho tum
Saamne na aayenge ab na dil dukhayenge.(madhu)

4th sher
baat baat par aksar roothate ho tum jaanam
hum jo roothe tumse to lout ke n aayenge (Masti)

5th sher
meri har udasi jo haNs ke loot lete the.
Kya pata tha ek din vo hee hame rulayenge.(madhu)

6th sher
khod kar zameen dil ki gumshudaa ho jaayenge
dil ki aarzoo bhi hum dil mein hi dabayenge (Mast)

7th sher
Na fareb khayenge na hi zulm dhayenge
Sajde mein jabee.N ko itna na ham jhukayenge(madhu)

Qasid 6th January 2016 10:00 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 490173)

Arse baad ek aachi ghazal muqammal hui hai sabhi doston ka shukriyaa

Qasid 28th January 2016 10:26 AM

ek baar kisii aur ke khaatir chalo ji lei.n.
 
6th January - 27th January

Takhti - 221/1221/1221/122

Ghazal: ek baar kisii aur ke khaatir chalo ji lei.n.

ek baar kisii aur ke khaatir chalo ji lei.n.
hotho.n pe tabassum rakhei.n a.nkho.n ki nami lei.n (Madhu)

na hone de be-noor kabhi shaam-e-muhabbat
chhalke jo nighaahei.n to ashqon ko bhi pi lei.n (Mast)

Gham baantne se hota hai kam aisa sunaa hai
chal baant ke apni khushi thodi si gamii lei.n (Masti)

Jo baat kisi dil ko zara bhi na khushi de
Na layei.n zubaa.n par use ham hotho.n ko see lei.n (madhu)

jab hamko khatawaar samajhtaa hai zamaanaa
to zehr ke pyaale sare- mahfil hamii pee len.. (Shaad)

hum bhi hain khataa-khaar tha maaluum jab hua
kis baat ka shikwaa karein ab aise hi jee lei.n (Mast)

unko bhi sukoo.n aaye koi poochta to hai
milne ka bahana karei.n ehsaan kabhi lein.(madhu)

Jis raah pe chalne se lage darr kabhi tumko
us rab se zaraa pooch lein sang usko hi le lein..(Masti)

Madhu 14 28th January 2016 11:46 AM

Quote:

Originally Posted by mast (Post 490776)

kya baat hai...sabhi ne ek se badhkar ek sher kahe hain..aap sab ke sath se ek aur khoobsoorat ghazal mukammal huyi hai doston...sabko mubarakbaad aur daad pesh hai.........

Madhu 14 22nd April 2016 04:20 PM

Das rahi hai judayi.....
 
Tarz.. hum the jinke sahaare..
Behr..2122 122 2122 122

Matla

Das rahi hai judaayii..yaad phir unki aayi
Ro rahi dil ki dhadkan..shor deta sunayii

1 sher
Jab bhi kii haiN duaaeN, Kuchh na maNga Khuda se
Jissko mil jaaye chaahat, KyuN wo maaNge Khudayee(praveen ji)

2 sher
naam tera hi dil meiN. har su deta sunaaii,
dekh le meri haalat ab na jaaye bataayii..(sunita di)

3 sher
tera hee aksh meri har ek ghazal me basa hai,
aaina bhi jo dekhoon tu hee tu de dikhaayi.(acharya_mj)

4 sher
Ye nazaare wahin hai..nazrein par woh nahi hain
Jinse milti thi palkein..dete naa wo dikhaayi(masti)

5th sher
Ek jhalak apni dekar le gaya mera sab kuch
Dil mera poochta hai....kyun nazar ye milai.. (madhu)

6th sher
Nikla mera janaaza tere koochey se qurbat
Ho gayi zard humdum teri dast-e-hinaayi(Mujahid)

7th sher
Meri kya hai khata jo.. hijra hee ab saza hai.
Uske masoom dil me berukhi kyun samayi....(madhu.)

Madhu 14 22nd April 2016 04:23 PM

Sabhi sathiyon ko mubarakbaad aur daad...

Khaas taur par sarika ka bahut shukriya...is ghazal ko mukammal banane me unhone bahut sath diya...

Baki sabhi sathiyon se request hai aap bhi bazm me shirkat karein.....:)

प्राण कुमार 19th May 2016 06:44 PM

Sahil badal diya samandar ke toofano ne...
......
Lagta h fir kisine pyar ki farmaish ki hai....

Madhu 14 22nd June 2016 04:40 PM

Agar merey khuloos-e-ishq ka tujh ko yaqeen hota
 
behr..
1 2 2 2, 1 2 2 2, 1 2 2 2, 1 2 2 2

Example..
mujhe terii muhabbat ka, sahaaraa mil gayaa hotaa
agar toofaN nahin aataa, kinaaraa mil gayaa hotaa

(completed on 14 april)
Matla..

Agar merey khuloos-e-ishq ka tujh ko yaqeen hota
Toh aye hum-dum terey dil ka faqat mai hi makeen hota(mujahid ji)

1 sher

khuloose dil to laazim hey wafaa bhe shart hey laekin
suno ay hum sukhan bas ishq dobaaraa naheen hota(saba)

2sher

Meri tanhaiyon par yun shazar hanste na ye raahein..
jo ek hamraah tu hota safar kitna haseen hota.(madhu)

3 sher

Hamey toh lag gayi aadat sanam teri judaayi ki
Agar tu saath merey hota you dil na hazeen hota(mujahid)

4th sher

Gila-e-taqdeer bhi kab talak karta rahu ya rab
Dil-e-makhloot ko yak baar hasil hum-nasheen hota (mujahid)

5th sher

Jo bas ikraar tumne bhi kabhi khulkar kiya hota
Muhabbat rang lati yun nishaan bhi har kahiin hota.(madhu)

6th sher

Ye daur-e-muflisi mushkil nahi hota merey hum-dum
Tu iss ehed-e-masaib mai merey qurb-o-qareen hota

7th sher

Nawaaza hai khuda ne tujh ko ab aisi zahaanat se
Agar sohbat mai tere hota toh mai bhi zaheen hota(Mujahid)

Madhu 14 22nd June 2016 04:43 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 493400)

sabhi hazrat ko is behtareen ghazal par daad o mubarakbaad pahunchey...

likhte rahein...
salamat rahein...

Madhu 14 22nd June 2016 04:46 PM

Zauq-o-tamanna bhi nahi dil mai mohabbat ke liye
 
Behar: Behar-e-rajaz musamman salim
Mus'taf'ilun, Mus'taf'ilun, Mus'taf'ilun, Mus'taf'ilun
Mus'taf'ilun, Mus'taf'ilun, Mus'taf'ilun, Mus'taf'ilun

2212, 2212, 2212, 2212

( 26 may 2016)
Matla:
Zauq-o-tamanna bhi nahi dil mai mohabbat ke liye
Mashgool itna hu nahi fursat adaavat ke liye(Mujahid)

1sher
Furqat me unki yaad ki dastak jo sun le dil kabhi
Sar khud b khud jhuk jaye hai us pal ibadat ke liye(madhu)

2nd sher
jab hasraton kaa qatl karke chal diye tum be-wajah,
larze hain mere honTh bhii us din shiqaayat ke liye... (Shaad)

3rd sher
Ab kya karu ya rab ke aa jaaye usey mujh par yaqeen
Ke cheer du ab dil bhi asbaat- e -sadaaqat ke liye

Asbaat-e-sadaaqat= proof of honesty
(Mujahid)

4th sher
dil ke pemaane jab muhabbat ke liye khaali huye
milte hen pher to loug lougon se zaroorut ke liye
(sabaa)

5th sher
jis naam pr jaltey rahe meree muhabet ke diye
zinda hun main to aaj bhi usski hi ulfut ke liye
(sabaa)

6th sher
Imkaan-e-vasl-e-yaar bhi mumkin nahi merey khuda
Phir bhi jalaata hu chiraag-e-ishq hasrat ke liye
(Mujahid)

Madhu 14 22nd June 2016 04:50 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 493402)

waah!!waah......bahut khoob doston...

Madhu 14 22nd June 2016 04:57 PM

Bikhrey hue gesuu hai tasveer-e-ahbaab mai
 
2212, 212, 2212, 212
( 1 june 2016)
Matla:
Bikhrey hue gesuu hai tasveer-e-ahbaab mai
Hum dhoob jaatey terey zulfo ke sailaab mai
(Mujahid)

jub aarzoo jaagi teri dil mey tab sey mujhey
dikhta hy tera hasee chehraa hi mahtaab mey
(sabaa)

2nd sher

Tafreeq se itna bhi ghamgeen mai hu nahi
Aatey ho tum aye sanam har shab mere khwaab mai

Tafreeq= judayi(separation)
(Mujahid
)
3 sher

terey judaayi mujhey toh raas aayi nahen
ke dil kahen ab to lagta naa ye ahbaab mai
(sabaa)

4th sher

Ab toh nikal aa sanam tasveer se tu kabhi
Itni tahammul kaha iss qalb-e-be-taab mai

Qalb-e-be-taab= impatient heart
Tahammul= patience
(Mujahid)

5th sher

Jo saut-e-bulbul kabhi aati merey baagh se
Ab aa gaye voh terey gulzaar-e-shadaab mai

Saut-e-bulbul= voice of the nightingale
(Mujahid)

Madhu 14 22nd June 2016 04:59 PM

Quote:

Originally Posted by Madhu 14 (Post 493404)
2212, 212, 2212, 212
( 1 june 2016)
Matla:
Bikhrey hue gesuu hai tasveer-e-ahbaab mai
Hum dhoob jaatey terey zulfo ke sailaab mai
(Mujahid)

jub aarzoo jaagi teri dil mey tab sey mujhey
dikhta hy tera hasee chehraa hi mahtaab mey
(sabaa)

2nd sher

Tafreeq se itna bhi ghamgeen mai hu nahi
Aatey ho tum aye sanam har shab mere khwaab mai

Tafreeq= judayi(separation)
(Mujahid
)
3 sher

terey judaayi mujhey toh raas aayi nahen
ke dil kahen ab to lagta naa ye ahbaab mai
(sabaa)

4th sher

Ab toh nikal aa sanam tasveer se tu kabhi
Itni tahammul kaha iss qalb-e-be-taab mai

Qalb-e-be-taab= impatient heart
Tahammul= patience
(Mujahid)

5th sher

Jo saut-e-bulbul kabhi aati merey baagh se
Ab aa gaye voh terey gulzaar-e-shadaab mai

Saut-e-bulbul= voice of the nightingale
(Mujahid)

mafi chahungi is ghazal me shirkat nahi kar payi..par aap logon ne bahut hee khoob sher kahe hain....

daad qubool kijiyega..

Madhu 14 5th July 2016 04:03 PM

Ishq mai milti shauhrat bhi ruswaayi bhi
 
22 june 2016

Behar: Behar-e-mutadaarik musammam salim
Faa'ilun Faa'ilun Faa'ilun Faa'ilun
Faa'ilun Faa'ilun Faa'ilun Faa'ilun

212, 212, 212, 212

Matla
Ishq mai milti shauhrat bhi ruswaayi bhi
Dard toh hai magar lutf- e -tanhaayi bhi (mujahid)

1st sher
us ki baaton pe kyo ker yakeen ho humey
voh to mosum ke jaisa hey harjaayi bhi (sabaa)

2nd sher
Mujh pe rakhtey hai voh nazr-e-tanqeed par
Waqt dar waqt kartey pazeeraayi bhi (Mujahid)

3rd sher
Vo nibhayega kya sath is daur me
Chhod kar ja juki mujhko parchhaii bhi (madhu)

4th sher
saans lena bhi ab to sazaa saa lagey
uske bin soona aangun bhi purwaayi bhi (sabaa)

5th sher
Ab zamaana mujhe be-wafa keh bhi ley
Roz-e-mahshar ko hoga ye sunwaayi bhi (mujahid)

6th sher
kahkashaa.o.n se badhaaii gayi guftguu
tanhaa sa lagta hai tera saudaa.ii bhi (mast)

Madhu 14 5th July 2016 04:07 PM

Laayi zindagi hamey phir ussi maqaam pe
 
5 july 2016

BEHAR-E-MADEED MUSAMMAN MAKHFOOF, SALIM, MAKHFOOF, SALIM

FAA'ILA,TU, FAA'ILUN, FAA'ILA,TU, FAA'ILUN
FAA'ILA,TU, FAA'ILUN, FAA'ILA,TU, FAA'ILUN

2121, 212, 2121, 212
2121, 212, 2121, 212
MATLA
Laayi zindagi hamey phir ussi maqaam pe
Kyu karu mai ab gila apney ikhtataam pe (MUJAHID)

1st sher
khud ko hi bhulaa raha hoon mera junoon hai
mujh pe na sahi yakee.n kar mere kalaam pe (Mast)

2nd sher
Muflisi ne badle hain dost yun bhi aaj kal
Kaam kya hai poochte hain mere salaam pe(madhu)

3th sher
Aye khuda ho kya gaya aaj terey bando ko
Be-zarar pe chalte hai tegh terey naam pe
( MUJAHID)

4 sher
too mila mujhey muqaddar kee baat hey sanam
Shukr mai Ada karun Rab ka iss inaam pe
(Sabaa)

5 sher
Ik tamaasha ban gaya aye khuda jahaaN tera
Ke sawaal uth tey hai terey hi nizaam pe(MUJAHID)

6 sher
Aye khuda tu kar ataa kaamil-e-zameer ab
Biktey hai zameer bhi kaudiyo ke daam pe(MUJAHID)

7 sher

roshni me din ki jab rasta nahi dikha
dil ko ab kahaaN se ho ikhtyaar shaam pe(madhu)

Vijay456 28th March 2019 12:21 PM

Bhula agr tuje to is ada say bhiilu ga
k............
tery sher ki matti b mery wajood ko tarsay gi

All times are GMT +5.5. The time now is 08:25 AM.

Powered by vBulletin® Version 3.8.5
Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.